- thought
Aap ke baad har ghadi hum ne
Aap ke saath hi guzari hai
- shayiri
tum se bichhad kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
- thought
aaye hogi kisi ko hijr (separation) mea maut
mujh ko to neend bhi nahin aati
- shayiri
tum se milti-julti main awaz kahan se launga
taj-mahal ban jaaye agar mumtaz kahan se launga
- thought
uss ke baare mea bahut sochta hu
mujh se bichhda to kidhar jayega
- SHAYIRI
do ghadhi uss se raho door to yu lagta hai
jis tarah saya-e-diwar (shadow of wall) se diwar juda
- thought
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se
teri yahi marzi hai to acha nahin milta
- thought
Iss judaye mea tum andar se bikhar jaoge
kisi maazuur ( disabled) ko dekhoge to yaad aauunga
- SHAYIRI
vo shaḳhs jis ko dil o jaan se badh ke chaha tha
bichhad gaya to ba-zahir ( externally) koi malal nahin
- shayiri
badan mea jaise lahu taziyana (circulate/punish) ho gaya hai
use gale se lagaye zamana ho gaya hai
- shayiri
milna tha ittifaq (by chance) bichhadna nasib tha
vo utni duur ho gaya jitna qarib tha
- thought
vo aa rahe hain vo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaq (night of separation) ye keh kar guzar di hum ne
- thought
Dam-e-ruḳhsat (price of going) vo chup rahe ‘abid’
Aankh mea phailta gaya kajal
- thought
Phir kho na jae hum kahi duniya ki bheed mea
Milti hai pass aane ki mohlat kabhi kabhi
- SHAYIRI
Baarhaa (many times) unse na milne ki qasam khata hu main
aur phir ye baat qasdan ( intentionaly , jaan bhoj ke) bhul bhi jaata hun main
- shayiri
Wo saks mere har kisse kahani mea aaya
Jo mere hissa hokar bhi mere hisse na aaya
- thought
Jate waqt usne ɱujhse azeeb si baat kahi
Tum meri zindagi ho
Aur mujhe meri zindagi se nafrat hai
- SHAYIRI
Bhicadte waqt mere abb (buraiya) ginaye usne
Sochta hu jab mila tha tab konsa hunar tha mujhme
- shayiri
tumhara hijr (separation) mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho
- thought
jis ki ankhon mea kati the sadiyan
us ne sadiyon ki judaye di hai
- SHAYIRI
kab thehrega dard ae dil , kab raat basar hogi
sunte the vo ayenge sunte the sehar (morning) hogi
- shayiri
Mar kar bhi tadapti hu tere intezaar mea
Aag lag gayi hai is dile bekaraar mea
Milne mea kya maza hai jo hai intezaar mea
Dard ubharta hai kadam rakhte hi pyaar mea
- thought
ye theek hai nahin marta koi judae mea
ḳhuda kisi ko kisi se magar juda na kare
- SHAYIRI
ik khilona toot jayega naya mil jayega
main nahin to koi tujhko dusra mil jayega
- THOUGHT
maloom thea mujhe teri majboriyan magar
tere bghair neend na aaye tamam raat
- SHAYIRI
meri nazar mea vahi mohni si murat hai
ye raat hijr (separation) ki hai phir bhi ḳhoobsurat hai
- THOUGHT
tujh bin saari umr guzari
log kehenge tu mera tha
- song
Tu nadi ka kinaara
Gumnaam saa main hoon safeena (boat)
Tu hai mausam bahaara
Sookhi sookhi main heena
Jaan meri hai phasi (trapped) ek mulaaqat mein
- song
Apne dil se mera haq mitaane lage
Mere har khwaab ko tum jalane lage
Dil mein bharne laga hai dhuaan
- thought
Dur janne ko Kehte ho to chale hi jae ge
Pehli ye batao kis ko hamare baad apne pehlu mea aap bhidaye ge
- THOUGHT
main samajhta hun ki hai jannat (heaven) o dozaḳh (hell) kya cheez
ek hai vasl (meeting) tera ek hai furqat (separation) teri
- THOUGHT
lagi rehti hai ashkon ki jhadi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aaye
- thought
ba-zahir (externally) ek hi shab (night) hai firaq-e-yaar (separation from beloved) magar
koi guzarne baithe to umr saari lage
- shayiri
Talaaq ( divorse) de to rahe ho itab-o-qahr (full anger) ke saath
Mera shabab (youth) bhi lauta do meri mahr (love) ke saath
- song
Tere bina marz ( sickness) aadha adhoora hai
Ek dhundh hai
Shaam hai naa savera hai
Tanha hoon main
Phir bhi tanha nahi
Darr yeh hai ke fanaa (death) ho na jaaun kahi
- song
Aa jaa na…
Nigaahon se ilzaam de
Adaaon se paigaam de
Koi toh mujhe naam de
Ishq hai bad-gumaan (ill-fated/suspicious)
- shayiri
Garmi-e-hasrat-e-nakam (heat of grief) se jal jaate hain
