- shayiri
Kabhi mahak ki tarah hum gulo se udte hai, Kabhi dhuhe ki tarah parbato se udte hai
Ye kanchiya (scissoros) humhe udne se khakh rokege , k hum paro ( wings) se nahi hauslo se udte hai
- thought
Pyas to apni saat samunder jaise thi
Na hakh humne barish ka ehsaan liya
- shayiri
Jo kho chuke hai ummed apne dhulne (wash) ki bhi
Unn khali bartano ko bhar ke dekhaye ga
Ki mausam chahae jitna bhi karab ho
Apni manzil ki udaan bhar k dikhaye ga
Aur meri haalaat (circumstances) kehte hai ki tu wapis mud ja
Mera hausla (self believe) kehta hai tu kar ke dikhaye ga.
- shayiri
Andhere kamre mea khud ko sharab pilani hai
Phir ghamo ke sath ek raat bitani hai
Khuda rok ke rakhna musibato ko meri
Kuch dino mea inki dhajiya (destroy) udani hai
- shayiri
Ki wo mere dost mera masak banate hai
phir khud hi zabardati hasaya karte hai
Kameni mere janaze ( last ride) ko bhi fortuner mea le jane ki baat karte hai
Vo to manzar hi kuch aasa tha ki unhe rona pada
Varna wo to meri arthi pe bhi note udane ki baat kiya karte hai
- shayiri
Siyah (black) raat nahi leti naam dalne ka
Yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
- shayiri
Sarfroshi (rebellious / bavery) ki tamanna ab hamare dil mea hai
Dekhna hai zor kitna baju-e-katil mea hai
- shayiri
hum ko mita sake ye zamane mea dum nahin
hum se zamana ḳhud hai zamane se hum nahin
- thought
hazar barq (lightning) gire laakh andhiyan utthean
vo phool khil ke rehenge jo khilne vaale hain
- thought
ta shahin (eagel) hai parvaz (flying) hai kaam tera
tere samne asman aur bhi hain
- shayiri
Jo tufanon mea palte ja rehe hain
Vahi duniya badalte ja rehe hain
- thought
ab hawayean hi karengi raushni ka faisla
jis diye mea jaan hogi vo diya reh jayega
- thought
Ek akhbar (newspaper) hu , aukat hi kya hai meri
Magar shar mea aag lagane k liye kafi hu
- thought
Vishwas aur ghamand (ego) mea bahut thoda sa farak hai
“ye mae kar sakta hu” , ye mera vishwas hai
“sirf mae hi kar sakta hu” , ye mera ghamand hai
- thought
Nadi (river) ne akaldte hue kue (well) se poocha
Teri kya aukat hai , tujhe pata hai?
Kaha mae nadi , aur kaha tu bechara chota sa kua
Kua haath jod ke bola
Aap dhek hi kehte ho
Batkao (unstable) mea aur thehrav ( stable) mea kuch to fark hota hi hai
Fark bas itna hi hai ki tu pyase ke pas jati hai aur pyasa mere pas aata hai
Tum upar se neeche ki taraf jati ho , is liye khari (salty) ho jati ho
Mae neeche se upar ki aur jata hu isliye meeta ho ho jata hu
- shayiri
Shamma parvano ko jlana sikhati hai
Shyam suraj ko dalna sikhati hai
Musafir ko thokoro se hoti to hai taqleef
Lekin thokare hi musafir ko chalna ( walk) sikhati hai
- shayiri
Barsat se mulakat yu hi nahi hoti
Dharti ko dhoop mea jalna padta hai
Parbat ke shikhar pe chadne ke liye
Ghutno ke bal bhi chalna padta hai
- thought
waqt aane de dikha denge tujhe aye asmaan
hum abhi se kyun batayean kya humare dil mea hai
- thought
apna zamana aap banate hain ehl-e-dil (pure hearted persons)
hum vo nahin ki jin ko zamana bana gaya
- thought
log kehte hain badalta hai zamana sab ko
mard vo hain jo zamane ko badal dete hain
- thought
abhi se paanv ke chhale na dekho
abhi yaaro safar ki ibtida (beginning) hai
- thought
nahin tera nasheman (residence) qasr-e-sultani (revenge from royal) ke gumbad par
ta shahin (eagel) hai basera kar pahadon ki chatanon (rocks of mountains) mea
- thought
Sahil (kinare) ke sukan (happiness) se kise inkar hai lekin
toofan se ladne mea maza aur hi kuchh hai
- poem
Uljhane badti gaye , mae jhelta raha
Waqt ne maidaan mea utara , mae khelta raha
Log kente tu pagal ho jae ga , mae sunta raha
Logo ki baton ko maan mea dabaye , apne sapne bunta raha
Lekin kaise batao inn logo ko
Ki jab waqt badle ga , to mae nahi mera vishwas badle ga
Phir ye pagal inn logo ko nahi , poora itihass badle ga
- thought
Agar Paani Hai Manzil Toh Apna Rahnuma Khud Bano,
Wo Aksar Bhatak Jaate Hain Jinhe Sahara Mil Jata Hai.
