Log Kehte hai mae sharabi hu

Tum ne bhi shayid ye hi soch liya han

 

Kisi pe husn ka guroor (proud) jawani ka nasha

Kisi ke dil pe mohabbat ki ravani ka nasha

Kisi ko dekh ke sansoo se ubharta hai nasha

Bina piye bhi kahi hadh se guzarata (limitless) hai nasha

 

Nashe mea kon nahi hai mujhe batao zara

Kise hai hosh mere samne to lao zara

Nasha hai sab pe magar rang nashe ka hai juda ( different)

 

Khili Khili hue subha pe hai shabnam (dew drops) ka nasha

Hawa pe khusboo ka ,badal pe hai rimjhim ka nasha

Kahi suroor hai khusiyo ka kahi gham ka nasha

Nasha sharab mea hota to nachti botal

Maikade (bar) jhumte paimano (glasses) mea hoti halchal

Nashe mea kaun nahi hai mujhe batao zara

 

Log kehte hai mai sharabi hu

SHARABI MOVIE , LYRICS BY ANJAAN

Vaayez ( advisor) ki ankhen khul gaye peete hi saqiya

Ye jam-e-mai (glass of wine) tha ya koi dariya-e-nur ( kohinoor) tha

YAGANA CHANGEZI

Rindon ( drunkers) ke haath se nahin tuuti ye saqiya

Nashshe mea chuur ho gaye botal sharab ki

JALEEL MANIKPURI

Saaqi mujhe ḳhumar (hangover) sataye hai , la sharab

Marta hun tishnagi (thirst) se ae zalim pila sharab

SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM

Mujhe tauba (repent) ka poora ajr (jawab) milta hai usi saa.at (that time)

Kkoi zohra-jabin ( beautifull) peene pe jab majboor karta hai

ABDUL HAMID ADAM

Kya jaane sheiḳh ( muslim cast) qadr ( importance) hamari sharab ki

Har ghunt mea padi hui rehmat ḳhuda ki hai

JALEEL MANIKPURI

Dard-e-sar ( headache) hai ḳhumar (hangover) se mujh ko

Jald le kar sharab aa saaqi

TABAN ABDUL HAI

Gunah kar ke bhi hum rind (drunkard) pak-saf (pure) rahe

Sharab pe to nadamat (guilt) ne aab aab (tear) kiya

JALEEL MANIKPURI

‘Arzu’ jaam lo jhijak kaisi

Pe lo aur dahshat-e-gunah ( fear of fault) gaye

ARZU LAKHNAVI

Vaa.iz ( advisor) mai-e-tuhur ( pure wine) jo peena hai ḳhuld (heaven) mea

Aadat abhi se daal raha hu sharab ki

JALEEL MANIKPURI

Pila maei ( wine) ashkara ( openly) hum ko kis ki saqiya (bar tender) chori

Khuda se jab nahin chori to phir bande se kya chori

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

Utha surahi ye shisha vo jaam le saaqi

Phir iske baad ḳhuda ka bhi naam le saaqi

KUNWAR MAHENDRA SINGH BEDI SAHAR

Muddat se aarzu (wish) hai ḳhuda vo ghadi kare

Hum tum piyen jo mil ke kahin ek jo sharab

SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM

Vaa.iz ( advisor) na tum piyo na kisi ko pila sako

Kya baat hai tumhari sharab-e-tuhur ( the holy wine) ki

MIRZA GHALIB

Kisi tarah to ghate dil ki be-qarari bhi

Chalo vo chashm ( eyes) nahin kam se kam sharab to ho

AFTAB HUSSAIN

Hum ko bhi ḳhush-numa (beautifull) nazar aaye hai zindagi

Jaise sarab door se dariya dikhaye de

MAHSHAR BADAYUNI

Pe kar do ghunt dekh zahid

Kya tujh se kahoon sharab kya hai

HAFEEZ JAUNPURI

‘Adam’ roz-e-ajal (every day at fixed time) jab qismaten taqsim (divide) hoti thi

