- thought
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain
naḳhuda (commander of ship) jin ka nahin unka ḳhuda hota hai
- shayiri
samne hai jo use log bura kehte hain
jis ko dekha hi nahin us ko ḳhuda kehte hain
- thought
Aashiqui se milega aye zahid (devotee)
bandagi se ḳhuda nahin milta
- shayiri
Khuda Khud hi thak gaya hoga naseeb mera bigadte bigardte
Mae par thakta nahi Khuda teri di taqdeer savarte savarte
- thought
Pass mere tu rehta hi hai har dume e khuda
mandir ja je na jane kyo tu aur pass kyo lagta hai
- thought
Koi patta (leave) bhi nahi hilta tere hukum ke beagar
Hum kyo janne khata (mistakes) karte rahe sari umr tere hukum ke beagar
- shayiri
Bas abb rehne do tasalli na do yaroo
Mera khuda kud mujhe barbad karna chahta hai
Tumko ye maloom nahi shayid ki uska hukum
Meri liye jaise mere khoon ka ek ek katra hai
Tum pass rakho apni hamdardi , apni khushi
Humare liye barbadi ka hi sahi , usne koi hukum to laga rakha hai
- thought
Chal padta hu subhe uth ( wakeup) kar khuda ki talaas mea
Raat ko takiye (pillow) ke neeche , wo soya hota hai pass mea
- thought
Haye wo mera dil , meri jaan , mera samaan
Ek bhoj hai dil pea , wo dard , wo jafa , wo fasla
Tu sath na deta to sath tere ho chuka hota e khuda
Phir sath tere hone ko tamaam umr mae tarasta hi raha
- shayiri
Tere dar pea aane ki tamanna hai par lagta hai ,
tere dar pea aake mar bhi na pao ga kabhi
Kya kaha ? Tum bula lo ge mujhe ,
aye khuda , yaad rakhna , mae ye vadda tera bhula bhi na pao ka kabhi
Intezaar tammam umr tere vade pea nikal jae ga abb
Na jee pao ga , aur maar bhi na pao ga kabhi
Vada tu nibha deta hai apna kabhi kabhi
Par har roz mae mar bhi na pao ga , jee bhi na pao ga kabhi
- shayiri
Sach to ye hai ki dua ne na dawa ne rakha
Humko zinda aye khuda tere daaman ki hawa ne rakha
- shayiri
Muddate ho gaye hai khata karte hue
Ab to sharam aati hai dua karte hue
- shayiri
Kabhi khuda to kabhi katil bana deta hai
Ye waqt hai janab jo har rang dikha deta hai
- thought
ḳhuda aise ehsas ka naam hai
rahe samne aur dikhaye na de
- shayiri
aye sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
use allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
- thought
bas jaan gaya main teri pehchan yahi hai
tu dil mea to aata hai samajh mea nahin aata
- shayiri
Khuda ne bade ajeeb se dil ke rishte banaye hai
Sabse zada vahi roya jisne imandari se nibhaye hai
- shayiri
Mujhme nahi khuda mea bhi fark hai
Ek raste pe rakha hai
Ek menhge pathoron mea darj hai
- shayiri
Nahi mangta aye khuda
Ki zindagi sau saal ki de
De bhale chand lamho ki
Lekin kamal ki de
- shayiri
Khuda tu hasta bahut hai
Meri gardish pea mere girne pea
Khuda tu darata bahut hai
Mere dum pea aur mere tan ( body) pea
Khuda tu rulata bahut hai
Meri unchayeo ( heights) pea aur dalayio (downfall) pea
Khuda tu ghabrata bahut hai
Mere aane pea aur mere jaine pea
Khuda tu jatata bahut hai
Mere lene pea aur tere dene pea
Khuda tu mujh mea kahi hai
Mere jalane pea ya mere dafnane pea
- thought
itna ḳhali tha andarun (inner) mera
kuchh dinon to ḳhuda raha mujh mea
