Husn yu ishq se naraz hai ab

Phool ḳhushbu se ḳhafa ho jaise

IFTIKHAR AAZMI

gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi

vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah

BASIR SULTAN KAZMI

ghairon se kaha , tum ne ghairon se suna tum ne

kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota

CHIRAGH HASAN HASRAT

kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai vasta koi

tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya

JAUN ELIYA

zindagi se yahi gila hai mujhe

tu bahut der se mila hai mujhe

AHMAD FARAZ

dil ki taklif kam nahin karte

ab koi shikva hum nahin karte

JAUN ELIYA

kab vo sunta hai kahani meri

aur phir vo bhi zabani meri

MIRZA GHALIB

kyun hijr (separation) ke shikve karta hai kyun dard ke rone rota hai

ab ishq kiya to sabr bhi kar is mea to yahi kuchh hota hai

HAFEEZ JALANDHARI

bada maza ho jo mahshar ( last day of life) mea hum karen shikva

vo minnaton (request) se kahen chup raho ḳhuda ke liye

DAGH DEHLVI

kehne deti nahin kuch munh ( mouth) se mohabbat meri

lab pe reh jaati hai aa aa ke shikayat meri

DAGH DEHLVI

mohabbat hi mea milte hain shikayat ke maze paihum ( constantly)