Muqaddar ( destiny) ki jagah mae saghar-o-mina ( glass and bottle) utha laaya

ABDUL HAMID ADAM

Mooh mea vaa.iz (advisor) ke bhi bhar aata hai paani aksar

Jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab (description of taste of sharab) aata hai

BEKHUD DEHLVI

Madhosh (drunk) hi raha mae jahan-e-ḳharab (bad world) mea

Gundhi ( mix) gaye thi kya meri mitti sharab mea

MUZTAR KHAIRABADI

Fareb-e-saaqi-e-mehfil ( cheating in pub by wine giver)  na puchhiye ‘majrooh’

Sharab ek hai badle hue hain paimane ( glasses)

MAJROOH SULTANPURI

Sharab band ho saaqi ke bas ki baat nahin

Tamam shehar hai do chaar das ki baat nahin

ASAD MULTANI

Khushk (dry) baton mea kahan hai shaiḳh (muslim person) kaif-e-zindagi (comfort of life)

Vo to pe kar hi milega jo maza peene mea hai

arsh malsiyani

Mae aadmi hu koi farishta nahin huzur

Mae aaj apni zaat se ghabra ke pe gaya

saghar siddiqui

Jaam le kar mujh se vo kehta hai apne munh ko pher

Ru-ba-ru ( in front) yu tere , mea ( sharab) peene se sharmate hae hum

ghamgeen dehlvi

Garche (although) ahl-e-sharab ( one who drinks) hain hum log

Ye na samjho ḳharab hain hum log

jigar moradabadi

Zuban-e-hosh (control of words) se ye kufr (disbelief) sarzad (occur) ho nahin sakta

Mae kaise bin piye le lu ḳhuda ka naam aye saaqi

abdul hamid adam

Shirkat (participation) gunah mea bhi rahe kuch savab (right thing) ki

Tauba ke saath todiye botal sharab ki

zaheer delhvi

Pee shauq se vaa.iz (advisor) arre kya baat hai dar ki

Dozaḳh (hell) tere qabze (control) mea hai jannat tere ghar ki

shakeel badayuni

Be-piye sheiḳh (muslim cast) farishta ( angel) tha magar

pee ke insan hua jaata hai

shakeel badayuni

Aea mohtasib (supervisor) na phenk mere mohtasib na phenk

Zalim sharab hai aree zalim sharab hai

jigar muradabadi

Puchhiye mai-kashon (drinkers) se lutf-e-sharab (delight of drinking)

Ye maza pak-baz (non drinkers) kya janen

dagh dehlvi

Sab ko maara ‘jigar’ ke sheron ne

Aur ‘jigar’ ko sharab ne maara

jigar moradabadi

Vaa.iz (adviser) bada maza ho agar yu ajab ho

Dozaḳh (Hell) mea paanv (leg) , haath mea jam-e-sharab ho

dagh dehlvi

Wo apni musibaton se bhi bada hai

Toofano ke beech mea akela kada hai

Jo kehta hai peena bura hai sharab

Assal mea wo hi insaan sab se bhura hai

whatsapp

Mere ashk bhi hain is mea ye sharab ubal na jaaye

Mera jaam chhune vaale tera haath jal na jaaye

anwar mirzapuri

Achchhi pe li ḳharab pe li

Jaisi paaye sharab pe li

riyaz kharabadi

Hum intizar karen hum ko itni taab (patience) nahin

Pila do tum hamen paani agar sharab nahin

nooh narvi

Vo mile bhi to ik jhijhak (hesitation) si rahi

kaash thodi si hum piye hote

abdul hamid adam

Kidhar se barq (light) chamakti hai dekhen ai vaa.iz (adviser)

main apna jaam uthata hu tu kitab utha

jigar muradabadi

Kuchh bhi bcha na kehne ko , har baat ho gaye

Aao kahin sharab piyen , raat ho gaye

nida fazli

Itni pe jaaye ki mit jaaye main aur tu ki tameez

Yaani ye hosh ki divar gira di jaaye

farhat shazad

Aaye the hanste khelte maeḳhane ( pub) mea ‘firaq’

