dushmani laakh sahi ḳhatm na ki jiye rishta

dil mile ya na mile haath milate rahiye

NIDA FAZLI

divaren chhoti hoti thean lekin parda hota tha

talon (locks) ki ijad (invention) se pehle sirf bharosa (trust) hota tha

AZHAR FARAGH

meri taraf se to toota nahin koi rishta

kisi ne tod diya e’tibar (trust) toot gaya

AKHTAR NAZMI

mujhe manzur gar tark-e-ta’alluq (breaking of connections) hai raza (consent) teri

magar tutega rishta dard ka ahista ahista

AHMAD NADEEM QASMI

chalo kahin pe taalluq (relation) ki koi shakl (face) to ho

kisi ke dil mea kisi ki kami ghanimat (enough) hai

AFTAB HUSSAIN

sarhaden (borders) rok na paengi kabhi rishton ko

ḳhushbuoo par na kabhi koi bhi pehra nikla

WHATSAPP

kaun si baat hai tum mea aisi

itne achchhe kyuun lagte ho

MOHSIN NAQVI

Apna lo hamea ki akele hai hum

Dafna do hamea ki akele hai hum

Ya to aao jao  , ya le jao

Sahara do hamea ki akele hai hum

KHALVAAT LUDHIANVI

kaun si baat hai tum mae aise

itne achchhe kyun lagte ho

MOHSIN NAQVI

Apnapan to dikhao ek baar jaise

bhawra chala jata hai apne pankh jala ke

KHALVAAT LUDHIANVI

Tu jo aa jata , zindagi mea meri apnapan aa jata

Tere beggar (without you) yu to jee raha hu , jaise beech barish mea koi sukha (dry) ho jaise

KHALVAAT LUDHIANVI

Bas ek nazar ki baat thea tumhare liye

Apna lete ek baar hamea rulane se pehle

KHALVAAT LUDHIANVI

Tum to dil ke saath khel karte rahe

Hum phir bhi dard mea tumhe yaad karte rahe

Malham (ointment) apnepan ki le aao gi tum

Isse ummed mea zindagi basar karte rahe

KHALVAAT LUDHIANVI

Aate aate dher kar di tumne

Log ab le ja rahe hai mujhe jalane ko

Tum kaho to laut aaye ge waha se bhi

Kya apna pan hai tumhare pas jatane ko

KHALVAAT LUDHIANVI

Shikwa hum kya karte , Kis ko karte , kab karte , kaise karte

Bas yahi sawal ka jawab doodta raha hu mae

Har pal tere apnapan ko tarasta raha hu mae

KHALVAAT LUDHIANVI

Lab khol , nazar mila , apna hu ya mae paraya , mujhe ye to bata

Baat kar , hath mila ,paraya hu chood (leave) de mujhe

 apna hu to apnepan ka eshsaas to kara

KHALVAAT LUDHIANVI

Chalta hi raha garam reet mea nange paar mae

Har chaale (boil) pe malham (ointment) tere apnepan ka laga kar

Jab manzil pea tu na mile mujhko

Wapis chal diya mae khud apne lash uda kar

KHALVAAT LUDHIANVI

Aaatma ruth gaye hai mujhse ye keh kar

Tu yaad kisko karta rehta hai apna keh kar

KHALVAAT LUDHIANVI

Pukarna aata tha mujhe sab aur nazar kar k

Tere apnepan ka tasavuur (imagination) tha , mae tujhse nikla hi nahi

KHALVAAT LUDHIANVI

Log kehte hai shayid mae mar gaya hu kab se

Unko maloom hi nahi jannat ka nazara phir

KHALVAAT LUDHIANVI

Wo jo mere apne hone ka dava karte hai

Mujhe pata hai wo dhikhawa karte hai

Peed peeche wo meri karte hai burayi

Aur muh kea age meri wah wah karte hai

WHATSAPP

Wo jo mujhe unka apna batate hai

Wo meri tasveer ko divar pea tagi (hang) dekhna chahte hai

WHATSAPP

Apnapan chalke jiski batou (talks) mea

Sirf kuch hi log aase hote hai lakho mea

WHATSAPP

Mohabbat karke jab dil toot jata hai

Pal bhar mea hi apnapan chut (leave) jata hai

WHATSAPP

Pal pal ke rishte ka wada hai aapse

Apna pan kuch inta ziyada hai aapse

Na sochna ki bhul gaye hum aap ko

Zindagi bhar chahege ye vada hai aapse

WHATSAPP

Zindagi mea apnapan to har koi dhikhata hai

Par apna kon hai , Ye waqt batata hai

WHATSAPP

Apne hi apno se karte hai apnepan ki abhilasha (wish)

Par apno ne hi badal rakhi hai apnepan ki prebasha (definition)

WHATSAPP

Zindagi dene wale marta chod (leave) gaye

Apnapan jatane wale tanhah chod gaye

Jab padi zaroorat hamea hamsafar ki

Wo jo sath vale thea sab rasta mod gaye

WHATSAPP

Rimjim to hai magar sawan gayab hai

Bache to hai magar bachpan gayab hai

Kya ho gaye hai tasver zamane ki yaaro

Apne to hai magar apnapan gayab hai

WHATSAPP

Jab aapka naam zaban par aata hai

Pata nahi dil kyo muskurata hai

Tasalli hoti hai maan ko koi to hai apna jo

Haste hue har waqt yaad aata hai

WHATSAPP