- shayiri
Chhu Le Aasman Zamin Ki Talash Na Kar,
Jee Le Zindagi Khushi Ki Talash Na Kar,
Takdeer Badal Jaayegi Khud Hi Mere Dost,
Muskurana Seekh Le Wajah Ki Talash Na Kar.
- shayiri
Manzil To Mil Hi Jayegi Bhatak Ke Hi Sahi,
Gumraah To Wo Hain Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi.
- thought
Kehti Hai Duniya Bas Ab Haar Maan Ja,
Ummid Pukarti Hai Bas Ek Baar Aur Sahi.
- thought
Muskarate Rahoge To Duniya
Aapke Kadmo Me Hogi,
Varna Aanshuon Ko To
Aankhein Bhi Pannah Nahi Deti.
- shayiri
ye keh ke dil ne mere hausle badhaye hain
ghumon ki dhoop ke aage ḳhushi ke saaye hain
- thought
mere seeine (chest) mea nahin to tere seeine mea sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye
- thought
dekh zindan (jail/cage) se pare rang-e-chuman (colors of love) josh-e-bahar (excitement of beauty)
raqs (dance) karna hai to phir paanv ki zanjir na dekh
- shayiri
Teer (arrow) khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ( rebellion/ bravery) ki tamanna hai to sar paida kar
- shayiri
haar ho jaati hai jab maan liya jaata hai
jeet tab hoti hai jab thaan liya jaata hai
- thought
log jis haal mea marne ki dua karte hain
main ne us haal mea jeene ki qasam khaaye hai
- thought
Khuda Taufeeq (ability) Deta Hai Unhe Jo Ye Samajhte Hain
Ke Khud Apne Hi Haatho Se Bana Karti Hain Takdeere.
- shayiri
Pankho Ko Khol Apne Zamana Sirf Udaan Dekhta Hai
Yun Zameen Par Baithkar Aasmaan Kya Dekhta Hai.
- SHAYIRI
Darr mujhe bhi laga fasla dekh kar
par main badta gaya raasta dekh kar
khud ba khud mere nazdeek aati gayi
meri manzil mera hausla dekhkar
- thought
Uthho to aise uthho fakr ho bulandi ko
jhuko to aise jhuko bandgi bhi naaj kare.
- shayiri
Kaam karo aisa ke pehchan ban jaye
har kadam aisa chalo ki nishan ban jaye
yahan zindagi to har koi kaat leta hai,
zindagi jiyo iss kadar ki misaal ban jaye.
- SHAYIRI
Ye zindagi haseen hai iss se pyar karo
abhi hai raat to subah ka intezar karo,
wo pal bhi ayega jiski khwahish hai aapko,
rab par rakho bharosa waqt par aitbar karo.
