- shayiri
Subhe hoti hai shaam hoti hai
Umr yunhi tamam hoti hai
- thought
Waqt rehta nahin kahin tik kar
Iski aadat bhi aadmi si hai
- THOUGHT
Jab aa jaati hai duniya ghum phir kar apne markaz (ghar/center) par
To vapas laut kar guzre zamane kyuun nahin aate
- shayiri
Waqt ke marhan (medicine) pea aakhir phir bharosa ho gaya hai
Jagta nasoor (old wond) tha ek aaj , thak ke so gaya hai
- SHAYIRI
Ghar se nikalte waqt roz
Ek masla (issue) bada ho jata hai
Kon sa chehra pehan kar nikle
Ye sawal khada ho jata hai
- SHAYIRI
Sarforoshi ki tamanna ab hamare dil mea hai
Dekhna hai zor kitna bazo-u-katil mea hai
Waqt aane de bata dege tujhe ae aasma
Hum abhi se kya bataye kya hamare dil mea hai
- shayiri
Ik saal gaya ik saal naya hai aane ko
Par waqt ka ab bhi hosh nahin divane ko
- THOUGHT
Unka zikr unki tamanna unki yaad
Waqt kitna qimti hai aaj kal
- SHAYIRI
Ye mohabbat ka fasana bhi badal jayega
Waqt ke saath zamana bhi badal jayega
- THOUGHT
Meri bhi kahani likhega koi ek din
Waqt ne mujhe kya se kya bana diya
- THOUGHT
Log kehte hai ki waqt har zakm ko bhar deta hai
Par kitabo par dhul jamne se kahani badal nahi jati
- THOUGHT
Dheeraj ka daaman pakde hum pad (read) lenge khamoshiyo ko
Abhi uljhano mea uljhe hai , waqt lagega gir kar sambhalne mea
- THOUGHT
Kehte hain umr-e-rafta (past life) kabhi lautti nahin
Ja mai-kade (drinking place) se meri javani utha ke la
- THOUGHT
Sab kuch to hai kya doodhti rehti hain nigahen
Kya baat hai mae waqt pe ghar kyun nahin jaata
- SHAYIRI
Agar fursat mile paani ki tahriron (documents) ko padh lena
Har ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai
- shayiri
To kya hua agar mehge kilono (expensive toys) ke liye jeb mea paise nahi
Mai waqt deta hu mere bacho ko , jo amiro ko mayassar (available) nahi
- THOUGHT
Udaas zindagi , udaas waqt , udaas mausam
Kitni cheezo pea ilzam laga hai tere na hone se
- THOUGHT
Mai to waqt se haar kar sar jhukaye khada tha
Samne khade kuch log khud ko badshah samajhne lage
- THOUGHT
Waqt ki gardishon (rotations) ka ghum na karo
Hausle mushkilon mea pelte ( brought up) hain
- THOUGHT
Dilli mea aaj bheek (beg) bhi milti nahin unhen
Tha kal talak dimagh jinhen taj-o-taḳht ka
- THOUGHT
Aur kya chahti hai gardish-e-ayyam (circulation of sacrifies) ki hum
Apna ghar bhool gaye unki gali bhool gaye
- THOUGHT
Ya vo the ḳhafa hum se ya hum hain ḳhafa unse
Kal unka zamana tha aaj apna zamana hai
- THOUGHT
Waqt achchha bhi aayega ‘nasir’
Ghum na kar zindagi padi hai abhi
- THOUGHT
Uss waqt ka hisab kya duun
Jo tere baghair kat gaya hai
- shayiri
Haar jaoga mukadma (case) uss adalat mea , ye mujhe yakeen tha
Jahan waqt ban baitha judge aur naseeb mera vakeel tha
- shayiri
Zindagi ki zarooratea samjheye waqt kam hai , farmayish (demands) lambhi hai
Jhooth-sach , jeet-haar ki bataea chodiye , dastaan bahut lambhi hai
- THOUGHT
Khoob karta hai wo mere zakm hai ilaj (treatment)
Kuread kar dhek leta hai aur kehta hai waqt lagega
- shayiri
Na ibtida ki ḳhabar hai na intiha maalum
Raha ye veham ki hum hain so vo bhi kya maalum
- THOUGHT
Umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen (sorrows)
Waqt hum se rooth (naraz) jaane ki ada tak le gaya
- shayiri
Guzarne hi na di vo raat mae ne
Ghadi par rakh diya tha haath mae ne
- thought
Aaj dil keh raha hai bhacho ki tarah rooth (angry) hi jao
Phir socha waqt ka takaza (demand) hai , manaye kon
- shayiri
Bure waqt mea hi sabke aski rang dikhte hai
Din mea ujale mea to pani bhi chandi (silver) lagta hai
- THOUGHT
Waqt ne badal di mere tere rishtey ki pribhasha ( definition)
Pehle dosti phir apnapan aur ab ajnabi sa ehsas
