Yeh suraj se bhi keh do  ke apni aag bujha ke kare

Agar usse baatein karni hai  toh phir nazar jhuka ke kare

 

Taare uske hath mea hone hi chahiye

Jugnu uske sath mea sone hi chahiye

Ooo khushboou se uski sifarish ki jae

 

Aye khuda tu bol de tere baadalon ko

Mera yaar hass raha hai baarish ki jae

 

Yeh suraj se bhi keh do  ke apni aag bujha ke kare

Agar usse baatein hai karni toh phir nazar jhuka ke kare

 

Mohabbat-e-jaani ki poori khwahish ki jae 

 

Aye Khuda …

 

Haaye aashiq ho jaane mea kitna waqt lagta hai 

 Rab ke ghar mea aane mea kitna waqt lagta hai 

 

Dekha usey toh yeh maloom hua ke 

jannat ko paane mea kitna waqt lagta hai

 

Yeh zamana jaane na kya kara sakti hai 

 Ooo yaar mere ki nazrein hai dariya dooba sakti hai 

Uska bas chale toh saara dariya pee jaaye 

 

Aye Khuda …..

 

Na duniya ke liye likhte na mere liye likhte 

Ghalib zinda hote toh tere liye likhte .. 


JANNU

Ab ke saawan mein paani barsa bahut

Pani ki har boond mein wo aaye yaad bahut

Iss suhane mausam mein saath nahi koi

Baadalo ke sath inn aankho se pani baha bahut

WHATSAPP

Uss ne barish mea bhi khidki khol ke dekha nahin

bhigne valon ko kal kya kya pareshani hui

JAMAL EHSANI

Main vo sehra ( kinara) jise paani ki havas le doobi

tu vo badal jo kabhi toot ke barsa hi nahin

SULTAN AKHTAR

dhoop ne guzarish ki

ek boond barish ki

MOHAMMAD ALVI

Tamam raat nahaya tha shehar ( city) barish mea

vo rang utar hi gaye jo utarne vaale thea

JAMAL EHSANI

ab bhi barsat ki raton mea badan tootta hai

jaag uthti hain ajab ḳhwahishen angdaye ki

PARVEEN SHAKIR

saath barish mea liye phirte ho us ko ‘anjum’

tum ne is shehar ( city) mea kya aag lagani hai koi

ANJUM SALEEMI

barsat ke aate hi tauba na rahi baaqi

badal jo nazar aaye , badli meri niyat bhi

HASRAT MOHANI

Tuut padti thean ghantayea (badal) jin ki ankhen dekh kar

vo bhari barsat mea tarse hain paani ke liye

SAJJAD BAQAR RIZVI

duur tak chhayea thea badal aur kahin saaya na tha

is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha

QATEEL SHIFAI

Barish sharab-e-arsh ( highest level of wine) hai ye soch kar ‘adam’

