- shayiri
Apni zulfo mea saja lo tum mere zakhmo ke gulaab
Tumhari bhikri hui zulfo ko dekha nahi jaata
Maine tumko bhitaya tha kabhi doli mea
Kya tumse mera janaza bhi dhekha nahi jaata
- shayiri
Ek din jab hua ishq ka ehsaas unhe
Wo hamare paas aa ke sara din rote rahe
Aur hum bhi itne khudgarz nikle yaaro
Aankhe band karke kafan mea sote rahe.
- SHAYIRI
Tune bewafaye ki humse par hum naa daga karnege
Maut tak tu sata le jitna , hum tujhse kuch na kahenge
Tab hoga tujhe afsos, jab naa is jahaan mea rahenge
Tab keh tu bhi kuch nahi payegi , bas gum mea tere aasoo behenge
- thought
Do gaj sahi ye meri malkiyat to hai
Ye maut tune mujhe zamidar kar diya
- shayiri
Kirdar ( character) pe gunna ki kalak laga k hum
Duniya se ja rahe hai ye daulat kama k hum
Jitni tavaqquat (expectation) zamane ko hum se hai
Utni to umar bhi nahi laye likha k hum
Aur kya jane kab utar pe aa jae ye patang
Ab tak to udd rahi hai sahare hawa k hum
- thought
Aakhri hichki tere zaanuu ( folded legs) pe aaye
Maut bhi mae shayarana chahta hu
- thought
Kitni aadatea (habits) pak gaye
Kitne khwaishye dab gaye
Hme jab jalaya gaya
Annkh sab ki nam hui
- shayiri
Mar to jana hai maine bhi tune bhi
Yaad aana hai maine bhi tune bhi
Bas ab ghar jana hai maine bhi tune bhi
- thought
Maut mujhe maar na payi
Usko mere jane k baad meri yaad aayi
- shayiri
Maut ki chinta nahi satati mujhe
Mere sapno ka adhorapan satata hai
Aaj bhi dil mea jal rahi hai aag
Mera junoon batata hai
- shayiri
Sakrdo ( hundreds) gham ke badal humhe abhi udane hai
Unke har baar ke khanjar abhi aajmane hai
Is tarah nahi marenge hum mere ajezzo ( friends)
Dum nikalne ke bhi to hajaro bahane hai
- SHAYIRI
Kya pata kab maut ka paigam aa jaye
Zindagi ki tab aakhri sham to jaye
Mai to dhoondta hu aise mauke ko aye dost
Ki meri zindagi bhi kisi ke kamm aa jaye
- shayiri
Mere baad kidhar jayegi meri tanhayi
Mae jo mara to mar jayegi meri tanhayi
Jab mea ro ro kar dariya ban jauga sanam
Uss din yaar utar jayegi meri tanhayi
- shayiri
Meri arthi par daal dena
Apna laal dupatta kafan samajh kar
Aaaram se so sakunga kabr mea mai
Apne hath mea tera daaman samajhj kar
- SHAYIRI
Teri maut ka ye gham hum she lenge
Naseeb mea hi nahi tha tu dil ko ye keh lenge
Tu toh shuru se khwaboo mea raha hai meri
Usse khwaboo mea ab hum saari umr reh lenge
- shayiri
Maut maangte hai to zindagi khafa ho jaati hai
Jehar lete hai to wo bhi dava ho jatti hai
Tu bata aye zindagi tera kya karu
Jisko bhi chaha wo bewafa ho jaati hai
- shayiri
Pyar ko tere thukra na sake
Dil hi aisa tha
Bemaut maare gaye hum
Wo pyaar hi aisa tha
Ek aadmi se hum pyaar ka dhoka kha baithe
Yaaro unka chaand sa mukhda hi aisa tha
- SHAYIRI
Mere marne ke baad hamara pyaar yaad karoge
Teri duniya ko chodhkar abb naa vapis aayenge
Hum bhi apne khuda ke pass tera khat dikhayenge
Teri har ek jurm ki kahani apne rab ko sunaeyge
- shayiri
Ghum ki ghata aaye to fir jhoom je barse
Barse to aise ki khushi dekh ke barse
Marne ka khauf nahi bas daar hai to itna
Dard na kum pad jaye aur pran nikalne ko tarse
- shayiri
Mujhe gairon se gila shikwa nahi
Yaha to mere apno ki hi chaal hai
Idhar annsoo hai meri maiyaat par sabhi ke
Udhar unki doli ka kaamal hai
- SHAYIRI
Hum mar gaye to sab ki dafnana ki fikar hogi
Kisi ko kabar ki to kisi ko le jane ki fikar hogi
Ae logo mera naam pukaro k masjid ke minaro mea
Kahi deer na ho jae janaze ki fikar hogi
Pehle rote thea mere marne k afsoos pe
Hum chale gaye to unko khanne ki fikar hogi
Ju hi shyam hogi , preshani bad jae gi
Kitne mehman aa gaye sab ko sulane ki fikar hogi
