- thought
Na poocho husn ki tarif hum se
Mohabbat jis se ho bas vo haseen hai
- thought
Dil chahta hai har waqt tere sajde utarta rahu
Bhala iss kadar bhi haseen hota hai mehboob kisi ka
- THOUGHT
husn ke samajhne ko umr chahiye janan (sweetheart)
do ghadi ki chahat mea ladkiyan nahin khulten (open-up)
- thought
tumhari ankhon ki tauhin (insult) hai zara socho
tumhara chahne vaala sharab peeta hai
- SHAYIRI
uske chehre ki chumak ke samne saada (normal) laga
asman pe chand poora tha magar aadha laga
- SHAYIRI
Aayena (mirror) dekh ke kehte hain sanvarne (sajne) vaale
aaj be-maut marenge mere marne vaale
- thought
Haseen (beautyfull people) to aur hain lekin koi kahan tujh sa
jo dil jalaye bahut phir bhi dilruba hi lage
- THOUGHT
na poocho husn ki tarif hum se
mohabbat jis se ho bas vo hasin hai
- THOUGHT
Aayena (mirror) dekh ke kehte hain sanvarne (sajne) vaale
aaj be-maut marenge mere marne vaale
- SHAYIRI
tujhe kaun janta tha meri dosti se pehle
tera husn kuchh nahin tha meri shayiri se pehle
- THOUGHT
itne hijabon (parda) par to ye aalam (situation) hai husn ka
kya haal ho jo dekh lea parda utha ke hum
- SHAYIRI
ajab teri hai aye mehboob surat
nazar se gir gaye sab khoobsurat
- THOUGHT
ilahi (god) kaise kaise sooratean tu ne banaye hain
ki har surat kaleje (dil) se laga lene ke qabil (layak) hai
- THOUGHT
kaun si jagah hai jahan jalva-e-mashuq (display of sweetheart) nahin
shauq-e-didar (desire to see lover) agar hai to nazar paida kar
- THOUGHT
tere jamal (beauty) ki tasvir kheench (draw) dun lekin
zaban mea aankh nahin aankh mea zaban nahin
- SHAYIRI
aye sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
- THOUGHT
na paak (unpure) hoga kabhi husn o ishq ka jhagda (fight)
vo qissa hai ye ki jis ka koi gavah (witness) nahin
- THOUGHT
jis bhi fankar (artist) ka shahkar (masterpiece) ho tum
us ne sadiyon tumhen socha hoga
- THOUGHT
phool gul shums o qamar (available) saare hi thea
par humea unmea tumhe bhaaye bahut
- THOUGHT
tum husn ki khud ik duniya ho shayad ye tumhen malum nahin
mehfil mea tumhare aane se har cheez pe noor (light) aa jaata hai
- SHAYIRI
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
hum khak-nashinon (saints) ki thokar mea zamana hai
- THOUGHT
uff vo marmar (white marbel) se tarasha hua shaffaf (clean) badan
dekhne vaale use taj-mahal kehte hain
- SHAYIRI
nigah barq (light) nahin chehra aftab (sun) nahin
vo aadmi hai magar dekhne ki taab (purity) nahin
- THOUGHT
ishq ka zauq-e-nazara (enjoyment of seeing loved one) muft mea badnam hai
husn khud be-tab (restless) hai jalwa dikhane ke liye
- THOUGHT
Chank (face) lo angar (flames) meri khoboorati tumhe mile ge waha
Kya dhekte ho nadi (river) ki ravani (flow) door se
- thought
ishq bhi ho hijab (cover) mea husn bhi ho hijab mea
ya to khud ashkar (open) ho ya mujhe ashkar (open) kar
- shayiri
tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chand purana lagta hai
- THOUGHT
zara visal (meeting) ke baad aayena (mirror) to dekh aye dost
tere jamal (beauty) ki doshizgi (virginity) nikhar aaye
- thought
achchhi surat bhi kya buri shai ( cheez) hai
jis ne daali buri nazar daali
- thought
bahut dinon se mere saath thi magar kal shaam
mujhe pata chala vo kitni khoobsurat hai
- shayiri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhoka hai sab khate hai magar phir bhi
- thought
hum apna ishq chumkayen tum apna husn chumkao