barish ke sab huruf ( letters / alphabets) ko ulta ke pee gaya

ABDUL HAMID ADAM

kyun maang rahe ho kisi barish ki duayean

tum apne shikasta (broken) dar-o-divar (doors and wall) to dekho

JAZIB QURAISHI

barsat ka badal to diwana hai kya jaane

kis raah se bachna hai kis chhat ( celing) ko bhigona hai

NIDA FAZLI

kachche makan jitne thea barish mea beh gaye

varna jo mera dukh tha vo dukh umar bhar ka tha

AKHTAR HOSHIYARPURI

Oos (dew) se pyaas kahan bujhti hai

musla-dhar ( heavy) baras meri jaan

RAJINDER MANCHANDA BANI

yaad aaye vo pehli barish

jab tujhe ek nazar dekha tha

NASIR KAZMI

bhegi mitti ki mehak pyaas badha deti hai

dard barsat ki boondon mea basa karta hai

MARGHOOB ALI

hum to samjhe thea ki barsat mea barsegi sharab

aaye barsat to barsat ne dil tod diya

SUDARSHAN FAKIR

Daftar (book) se mil nahin rahi chhutti vagarna (otherwse) main

barish ki ek buund na be-kar jaane duun

AZHAR FARAGH

door tak phaila hua paani hi paani har taraf

ab ke badal ne bahut ki meharbani har taraf

SHABAB LALIT

hum se puchho mizaj barish ka

hum jo kachche makan vaale hain

ASHFAQUE ANJUM

gungunati hui aati hain falak se boondea

koi badli teri pazeb ( gugroo) se takraye hai

QATEEL SHIFAI

baras rahi thi barish bahar

aur vo bheeg raha tha mujh mea

NAZEER QAISAR

‘kaif’ pardes mea mat yaad karo apna makan

ab ke barish ne use tod giraya hoga

KAIF BHOPALI

kya kahun dida-e-tar ( weeping eyes) ye to mera chehra hai

sang kat jaate hain barish ki jahan dhaar gire

SHAKEB JALALI

ghata dekh kar ḳhush huin ladkiyan

chhaton par khile phool barsat ke

MUNEER NIYAZI

ab ke barish mea to ye kar-e-ziyan (loss) hona hi tha

apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha

MOHSIN NAQVI

dar-o-divar ( doors and wall) pe shaklen ( faces) si banane aaye

phir ye barish meri tanhaye churane aaye

KAIF BHOPALI

ajab pur-lutf ( pleasant) manzar dekhta rehta hun barish mea

badan jalta hai aur main bhigta rehta hun barish mea

KHALID MOIN

aur bazar se kya le jauon

pehli barish ka maza le jauon

MOHAMMAD ALVI

Falak par udte jaate badalon ko dekhta hun main

hawa kehti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai

ABDUL HAMID

aane vaali barkha (baarish) dekhean kya dikhlaye ankhon ko

ye barkha barsate din to bin piritam (lover) be-kar (useless) gaye

HABIB JALIB

vo ab kya ḳhaak aaye haaye qismat mea tarasna tha

tujhe aye abr-e-rehmat ( much needed clouds)  aaj hi itna barasna tha

KAIFI HYDERABADI

kachi divaron ko paani ki lehar kaat gaye

pehli barish hi ne barsat ki dhaya ( bring down) hai mujhe

ZUBAIR RIZVI

furqat-e-yar ( separation of lovers) mea insan hun main ya ki sahab (cloud)

har baras aa ke rula jaati hai barsat mujhe

IMAM BAKHSH NASIKH

asman par chha gaye ghata ghur-ghangor ( angry and heavy clouds)

jaayen to jaayen kahan virane mea shor

BHAGWAN DAS EJAZ

Khoob badal ka barasna pyaar hai barsat mea

rehmaton ka is tarah izhar hai barsat mea

WHATSAPP

Yun to peene ke bahut charche hain bazm-e-zohd ( devotional get together) mea

kaun kafir ( beloved) hai jise inkar hai barsat mea

WHATSAPP

Doosre sab mausamon mea hain ravayye sard-o-garm (joy and sorrow)

us ke lab par haan magar iqrar hai barsat mea

WHATSAPP

Arman zamin ke jaag utthe dildar (sweetheart) ye pehli barish hai

kal soch raha tha saara jahan dushvar (difficult) ye pehli barish hai

ranjish ( complaints) jo hamare beech rahi to aag falak (heaven) ne barsaye

ab soch na kuch mausam ko samajh aye yaar ye pehli barish hai

fitrat (nature) mea nazar aate hain hamea apni hi mohabbat ke pehlu

inkar tha garmi ka aalam iqrar ye pehli barish hai

ehsas judaye donon taraf ankhon se meri aansoo hain ravan (flow)

us paar na jaane kaisa saman (importance) is paar ye pahli barish hai

ghunchon ( flowers) pe ajab shadabi ( freshness) hai aur jaag uthi hai hariyali

tu aur kahin main aur kahin aghosh-e-tamanna ( desire to be in lap) suuni ( silent) hai

aisa to kabhi pehle na hua is baar ye pahli barish hai

WHATSAPP

Aaj uss ne phir pooch liya

Baarish mea bheego ge kya ?

Maine kaha

Tum kara rahi ho to zaroor

 

Wo din yaad hai mujhko

Jab tum kehti thi

Rooyo ge kya ? ( will you cry)

Aur main kehta tha

Ji, Mere hazoor

 

Bas ab tum mangna chood (leave) do mujhse

Dena chahta hu tumhko

Wo sab jo tum diya karti thi

Is liye tum se poochta hu mae

Du kya?

Aur tum kaho gi !

Mujhe na kuch yaad hai aur na kuch manzoor

KHALVAAT-E-LUDHIANVI