mohabbat jitni badhti hai shikayat hoti jaati hai

SHAKEEL BADAYUNI

raat aa kar guzar bhi jaati hai

ik humari sehar (dawn of day) nahin hoti

IBN E INSHA

unka ghum unka tasavvur unke shikve ab kahan

ab to ye baten bhi aye dil ho gaye aaye gaye

SAHIR LUDHIANVI

humare ishq mea rusva (disgraced) hue tum

magar hum to tamasha ho gaye hain

ATHAR NAFEES

aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu

ik tera zikr  tha aur beech mea kya kya nikla

SARWAR ALAM RAZ

chup raho to puchhta hai ḳhair (dhek) hai

lo ḳhamoshi bhi shikayat ho gaye

AKHTAR ANSARI AKBARABADI

sar agar sar hai to nezon (war instruments like bhaala) se shikayat kaisi

dil agar dil hai to dariya ( lake) se bada hona hai

IRFAN SIDDIQI

shikva koi dariya ki ravani (speed) se nahin hai

rishta hi meri pyaas ka paani se nahin hai

SHAHRYAR

kis munh (mouth) se karen unke taghaful ( ignore karne) ki shikayat

ḳhud hum ko mohabbat ka sabaq (lesson) yaad nahin hai

HAFEEZ BANARASI

koi charag jalata nahin saliqe ( properly) se

magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai

KHURSHID TALAB

sar-e-mahshar (last day) yahi pochunga ḳhuda se pehle

tune roka bhi tha bande ko ḳhata (mistake) se pehle

ANAND NARAYAN MULLA

hum ajab hain ki uski bahon mea

shikva-e-narasa.i (complaint of unfit and unworthiness) karte hain

JAUN ELIYA

hum ko aapas mea mohabbat nahin karne dete

ik yahi aib ( flaw/defect) hai is shehar ( city) ke danaon ( residents) mea

QATEEL SHIFAI

sunega kaun meri chak-dumani ( torn cloth) ka afsana

yahan sab apne apne pairahan (dress) ki baat karte hain

KALEEM AAJIZ

chup raho kyun mizaj (mood) pochhte ho

hum jiyen ya maren tumhen kya hai

LALA MADHAV RAM JAUHAR

haan unhin logon se duniya mea shikayat hai humea

haan vahi log jo akasr humea yaad aaye hain

RAHI MASOOM RAZA

keh ke ye aur kuch kaha na gaya

ki mujhe aap se shikayat hai

ARZOO LAKHNAVI

shikva-e-ghum (complaints about sorrow) tere huzur kiya

hum ne be-shak (without doubt) bada qasoor kiya

HASRAT MOHANI

vo karen bhi to kin alfaz mea tera shikva

jin ko teri nigah-e-lutf ( glance/look of love) ne barbad kiya

JOSH MALIHABADI

dekhne vaala koi mile to dil ke daagh dikhayun

ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhayun

KHALILUR RAHMAN AZMI

ik teri be-ruḳhi se zamana ḳhafa hua

aye sang-dil (hard-hearted) tujhe bhi ḳhabar hai ki kya hua

ARSH SIDDIQUI

‘ehsan’ apna koi bure waqt ka nahin

Ahbab (lovers) bewafa hain ḳhuda be-niyaz (carefree) hai

EHSAN DANISH

shikva apnon se kiya jaata hai ghairon se nahin

aap keh dea to kabhi aap se shikva na karen

KHALISH KALKATVI

shikva-e-hijr (complaint of separation) pe sar kaat ke farmate hain

phir karoge kabhi is munh (mouth) se shikayat meri

FANI BADAYUNI

tum azeez (favourite) aur tumhara ghum bhi azeez

kis se kis ka gila kare koi

HADI MACHLISHAHRI

zara si baat thi arz-e-tamanna ( request for my need) par bigad baithe

vo meri umr bhar ki dastan-e-dard ( story of dard) kya sunte

WHATSAPP

raushni mujh se gurezan (avoiding) hai to shikva bhi nahin

mere ghum-ḳhane ( world of sorrow) mea kuch aisa andhera bhi nahin

IQBAL AZEEM

kitne shikve gile hain pehle hi

raah mea fasle hain pehle hi

FARIGH BUKHARI

Chahee (asked for) thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam

shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam

MAHBOOB KHIZAN

saaf inkar agar ho to tasalli ho jaaye

jhute vaadon se tere ranj siva (only sorrow) hota hai

QAISAR HAIDERI DEHLVI

Pur (full) hun main shikve se yun (like) raag ( music) se jaise baaja ( music instrument)

ik zara chhediye phir dekhiye kya hota hai

MIRZA GHALIB

aap ki qasmon ka aur mujh ko yaqin

ek bhi vaada kabhi puura kiya nahin

SHOKH AMROHVI

vahi hikayat-e-dil (story of heart) thi vahi shikayat-e-dil (complaints of heart)

