- shayiri
Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe
Jaga diya teri panjeeb ( payal ) ne khanak k mujhe
Koi bataye mai iska kya ilaj karu
Preshan karta hai ye dil dharak dharak k mujhe
- thought
Phouk ( Burn) dalu ga kisi din mai ye dil ki duniya
Yeh tera khat to nahi hai jo jala bhi na saku
- shayiri
Kahe Akele me milkar jhanjhord ( shake) duga usea
Jahah jahah se wo tuta hai jod duga usea
Mujhe wo chod gaya hai , kamal hai uska
Irada maine kiya tha ki chod du ga usea
- shayiri
Zuba to khol , nazar to mila , jawab to de
Mai kitne baar luta hu , mujhe hisab to de
- thought
pehle badi raghbat (interest / inclination) thi tere naam se mujh ko
ab sun ke tera naam main kuch soch raha hun
- shayiri
hazaron khwahishean (wish) aisi ki har ḳhwahish pe dum nikle
bahut nikle mere arman (desire) lekin phir bhi kam nikle
- poem
Bas farak itna sa hi hai
Koi tumhe pasand na ho to hum umar bhar dheke na usko
Aur wo hamare dushmno k sath dil lagati hai – bas farak itna sa hi hai
Udas tum hoti ho to hum mar hi jate hai
Aur hamare marne par wo jashan manati hai – bas farak …
Yaad tumko karta hu to kaeynat me tu nazar aati hai
Aur mai uske samne bhi hu aur wo kisi aur ko call milati hai – bas farak …
Raat ka wo samaye ( time) ki tumhe doodta rehta hu mai
Aur sare din mai gum hu aur wo soo jati hai – bas farak …
Farak mitane k liye mitana chahta hu mai khud ko
Aur ek wo jo hamare beech neshaniyo ko mitana chahti hai – bas farak…
Jag chod kar chale to jana hai maine bhi – tumne bhi
Bas mai uske liye ruk jata hu aur wo mujhe bhejna chahti hai – bas farak inta sa hi hai
Likh likh kar kagaz bhar diya humne
Socha likhne se farak mit jae ga
Par tumhe pada (read) bhi nahi sakte hum ye
Kyoki mere dil ki ye kahani kaha tumhe samajh aati hai
Bas farak itna sa hi hai
- THOUGHT
main to ghazal suna ke akela khada raha
sab apne apne chahne valon mea kho gaye
- thought
aarsu (desire) hai ki tu yahan aaye
aur phir umr bhar na jaaye kehin
- thought
insan ki ḳhvahishon ki koi intiha (limit) nahin
do (2) gaz zamin (ground) bhi chahiye do gaz kafan (cloth for dead) ke baad
- THOUGHT
ab dil ki tamanna hai to aea kaash yahi ho
aansoo ki jagah aankh se hasrat (desire /grief / regret) nikal aaye
- thought
keh do in hasraton (desire) se kehin aur ja basean (live)
itni jagah kehan hai dil-e-dagh-dar (place in burning heart) mea
- thought
kuchh nazar aata nahin uske tasavvur (imagination) ke siva
hasrat-e-didar (desire to see) ne ankhon ko andha kar diya
- THOUGHT
ḳhwab, ummed, tamannaean, taalluq (connection), rishte
jaan le lete hain aḳhir ye sahare saare
- thought
sab khwahishean poori hon ‘faraz’ aisa nahin hai
jaise kaye ash.ar (couplets/verses) mukammal (complete) nahin hote
- thought
Aarsu (desire) hasrat (wish) aur ummid (hope) shikayat aansoo
ik tera zikr tha aur beech mea kya kya nikla
- THOUGHT
kat-ti hai aarsu (desire) ke sahare pe zindagi
kaise kehun kisi ki tamanna (longing / wish) na chahiye
- SHAYIRI
aarsu (desire) vasl (meeting) ki rakhti hai pareshan kya kya
kya bataun ki mere dil mea hai arman kya kya
- SHAYIRI
arman (wish) vasl (meeting) ka meri nazron se tad (looking) ke
pehle hi se vo baith gaye munh bigad ke
- shayiri
baad marne ke bhi chhodi na rifaqat (companionship) meri
meri turbat (grave) se lagi baithi hai hasrat (desire) meri
- thought
zindagi ki zaruraton (needs) ka yahan
hasraton (desires) mea shumar (inclusion / calculation) hota hai
- thought
kis kis tarah ki dil mea guzarti hain hasraten (desires)
hai vasl (meeting) se ziyada maza intizar ka
- THOUGHT
dil mea vo bheed hai ki zara bhi nahin jagah
aap aaiye magar koi arman (wish) nikal ke
- thought
ḳhvahishon (desire) ne dubo (sink) diya dil ko
varna ye bahr-e-be-karan (a vast sea) hota
- thought
yaar pehlu (by my side) mea hai tanhayi hai keh do nikle
aaj kyun dil mea chhupi baithi hai hasrat (wish) meri
- THOUGHT
hasraton ka ho gaya hai is qadar dil mea hujum (crowd)
saans rasta dhundhti hai aane jaane ke liye
- thought
jeene valon se kaho koi tamanna dhunden
hum to asuda-e-manzil (satisfied with achievements) hain humara kya hai
- thought
dekhna hasrat-e-didar (desire to see) ise kehte hain
phir gaya munh teri janib (face changed direction to you) dum-e-murdan (moment of death) apna
- shayiri
mai-kade (bar) ko ja ke dekh aaun ye hasrat (desire) dil mea hai
zahid (religious) us mitti ki ulfat (love) meri ab-o-gil (foundation) mea hai
- SHAYIRI
bahut pehle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe aye zindagi hum door se pehchan lete hain