ki hairan (amazed) dekh kar aalam (world) humea bhi ho tumhen bhi ho
- shayiri
kisi kali (bud) kisi gul (flower) mea kisi chaman (garden) mea nahin
vo rang hai hi nahin jo tere badan mea nahin
- thought
apne markaz ( center) ki taraf ma.il-e-parvaz (ready to fly) tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angdaye ka
- thought
vo chand keh ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mea baitha hua hun shaam se main
- shayiri
husn ik dilruba hukumat (kingdom) hai
ishq ik qudrati (natural) ghulami hai
- shayiri
husn aafat nahin to phir kya hai
tu qayamat nahin to phir kya hai
- shayiri
tujh sa koi jahan mea nazuk-badan kahan
ye pankhudi (petal) se hont (lips) ye gul sa badan kahan
- thought
husn (beauty) ko sharmsar karna hi
ishq (love) ka intiqam (revenge) hota hai
- thought
tumhara husn ara.ish (smart) tumhari sadgi zevar
tumhea koi zaroorat hi nahin banne sanvarne ki
- shayiri
tere hote hue mehfil mea jalate hain charagh
log kya saada (child-like) hain suraj ko dikhate hain charagh
- thought
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
eid ke chand ka didar bahana hi sahi
- thought
kashmir ki vaadi mea be-parda jo nikle ho
kya aag lagaoge barfili chatanon (mountains) mea
- thought
hum ishq mea hain fard (unique) to tum husn mea yakta (matchless)
hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi
- thought
meri nigah-e-shauq ( looking with desire) bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
- thought
rukh-e-raushan ( bright face) ke aage shum.a (light) rakh kar vo ye kehte hain
udhar jaata hai dekhen ya idhar parvana aata hai
- shayiri
husn ye hai ki dilruba ho tum
aib (fault) ye hai ki bewafa ho tum
- thought
zamana husn nazakat bala (silliness) jafa (injustice) shokhi (playfulness)
simat ke aa gaye sab aap ki adaon mea
- thought
aayena ( mirror) dekh kar vo ye samjhe
mil gaya husn-e-be-misal (unmatched beauty) humea
- shayiri
chand se tujh ko jo de nisbat ( comparison) so be-insaf (unfair) hai
chand ke munh par hai chha.in (want) tera mukhda saaf hai
- thought
dekhun tere hathon ko to lagta hai tere haath
mandir mea faqat (simply) deep jalane ke liye hain
- thought
ye dilbari (lovelness) ye naaz ye andaz ye jamal (beauty)
insan kare agar na teri chaah kya kare
- thought
allah allah husn ki ye parda-dari (secrecy) dekhiye
bhed (mystery)) jis ne kholna chaha vo diwana hua
- thought
chand si shakl (face) jo allah ne di thi tum ko
kaash raushan (bright) meri qismat ka sitara karte
- thought
na dekhna kabhi ayena bhul kar dekho
tumhare husn ka paida jawab kar dega
- thought
dil ke do hisse jo kar daale thea husn-o-ishq (beauty and love) ne
ek sehra (desert) ban gaya aur ek gulshan ( garden) ho gaya
- thought
khub-ru (beautyfull) hain saikdon (hundreds of people) lekin nahin tera jawab
dilruba.i (fascination) mea , ada mea , naaz mea , andaz mea
- thought
mushkil bahut padegi barabar ki chot hai
ayena dekhiyega zara dekh-bhal ke
- thought
husn yun ishq se naraz hai ab
phool khushboo se khafa ho jaise
- thought
allah-ri (o-god) jism-e-yar (body of loved one) ki khubi ki khud-ba-khud ( automatic)
ranginiyon mea doob gaya pairahan (dress) tamam
- thought
husn ko bhi kahan nasib ‘jigar’
vo jo ik shai (thing) meri nigah mea hai
- thought
surat to ibtida (beginning) se teri la-jawab thi
naz-o-ada (grace and stye) ne aur tarah-dar (stylish) kar diya
- thought
khuda ke dar se hum tum ko khuda to keh nahin sakte