- THOUGHT
badh ke tuffan ko aagosh (lap) mea le le apni
Doobne vaale tere haath se sahil (kinara) to gaya
- THOUGHT
Bhanvar (circulated water in center) se lado tund (fast) lehron se uljho
kahan tak chaloge kinare kinare
- thought
jahan pahunch ke qadam dagmagaye hain sab ke
use maqam (position) se ab apna rasta hoga
- THOUGHT
shah-zor (powerfull) apne zor mea girta hai misl-e-barq (like lightning)
vo tifl (child) kya girega jo ghuTnon ke bal chale
- THOUGHT
jalane vaale jalate hi hain charagh aḳhir
ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki
- SHAYIRI
yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hawa ki ot (control) bhi le kar charagh jalta hai
- SHAYIRI
fikr mat kar bande kalam kudrat ke haath hai
likhne wale ne likh diya takdeer tere saath hai
fikr karta hai kyun fikr se hota hai kya
rakh khuda pe bharosa dekh fir hota hai kya.
- shayiri
Raah sangharsh ki jo chalta hai
wo hi sansar ko badlta hai
jisne raaton se jang jeeti hai
surya ban kar wo hi nikalta hai
- SHAYIRI
Jo muskura raha hai use dard ne pala hoga
jo chal raha hai uske paao me chhala hoga
bina sangharsh ke insaan chamak nahi sakta.
jo jalega usi diye mein to ujala hoga.
- thought
Har meel ke patthar pe likh do ye ibaarat (writing)
manzil nahi milti nakaam iraadon se.
- shayiri
manzil mile na mile
ye to mukaddar ki baat hai
hum koshish bhi na karein
ye to galat baat hai.
- SHAYIRI
Mushkile jaroor hain magar thehra nahi hoon main
manzil se jara keh do abhi pahucha nahi hoon main.
kadmon ko baandh na payegi musibat ki zanjeere
raston se jara keh do abhi bhatka nahi hoon main.
- THOUGHT
sada ek hi ruḳh nahin naav chalti
chalo tum udhar ko hawa ho jidhar ki
- THOUGHT
waqt ki gardishon (bad times) ka ghum na karo
hausle mushkilon mea palte hain
- SHAYIRI
use guman (thought) hai ki meri udaan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye asman kuchh kam hai
- SHAYIRI
Naseeb jinke unche aur mast hote hain
imtihaan bhi unke jabarjast hote hai.
- shayiri
Jis jis par ye jag hansa hai
usi ne itihaas racha hai.
- THOUGHT
Hawaon ne bahut koshish ki
magar chirag aandhiyon me jalte rahe.
- SHAYIRI
Parindo ko manjil milegi yakinan
ye faile huye unke pankh bolte hain
wo log rehte hain khamosh aksar
jamane me jinke hunar bolte hain.
- shayiri
Mat soch ki tera sapna kyun poora nahin hota
himmat walo ka irada kabhi adhura nahin hota
jis insaan ke karam acche hote hain
uske jeevan me kabhi andhera nahi hota.
- THOUGHT
Nigahon me manjil thi
gire aur girkar sabhlte rahe,
- THOUGHT
mere toote hausle ke par nikalte dekh kar
us ne divaron ko apni aur uncha kar diya
- THOUGHT
inhi ghum ki ghataon se ḳhushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mea din ki raushni bhi hai
- THOUGHT
main andhiyon ke paas talash-e-saba (finding morning fresh slow moving air / breeze) mea hun
tum mujh se poochhte ho mera hausla hai kya
- thought
Aye dost mat soch etna zindagi ke bare mea
jisne zindagi di hai, usne bhi to kuch socha hoga.
- shayiri
Hoke mayus na yun sham se dhalte rahiye
zindagi bhor ( early morning) hai suraj sa nikalte rahiye
- shayiri
Bujhi shama bhi jal sakti hai
tufano se kashti nikal sakti hai
ho ke mayus yun na apne irade badal
teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.
- poem
khol de pankh mere, kahta hai parinda
abhi aur udaan baaki hai
jameen nahin hai manjil meri
abhi poora aasmaan baaki hai.
lahron ki khamoshi ko samandar ki
bebasi mat samajh ai naadaan,
jitni gehrai andar hai,
baahar utna toofaan baki hai.