Hum chiragon ki tarah shaam se jal jaate hain
- thought
Vahi karvan vahi raste vahi zindagi vahi marhale
Magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
- thought
Mere khwaboo mea bhi tu mere khayalon mea bhi tu
Kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karo
- shayiri
bahut dinon mea mohabbat ko ye hua maloom
jo tere hijr (separation) mea guzri vo raat raat hui
- thought
iss qadar musalsal (constant) thea shiddatean (with intensity) judaye ki
aaj pehli baar uss se maine bewafaye ki
- thought
kuch khabar hai tujhe o chaen se sone vaale
raat bhar kaun teri yaad mea bedar raha
- shayiri
kyun hijr (separation) ke shikve karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar iss mea to yahi kuch hota hai
- thought
meri zindagi to guzri tere hijr (separation) ke sahare
miri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana
- thought
yun zindagi guzaar raha hun tere beghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
- shayiri
Ik khilona toot jayega naya mil jayega
Main nahin to koi tujhko dusra mil jayega
- thought
kyu hijr (separation) ke shikve karta hai
kyu dard ke rone rota hai
Ab ishq kiya to sabr (patience) bhi kar
iss mein to yahi kuchh hota hai
- thought
Hijr ( separation) ko hausla aur vasl ( intercourse) ko fursat darkar ( necessary)
ik mohabbat ke liye ek javani kam hai
- shayiri
Ab judaie k safar ko mere aasan karo
Ab mujhe khawab mea aa kar na preshan karo
- thought
Kya kaha ishq javedani ( eternal) hai !
Aakhri bar mil rahi ho kya?
- thought
Tum mujhe chod ke jao to mar jaoga
Yu karo jane se pehle mujhe pagal kar do
- shayiri
Aa ki tujh bin is tarah a dost ghabrata hun mae
Jaise har sheh (thing/object) mea kisi sheh ki kami paata hun mae
- shayiri
Hum kahan aur tum kahan janaa (sweetheart)
Hain kaye hijr (separation) darmiyan janaa
- thought
Rote phirte hain saari saari raat
ab yahi rozgar hai apna
- shayiri
Usko juda hue bhi zamana bahut hua
Ab kya kahe ye kissa purana bahut hua
- song
Tum se bichad kar zinda hai
Jaan bahut sharminda hai
- dialogue
Mohabbat karne vale kam na honge
Teri mehfil mea lekin hum na honge
- shayiri
uss se milne ki khushi baad mea dukh deti hai
jashn ke baad ka sannata bahut khalta (irritate) hai
- THOUGHT
qasid payam-e-shauq (invitation of passion) ko dena bahut na toul (wings)
kehna faqat (simply) ye unse ki ankhen taras gayen
- THOUGHT
khud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
- thought
kitna aasan tha tere hijr (separation) mea marna janan (sweetheart)
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate
- thought
ik umr kat gaye hai tere intizar mea
aise bhi hain ki kat na saki jin se ek raat
- shayiri
Mar jaata hun jab ye sochta hun
Main tere beghair ji raha hun
- shayiri
Milna tha itefak (considence) bhichadna nasseb tha
Wo utna door ho gaya jitna karib tha
- thought
Jis ki aakh mae kati thi sardiya
Uss ne sardiyo ki judai di hai
- shayiri
Tum kya jano apne aap se kitna sharminda hu
Choot gaya hai sath tumhara aur abhi tak zinda hu
- THOUGHT
khuda kare ki teri umr mea gine (count) jaayen
vo din jo hum ne tere hijr (separation) mea guzare thea
- thought
do ghadi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-divar se divar juda
- thought
mumkina (possible) faislon (decisions) mea ek hijr (separation) ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki uss ne kamal kar diya
- shayiri
Firaq-e-yaar (separation from loved ones) ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha
- thought
guzar to jayegi tere beghair bhi lekin
bahut udaas bahut be-qarar guzregi
- thought
Vasl (meeting) ho ya firaq (separation) ho ‘akbar’
jagna raat bhar musibat hai
- THOUGHT
taron ka go (although) shumar (counting) mea aana muhal (impossible) hai
lekin kisi ko neend na aaye to kya kare
- thought
‘faraz’ ishq ki duniya to ḳhoob-surat (beautifull face) thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal (evil of separation and death) rakkha hai
- SHAYIRI
tum nahin paas koi paas nahin
ab mujhe zindagi ki aas nahin
- SHAYIRI