- THOUGHT
ḳhuda se maang jo kuchh mangna hai aye ‘akbar’
yahi vo dar hai ki zillat (insult) nahin saval (begging) ke baad
- thought
mujh ko ḳhwahish hi dhondne (finding) ki na thi
mujh mea khoya raha ḳhuda mera
- shayiri
Sahara dhood hi leta hai insaan kisi ka thukraya hua
Tu Sath de to jamana bhi ban jae sahara mera
Tere pane ke baad kya karu ga par zamane ko
ek din to aana hi hae maine tere dar par khusiyo se
Bas tab tak tu de ke rakh sahara
Kabhi koi mujhe na bol paye ki mae hu nakara ( useless)
Jiske pas tu hai wo kaise hae akela
Jisko tune sahara diya wo mukammal ( complete) hai – chahea ho akela
- shayiri
Na tha koi hamara
Na hum kisi ke hai
Ek bas khuda hai
Aur hum usse ke hai
- shayiri
Aadam ( first man of earth) ko mat khuda kaho , aadam khuda nahi
Leking khuda ke noor se aadam jhuda nahi
- shayiri
Khuda ke pas deene ke to hazar tareke hai
Mangne wale tu dhekh tujhme kitne salike hai
- shayiri
vafa jis se ki bewafa ho gaya
jise buut (murti) banaya ḳhuda ho gaya
- THOUGHT
iss bharose pe kar raha hun gunah
baḳhsh dena to teri fitrat (nature) hai
- thought
aata hai dagh-e-hasrat-e-dil (burning ambitions of heart) ka shumar ( counting) yaad
mujh se mere gunah ka hisab aye ḳhuda na maang
- shayiri
Mera jhukna aur tera bada ho jaana
Acha nahi tera itna bada ho jaana
- shayiri
Kis se sekhu mai khuda ki bandagi
Sab log khuda ke batware kiye badhe hai
Jo log kehte hai khuda kan-kan mea hai
Wo hi mandir mazjid gurudware le kar baide hai
- shayiri
Jo doobte hai mahakal ki masti mea
Char chand lag jate hai unki hasti mea
- thought
mere gunah zyada hain ya teri rehmat (mercy)
karim (mercifull god) tu hi bata de hisab kar ke mujhe
- shayiri
allah agar taufiq (power) na de insan ke bas ka kaam nahin
faizan-e-mohabbat (grace of love) aam sahi irfan-e-mohabbat (deep knowledge of love) aam nahin
- thought
jo chahiye so mangiye allah se ‘amir’
us dar pe aabru nahin jaati saval (begging) se
- shayiri
Baaragi bane to jag choote
Sanyasi bane to choote tan
Kahna se prem ho jae
To choote aatma ke sab bandhan
- shayiri
Sagar math ( during sagar manthan) ke sabhi devta amrit par lalchaye
Tum abyankar ( deadfull) vish (poison) ko pee kar Neelkanth kehlaye
- shayiri
Bhankto ko chinta nahi hoti hai kaal ki
Kyoki un par kripa hoti hai mahakal ki
- shayiri
Maan tulsi ka das hai
Vrindavan ho dham
Saas saas mea radha bse
Rom-rom mea shyam
- shayiri
Wo tarte tarte ( while swimming) doob gaya
Jinhe khud par guman tha
Aur wo doobte doobte bhi tar gaye
Jinpe tu meharban tha
- shayiri
Shab-shab ( words) mea bramha hai
Shab-shab mea saar ( conclusion)
Shab sada aase kaho
Jinse upje pyar
- thought
mere gunah zyada hain ya teri rehmat (mercy)
karim (mercifull god) tu hi bata de hisab kar ke mujhe
- shayiri
allah agar taufiq (power) na de insan ke bas ka kaam nahin
faizan-e-mohabbat (grace of love) aam sahi irfan-e-mohabbat (deep knowledge of love) aam nahin
- thought
jo chahiye so mangiye allah se ‘amir’
us dar pe aabru nahin jaati saval (begging) se
- thought
gunah gin ke main kyun apne dil ko chhota karun
suna hai tere karam ka koi hisab nahin