magar lutf-e-khuda ( taste like god) qahr-e-khuda (anger like god) shan-e-khuda (glory of god) tum ho
- shayiri
iss dil mea tere husn ki vo jalvagari (high show value) hai
jo dekhe hai kehta hai ki sheshe ( bottle) mea pari hai
- thought
husn sab ko khuda nahin deta
har kisi ki nazar nahin hoti
- thought
aap kya aaye ki rukhsat (dismiss) sab andhere ho gaye
is qadar ghar mea kabhi bhi raushni dekhi na thi
- thought
chandni raton mea chillata phira
chand si jis ne vo surat dekh li
- thought
ab to tere husn ki har anjuman (meeting) mea dhoom hai
jis ne mera haal dekha tera diwana hua
- thought
achchhi surat nazar aate hi machal jaata hai
kisi aafat mea na daale dil-e-nashad (unhappy heart) mujhe
- thought
jitna dekho use thakti nahin ankhen varna
khatm ho jaata hai har husn kahani ki tarah
- thought
raushni ke liye dil jalana pada
kaisi zulmat (darkness) badhi tere jaane ke baad
- thought
bada vasi.a (clear) hai us ke jamal (beauty) ka manzar
vo ayeane mea to bas mukhtasar (short) sa rehta hai
- thought
astin (sleeves) us ne jo kuhni ( elbow) tak chadhaye ( pulled up) waqt-e-subhe (in morning)
aa rahi saare badan ki be-hijabi (be-sharmi) haath mea
- shayiri
aao husn-e-yar (beauty of friend)) ki baten karen
zulf (hairs) ki rukhsar (cheeks) ki baten karen
- thought
vo chandni mea phirte hain ghar ghar ye shor hai
nikla hai aftab (sun) shab-e-mahtab (moonlight) mea
- thought
vo khush-kalam (well spoken) hai aisa ki us ke paas humea
tavil (long) rehna bhi lagta hai mukhtasar (in-short) rehna
- shayiri
chand mashriq (east) se nikalta nahin dekha maine
tujh ko dekha hai to tujh sa nahin dekha maine
- thought
phoolon ki sej (bed) par zara aaram kya kiya
us gul-badan (body like flower) pe naqsh (artistic style) uth aaye gulab ke
- shayiri
raushan jamal-e-yar (beauty of friend) se hai anjuman (garden) tamam
dahka hua hai atish-e-gul (fire like flowers) se chaman (garden) tamam
- shayiri
shokhi (playfullness) se thaharti nahin qatil ki nazar aaj
ye barq-e-bala (lightning) dekhiye girti hai kidhar aaj
- shayiri
husn hai kafir (beloved) banane ke liye
ishq hai iman ( faith) laane ke liye
- thought
afsurdagi (sadness) bhi husn hai tabindagi (brightness) bhi husn
hum ko khizan (fall) ne tum ko sanvara bahaar ne
- thought
husn ko duniya ki ankhon se na dekh
apni ik tarz-e-nazar ( style of looks) ijad ( discover) kar
- thought
husn har haal mea hai husn paraganda (disturbed)naqab ( hidden)
koi parda hai na chilman ( curtain) ye koi kya jaane
- thought
charag chand shafaq (evening twilight) shaam phool jhiil (lake) saba (breeze)
churaye sab ne hi kuch kuch shabahaten (qualities) teri
- thought
husn bana jab behti ganga
ishq hua kaghaz ki naav
- thought
ye khula jism khule baal ye halke malbus (cloths)
tum naye subha ka aghaz (beginning) karoge shayad
- thought
ek hi anjam hai aye dost husn o ishq (beauty and love) ka
shumma (light) bhi bujhti hai parvanon (inspects) ke jal jaane ke baad
- shayiri
ye husn-e-dil-fareb (charming heart) ye aalam shabab (youth) ka
goya (jaise) chhalak (spill over) raha hai piyala sharab ka
- thought
vo apne husn ki khairat dene vaale hain
tamam jism ko kaasa (begging bowl) bana ke chalna hai
- thought
phool mehkenge yuhi , chand yuhi chumkega
tere hote hue manzar ko haseen rehna hai
- thought
vo chehra haath mea le kar kitab ki surat
har ek lafz har ik naqsh (artistic) ki ada dekhun
- thought