- shayiri
Sab apni garaj (selfishness) ke yaar hai
Tu dosti ki baat na kar
Waqt bada marham ( medicine) hai
Ye tujhe bhi aayina (mirror) dhikaye ga
- shayiri
Abhi sath tha , abb khilaf hai
Waqt ka bhi aadmi jaisa hisaab hai
- THOUGHT
Hum waqt guzarne k liye dosto ko nahi rakhte
Dosto ke sath rahne ke liye waqt rakte hai
- thought
Ye paani ḳhamoshi se beh raha hai
Ise dekhen ki is mea Doob jaayen
- THOUGHT
Waqt barbad karne valon ko
Waqt barbad kar ke chhodega
- thought
Waqt karta hai parvarish barson
Hadisa (accident) ek dum nahin hota
- thought
Waqt har zaḳhm ka marhum (medicine) to nahin ban sakta
Dard kuchh hote hain ta-umr (forever) rulane vaale
- THOUGHT
Safar pechhe ki janib (direction) hai kadam aage hai mera
Mae budha hota jaata hun jawaan hone ki ḳhatir
- song
Waqt karta jo wafa , app hamare hote
Hum bhi gairo ki tarah aap ko pyare hote
- shayiri
Waqt jab bhi shikar karta hai
Har disha se vaar karta hai
- THOUGHT
Mere sath baith kar waqt bhi roya ek din
Bola banda tu dhek hai , mai hi karab chal raha hu
- THOUGHT
Badal jate hai vo log bhi waqt ki tarah
Jinhe hum hadh sea zada waqt deta hai
- shayiri
Naye naye rishto mea nayi nayi mahek sath hai
Ab kon kitni der mehkega , ye waqt ki baat hai
- THOUGHT
Waqt sari zindagi mea do hi guzre hai kathin ( muskil)
Ek tere aane se pehle , ek tere aane ke baad
- THOUGHT
Tera sath choota hai , sambhalne mea waqt to lage ga
Har cheez ishq to nahi ki ek pal mea ho jae
- thought
Waqt kis tezi se guzra roz-marra mea ‘munir’
Aaj kal hota gaya aur din hawa hote gaye
- THOUGHT
‘aḳhtar’ guzarte lamhon ki aahat pe yun na chaunk (surprised)
Iss matami jaloos ( group of desires) mea ik zindagi bhi hai
- THOUGHT
Vo waqt ka jahaz tha karta lihaz (consideration) kya
Mae doston se haath milane mea reh gaya
- SHAYIRI
Ghazal usne chhedi mujhe saaz dena
Zara umr-e-rafta (past life) ko awaz dena
- THOUGHT
Roz milne pe bhi lagta tha ki yug (many years) beet gaye
Ishq mea waqt ka ehsas nahin rehta hai
- THOUGHT
Jaise do mulkon (countries) ko ik sarhad alag karti hui
Waqt ne ḳhat aisa khincha mere us ke darmiyan
- shayiri
Jaise hi tu juda hua , waqt ka vaar chal gaya
Taree (star) kahi batak gaye , chand kahi nikal gaya
- shayiri
Waqt doodh (finding) raha tha mujhe haatho mea khanjar liye
Mai chup gaye aayine (mirror) mea aankhoo ka samandar liye
- shayiri
Zindagi mea mere marz ( ailment) ka ek ilaj ( treatment) bataya tha
Waqt ko dawa aur khwahisho ka parhez bataya tha
- thought
Mangna hi chod (leave) diya humne waqt kisi se
Kya pata unke pas inkar karne ka bhi waqt na ho
- shayiri
Zindagi zakhmo se bhari hai , waqt ko marham ( medicine) banana sekh lo
Harna to hai ek din maut se , filhal zindagi jeena sekh lo
- thought
Batao se sikha hai humnea aadmi pehchane ka fun ( way)
Jo halke log hotea hai , har waqt batae bhari bhari karte hai
- SHAYIRI
Rabta (connection) laakh sahi qafila-salar (chief of carva) ke saath
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftar ke saath
- shayiri
Sab asan hua jaata hai
Mushkil waqt to ab aaya hai
- THOUGHT
Allah tere haath hai ab abru-e-shauq (love and affection)
Dum ghut raha hai waqt ki raftar dekh kar
- thought
Tum chalo iske saath ya na chalo
Paanv rukte nahin zamane ke
- thought
Chehra-o-naam ( name of the face) ek saath aaj na yaad aa sake
Waqt ne kis shabih (image) ko ḳhwab o ḳhayal kar diya
- THOUGHT
Hazaron saal safar kar ke phir vahin pahunche
Bahut zamana hua tha humen zamin se chale
- shayiri
Waqt nahi hai kisi k pass
Jab tak na ho koi matlap khaas
- thought
Bakhshe (spare) hum hi na gaye , Bakhshe tum bhi na jaoge