thi ek baat jahan se bhi ibtida (start) karte

AZIZ LAKHNAVI

Falak (aasman) se mujh ko shikva hai zamin se mujh ko shikva hai

yaqin maano to ḳhud apne yaqin se mujh ko shikva hai

OBAIDUR RAHMAN AZMI

mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai

tujhe aye zindagi main valihana (affection/love karna) chahta huun

KHUSHBIR SINGH SHAAD

hal-e-dil sun ke vo azurda (sadness) hain shayid unko

is hikayat (story) pe shikayat ka guman (thought) guzra hai

ABDUL MAJEED SALIK

humea to apni tabahi ki daad (appreciation) bhi na mili

teri navazish-e-beja (un-kindness) ka kya gila ( complaint) karte

ARSHI BHOPALI

pa raha hai dil musibat ke maze

aaye lab par shikva-e-bedad (too many complaints) kya

IMDAD IMAM ASAR

chala jaata tha ‘hatim’ aaj kuchh vahi-tabahi (destruction) sa

jo dekha haath mea us ke tere shikve ka daftar (big book) tha

SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM

kis kis ko batayenge judaye ka sabab hum

tu mujh se ḳhafa hai to zamane ke liye aa

AHMAD FARAZ

log kehte hain ki tu ab bhi ḳhafa hai mujh se

teri ankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

JAAN NISAR AKHTAR

ya vo the ḳhafa (angry) hum se ya hum hain ḳhafa unse

kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

JIGAR MORADABADI

chhed mat har dum na ayena dikha

apni surat se ḳhafa baithe hain hum

MUSHAFI GHULAM HUMDANI

itna to bata jaao ḳhafa hone se pehle

vo kya karen jo tum se ḳhafa ho nahin sakte

ASAD BHOPALI

yahi halat ibtida (start) se rahe

log hum se ḳhafa ḳhafa se rahe

JAVED AKHTAR

mujh se bigad gaye to raqibon (enemy) ki ban gaye

ghairon mea bat (distribute) raha hai mera e’tibar (trust) aaj

AHMAD HUSAIN MAIL

husn yun ishq se naraz hai ab

phul ḳhushbu se ḳhafa ho jaise

IFTIKHAR AAZMI

ḳhafa hain phir bhi aa kar chhed jaate hain tasavvur (imagination) mea

humare haal par kuchh mehrbani (favour) ab bhi hoti hai

AKHTAR SHIRANI

ishq mea tehzib (culture) ke hain aur hi kuchh falsafe (stories)

tujh se ho kar hum ḳhafa ḳhud se ḳhafa rehne lage

ALAM KHURSHEED

ye jo raton ko mujhe khwab nahin aate ‘ata’

is ka matlab hai mera yaar ḳhafa hai mujh se

AHMAD ATA

kisi mashuq (lover) ka ashiq se ḳhafa ho jaana

rooh ka jism se goya (as if) hai juda ho jaana

AHSAN MARAHRAVI

vo ḳhush ho ke mujh se ḳhafa ho gaya

mujhe kya umiden thin kya ho gaya

JAGAT MOHAN LAL RAVAN

ik teri be-ruḳhi se zamana ḳhafa hua

aye sang-dil ( small hearted) tujhe bhi ḳhabar hai ki kya hua

ARSH SIDDIQUI

tujh se barhum (disturbed) hun kabhi ḳhud se ḳhafa

kuchh ajab raftar hai tere baghair (without you)

SHAKEEL BADAYUNI

jis ki havas ke vaste duniya hui azeez

vapas hue to uski mohabbat ḳhafa mili

SAQI FARUQI

main apne-ap se har dum ḳhafa rehta hun yun ‘azar’

purani dushmani ho jis tarah do ḳhandanon mea

KAFEEL AAZAR AMROHVI

meri betabiyon (restless) se ghabra kar

koi mujh se ḳhafa na ho jaaye

ALEEM AKHTAR

laaye hai kahan mujh ko tabiyat ki do-rangi ( double faced / dogli)

duniya ka talabgar (seeker) bhi duniya se ḳhafa bhi

MIDHAT-UL-AKHTAR

Ya (when) ḳhafa hote thea hum to minnaten (request) karte thea aap

ya ḳhafa hain hum se vo aur hum mana sakte nahin

MIRZA MOHUMMAD TAQI HAWAS

ḳhafa dekha hai usko khwab mea dil saḳht muztar (distressed) hai

khila de dekhiye kya kya gul-eytaabir-e-khwab ( believe in flower of dreams) apna

NAZEER AKBARABADI

jaane kyun unse milte rehte hain

ḳhush vo kya honge jab ḳhafa hi nahin

BAQAR MEHDI

Rishte ab uss makaam pea aa gaye hai

Bol bhi nahi pate ki hum tumse preshan ho gaye hai

Khalvaat-e-Ludhianavi

Ek mera humdard hai wo

Ek mera katil bhi hai wo

Dard deta hai wo

Jeene deta hai wo

Raste mea girne mujhe deta nahi

Manzil pea aake Mar deta hai wo

Aank mea mere aansoo aane deta nahi

Hasta hu to dil thod deta hai wo

Khalvaat-e-Ludhianavi

jaane kyun unse milte rehte hain

ḳhush vo kya honge jab ḳhafa hi nahin

BAQAR MEHDI

Rishte ab uss makaam pea aa gaye hai

Bol bhi nahi pate ki hum tumse preshan ho gaye hai

Khalvaat-e-Ludhianavi