- shayiri
Inteqam ki aag ko dil mea sama ke bolte hai
Yakeen nahi aata to le palke bhiga k bolte hai
Aur meri nafrat ka aandaza laga lea isse baat se tu
Ki har baat pe jhoot bolte hai aur teri kasam kha k bolte hai.
- shayiri
Tu ek baar nazar mila ke keh de mujhe ki raqeeb (rival) chahea tujko
Teri kasam tujhe apni zindagi se abhi alvida abhi aur aaj keh du ga
Tu palat kar phir se meri bahoo ( arms) ko tarse gi
Aur na tarsi to apni mohabbat ko mazaq keh du ga
- shayiri
Ishq hai to ishq karo ehsaan mat dhikhana
Khud galti kar ke aankhe mujhe mat dhikhana
Aur mai insaan ki rooh se mohabbat karta hu jism se nahi
Ye apne husn ka garoor muhe mat dhikhana
- shayiri
Jiska haat thaam kiye hai tumne
Dhekta hu ye kaha tak sath jae ga
Aur phir toot kar mohabbat nahi karna chata hu mae
Kya pata kon kab apni aukat dhikha jae ga
- shayiri
Mujhe meri duniya mea kush dhek kar tumhari dharkane tham jae gi
Aur jab pata chale ga uss khusi ki wajah koi aur hai , to meri jaan , tumhari jaan pe ban aayegi
Tum jab batho ge tanha raato mea yaad karo ge , wo alfas (words) jo maine tumhare liye likhe thi
Kis tarah tum usse apna bata kar kisi aur ko suna diya karte thea
Wo mohabbat jo tumne mujhse seekhi thi , kis tarah tum kisi aur pe luta diya karte thea
Sath bitaye sabhi palo ko ginwakar tum maafi bhi maango ge , mae uss lamhe ko bhi nazar andaz kar du gi
Haan , mai tumhe pehchane se inkar kar du gi.
- shayiri
Ek baat poocho ga usko , agar kabhi baat hui meri
Kya khot tha meri mohabbat mea , kyo nighaye badli teri?
Kyo chood gayi mujhpe hasta zamane ko?
Kya mera hi dil mila tha tujhko dukane ko?
- shayiri
Usse bhulae mea itni sharab pe hai
Jaan nahi hai ab inn gurdo (kidneys) mea
Par sharab wo gajab ki chhez hai yaaro
Jo jaan dal de murdo (dead) mea
- shayiri
Tu soti hai bade cheaan (calm) se mujhe rulane ke baad
Raqeeb ( competitor) kahi aur ishq lagata hai tujhe sulane k baad
Meri maut par roi ge bahut ye likh kar le le
Kaun kayaal rakhge ga mujhe jalane k baad
- shayiri
Mohabbat ko mohabbat mea mohabbat se mohabbat ho gaye
Waqt ek pal ka laga mohabbat – mohabbat pe roo gaye.
- shayiri
Hamare darmaya ye jo aaye fasle to fasle hi sahi
Tum uss par hum iss par hi sahi
Lekin kabhi yaad aaye to fursat se milna aae dost
Varna kuch baat se kuch baat na hi sahi
- shayiri
Iss sehar (city) ke shor se kahe door apna ek makan banata
Kisi ke janne ke baad usk yadean bahut tang karti hai
Mere bas mea hota to yaadon ka ek kabristan banata
- shayiri
Mae ek kafir usse dhek ibadat kar gaya
Jab bhi uske aankho mea dhekha , dhekhte utar gaya
Aur mere har uss aansoo ne jannat ki tamanna choodh de
Jo uski yaad mea aankho se nikal mere hothon pe mar gaya
Aashiq ne aage badkar teer apne seene pe le liye
Wo raqeeb tha jo sabse pehle dar gaya
Aur shayid na keh pata mae apna haledil yaha
Wo to sahi waqt pe mehboob vade se mukar gaya
- shayiri
Badi matlabi duniya hai saheb , kon kiska hota hai
Jo tumhari baahon mea rehta tha kal talak
Aaj kisi aur ki baahon mea sota hai
Aur uski yaad mea mai akela nahi hu aasoo bahane wala
Ye aasmaan bhi hai jo mere sath mea rota hai
- shayiri
Meri zindagi ka ek panna (page) aase bhi mod diya usne
Ek pal mea gale lagaya ek pal mea chood diya usne
Kambaqt ishq ke khel khelte itni hunaar daar ho gaye thi
Naya aashiq bana k majbori bol diya usne
- shayiri
na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyaar apna
na hum ko attbaar apna , na unko attbaar apna
- THOUGHT
Kisi Ne Aankhon Me Dhool Kya Jhonki
Pahle se behter (better) Dikhne Laga.
