Zaroorat aakhri manzil pe ghugroo baandh leti hai

Mai jo unn se roodh jao to payam ( message) tak na pahuche     

shakil badayuni

Pichle galityo se sekh sekh kar khud ko behtar banane ki aas aayi hai

Itne dino baad jab kahi likhe do misre , tab kahi ja k mujhe saas aayi hai

whatsapp

Kya baat hai  , bade chup chap se baithe ho

koi baat dil pe lagi hai ya phir kahi dil laga baithe ho

whatsapp

Jis cheez ka mujhe dar tha aaj wohi ho rahi hai

Tumhara pyar batna nahi chahta tha , par mere samne tumhari shadi ho rahi hai  

whatsapp

Galti sab se ho jati hai , galti mujh se bhi ho gayi

Maine to kari tumse mohabbat , par tumhe kisi aur se ho gayi.

whatsapp

Haan wo waqt zaroor yaad aata hai jab hum sath thea

Khushiyo se baare hum dono ke hath thea

Wo meethe meethe mere , wo kathe kathe tere

Kya zajbaat thea

whatsapp

Ek chahat thi tere sath jeene ki tere sath marne ki

Varna mohabbat mea bewafayi to mae bhi kar sakta tha

Kab tu zindagi ki zaroorat ban gayi

varna rashm-e-ruswaye ( sharminda) to mai bhi kar sakta tha

whatsapp

Sehamti rakh li teri mujhe gaer ( paraya) batane mein

Apna mujhe bhi aaj kal koi khear nahi lagta

Tujhe pehchanea se nakaar ( mana karna) rahi hai aawam

Inki batao se ye tera sehar (city) nahi lagta

Aur tujhe marne ki himaqat karta magar

Suna hai terem jism ko koi zeher nahi lagta

whatsapp

Kisi ne pyar ki yaad mea tajmahel banwae thea

Hum gareeb admi hai humse kaha paisa lagta hai

Tum jao apne raqeeb (loved one) ke pas

Jab wo tumhe chode ( leave) ga hum bhi aake pooche ge

Ab batao tumhe kaisa lagta hai.

whatsapp

Agar karo to interzar hu mae , Na karo to pyar hu mae

Basana hai kahi to basa lo mujhe apni nigahoo ( eyes) ki basti mea

Nigahea agar mujhse hatayi to soch lena , Akhbar hu mae.

whatsapp

Ye fiza , zamee , falak uske jaise chahea

Mujhe chandi bhi chand ki uske jaise chahea

whatsapp

Kuch yu ishq hua unse ki hum unke kadmo mea dil bhicha baide

Wo bhi naadaan nikle zara se , hum se dhokha kiya aur apna hi ghar jala baide

whatsapp

Hijr ( separtion) ki raat thi , mere samne khadi uski baraat thi

Mai usse dhek dhek k rota raha , wo kush this ki wo azzad thi.

whatsapp

Hain ab kisi se izhar nahi karu ga

Mai toota hua dil hu , ab pyar nahi karu ga

Chod kar jana hota kisi ko to ho jati hai uski sau majboriya

Ab mae kisi ki majboriya sunne ka interzar nahi karu ga

whatsapp

Jhukne se rishta gehra ho to jhukh jao

Par harbaar aap ko hijhukna pade to ruk jao

whatsapp

Tum kya jano apne aap se kitna sharminda hu


Choot gaya hai sath tumhara aur abhi tak zinda hu sagar aazmi

sagar aazmi

Ke usse pane ka koi rasta hai kya

Agar hai to koi dhikha sakta hai kya

Mae to uski nighaho mea khoya rehta hu

Mujhe hua kya hai koi bata sakta hai

whatsapp

ishq mujh ko nahin vahshat (wild beahaviour) hi sahi

meri vahshat teri shohrat (fame) hi sahi

MIRZA GHALIB

ghar ki vahshat (fear) se larazta (shake) huun magar jaane kyuun

shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

IFTIKHAR ARIF

aaise dare hue hain zamane ki chaal se

ghar mea bhi paanv rakhte hain hum to sambhal kar

ADIL MANSURI

bachpan mea hum hi thea ya tha aur koi

Vahshat (fear) si hone lagti hai yadon se

ABDUL AHAD SAAZ

log kehte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe

tum jo kehte ho ki vahshat (wild behaviour) hai to vahshat hogi

ABDUL HUMID ADAM

apne humrah (fellow traveller) jo aate ho idhar se pehle

dasht (desert) padta hai miyan ishq mea ghar se pehle

IBN E INSHA

jagta hun main ek akela duniya soti hai

kitni vahshat (fear) hijr (separation) ki lambi raat mea hoti hai

SHAHRYAR

vahshaten (wild / fearfull ) ishq aur majboori

kya kisi khaas imtihan mea hun

KHURSHID RABBANI

dayar-e-nur (region of eyesight / teri nazar ) mea tera-shabon (everyone) ka sathi ho