asman aur zamin ka hai tafavut (difference) har-chand (although)
aye sanam door hi se chand sa mukhda dikhla
- shayiri
tafriq (separation) husn-o-ishq (beauty and love) ke andaz mea na ho
lafzon mea farq ho magar awaz mea na ho
- thought
tujh ko shikva (complaint) hai ki ushshaq (lovers) ne badnam kiya
sach to ye hai ki tera husn hai dushman tera
- thought
jalwa-gar (present) bazm-e-hasinan ( group of beautyfull girls) mea hain vo is shaan se
chand jaise aye ‘qamar’ taron bhari mehfil mea hai
- thought
husn (beauty) bhi kambakht kab khali hai soz-e-ishq (fever of love) se
shamma (light) bhi to raat bhar jalti hai parvane ke saath
- thought
kisi mea taab (pure & clean) kahan thi ki dekhta unko
uthi naqab (mask) to hairat naqab ko ho ke rahi
- thought
har haqiqat hai ek husn ‘hafiz’
aur har husn ik haqiqat hai
- thought
kis ke chehre se uth gaya parda
jhilmilaye chiragh mehfil ke
- thought
mujhi ko parda-e-hasti (hiding behind cloth) mea de raha hai fareb
vo husn jis ko kiya jalva-afrin (praising looks) maine
- thought
agar aa jaaye pehlu mea ‘qamar’ vo mah-e-kamil ( full moon) bhi
do aalam ( world) jagmaga utthenge dohri ( double) chandni hogi
- shayiri
vo naha kar zulf-e-pechan (flowing hairs) ko jo bikhrane lage
husn ke dariya mea pinhan (secret) saanp (snake) lehrane lage
- thought
hain lazim-o-malzum (inseparable) bahum (like) husn (beauty) o mohabbat (love)
hum hote na talib (full of desire) jo vo matlub (in-demand) na hota
- thought
vo taghaful-shi.ar (uncaring /formality) kya jaane
ishq to husn ki zaroorat hai
- shayiri
kaun saani (compaired) shahr (city) mea is mere mah-pare (like moon) ka hai
chand si surat dupatta sar pe yak-tare (like star) ka hai
- thought
hum itni raushni mea dekh bhi sakte nahin usko
so (that’s why) apne aap hi iss chand ko gahna.e (jewellery) rakhte hain
- thought
husn aisa ki zamane mea nahin jis ki misal
aur jamal (beauty) aisa ki dhunda kare har khvab-o-khayal
- thought
husn aur ishq hain donon kafir (beloved)
donon mea ik jhagda (fight) sa hai
- thought
abru (eyebrow) ne mizha (eyelash) ne nigah-e-yar (eyes of friend) ne yaaro
be-rutba (honor less) kiya tegh (sharp weapon) ko khanjar (knife) ko sinan (sword) ko
- thought
shorish-e-ishq (confusion of love) mea hai husn barabar ka sharik (partner)
soch kar jurm-e-tamanna (crime of desire) ki saza do hum ko
- thought
ishq hai be-gudaz (hard) kyun husn hai be-niyaz (without want) kyun
meri vafa kahan gaye un ki jafa (injustice) ko kya hua
- thought
husn ke har jamal (beauty) mea pinhan (hidden)
meri rana.i-e-khayal (story of thoughts) bhi hai
- thought
mehakte phool sitare damakta chand dhanak
tere jamal (beauty) se kitnon ne istifada (gain) kiya
- thought
allah-re un ke husn ki mojiz-numa.iyan (display of miracles)
jis baam (terrace/roof) par vo aayen vahi koh-e-tur (mountain) ho
- thought
hai saaya chandni aur chand mukhda
dupatta asman-e-asman (sky) hai
- thought
Jee (heart) chahta hai sane-e-qudrat (creator of nature) pe huun nisar
But (murti/idol) ko bitha ke samne yad-e-khuda karun
- thought
husn (beauty) ayina (mirror) faash (reveal) karta hai
aise dushman ko sangsar (stoned to death) karo
- thought
vo lala-badan (flower like body) jhiil (lake) mea utra nahin varna
sho.ale (flames) mutavatir (continuosly) isi paani se nikalte
- thought
koh (mountain) sangin (heavy stones) haqa.eq (realities) tha jahan
husn ka khwab tarasha hum ne