- shayiri
Meri zindagi ka ek panna (page) aase bhi mod diya usne
Ek pal mea gale lagaya ek pal mea chood diya usne
Kambaqt ishq ke khel khelte itni hunaar daar ho gaye thi
Naya aashiq bana k majbori bol diya usne
- shayiri
na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyaar apna
na hum ko attbaar apna , na unko attbaar apna
- shayiri
Fasle pasand hi na thea hamea
Varna pyar to hum bhi jata (show) hi lete
Tum milti ya na milti hamea
Hum to tumhe pa hi lete
Aankh tum mila pati hum se nahi
Ankho ko pad ( read) ke sach pa hi lete
Agar chahti thi tum ki hum panah ho jae
Ek baar tum humne bula hi lete
Acha hi hua mera bharam ( misconception) thod diya tumne
Hum jaane kin kin se dhokha kha hi lete
- shayiri
Tera banavatipan (artificial nature) pasand aati nahi mujhko
Wo asmaan mea laal rang pasand aati nahi mukhko
Tera mera dyan rakhna kuch aasa lagta hai
jaise koi lash (dead body) ko kafan se saja jata hai mujhko
Rang bahut dekhe hai iss duniya mea maine
Sab bhatae ( like) hai par tera badalta rang bhata nahi mukhko
Tu ander se bhi utni hi banavati hai , janta hu mae
Par tera asli roop bahar lana aata nahi mukhko
Rab (God) ki ibadat sekhi hai maine apni zindagi mea
Ab uss rab ke pas jaine se koi rok paye ga na mujhko
Aakri khat jab tu mera pade (read) gi mere janne ke baad
Shukriya to dur , alvida (good bye) tak na likhu ga mae tujhko
- THOUGHT
Zaroorat tujhe bhi utni hi hai meri
Ye mere jane ke baad tu samjhi to kya samjhi
- shayiri
Zuba ( tounge) se kar diye ghav ( wound) tune itne
Ki muskurahato ka malham bhi asar na kiya
Aur muskurate rahe hum phir bhi tere samne
Kyo ki ye batate tujhe kaise ki tune mere dil ko maar hi diya
- shayiri
Tanha hu yu mae ki kabhi sara jahan (world) hi chahea
Aur mukammal hu kabhi yu ki mae ko mae bhi na chahea
- shayiri
Sahara dhood hi leta hai insaan kisi ka thukraya hua
Tu Sath de to jamana bhi ban jae sahara mera
Tere pane ke baad kya karo ga par zamane ko
ek din to aana hi hae maine tere dar par khusiyo se
Bas tab tak tu de ke rakh sahara
Kabhi koi mujhe na bol paye ki mae hu nakara ( useless)
Jiske pas tu hai wo kaise hae akela
Jisko tune sahara diya wo mukammal ( complete) hai – chahea ho akela
- THOUGHT
Aansoo aata rok diya maine
Socha kon dekh kar samjhe ga isse
Karan hi phir ban jae ga ek aur aansoo ka
Kitne aansoo rok pao ga mae akela
- thought
Bataea badi hoti to bata bhi dete hum
Kuch samajh aata hi nahi tha namea tumhari narazagi ka sabab
- thought
Muskurane ke khel mea jeetna seekh liya humne
Baki har khel mea tumhe jitate hum rahe
- THOUGHT
Jab tum sochti ho ki khush kyo hai ye
Meri khushi ka ek panna (paper) cheer (torn) deti ho tum
Mae has (smile) ke likh deta hu hazaro aur panne
taki phir bhi na dhekh sako mujhe rota hua tum
- thought
Bataea badi hoti to bata bhi dete hum
Kuch samajh aata hi nahi tha namea tumhari narazagi ka sabab
- thought
Wo mujhse meri har khusi ka karan chenta (snatch) raha
Iss tarah wo khud hi mujhse juda ho gaya
- shayiri
Bas jab mangta hu uss khuda se yahi mangta hu
Mere janne ke baad tujhse na mukatib ( introduce) hou kabhi
Aur tu meri kabr pe aase matam manaye
Jaise tu kahe ki aa jao kabr se mere aagosh (arms) mea tum
Mae ander hi muskurata raho aur sochta raho
Zindagi ko kabr tak pahuchane wali ae sun
Ab to sukoo hai ander yaha , ab tum dood (find) lo apna jahan
Dood lo wo jo tumhe de sake wo khusiya
Jo hum jaan de kar bhi na de sake tumhe