Waqt janta hai har chehre ko benakab karna
- thought
Raat to waqt ki paband (control) hai , dhal jayegi
Dhekhna to ye hai diyo (lights) ka safar kitna hoga
- thought
Waqt rehte ishq ki kadar kare
Tajmehal duniya ne dhekha hai , mumtaz mea nahi
- thought
Kal mila waqt to zulfe (hairs) teri suljha lunga
Aaj uljha hu zara waqt mea suljhane mea
- thought
Waqt bhi waqt par apni
Kadar samjha deta hai
- thought
Koi thaharta nahin yuun to waqt ke aage
Magar vo zaḳhm ki jis ka nishan nahin jaata
- thought
Talatum (worry) aarzoo (wish) mea hai na toofan justuju (to find old people or things) mea hai
Jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
- THOUGHT
Vo the javab ke sahil pe muntazir (one who wants) lekin
Samay ki naav mea mera sawal doob gaya
- shayiri
Humea har waqt ye ehsas daman-gir (accuser) rehta hai
Pade hain dher saare kaam aur mohlat zara si hai
- shayiri
Mohabbat mea ik aisa waqt bhi aata hai insan par
Sitaron ki chamak se chot lagti hai rag-e-jan (soul) par
- THOUGHT
Guzarte waqt ne kya kya na chara-sazi (chalaki) ki
Vagarna (otherwise) zaḳhm jo usne diya tha kaari (dhek) tha
- thought
Sheekh jao waqt par kisi ki chahat ki kadar karna
Kahi koi thak na jaye tumhe ehsas dilate dilate
- shayiri
Waqt nahi lagta dil ko dil tak aane mea
Par sardiya lag jati hai ek rishta bhulane mea
- thought
Tum ne wo waqt kaha dhekha jo gujarta hi nahi
Dard ki raat kise kehte hai tum kya jano
- thought
Yu to pal bhar mea sulajh jati hai uljhi zulphe (hairs)
Umr kat jato hai par waqt ko suljhane mea
- thought
Tum nea wo waqt kaha dhekha jo gujarta hi nahi
Dard ki raat kise kehta hai tum kya janoo
- thought
Tum nea wo waqt kaha dhekha jo gujarta hi nahi
Dard ki raat kise kehte hai tum kya jano
- thought
Waqt ko bas guzar lena hi
Dosto koi zindagani hai
- shayiri
Roke se kahin hadsa-e-waqt ruka hai
Shoalon se bacha shahr (city) to shabnam (dew / ansoo) se jala hai
- THOUGHT
Kaun dubega kise paar utarna hai ‘zafar’
Faisla waqt ke dariya mea utar kar hoga
- thought
Waqt ke paas hain kuchh tasviren
Koi Dooba hai ki ubhra dekho
- thought
Zulf thi jo bhikhar gaye ruḳh tha ki jo nikhar gaya
Haaye vo shaam ab kahan haaye vo ab sahar kahan
- THOUGHT
Gaya jo haath se vo waqt phir nahin aata
Kahan umeed ki phir din phiren humare ab
- thought
Kuch iss kadar koye hai tere khayal mea
Koi waqt bhi poochta hai to tera naam bata dete hai
- thought
Jin kitabo pe saliko (perfectly) se jame waqt ji gard ( layer of sand)
Unn kitabo hi mea yadoo ke khazane nikle
- thought
Waqt meri tabahi pea hasta raha
Rang taqdeer kya kya badalti rahi
- shayiri
Waqt ishara deta raha aur hum itefak ( agree) samjath te rahe
Bas yuhi dhoke kata rahe aur istmal (use) hote rahe
- thought
Kabhi waqt nikal le humse baat karke dhekna
Hum bhi bahut jaldi batao mea aa jate hai
- thought
Waqt ki yaari to har Koi Kar leta hai
Maza to tab hai jab waqt badle aur yaar na badle
- thought
Tu mujhe bante bigadte hue ab gaur se dekh
Waqt kal chaak (boundry) pe rehne de na rehne de mujhe
- shayiri
Waqt jab karvaten badalta hai
Fitna-e-hashr (evil noice) saath chalta hai
- THOUGHT
Rakh diya waqt ne aayina (mirror) bana kar mujh ko
Ru-ba-ru (face to face) hote hue bhi mae faramosh (forgotten) raha
- thought
Waqt ki vehshi (wild) hawa kya kya uda kar le gaye
Ye bhi kya kam hai ki kuchh uss ki kami maujood (present) hai
- shayiri
Ye na socho kal kya ho
Kaun kahe is pal kya ho
- THOUGHT
Waqt ki mauj (waves) hamea paar lagati kaise
Hum ne hi jism se bandhe hue patthar thea bahut
- thought
Aaj bura hai to kya hua
Kal accha aayega waqt hi to hai
Badal jayegaa…..
