- shayiri
Sar jhukaoge to pather devta ho jaega
Itna mat chaho usse wo bewafa ho jae ga
- thought
Kuch to majboriya rahe hogi
Yu koi bewafa nahi hota
- thought
Apni tabahi ka mujhe koi gham nahi
Tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di
- thought
Log kehte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe
Tum jo kehte ho ki vehshat hai to vehshat hogi
- thought
Vo shaḳhs jis ko dil o jaan se badh ke chaha tha
Bichhad gaya to ba-zahir ( externally) koi malal nahin
- thought
Kucha-e-ishq (house of love) mein nikal aaya
Jis ko ḳhana-ḳharab ( to go to hell) hona tha
- thought
tum ne kiya na yaad kabhi bhuul kar humea
hum ne tumhari yaad mea sab kuchh bhula diya
- thought
hum se kya ho saka mohabbat mea
khair tum ne to bewafaye ki
- thought
hum se koi ta.alluq-e-khatir (regard for connection) to hai use
vo yaar ba-vafa (loyal) na sahi bewafa to hai
- thought
ik ajab haal hai ki ab uss ko
yaad karna bhi bewafaye hai
- shayiri
iss qadar musalsal (continuos) theen shiddaten (intensity) judayi ki
aaj pehli baar uss se main ne bewafayi ki
- thought
chala tha zikr zamane ki bewafayi ka
so aa gaya hai tumhara khayal vaise hi
- thought
ashiqui mea bahut zaruri hai
bewafayi kabhi kabhi karna
- thought
bewafayi pe teri ji (heart) hai fida
qahr (wrath / extreme anger) hota jo ba-vafa (loyal) hota
- shayiri
hum usea yaad bahut ayenge
jab usea bhi log thukrayege
- thought
dil bhi toda to saliqe (proper) se na toda tum ne
bewafayi ke bhi adab (rules) hua karte hain
- shayiri
vafa ki khair manata (wishing well) hun bewafayi mea bhi
main us ki qaid mea hun qaid se rihayi mea bhi
- thought
ud gayi yun vafa zamane se
kabhi goya (as if) kisi mea thi hi nahin
- thought
nahin shikva mujhe kuchh bewafayi ka teri hargiz
gila ( complaint) tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho
- thought
vafa karenge nibahenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
- thought
anjam-e-vafa (result of loyality) ye hai jis ne bhi mohabbat ki
marne ki dua mangi jeene ki saza paaye
- shayiri
ulfat mea barabar hai vafa ho ki jafa (disloyal) ho
har baat mea lazzat (taste) hai agar dil mea maza ho
- thought
kyun pasheman (ashamed) ho agar vaada vafa (promise of loyality) ho na saka
kahin vaade bhi nibhane ke liye hote hain
- thought
dushmanon ki jafa (disloyality) ka khauf nahin
doston ki vafa se darte hain
- thought
ek aurat se vafa karne ka ye tohfa mila
jaane kitni auraton ki bad-duayean saath hain
- shayiri
vafa jis se ki bewafa ho gaya
jise but (murti) banaya khuda ho gaya
- shayiri
duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad
- SHAYIRI
vafaon ke badle jafa (disloyality) kar rahe hain
main kya kar raha hun vo kya kar rahe hain
- thought
mere baad vafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gaali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jayega
- thought
vafa ikhlas (sincerity) qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pechha kyun karen hum
- thought
mohabbat adavat (hate) vafa be-rukhi (not paying attention)
kiraye ke ghar thea badalte rahe
- shayiri
kaun uthayega tumhari ye jafa mere baad
yaad aayegi bahut meri vafa mere baad
- shayiri
mujh se kya ho saka vafa ke siva
mujh ko milta bhi kya saza ke siva
- shayiri
kaam aa sakin na apni vafayen to kya karen
uss bewafa ko bhuul na jaayen to kya karen
- thought
Agahi (awareness) karb (distress) vafa (loyality) sabr (patience) tamanna (desire) ehsas (feeling)
mere hi seene (heart) mea utre hain ye khanjar saare
- thought
ye vafa ki sakht (hard) rahen ye tumhare paanv nazuk
na lo intiqam (revenge) mujh se mere saath saath chal ke
- thought
jaao bhi kya karoge mehr-o-vafa (gift of loyality)
bar-ha (lot of times) aazma ke dekh liya
- thought
ye kya ki tum ne jafa se bhi haath khinch liya
meri vafaon ka kuchh to sila diya hota
- shayiri
kabhi ki thi jo ab vafa kijiyega
mujhe puchh kar aap kya kijiyega
- thought
teri vafa mea mili arzu-e-maut (wish to die) mujhe
jo maut mil gayi hoti to koi baat bhi thi
- thought
na karen aap vafa hum ko kya
bewafa aap hi kehlaiyega
- thought
ummed to bandh jaati taskin (satisfaction) to ho jaati
vaada na vafa karte vaada to kiya hota
- thought
ishq paband-e-vafa (bound by loyality)hai na ki paband-e-rusum (bound by customs
sar jhukane ko nahin kahte hain sajda (prayer)karna
- thought
bahut mushkil zamanon mea bhi hum ahl-e-mohabbat (follows love)
vafa par ishq ki buniyad (base) rakhna chahte hain
- thought
vo kehte hain har chot par muskurao
vafa yaad rakkho sitam bhuul jaao