Peeke chawal banaoo ge hum raks kar jae ge
Sab ko biradri mea izzat banane ki fikar hogi
- shayiri
Jitne apne thea , sab paraye thea
Hum hawa ko gale lagaye thea
Jitni kasme thea , sab thi sharminda
Jitne vade thea , sar jhukaye thea
Jitne aasoo thea , sab thea begane
Jitne mehma thea , bin bulaye thea
Sab kitabe pade padaye thi
Sare kisse sune sunaye thea
Ek bnajar zameen k seene mea
Maine kuch aasma ugaye thea
Sirf do goodth pyass ki katir
Umr bhar doop pea nahaye thea
Haashiye (last kinara) per kade hue hai hum
Humne kud haashiye (last kinare) banaye thea
- shayiri
Mae jab mar jaou to meri alag pehchan likh dena
Lahu se meri peshani (forehead) pe Hindustan likh dena
- SHAYIRI
Na tha kuch to khuda tha
Kuch na hota to khuda hota
Duboa mujhko hone ne
Na hota mae to kya hota
Hua jo gham se be-his (without feeling) to gham kya sar ke katne ka
Na hota agar jhuda tan (body) se
To zaano pe dhara hota ( deep thought in feelings)
Hui muddat ki galib mar gaya , par yaad aata hai
Wo harek baad pe kehne
Ki yu hota to kya hota
- THOUGHT
Na jane kya keh jati hai
Maut insano ke kaan mea
Ki jane wala shaks (insan)
Palat kar tak nahi dhekhta
- THOUGHT
Bana kar usne mere sang reet (sand) ke mehal
Na jane kyo barrisho ko kabar kar de
- SHAYIRI
Mile hi na hota hum to kamal hota
Na tumhe malaal (repent) hota na hamhe malaal hota
- shayiri
Mai janta hu mera pyar tumhe nazar nahi aaye ga
Mai jab mar jao ga tab tumhe samajh aaye ga
Roti hui aao gi tum bhi mere ghar ke pas
Par fikar mat karna tumhare samne mujhe le jaya jae ga
Dhek lena aakri baar mujhe
Uske baad mera chehra tumhe kabhi nazar nahi aayega
Ro lena rakh kar sar mere seene par
Is wajah se hi sahi, mujhe thoda sukoon to mil jae ga
- THOUGHT
Mere chehre se kafan hata kar deedar to kar lo
Ae jaan , band ho gaye hai wo aankhe
Jinne tum rulaya karte thea
- thought
Kitna khushnuma hoga wo meri maut the manzar
Jab mujhe thukrane wale khud mujhe pane k liye aansoo bahaye ge
- THOUGHT
Uss se bhichdre to maloom hua ki maut bhi koi chez hai
Zindagi wo thi jo uski mehfil mea guzar gaye
- THOUGHT
Shikayat maut se nahi apne se thi mujhe
Zara se aankh band kya hui , wo kabar khodne lage
- shayiri
Na jane meri maut kaise hogi
Par ye to lazmi hai
Ki teri bewafi se behtar hogi
- shayiri
Wo ek din dher raat baat karke so gaye thi
Milna tha usee par car accident mea uski maut ho gaye thi
Aur ek din itna yaad aaye ki khud ko aag laga le maine
Mujhe bachane k liye wo barsat ki aad mea ro rahi thi
- THOUGHT
Wo doodh rahe thea hame shayid
Unhe hamari talash thi
Par jaha wo kade the
Wahi dafan hamari lash thi
- thought
Mohabbat ke naam pe diwane chale aate hai
Shaama ke peeche parwane chale aate hai
Tumhe yaad na aaye to chale aana meri maut par
Uss din to begane bhi chale aate hai
- shayiri
Ae maut kitni wafa hai tujhmea
Mai aaj aajmana chahta hu
Zindagi mea bahut rulaya hai mujhe
Tera sath mile to mae
Zindagi ko rulana chahta hu
- THOUGHT
Wade to hazaro kiye thea usne mujhse
Kash ek wada usne nibaya hota
Maut ka kisko pata ki kab aayegi
Par kash usne zinda dafnaya na hota
- thought
Apne wajod (existance) par itna na itra aye zindagi
Wo to maut hai jo tujhe mohalat dete ja rahi hai
- shayiri
Aree marne wale to ek din bin bataye mar jate hai
Roj to wo marte hai
Jo khud se zada kisi aur ko chahte hai
- THOUGHT
Wade to hazaro kiye thea usne mujhse
Kash ek wada usne nibaya hota
Maut ka kisko pata ki kab aayegi
Par kash usne zinda dafnaya na hota
- thought
Apne wajod (existance) par itna na itra aye zindagi
Wo to maut hai jo tujhe mohalat dete ja rahi hai