ik tiis ( zakm) jigar mea uthti hai ik dard sa dil mea hota hai
hum raat ko roya karte hain jab saara aalam sota hai
- thought
‘munir’ achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr (separation) mea bimar hona
- SHAYIRI
dil hijr (separation) ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
- THOUGHT
aaj na jaane raaz ye kya hai
hijr (separation) ki raat aur itni rooshan ( brighten)
- thought
jo ghazal aaj tere hijr (separation) mea likkhi hai vo kal
kya khabar ahl-e-mohabbat (love followers) ka tarana ban jaaye
- SHAYIRI
jagta hun main ek akela duniya soti hai
kitni vehshat hijr (separation) ki lambi raat mea hoti hai
- THOUGHT
tumhare hijr (separation) mea ankhen humari muddat se
nahin ye jante duniya mea khwab hai kya cheez
- SHAYIRI
tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
- SHAYIRI
ye hum jo hijr (separation) mea divar-o-dar (boundry of house) ko dekhte hain
kabhi saba (slow air) ko kabhi nama-bar (postman) ko dekhte hain
- SHAYIRI
kisi ke hijr (separation) mea jeena muhal (impossible) ho gaya hai
kise batayen humara jo haal ho gaya hai
- THOUGHT
neend aati nahin to subah talak
gard-e-mehtab (dust of moonlight) ka safar dekho
- SHAYIRI
milne ki ye kaun ghadi thi
bahar hijr (separation) ki raat khadi thi
- SHAYIRI
abb ki holi mea raha be-kar (useless) rang
aur hi laaya firaq-e-yaar (separation from beloved) rang
- THOUGHT
tumhen khayal nahin kis tarah batayen tumhen
ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai
- THOUGHT
tera vasl (meeting) hai mujhe be-khudi (loosing myself) ,tera hijr (separation) hai mujhe agahi (awareness)
tera vasl (meeting) mujh ko firaq (unacceptable ) hai tera hijr (separation) mujh ko visal ( acceptable) hai
- THOUGHT
mat dekh ki phirta hun tere hijr (separation) mea zinda
ye pooch ki jeene mea maza hai ki nahin hai
- THOUGHT
saans lene mea dard hota hai
ab hawa zindagi ki raas nahin
- THOUGHT
vo agar aa na sake maut hi aaye hoti
hijr (separation) mea koi to ghum-khvar (sorrow-shame) humara hota
- THOUGHT
amn (peace) tha pyaar tha mohabbat tha
rang tha noor tha nava (fresh) tha firaq (separation)
- THOUGHT
use khabar thi ki hum vasal (meeting) aur hijr (separation) ik saath chahte hain
to usne aadha ujaad rakkha hai aur aadha bana diya hai
- SHAYIRI
tumhare hijr (separation) mea kyun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
- THOUGHT
Dar gaya hai ji kuch aisa hijr (separation) se
tum jo pehlu se uthe dil hil gaya
- THOUGHT
jo baat hijr (separation) ki aati to apne daman se
vo aansu ponchhta jaata tha aur main rota tha
- THOUGHT
dekh le bulbul o parvana (moth) ki betabi ko
hijr (separation) achchha na hasinon ka visal (arrival) achchha hai
- THOUGHT
shikva-e-hijr (complaint of separation) pe sar kaat ke farmate hain
phir karoge kabhi is munh se shikayat meri
- THOUGHT
hijr (separation) ki raat katne vaale
kya karega agar sahar (morning) na hui
- SHAYIRI
khair se dil ko teri yaad se kuch kaam to hai
vasl (meeting) ki shab (night) na sahi hijr (separation) ka hangam (season) to hai
- SHAYIRI
hijr (separation) mea itna khasara (loss) to nahin ho sakta
ek hi ishq dobara to nahin ho sakta
- THOUGHT
badi tavil (long) hai ‘mahshar’ kisi ke hijr (separation) ki baat
koi ghazal hi sunao ki neend aa jaaye
- THOUGHT
Tul-e-shab-e-firaq (length of night of separation) ka qissa na puchhiye
Mahshar (last day) talak kehun main agar mukhtasar (inshort) kehun
- THOUGHT
keh do ye kohkan (mountain digger) se ki marna nahin kamal
mar mar ke hijr-e-yar (separation from loved one) mea jeena kamal hai
- THOUGHT
tu hi bata de kaise katun
raat aur aisi kaali raat
- THOUGHT
hijr (separation) ik vaqfa-e-bedar (less awake) hai do nendon mea
vasl (meeting) ik ḳhwab hai jis ki koi taabir (trust) nahin
- THOUGHT
har ishq ke manzar mea tha ik hijr (separation) ka manzar
ik vasl (meeting) ka manzar kisi manzar mea nahin tha
- THOUGHT
yahi duniya thi magar aaj bhi yun lagta hai
jaise kaati hon tere hijr (separation) ki raten kehin aur
- THOUGHT