- thought
sab log apne apne ḳhudaon ko laaye thea
ik hum hi aise the ki humara ḳhuda na tha
- thought
farishte hashr (meeting) mea poochhenge pak-bazon (pure people) se
gunah kyun na kiye kya ḳhuda ghafur (forgiving) na tha
- shayiri
Na paisa lagta hai na karcha lagta hai
Ram-ram boliye , bada acha lagta hai
- shayiri
Jangal mea raho ya basti mea
Lehron mea raho ya khasti mea
Mehge mea raho ya sasti mea
Par raho bhagwan ki bhakti mea
- shayiri
Jo kuch hai tere dil mea
Sab usko kabhar hai
Bande tere har haal par
Bhagwaan ki nazar hai
- shayiri
Har aur satyam shivam sundram
Har hridaye mea har-har hai
Jad chetan (inner heart) mea abhiwaqt ( expressed) satat (ever)
Kankar-kankar ( every stone) mea shankar hai
- shayiri
Neeyat achi ho to bakhti bhi sacchi hoti hai
Bhagwan har hridaye mea hai
Gharo mea rakhne ki zaroorat nahi hoti hai
- shayiri
Pyar mea takat hai duniya ko jhukane ki
Varna kya zaroorat thi Ram ko jhoote ber ( fruit) khane ki
- thought
‘mir’ bandon se kaam kab nikla
mangna hai jo kuchh ḳhuda se maang
- thought
are o asman vaale bata is mea bura kya hai
ḳhushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen
- shayiri
jag mea aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
- thought
achcha yaqin nahin hai to kashti duba ke dekh
ik tu hi naḳhuda (commander of ship) nahin zalim ḳhuda bhi hai
- thought
o mere masruf (busy) ḳhuda
apni duniya dekh zara
- shayiri
jab safina (ship) mauj (wave) se takra gaya
naḳhuda (commander of ship) ko bhi ḳhuda yaad aa gaya
- shayiri
Na wo farishta ho Na wo farishte jaisa ho
Mujhe talaash hai uski jo mere jaisa ho
- shayiri
Karam par vishwas rakho
Aur Ishwar par aastha
Kitna bhi muskil waqt kyo na ho
Zaroor niklega rasta
- shayiri
Khota sikka hu darbar mea pada rehne do
Mai dewana hu mujhe zid pe adda rehne do
Pav mea bediya (hatkadi) hath mea kada rehne do
Mujhe mere kahna ji ki adalat mea kada rehne do
- shayiri
Meri mehfil mea abhi
Nazm ki irshad (command) baki hai
Koi thoda hi bheega hai
Abhi poori barsat baki hai
- shayiri
Ibadat rab ki aur soorat yaar ki ho
Sajda rab ka aur rasm (culture) pyar ki ho
Aashiqo ke majhab (religion) ka kya kehna
Zikr rab ka baat yaar ki ho
- shayiri
Zarre Zarre (everywhere) mea uska noor hai
Tu dhekh le khud mea, veh na tujhse door mai
Yadi ishq hai usse to sabse ishq kar
Iss Ibaddat ka yahi dastoor hai
- thought
rehne de apni bandagi zahid
be-mohabbat (without love) ḳhuda nahin milta
- thought
hum ḳhuda ke kabhi qaayil (agree) hi na the
un ko dekha to ḳhuda yaad aaya
- shayiri
zamin jab bhi hui karbala (trouble) humare liye
to asman se utra ḳhuda humare liye
- thought
chal diye su-e-haram (in direction of Mecca) ku-e-butan (street of idols) se ‘momin’
jab diya ranj buton (idols / murti) ne to ḳhuda yaad aaya
- thought
abb to hai ishq-e-butan (love of beautifull womea) mea zindagani ka maza
jab ḳhuda ka samna hoga to dekha jayega
- thought
teri baḳhshish (support) ke bharose pe ḳhatayen (mistakes) ki hain
teri rehmat (mercy) (mercy) ke sahare ne gunahgar kiya
- poem
Sher ke se dahard (roar) hu mai