- SHAYIRI
kaun aayega yahan koi na aaya hoga
mera darvaza havaon ne hilaya hoga
- thought
dil par dastak dene kaun aa nikla hai
kis ki aahat (footfall) sunta hun virane (desert) mea
- shayiri
Aahat (footfall) si koi aaye to lagta hai ki tum ho
saaya koi lehraye to lagta hai ki tum ho
- thought
main ne din raat ḳhuda se ye dua mangi thi
koi aahat na ho dar par mire jab tu aaye
- thought
jise na aane ki qasmea mae de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahat ka intizar bhi hai
- thought
Aatean (footfall) sun raha hun yadon ki
aaj bhi apne intizar mea gum
- thought
‘aḳhtar’ guzarte lamhon ki aahat pe yun na chaunk (surprise)
is matami (funeral) julus (procession) mea ik zindagi bhi hai
- thought
ḳhamoshi mea chahe jitna begana-pan ho
lekin ik aahat (footfall) jani-pehchani hoti hai
- thought
neend aaye to achanak teri aahat sun luun
jaag utthun to badan se teri ḳhushbu aaye
- thought
koi halchal (movement) hai na aahat (footfall) na sada (echo) hai koi
dil ki dahliz (border) pe chup-chap khada hai koi
- thought
koi awaz na aahat na koi halchal hai
aisi ḳhumoshi se guzre to guzar jayenge
- thought
iss andhere mea na ik gaam bhi rukna yaaro
ab to ik dusre ki ahaten (footfall) kaam ayengi
- thought
jab zara raat hui aur mah o anjum (moons and start) aaye
bar-ha (that’s when) dil ne ye mehsoos kiya tum aaye
- thought
pehle to us ki yaad ne sone nahin diya
phir us ki ahaton (footfall) ne kaha jagte raho
- thought
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahat (footfall) ke nishan
huum ne us raah se auron ko guzarne na diya
- thought
shaam dhale aahat (footfall) ki kirnen (rays) phuti (broken) thin
suraj doob ke mere ghar mea nikla tha
- thought
apni aahat (footfall) pe chaunkta (shocked) hun main
kis ki duniya mea aa gaya hun main
- thought
koi dastak (knock) koi aahat (footfall) na sada(voice) hai koi
duur tak rooh mea phaila hua sannata (silence) hai
- thought
har lahza (moment) uss ke paanv ki aahat (footfall) pe kaan (ear) rakh
darvaze tak jo aaya hai andar bhi aayega
- thought
kisi aahat (footfall) mea aahat ke siva kuchh bhi nahin ab
kisi surat mea surat ke siva kya rah gaya hai
- thought
dil lagao to lagao dil se dil
dil-lagi (friendship for fun) hi dil-lagi achchhi nahin
- thought
dard-e-dil ki unhen ḳhabar kya ho
janta kaun hai parayi chot ko
- thought
dil-lagi (friendship for fun) mea hasrat-e-dil (wishes of heart) kuchh nikal jaati to hai
bose (kiss) le lete hain hum do-char hanste bolte
- shayiri
koi dil-lagi dil lagana nahin hai
qayamat hai ye dil ka aana nahin hai
- thought
qadmon pe dar ke rakh diya sar taaki uth na jaayen
naraz dil-lagi mea jo vo ik zara hue
- thought
bade logon se milne mea humesha fasla rakhna
jahan dariya samundar se mila dariya nahin rahta
- thought
koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapak (warmth) se
ye naye mizaj ka shaher hai zara fasle se mila karo
- shayiri
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baitha tha mere aur vo mera na tha
- thought
mohabbat ki to koi hadh, koi sarhad (border) nahin hoti
humare darmiyan (between us) ye fasle, kaise nikal aaye
- thought
bhala hum mile bhi to kya mile vahi dooriyan vahi fasle
na kabhi humare qadam badhe na kabhi tumhari jhijak (hesitation) gaye
- thought
duniya to chahti hai yunhi fasle (distance) rahen
duniya ke mashvaron (suggestion) pe na ja us gali mea chal
- thought
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
vo mile ya na mile haath badha kar dekho
- thought
bahut ajeeb hai ye qurbaton (relationship) ki doori bhi
vo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
- thought
qarib aao to shayad samajh mea aa jaaye
ki fasle to ghalat-fahmiyan (misunderstanding) badhate hain
- thought
usea ḳhabar hai ki anjam-e-vasl (result of meeting) kya hoga
vo qurbaton (relation) ki tapish (heat) fasle (distance) mea rakhti hai
- thought
ishq mea bhi siyasaten (politics) nikleen
qurbaton (relation) mea bhi fasla (distance) nikla
- thought
doori hui to uske qarin (close) aur hum hue
ye kaise fasle thea jo badhne se kam hue
- shayiri
massala (issue) ye hai ki us ke dil mea ghar kaise karen
darmiyan (between) ke fasle ka tai (establish) safar kaise karen
- thought
fasle aise ki ik umr mea tai (fix) ho na saken
qurbaten (relation) aisi ki ḳhud mujh mea janam hai uska
- shayiri
zehn o dil (brain and heart) ke fasle thea hum jinhen sehte rahe
ek hi ghar mea bahut se ajnabi rehte rahe