- thought
Umeed mat chorna
Kamzoor tera waqt hai tu nahi
- thought
Jab waqt karwat leta hai na
To baaziyan nahi zindagiyan palat jati hain
- thought
Kapde or chehre aksar jhoot bola kerte hain
Insan ki asliyat to waqt batata hai
- shayiri
Kitna bhi pakad lo, fisalta (slip) zaroor hai
Ye waqt hai shahib badalta zaroor hai
- shayiri
Khwasihein kuch yun bhi adhuri rahi
Pehle umr nahi th…..
Ab umr nahi rhi……
- thought
Waqt fursat de to mil baithen kahin bahum (place) do dum
Ek muddat se dilon mea hasrat-e-tarfain ( wish for consent) hai
- shayiri
Kal hum aayine (mirror) mea ruḳh ki jhurriyan (wrinkles) dekha kiye
karvan-e-umr-e-rafta ka nishan dekha kiye
- THOUGHT
Waqt poojega humea waqt humea dhundega
Aur tum waqt ke hum-rah (along with) chaloge yaaro
- thought
Mujhe tarash ke rakh lo ki aane vaala waqt
Khazaf (broken shells) dikha ke guhar (gem) ki misal (example) puchhega
- shayiri
Waqt ka patthar bhari hota jaata hai
Doobe ge hum sab ko pata chalta jaata hai
- THOUGHT
Kis tarah umr ko jaate dekhun
Waqt ko ankhon se ojhal kar de
- thought
Jab waqt jawab deta hai
Gawaho ki zaroort nahi padhti
- thought
Kon kehta hai ki waqt bahut tez hai
Kabhi kisi ka intzar to kar ke dekho
- shayiri
Waqt Kehta hai phir na aaunga
Teri aankho ko ab na rulanga
Agar jeena hai to is pal ko jee le
Shayad mai kal tak na ruk paunga
- thought
Paisa kamane Ke liye itna waqt karch na kro ki
Paisa khrach karne ke liye zindagi mae waqt hi na mile
- thought
Kuch is tarah se sauda kiye mujhse mere waqt ne
Tajurbe de kar wo mujhse meri masoomiyat le gaya
- thought
Waqt ke bhi azeeb qisse hain
Kisi ka katta nahi or kisi ke pass hota nahi
- thought
Ye na-guzir (unacceptable) hai ummid ki numu (growth) ke liye
Guzarta waqt kahin thum gaya to kya hoga?
- thought
Waqt ne kis aag mea itna jalaya hai mujhe
Jis qadar raushan tha mae uske siva raushan hua
- THOUGHT
Waqt ab dastaras (control) mea hai ‘aḳhtar’
Ab to mae jis jahan tak ho aauo
- thought
bekar gaya ban men sona mira sadiyon ka
is shahr men to ab tak sikka bhi nahin badla
- thought
Allah ( god) tere hath hai abb aabroo-e-shouk ( respect of desires)
Daam ghut raha hai waqt ki raftar dhekh kar
- THOUGHT
Kitna chalak hai mera yaar bhi
Usne tohfe maei ghadi to de hai
magar kabhi waqt nahi diya
- SHAYIRI
Waqt noor ko be-noor kar deta hai
Chote se zakm ko nasoor kar deta hai
Kaun chahta hai apne se door hona
Lekin waqt sabko mazboor kar deta hai
- SHAYIRI
Waqt ka khas hona zaroori nahi
Khas logo ke liye waqt hona zaroori hai
- thought
Waqt aane par
Jawab denge sabko
Lehjey sab ke
Yaad hain hume