Ganga sa bahav hu mai
Bhem ka sa gyan hu mai
Krishan ka sa tej hu mai
Agni ka sa ajay hu mai
Vayu ka sa veg hu mai
Surya se tapish hu mai
Chandra sa shant hu mai
Satya hu mai
Dharm hu mai
Mujhse lage ga kaun
Swasyam (self) mea mahakal hu mai
Geeta sa kathan (saying) hu mai
Kuram ki aayat hu mai
Bible ka chand (verses) hu mai
Khud se hi khud se lada
Apne ander chala wo dawand (fight) hu mai
Brahma ka sa gyani hu mai
Gurbani ki vani hu mai
Dharam hu mai , dharmo ka saar hu mai
Mai ruk nahi sakta
Mai thak nahi sakta
Mai jhuk nahi sakta
Kyu ki kaal ke gaal pe satya sa prahar hu mai
Bhai ka pyar hu mai
Maa ka , behan ka dular hu mai
Meri maa ne jo dhekhe , unn sapno ka ansh hu mai
Pita ji ka rakt vansh hu mai
Nirasha mea ansha hu mai
Haar mea jeet hu mai
Mujhe umr bhar ka nahi pata
Ki kiska kya khumar ( nasha) hu mai
Magar jab tak zinda raha
Maa Baap ka sharman kumar hu mai
Islam ka molana hu mai
Rana ka bhaala hu mai
Lava se dhadahkti jawala hu mai
Shant sa khud mea khoya hua
Jangal ka ek Singh ( sher) hu mai
Uss Vishnu ka jaisa apne ander chupa ek Narsingh hu mai
Apne pita ke samman (respect) ka naz ( pride) hu mai
Masjid mea jo ada hui , wo paanch waqt ki namaz hu mai
Paap hu mai
Adarm hu mai
Kans jaisa krur ( bad without emotions) hu mai
Punye hu mai
Dharam hu mai
Mai to devki ka kishn hu mai
Mujhse lade ga kon
Sawayam (self) mea Mahakal hu mai
- thought
na sirf dair-o-haram (temple and mosque) balki (moreover) chadh ke daar pe bhi
tere pukarne vaale tujhe pukar gaye
- thought
koi surat bhi nahin milti kisi surat mea
kuza-gar (potter) kaisa karishma tere is chaak (pieces) mea hai
- thought
‘dagh’ ko kaun dene vaala tha
jo diya aye ḳhuda diya tu ne
- thought
poochhega jo ḳhuda to ye keh denge hashr (meeting) mea
haan haan gunah kiya teri rehmat (mercy) ke zor par
- shayiri
hum yahan ḳhud aaye hain laaya nahin koi humea
aur ḳhuda ka hum ne apne naam par rakkha hai naam
- thought
aata hai jo tufan aane de kashti ka ḳhuda ḳhud hafiz (protector) hai
mumkin hai ki uthti lehron mea behta hua sahil (kinara) aa jaaye
- thought
jholiyan sab ki bharti jaati hain
dene vaala nazar nahin aata
- shayiri
chhoda nahin ḳhudi ko daure ḳhuda ke pichhe
asan (easy) ko chhod bande mushkil ko dhundte hain
- thought
mai-ḳhane (wine shop) mea kyuun yad-e-ḳhuda (remembering god) hoti hai aksar
masjid mea to zikr-e-mai-o-mina ( talk about wine) nahin hota
- shayiri
tarif us ḳhuda ki jis ne jahan banaya
kaisi zamin banaye kya asman banaya
- shayiri
hai galat gar guman (doubt) mea kuchh hai
tujh siva bhi jahan mea kuchh hai
- thought
tu mere sajdon (kneel down in prayer) ki laaj rakh le shu.ur-e-sajda (brave enough to do prayer) nahin hai mujh ko
ye sar tere astan (door) se pehle kisi ke aage jhuka nahin hai
- shayiri
zindagi kehte hain jis ko chaar din ki baat hai
bas humesha rehne vaali ik ḳhuda ki zaat hai
- thought
gunahon se humea raghbat (liking) na thi magar ya rab
teri nigah-e-karam (look with love / affection) ko bhi munh dikhana tha
- thought
but-kade ( murtis/ idols) se chale ho kaabe (holy building in mecca) ko
