- shayiri
Ek ke ghar ki ḳhidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
donon farz nibha kar us ne saari umr ibadat (devotion) ki
- thought
Tere mathe pe ye anchal bahut hi khoob hai lekin
tu is anchal se ik parchum (banner) bana leti to achchha tha
- shayiri
Aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya
- shayiri
Hazaro phool chahea ek mala banane ke liye
Hazaro deepak chahea ek arti sajane ke liye
Hazaro boodh chahea samunder banane ke liye
Par ek istri akeli hi kafi hai ghar ko swarg banane ke liye
- shayiri
Bandne wali door hai aurat
Mat samjho kamzoor hai aurat
- shayiri
Jisne bas tyag ji tyag kiye
Jo bas doosro ke liye jiye
Phir kyo usko dhikkar (pushed away) do
Use jeevan ka adhikar do
- thought
Ek aurat se vafa karne ka ye tohfa mila
jaane kitni auraton ki bad-duayen saath hain
- thought
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki ankhen girvi hain is nagri mea
- shayiri
Bbatayean kya tujhe aye hum-nashin (companion / dost) kis se mohabbat hai
Main jis duniya mea rehta hun vo is duniya ki aurat hai
- shayiri
Kuch log kehte hai ki naari ka koi ghar nahi hota
Lekin mera yakeen hai ki aurat k bina koi ghar ghar nahi hota
- shayiri
Jab hai naari mea sakhti saari
To phir kyo naari ko kahe bechari
- shayiri
Muskurakar , dard bhula kar , rishte mea band thi duniya sari
Har path ko roshan karne vali wo sakhti hai ek naari
- SHAYIRI
Talaq de to rahe ho itab-o-qahr (pride) ke saath
mera shabab bhi lauta do meri mahr (money decided for talaq) ke saath
- thought
Shahr (city) ka tabdil (variation) hona shaad (happy) rehna aur udaas
raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain
- THOUGHT
Aurat ke ḳhuda do hain haqiqi (real) o majazi (real)
par us ke liye koi bhi achchha nahin hota
- shayiri
Beti-bahu kabhi Maa bankar
Sabke hi sukh-dukh ko sehkar
Apne sab farz nibhati hai
Tabhi to ye nari kehlati hai
- shayiri
Nari hi sakti hai nar ( male) ki
Nari hi hai shobha ghar ki
Jo usse uchit ( proper) samman mile
To ghar mea khusyio ke phool khile
- shayiri
Din ki roshni khwabo ko banane mea gujar gaye
Raat ki neend bacho ko sulane mea gujar gaye
Jis din mae mere naam ki takhti ( name plate) bhi nahi
Sari umr uss ghar ko sajane mea gujar gaye
- thought
tamam paikar-e-badsurti (ugliness) hai mard ki zaat
mujhe yaqin hai ḳhuda mard ho nahin sakta
- thought
aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaḳhs ko damad (son in law) bhi vaisa hi mila hai
- THOUGHT
abhi raushan hua jaata hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai
- shayiri
Phool jaise komal nari , katon ( throns) jitni kathor nari
Apno ki hifasat mea sabse aawal nari
- shayiri
Dhanya (blessed) ho tum Maa Seeta
Tumne nari ka maan (heart) jeeta
- shayiri
Duniya ki pehchan hai aurat
Har ghar ki jaan hai aurat
Beti , behan , Maa aur patni bankar
Ghar ghar ki shaan hai aurat
- shayiri
tu aag mea aye aurat zinda bhi jali barson
sanche mea har ik ghum ke chup-chap dhali barson
- thought
ye auraton mea tavaif to dhund leti hain
tavavifon mea inhen aurten nahin miltin
- shayiri
aurat apna aap bachaye tab bhi mujrim hoti hai
aurat apna aap ganvaye tab bhi mujrim hoti hai
- shayiri
Apne hausle se taqdeer ko badal du
Sun le duniya , hai mai aurat hu
- shayiri
Log kehte hai tera kya aastitv (existence) nari
Dhukho ko door kar , khusiyo ko bekhere nari
- shayiri
Apman na karna nariyon ka
Inke bal (strength) par jag chalta hai
Purush (male) janam lekar to
Inhe ke goud (lap) mea palta hai
- shayiri
tu aag mea aye aurat zinda bhi jali barson
sanche mea har ik ghum ke chup-chap dhali barson
- thought
ye auraton mea tavaif to dhund leti hain