dood lo wo aash-o-aaram, wo daulat , wo shaan
Jo na dene par tum ne maar diya tha mere ander ka insaan
Mae janta hu tu aa nahi sake gi kabr mea mere sath
Kyo ki tumhari nazar mae to vahi insaan hu – hara aur nirash (defeated and down)
- THOUGHT
Ek saath dene wala tha mera
Jisko hum bolte hai bhagwaan
Bas usse ka karz ada karne ja raha hu
Aur iss safar mea akela nahi bhagwan ko sath hi le ja raha hu
- shayiri
Wo hamea janta hai , ye galatfehmi ( misunderstanding) usse rahe
Hame koi jaanta hai , ye galatfehmi mea hum jete rahe
- shayiri
Teri batao ke teer bahut tez hai bahut
mae bach bhi nahi pata aur jhel ( take) bhi nahi pata
Meri majbori ka ek faida ye bhi hai ki..
Mae je bhi nahi pata par mar bhi nahi pata
- THOUGHT
Dil karta hai uddel ( spill) du dil ko iss kagaz par
Darta hu mere gham se yeh bhi na saham (too scared) jae
Awara banna chahta hu mae
Taki koi dil ko na jane aur na hi usme gham ko daal pae
- shayiri
Pad (read) kar khud ke sher- ho gaye hum dher ( down)
Soch rahe hai kaise samete hai humne itne gham ek kagaz pe
Bhar kar ye kagaz kali kar diya humne dil gham se
Par dalti gaye tum gham hamare dil mea phir se dher (lot of)
- shayiri
Likh raha hu bas apne aasoo rok kar
Sukh (dry) jati hai shayid sihayi (ink) aasoou se jaldi — isliye
- shayiri
Baat ek samajh ki hi thi , par karach ( spend) kar di wo tumne garao (unknown) par
Aur samajhdari ke iss khel mea , hum aaye aankri number par
- shayiri
Khel khele , Hare jeete , Samjhe Samjhaya
Pata nahi kyo bas , mae hi tumhe samjha na paya
Ki chaheye tha bas thoda pyar mujhe
Darta tha kisi aur se na ho jae pyar mujhe
Ho jata to tumhi kehti , bewafa mil gaya yaar mujhe
- shayiri
Samajh pati tum hame to baat kuch aur hoti
Na mae mae hota aur na sari umr tum roti
- shayiri
Aaj thoda udas hu mae , shayid kisi ke na pas hu mae
Chahte sare hai mujhe , par shayid nirash (disheartened) hu mae
Nirash is liye nahi ki kush paya nahi
Nirash is liye ki rishte gava (lost) diye hai maine
Paisa , dhan sab mil jae ga dobara
Rishto ki darar kaha se bhar pao ga mae
Na mae koi mistry na mochi, na maine rab se ye kala sekhi
Sekha tha rishto ko nibhana
Par fati (torn) jeb (pocket) ne ye bhi hunar cheen (snatch) liya
Ab humse door gaya hai ye zamana
Ek din phir se jeb sil (stich) jae gi
Mere chere pe phir se hasi aayegi
Jisne thukraya hae mujhe , wo phir mere pas aayegi
Bas khuda usse pehle mil va de tere bande se
Jo mujhe pyar kare na ki mere jebo (pockets) se
- shayiri
Hasta hu tere aage mae har dum isliye ki
Kahi tu mujhe aur gham de de ye jan ke
Ki tere gham apnaye hai maine kis liye
- shayiri
Jetne deti bhi nahi wo
Harna mera usse kabool nahi
Ab kya kare hum ae khuda
Shayid wo mera hum safar hi nahi
- shayiri
Kabhi aasmano ko taka (look) karte thea hum
Ab ke baar aasmano ne taka hai humhe
Jo gujarishye humne rakhi thi sari
Khuda ne pegam bhej ke na kabool kar di hai sari
- shayiri
Kyo hota hai aasa bhi
Jispe barosa hota hai jaisa bhi
Toot jata hai bas ek tofaan ke aane se
Uda deta hai parda ho kaisa bhi
- shayiri
Khushi doond li hae humne garou (unknown) mea
Ab tum hamhe bulate kyo ho
Jis dil ko tum ne berehmi se mar diya tha
Ab gehri neend se usse udate kyo ho
- shayiri
Hal-e-dil aasa hai jaise ek parinda (bird) aasma mea udta hai
Doodta rehta hai wo khushiya zameen par
Par maza usko udne mea hi aata hai
- shayiri
Dil kiya kush likhoo mae — par kya?