kya milega tumhen ḳhuda ke siva
- thought
Buton (idols/ murtis) ko poojne valon ko kyun ilzam dete ho
Daro usse ki jis ne unko is qabil banaya hai
- thought
mere ḳhuda ne kiya tha mujhe asir-e-bahisht (tought heaven)
mere gunah ne rihaye mujhe dilaye hai
- thought
Javaz (justification) koi agar meri bandagi (worship) ka nahin
main puchhta huun tujhe kya mila ḳhuda ho kar
- thought
main payambar (prophet) tera nahin lekin
mujh se bhi baat kar ḳhuda mere
- thought
na mangiye jo ḳhuda se to mangiye kis se
jo de raha hai usi se saval (begging) hota hai
- shayiri
dekh chhoton ko hai allah badaye deta
asman aankh ke til (pupil of eye) mea hai dikhaye deta
- thought
Kaabe (holy building in mecca) mea bhi vahi hai shivale (mandir) mea bhi vahi
donon makan us ke hain chahe jidhar rahe
- thought
fitrat mea aadmi ki hai mubhum (hidden) sa ek ḳhauf
uss ḳhauf ka kisi ne ḳhuda naam rakh diya
- thought
ḳhud ko to ‘nadim’ azmaya
ab mar ke ḳhuda ko azmaoo
- shayiri
vo so raha hai ḳhuda duur asmanon mea
farishte loriyan gaate hain uske kanon mea
- thought
asman par ja pahunchun
allah tera naam likhun
- thought
hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kehte hain ki dhoondende se ḳhuda milta hai
- thought
sukh mea hota hai hafiza (memory) bekar
dukh mea allah yaad aata hai
- thought
agar teri ḳhushi hai tere bandon ki masarrat (pleasure) mea
to aye mere ḳhuda teri ḳhushi se kuchh nahin hota
- thought
ḳhuda se log bhi ḳha.if (afraid) kabhi the
magar logon se ab ḳha.if ḳhuda hai
- thought
dair o kaaba (mandir and masjid) mea bhatakte phir rahe hain raat din
Dhundhne se bhi to bandon ko ḳhuda milta nahin
- thought
aap karte jo ehtiram-e-butan (respect for idols/ murti)
but-kade (temples) ḳhud ḳhuda-ḳhuda karte
- thought
Kashti-e-e’tibar (boat of faith) tod ke dekh
ki ḳhuda bhi hai na-ḳhuda hi nahin
- thought
vo ḳhuda hai to meri rooh mea iqrar kare
kyuun pareshan kare duur ka basne vaala
- thought
aye ḳhuda meri ragon mea daud ja
shaḳh-e-dil ( branch of heart) par ik hari patti (green leave) nikal
- thought
Gul (flower) ghunche (rose bud) aftab (sun) shafaq (sky) chand (moon) kahkashan (galaxy)
aisi koi bhi cheez nahin jis mea tu na ho
- shayiri
mera akela ḳhuda yaad aa raha hai mujhe
ye sochta hua girja (church) bula raha hai mujhe
- shayiri
vo hai bada karim rahim (mercifull) uss ki zaat hai
nahaq (wrong) gunahgaron ko fikr-e-najat (worries to get freedom) hai
- shayiri
Dahr (danger) mea ik tere siva kya hai
tu nahin hai to phir bhala ( pleasing) kya hai
- thought
Iman (religion) bhi laaj rakh na saka mere jhuut ki
apne ḳhuda pe kitna mujhe e’timad (confidence) tha
- thought
shoridgi (confusion) ke haath se hai sar vabal-e-dosh (load on shoulder)
sahra (dessert) mea aye ḳhuda koi divar bhi nahin
- thought
usi ne chand ke pahlu mea ik charagh rakha
usi ne dasht (forest) ke zarron (dust/air) ko aftab (lighten up) kiya
- thought
tu ḳhuda hai to baja mujh ko darata kyun hai
ja mubarak ho tujhe tere karam ka saaya
- thought
koi surat bhi nahin milti kisi surat mea
kuza-gar (potter) kaisa karishma tere is chaak (pieces) mea hai