tavavifon mea inhen aurten nahin miltin
- shayiri
aurat apna aap bachaye tab bhi mujrim hoti hai
aurat apna aap ganvaye tab bhi mujrim hoti hai
- shayiri
ghar mea rehte hue ghairon ki tarah hoti hain
ladkiyan dhaan (wheat) ke paudon ki tarah hoti hain
- shayiri
raushni bhi nahin hawa bhi nahin
Maa ka nemul-badal (alternative) ḳhuda bhi nahin
- thought
aurten kaam pe nikli thiin badan ghar rakh kar
jism ḳhali jo nazar aaye to mard aa baithe
- thought
yahan ki auraton ko ilm (education) ki parva nahin be-shak
magar ye shauharon (husband) se apne be-parva (careless) nahin hotin
- shayiri
tum bhi aḳhir ho mard kya jaano
ek aurat ka dard kya jaano
- thought
hai kamyabi-e-mardan (success of men) mea haath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar (reliance) na kar
- thought
maana jivan mea aurat ik baar mohabbat karti hai
lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin
- shayiri
aurat hun magar surat-e-kohsar (facing mountain) khadi hun
ik sach ke tahaffuz (protection) ke liye sab se ladi huun
- shayiri
achchhi-ḳhasi rusvaye ka sabab (cause) hoti hai
dusri aurat pehli jaisi kab hoti hai
- thought
use hum par to dete hain magar udne nahin dete
humari beti bulbul hai magar pinjre mea rehti hai
- thought
ḳhud pe ye zulm gavara nahin hoga hum se
hum to shoalon se na guzrenge na siita ( seeta) samjhen
- shayiri
dekh kar shayer ne us ko nukta-e-hikmat (wise point) kaha
aur be-soche zamane ne use ”aurat” kaha
- thought
javan gehun (wheat) ke kheton ko dekh kar ro den
vo ladkiyan ki jinhen bhool baithin mae bhi
- thought
ḳhuda ne gadh to diya alam-e-vajud (world of existence) magar
sajavaton ki bina auraton ki zaat hui
- shayiri
qissa-e-adam ( story of first man) mea ek aur hi vahdat (unity) paida kar li hai
main ne apne andar apni aurat paida kar li hai
- thought
nikal ke ḳhuld (paradise) se unko mili ḳhilafat-e-arz (extend of opposition)
nikale jaane ki tohmat humare sar aaye
- thought
mitti pe numudar (visible) hain paani ke zaḳhire (layers)
in mea koi aurat se ziyada nahin gehra
- THOUGHT
jis ko tum kehte ho ḳhush-baḳht (source of happiness) sada hai mazlum
jeena har daur mea aurat ka ḳhata hai logo
- thought
auraton ki ankhon par kaale kaale chashme thea sab ki sab barahana (nude) thin
zahidon (martyr solder) ne jab dekha sahilon (borders) ka ye manzar likh diya gunahon mea
- thought
zamane ab tere madd-e-muqabil (opponent)
koi kamzor si aurat nahin hai
- THOUGHT
unko bhi tere ishq ne be-parda phiraya
jo parda-nashin (lady behing burka) aurten rusva (disgrace) na huin thin
- thought
Uski aankh mea ek baar dhekha tha maine
Uski aankh mea dobara dhek hi na paya
- SHAYIRI
Aurat apno ke liye sab kuch karti hai
Aurat apno ke liye sab kuch sehti hai
Apno pe koi ugli udaye, wo seh nahi pati hai
Lakshmi ka roop chood wo kali ban jati hai
- SHAYIRI
Sab jante hai , pehchante hai
Iske taqat ko mante hai
Jane kyo ye phir be isko nahi sammante (respect) hai
- shayiri
show-case mea rakkha hua aurat ka jo buth (show-piece) hai
gunga (without voice) hi sahi phir bhi dil-avez (attractive) bahut hai
- SHAYIRI
Aurato ko chahea ki adalat ka rukh kare
Jab aadmi ko sirf khuda ka kyal ho
- thought
Dhekho tere hatho mea to lagta hai tere hath
Mandir mea fakat (simply) deep (deepak) jalane ke liye hai
- shayiri
Dilo mea bas jae wo mohabbat hu
Kabhi behan (sister) to kabhi mamta ki murat hu
- SHAYIRI
Nari tum prem ho , aastha ho , vishwas ho
Tuti hui ummedo ke ekmatr aas (ummed) ho
- shayiri
Nari sakhti hai , samaan hai
Nari gaurav hai , nari abhiman hai
Nari ne hi ye racha vidhan hai
Hamara shat shat pranam hai