Wo waqt jo guzar gaya — aaya na
Tune jo bola baar baar — dilmea utar gaya
Ab mae mae hi na raha — to kya
Doond lao ga mae mujhko kahi se — ye hai vada
Kush rahu ga jitna hota tha pehle — tujhe kya
Phir neeche na girne ke liye udu ga .. tu ja
bas vada khud se kar liya hai , jiyu ga khushi se — na aa (don’t come)
- shayiri
na aana mujhe apni hi nazaron se girane ke liye
Mae kisi kabil nahi , ye mujhe hi batane ke liye
Na aana phir se meri chot (wound) par chot lagane ke liye
Aur na hi aana jhoote vade nibhane ke liye
Na aana apne yakeen ko jhuthlane ( false) le liye
Ki mae gir gaya hu hamesha ke liye , na aana mujhe tu udane ke liye
Bas tu door se hi dekhte rehna , meri udhna , mera sambhalna
Tu kush hona ya udas , ye option hai tere pas
Kush hona mujhe sikha de agar koi
Aanna phir sirf meri lash ko dafnane ke liye
Mae to hasta hi rahu ga mar ke bhi zameen ke neeche
Ye soch kar ki tu na aa paye gi yaha mujhe phir se girane ke liye
- shayiri
Khuda tu to sunta hi tha hamesha meri fariyad
Tu bhi chup tha batha (sitting) dhek kar mere halaat
Chal mujhe na sahi mere yaar ko de deta dilasa
Uske baad wo khud hi samajh leta mere jasbaat
Na wo galat bolta , na mae galat sunta
Na wo mujhe chodta , na mae unko pakadta
Na wo ratea hoti , na diwaro se bataea hoti
Na wo sadko ko dhekti meri aankea
Na akele mea bataea hoti
Agar aye khuda tu dilasa deta mere yaar ko
Keh deta usko ki kuch der sabar kar
badal dooga taqdeer iski jald hi
Ki haalat badal du ga par tu na badal
Tooth jae ga tera mae hu , tu sambhal ke rakh isse
Par na tune kaha , na aasa kuch hua
Ab tu hi sambhal mujhe khuda
Aa jaou ga jald tere dar par
Ek vada tu kar ki tu der nahi karega
Agar kisi aur k sath ye sab hua to dilasha dega jald hi
- shayiri
Hota tha asse bhi kabhi
Sochta rehta thea asse bhi kabhi
Ye kar de ge , wo kar de ge
Jahan sare badal de ge, asse bhi kabhi
Kuch dur chale bhi hum , kuch dur gire bhi hum
Bas ruk gaye hum ,asse bhi kabhi
Bulaya peeche se kise ne pyar se
Chal pade hum peeche , asse bhi kabhi
Socha phir chale manzil ki aur
Manzilea badal gaye , asse bhi kabhi
Do raste , do musafir bandh gaye iss door (thread) se
Door toothi nahi ,hum bichad gaye asse bhi kabhi
Gir kar zameen par socha kare hum
Kyo tum itne gire , asse bhi kabhi
Rooth tum gaye , doob hum gaye
Chalte rehne ga ye vada humne kiya , asse bhi kabhi