koi to ho jo meri vahshaton (wildness /fear) ka sathi ho

IFTIKHAR ARIF

vo jis ke naam ki nisbat (comparison) se raushni tha vajud (existence)

khatak (creating block / doubt) raha hai vahi aftab (sun/ light) ankhon mea

IFTIKHAR ARIF

kuchh be-thikana (place-less) karti rahin hijraten (separation) mudam (alcohol)

kuchh meri vahshaton (wildness) ne mujhe dar-ba-dar (without home) kiya

SABIR ZAFAR

ho sake kya apni vahshat (wildness/fear) ka ilaaj

mere kuche (home) mea bhi sahra (support) chahiye

DAGH DEHLVI

Vahshaten (wildness) kuchh is tarah apna muqaddar ban gayean

hum jahan pahunche humare saath virane (empty place) gaye

KHATIR GHAZNAVI

basti basti parbat parbat vahshat (wildness) ki hai dhoop ‘ziya’

charon janib (all four directions) virani (emptyness) hai dil ka ik virana kya

AHMAD ZIYA

ishq par faa.ez (inclined) hun auron ki tarah lekin mujhe

vasl (meeting) ka lapka (grab) nahin hai hijr (separation) se vahshat (wildness) nahin

GHULAM HUSAIN SAJID

na hum vahshat (fear) mea apne ghar se nikle

na sahra (desert) apni virani (loneliness) se nikla

KASHIF HUSAIN GHAIR

vo jo ik shart (condition) thi vahshat (wildness) ki utha (remove) di gaye kya

meri basti kisi sahra (city) mea basa di gaye kya

IRFAN SIDDIQI

vahshat-e-dil (wildness of heart) ne kiya hai vo bayaban (desert) paida

saikdon (hundreds) kos (distance) nahin surat-e-insan (person with good deed) paida

HAIDAR ALI AATISH

ik din dukh ki shiddat (force) kam pad jaati hai

kaisi bhi ho vahshat (wildness) kam pad jaati hai

KASHIF HUSAIN GHAIR

jism thakta nahin chalne se , ki vahshat (wildness) ka safar

khwab mea naql-e-makani (change of residence ) ki tarah hota hai

FAISAL AJMI

fasl-e-gul (distance from flower) aate hi vahshat (wildness) ho gaye

phir vahi apni tabiyat ho gaye

LALA MADHAV RAM JAUHAR

‘shad’ itni badh gaye hain mere dil ki vahshaten (wildness)

ab junun (madness) mea dasht (forest) aur ghar ek jaise ho gaye

KHUSHBIR SINGH SHAAD

vaa.e (wah ri) qismat sabab (reason) is ka bhi ye vahshat (wildness) thehri

dar-o-divar (doors and walls) mea rah kar bhi main be-ghar (without home) nikla

ADEEL ZAIDI

dil na-umid (hopeless) to nahin nakam (fail) hi to hai

lambi hai ghum (sadness) ki shaam magar shaam hi to hai

FAIZ AHMAD FAIZ

mere junun (madness) ka natija zaroor niklega

isi siyah (dark) samundar se noor (light) niklega

AMEER QAZALBASH

na koi vaada na koi yaqin (belief) na koi umeed (hope)

magar humea to tera intizar karna tha

FIRAQ GORAKHPURI

tere vaadon pe kahan tak mera dil fareb (fraud) khaaye

koi aisa kar bahana meri aas toot jaaye

FANA NIZAMI KANPURI

hum ko un se vafa ki hai ummid

jo nahin jante vafa kya hai

MIRZA GHALIB

kitne aish (luxury) se rehte honge kitne itrate (think high) honge

jaane kaise log vo honge jo us ko bhate (liking) honge

 

shaam hue khush-bash ( happy-satisfied) yahan ke mere paas aa jaate hain

mere bujhne (switch off) ka nazzara karne aa jaate honge

 

vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha

aane valon se kya matlab aate hain aate honge

 

us ki yaad ki bad-e-saba (moring fresh air) mea aur to kya hota hoga

yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge

 

yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka

vo jo simatte honge un mea vo to mar jaate honge

 

mera saans ukhadte hi sab bain (distance) karenge royenge

yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge

JAUN ELIYA

divaron se mil kar rona achchha lagta hai

hum bhi pagal ho jayenge aisa lagta hai

 