do alag lafz nahin hijr (separation) o visal ( meeting)
ek mea ek ki goya.i ( same as if) hai
- SHAYIRI
hijr (separation) mea muskuraye ja dil mea use talash kar
naz-e-sitam (pride of cruelty) uthaye ja raz-e-sitam (secret of cruelty) na faash (reveal) kar
- SHAYIRI
kadda hai din badi hai raat jab se tum nahin aaye
digar-gun (changed for the worse) hain mere halat jab se tum nahin aaye
- THOUGHT
uss pe takiya kiya to tha lekin
raat din hum thea aur
- THOUGHT
dekh kar tul-e-shab-e-hijr (length of night of separation) dua karta hun
vasl (meeting) ke roz se bhi umr meri kam ho jaaye
- THOUGHT
kaisi bipta (hardship) paal rakhi hai qurbat (relationship) ki aur doori ki
khushboo maar rahi hai mujh ko apni hi kasturi ki
- THOUGHT
main lafz lafz mea tujh ko talash karta hun
saval mea nahin aata na aa , jawab mea aa
- SHAYIRI
hijr (separation) ki shab nala-e-dil (complaints of heart) vo sada dene lage
sunne vaale raat katne ki dua dene lage
- THOUGHT
ishq par faa.ez (plenty) hun auron ki tarah lekin mujhe
vasl (meeting) ka lapka (bad habit) nahin hai hijr (separation) se vehshat (fright) nahin
- THOUGHT
judaye ki ruton mea suraten dhundlane lagti hain
so aise mausamon mea aayena dekha nahin karte
- SHAYIRI
Shab-o-roz (night and day) jaise thehar gaye koi naaz (pride) hai na niyaz (offering) hai
tere hijr (separation) mea ye pata chala meri umr kitni daraz (long) hai
- THOUGHT
ishq mea nisbat (compare) nahin bulbul ko parvane ke saath
vasl (meeting) mea vo jaan de ye hijr (separation) mea jeeti rahe
- THOUGHT
hijr (separation) mea milne shab-e-mah (moonlit night) ke ghum aaye hain
Charasazon (doctors) ko bhi bulaoo ki kuch raat kate
- thought
hijr (separation) o visal (arrival) charagh hain donon tanhaye ke taqon (wall) mea
akasr donon gul rehte hain aur jala karta hun main
- THOUGHT
hijr (separation) ki raat ye har doobte taare ne keha
hum na kehte thea na ayenge vo , aaye to nahin
- shayiri
ab tere hijr (separation) mea yun umr basar hoti hai
shaam hoti hai to ro ro ke sahar (morning) hoti hai
- thought
Vasl (meeting) ka gul (flower) na sahi hijr (separation) ka kanta hi sahi
kuch na kuch to meri vehshat (wildness) ka sila de mujh ko
- shayiri
hijr (separation) mea muztarib (confused/ uneasy) sa ho hoke
char-su (everywhere) dekhta hun ro ro ke
- thought
toda hai dam abhi abhi bimar-e-hijr (disease of separation) ne
aaye magar huzur ko takhir (long time) ho gaye
- thought
pyasa mat jala saaqi mujhe garmi se hijran (separation) ki
shitabi (quickly) la sharab-e-ḳhum (big jar of wine) hum ne dil ko bhuna (jalaya) hai
- thought
shab-e-daraz (long night of separation from beloved) ka hai qissa muḳhtasar (short) ‘kaifi’
hui sahar (morning) ke ujalon mea gum charagh ki lau (light)
- thought
main tere hijr (separation) mea jeene se ho gaya tha udaas
pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera
- thought
yun guzarte hain hijr (separation) ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
- thought
dekh qasid (messager) ko mere yaar ne puchha ‘taban’
kya mere hijr (separation) mea jeeta hai vo ghumnak (full of sorroe) hanuz (still / ab bhi)
- thought
uss sang-dil (hard-hearted) ke hijr (separation) mea chashmon ko apne aah
manind-e-abshar ( like waterfall) kiya hum ne kya kiya
- thought
yun guzarte hain hijr (separation) ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
- thought
dekh qasid (messager) ko mere yaar ne puchha ‘taban’
kya mere hijr (separation) mea jeeta hai vo ghumnak (full of sorroe) hanuz (still / ab bhi)
- shayiri
shab-e-hijr (separation) thi aur main ro raha tha
koi jagta tha koi so raha tha
- shayiri
Tadapta mujhe chood ( leave) hi deti to acha hota
Tadapte ko aur na tadpati to acha hota
Tum mujhe yu be-e-zat (embarras) na karti
Mai khud hi apni nazro mea gir jata to acha hota
Galiya tum kyo deti ho mujhe roj
Zamana mujhe thukra hi deta to acha hota
Zindagi aam (normal) to na thi meri
Tum isme na aati ho acha hota
Afsoos to rahe ga mujhe ki tujhse dil khola
Dil mea kisi aur to bhidhate (sit) to acha hota