Jab pe chuke sharab to sanjida (serious) ho gaye

firaq gorakhpuri

Shab (night) jo hum se hua maaf karo

nahin pe thi behak gaye honge

john aeliya

Zahid (devotee/bakt of god) sharab peene de masjid mea baith kar

Ya vo jagah bata de jahan par ḳhuda na ho

movie PK

Be-piye (without drinking) hi sharab se nafrat

ye jahalat (illiteracy) nahin to phir kya hai

sahir ludhianvi

Din dhal gaya to raat guzarne ki aas me …

Suraj doob gaya , hum doob gaye glass me

rahat indori

Gham-e-duniya (sorrows of life) bhi gham-e-yaar (sorrows of love) mea shamil kar lo

Nashsha badhta hai sharaben jo sharabon mea milen

ahmad faraz

Tumhari ankhon ki tauhin (insult) hai zara socho

Tumhara chahne vaala sharab peeta hai

munnawar rana

Ab to utni bhi mayassar (available) nahin maekhane (pub) mea

jitni hum chhod diya karte thea paimane (glass) mea

divakar rahi

Shab (night) ko maine ḳhoob se pe , subhe ko tauba kar li

Rind (drunkard) ke rind rahe , haath se jannat na gaye

jaleel manikpuri

Zahid (devotee/bakt of god) sharab peene se kafir (beloved) hua main kyu

Kya Dedhh (ne and a half) chullu (hand full) paani mea imaan beh gaya

sheikh ibrahim zauq

Pehle sharab ziist (life) thi ab ziist hai sharab

koi pila raha hai piye ja raha hu mae

jigar muradabadi

lutf-e-maea (pleasure of sharaab) tujh se kya kahun zahid ((devotee/bakt of god)

haaye kam-baḳht tu ne pi hi nahin

dagh dehlvi

Ai ‘zauq’ dekh duḳhtar-e-raz (grape / daughter of wine) ko na munh laga

chootti nahin hai munh se ye kafar lagi hui

sheikh ibrahim zauq

Barish sharab-e-arsh (highest sphere of sharab) hai ye soch kar ‘adam’

barish ke sab huruf (words) ko ulta ke pe gaya

abdul hamid adam

Aaye kuchh abr (clouds) kuchh sharab aaye

iss ke baad aaye jo azaab (punishment of sins) aaye

faiz ahmad faiz

Shikan (frowns , gussa) na daal jabin (forehead) par sharab dete hue

Ye muskurati hui chiiz muskura ke pila

abdul hamid adam

‘Ghalib’ chhuti sharab par ab bhi kabhi kabhi

Peeta hu roz-e-abr (day clouds) o shab-e-mehtab (moonlight) mea

mirza galib

Saaqi mujhe sharab ki tohmat (false allegation) nahin pasand

Mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye

abdul hamid adam

Tark-e-mai (leaving of wine) hi samajh ise naseh (advisor)

Itni pe hai ki pe nahin jaati

shakeel badayuni

Wo apni musibaton se bhi bada hai

Toofano ke beech mea akela kada hai

Jo kehta hai peena bura hai sharab

Assal mea wo hi insaan sab se bhura hai

whatsapp

Andhere kamre mea khud ko sharab pilani hai

Phir ghamo ke sath ek raat bitani hai

Khuda rok ke rakhna musibato ko meri

Kuch dino mea inki dhajiya (destroy) udani hai

whatsapp

Usse bhulae mea itni sharab pe hai

Jaan nahi hai ab inn gurdo (kidneys) mea

Par sharab wo gajab ki chhez hai yaaro

Jo jaan dal de murdo (dead) mea

whatsapp