Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit, sed do eiusmod tempor incididunt USD742282881 ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation ullamco laboris nisi ut aliquip ex ea commodo consequat.
Kisi sabab (reason) se agar bolta nahi hu mae
To yu nahi ki tujhe sochta nahi hu mae
Bas ek nazar ki baat thea tumhare liye
Apna lete ek baar hamea rulane se pehle
ajab teri hai aye mehboob surat
nazar se gir gaye sab khoobsurat
Apni tabahi ka mujhe koi gham nahi
Tumne kisi ke sath mohabbat nibha to di
Apni zulfo mea saja lo tum mere zakhmo ke gulaab
Tumhari bhikri hui zulfo ko dekha nahi jaata
Maine tumko bhithaya tha kabhi doli mea
Kya tumse mera janaza bhi dhekha nahi jaata
Jiska haat thaam liya hai tumne
Dhekta hu ye kaha tak sath jae ga
Aur phir toot kar mohabbat nahi karna chata hu mae
Kya pata kon kab apni aukat dhikha jae ga
Betiyan baap ki ankhon mea chhupe khwab ko pehchanti hain
Aur koi dusra is khwab ko padh le to bura manti hain
Dosti jab kisi se ki jaaye
Dushmanon ki bhi raaye (opinion) li jaaye
Muddate ho gaye hai khata karte hue
Ab to sharam aati hai dua karte hue
ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
tumhara hijr (separation) mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho
Zuba to khol , nazar to mila , jawab to de
Mai kitne baar luta hu , mujhe hisab to de
isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
tamam log farishte hain aadmi hun main
Ghar ki is baar mukammal (poori) main talashi lunga
Gham chhupa kar mere Maa-baap kahan rekhte thea
Jo tufanon mea palte ja rahe hain
Vahi duniya badalte ja rahe hain
Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
Kisi bahane tumhen yaad karne lagte hai
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
Mae jab mar jaou to meri alag pehchan likh dena
Lahu se meri peshani (forehead) pe Hindustan likh dena
Har baar mere samne aati rahi ho tum
Har baar tumse milke bhichadta raha hu mae cond…
Mohabbat mea ye kya maqam aa rahe hain
Ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain
Peeta hu jitni utni hi badti hai tishnagi (temptation/thirst)
Saaqi ne jaise pyaas mila di sharab mea
Shabdo ke ittefak (concent) mea yun badlav (change) kar ke dekh
Tu dekh kar na muskura, bas muskura ke dekh
Dil ki taklif kam nahin karte
Ab koi shikva hum nahi karte
jaati hai dhoop ujle paro (wings) ko samet ke
zaḳhmon ko ab ginunga mae bistar pe let ke
Waqt ki mauj (waves) hamea paar lagati kaise
Hum ne hi jism se bandhe hue patthar thea bahut
Apne hausle se taqdeer ko badal du
Sun le duniya , hai mai aurat hu
Kya baat hai , bade chup chap se baithe ho
koi baat dil pe lagi hai ya phir kahi dil laga baithe ho