kitne dinon ke pyase honge yaaro socho to

shabnam (dew drops)ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai

 

ankhon ko bhi le dooba ye dil ka pagalpan

aate jaate jo milta hai tum sa lagta hai

 

is basti mea kaun humare aansu ponchhega

jo milta hai us ka daman bhiga lagta hai

 

duniya bhar ki yaden hum se milne aati hain

shaam dhale is soone (alone) ghar mea mela lagta hai

 

kis ko patthar marun ‘qaisar’ kaun paraya hai

shesh-mahal mea ik ik chehra apna lagta hai

QAISARUL JAFRI

ye dil ye pagal dil mera kyuun bujh gaya awargi

is dasht (forest) mea ik shehar (city) tha vo kya hua awargi

 

kal shab (night) mujhe be-shakl (without face) ki awaz ne chaunka (shock) diya

main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awargi

 

logo (people) bhala is shehar mea kaise jiyenge hum jahan

ho jurm tanha sochna lekin saza awargi

 

ye dard ki tanhaiyan ye dasht (forest) ka viran (lonely) safar

hum log to ukta (fed up) gaye apni suna awargi

 

ik ajnabi jhonke (breeze) ne jab poochha mere ghum (sadness) ka sabab (reason)

sahra (desert) ki bheegi ret (sand) par main ne likha awargi

 

uss samt (direction/ way) vahshi (wild) khwahishon ki zad (loss) mea paiman-e-vafa (drink of loyality)

us samt lehron ki dhamak (loud sound) kachcha ghada awargi

 

kal raat tanha chand ko dekha tha maine khwab mea

‘mohsin’ mujhe raas (helpful) aayegi shayad sada awargi

MOHSIN NAQVI

ankhon ko phod dalun ya dil ko tod dalun

ya ishq ki pakad kar gardan marod dalun

 

yak-qatra (one drop) khoon (blood) baghal (my side) mea hai dil meri so us ko

palkon se teri khatir kyun-kar (why) nichod (squeez) dalun

 

vo ahu-e-ramida (scared rabbit) mil jaaye tera-shab (night) gar

kutta (dog) banun shikari us ko bhanbhod (hunt) dalun

 

khayyat (tailor) ne qaza (prayer) ke jaama (cloth) siya jo mera

aaya na ji mea itna kya is mea jod (addition) dalun

 

vo sang-dil (hard-hearted) hua hai ik sang-dil pe ashiq

aata hai ji mea sar ko pathron se phod dalun

 

baitha hun khali (free) akhir ai ansuo (tears) karun kya

do chaar gokharo (beads of ghugroo) hi laao na mod dalun

 

taqsir (crime) ‘mus.hafi’ ki hove muaaf (forgiven) sahib

farmao (say) to tumhare la (bring) uss ko goud (pierce) dalun

GHULAM HANDANI MASHAFI

duur kisi ko yaad aata huun raat mujhe pagal karti hai

ghar se duur nikal jaata huun raat mujhe pagal karti hai

 

ik anjane shahr mea dekhun shakl koi jani-pahchani

us ki or khincha jaata huun raat mujhe pagal karti hai

 

duur des ik ghar hai apna jaise koi ik sundar sapna

sapne mea khud ko paata huun raat mujhe pagal karti hai

 

‘pashi’ dil ko chain na aaye gheren (surrond) un ki yaad ke saaye

raat aaye to ghabrata huun raat mujhe pagal karti hai

 

KUMAR PASHI

tere kuche (narrow streets) mea jo baitha hai pagal

vo dil se haath dho (lost heart) baitha hai pagal

 

tasavvur (imagination) mea tumhara saath pa kar

lo apne hosh kho baitha hai pagal

 

teri khushboo jidhar ko ja rahi hai

usi janib (direction) hi to baitha hai pagal

 

zamane par to khul kar hans raha tha

tere chhute (touch) hi ro baitha hai pagal

 

ishare ishq ki maujon (waves) ke pa kar

badan-kashti (body like ship) dubo baitha hai pagal

 

taaruf (introduction) yuun mera deti hai duniya

chale jaao ki vo baitha hai pagal

 

sukhan-var (poet/artist) fikr ke lamhon mea aksar

lage hai yuun ki go baitha hai pagal

 

tumhare dar (door) pe kitni muddaton (long time) se

nigahen pher lo baitha hai pagal

 

meri ankhon ke ziine (ladders) se utar kar

mera daman (garment) bhigo (wet) baitha hai pagal

IRSHAD KHAN SIKANDAR