- thought
zinda rehna hai to
haalaat se darna kaisa
jang lazim (compulsory) ho to
lashkar ( army bullets etc) nahi dekhe jaate.
- shayiri
yadi andhkaar se ladne ka sankalp koi kar leta hai
to ek akela jugnu bhi sab andhkaar har leta hai.
- shayiri
Vaqif (aware) kahan zamana humari udaan se
vo aur thea jo haar gaye asman se
- THOUGHT
musibat ka pahad aḳhir kisi din kat hi jayega
mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata
- THOUGHT
Maujon (waves) ki siyasat (politics) se mayus (disappointed) na ho ‘fani’
Girdab (circular deep water / waterpool) ki har tah (layer) mea sahil ( kinara) nazar aata hai
- thought
Daaman jhatak ke vadi-e-ghum (bye to sorrow) se guzar gaya
uth uth ke dekhti rehi gard-e-safar (dust on the journey) mujhe
- THOUGHT
Go aable (although blisters/red wound) hain paanv mea phir bhi ai rehravo (travelling partners)
manzil ki justuja hai to jaari rehe safar
- THOUGHT
hawa ḳhafa thi magar itni sang-dil (small heated) bhi na thi
humin ko shum.a (unfortunatly) jalane ka hausla na hua
- shayiri
Kyun ghabrata hai pagle dukh hone se
jeevan to prarambh (start) hi hua hai rone se.
- thought
Tinka hun to kya hua vajood (existence) hai mera
ud-ud kar hawa ka rukh to batata hun.
- shayiri
Tumhare ghar me darwaza hai, lekin tumhe khatre ka andaza nahin
hume khatre ka andaza hai, lekin humare ghar me darwaza nahin,
- shayiri
Ro kar muskurane ka maja hi kuchh aur hota hai
zindagi me kuchh kho kar pane ka majahi kuchh aur hota hai,
zindagi me haar aur jeet to lagi rahati hai
lekin haar ke jeetne ka majahi kuchh aur hota hai.
- shayiri
“khwahisho” se nahin girte hain, “phool” jholi me,
karm ki saakh ko hilana hota hai
kuch nahin hoga kosne se kismat ko,
apne hisse ka diya khud hi jalana hota hai
- shayiri
nazron ko badlo to nazaare badal jate hain,
soch ko badlo to sitare badal jate hai
kastiya badalne ki jarurat nahi,
disha ko badlo to, kinare khud-ba-khud badal jate hain.
- shayiri
Har zuba par ek din tera hi naam hoga
har kadam par teri duniya ko salaam hoga
har museebat ka saamna karna tu dat kar
tu dekhna samay tera bhi gulam hoga.
- shayiri
Andhiyon ko zid hai jahan bijliyan girane ki
mujhe bhi zid hai wahi asiyan basane ki,
himmat aur hausle buland hai,
khada hun abhi gira nahi hun,
abhi jang baki hai, aur main hara bhi nahi hun.
- shayiri
Safar me mushkilein aaye
to himmat aur badhti hai.
koi agar rashta roke,
to jurrat aur badhti hai.
agar bikne pe aa jayo,
to ghat jate hain daam aksar.
na bikne ka irada ho to,
keemat aur badhti hai.
- thought
lazzat-e-ghum (taste of sorrow) to baḳhsh (gifted) di us ne
hausle bhi ‘adum’ diye hote
- THOUGHT
tundi-e-bad-e-muḳhalif (evil of violence which is unfavourable) se na ghabra ai uqaab (eagel)
ye to chalti hai tujhe uncha udane ke liye
- THOUGHT
jin hauslon se mera junoon mutmayin (safe / satisfied) na tha
vo hausle zamane ke meyar (standard) ho gaye
- shayiri
Sapno mea wo kon hai jo kehta reha …
Tu kar
Wo haqeeqat hai kahi jo kehta raha …
Tu na Daar
Tamaan umr maine tere mooh (face) se to ye hi suna …
Ja Mar ( go die)
Phir kon kahaa se ye mujse dohrata raha (repeat) …
Mae tere sath hi hu Mar kar