Aankh mea paani rakho honton pe chingari rakho

Zinda rehna hai to tarkiben bahut saari rakho


Raah ke patthar se badh kar kuch nahin hain manzilen

Raste awaz dete hain safar jaari rakho


Ek hi nadi ke hain ye do kinare dosto

Dostana zindagi se, maut se yaari rakho


Aate jaate pal ye kehte hain hamare kaan mea

Kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho


Ye zaroori hai ki ankhon ka bharam qaayem rahe

Neend rakho ya na rakho khwab meyari (standard) rakho


Ye havayen ud na jaayen le ke kaghaz ka badan

Dosto mujh par koi pattar zara bhari rakho


Le to aaye shayiri bazar mea ‘rahat’ miyan

Kya zaroori hai ki lehje ko bhi bazari rakho


**********************************************



Roz taron ko numayish mea ḳhalal padta hai

Chand pagal hai andhere mea nikal padta hai


Ek diwana musafir hai meri ankhon mea

Vaqt-be-vaqt (anytime) thahar (stay) jaata hai chal padta hai


Apni tayabir (interpretation of dream) ke chakkar mea mera jagta khwab

Roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai


Roz patthat ki himayat mea ghazal likhte hain

Roz shishon se koi kaam nikal padta hai


Us ki yaad aaye hai sanso zara ahista chalo

Dhadkanon se bhi ibadat mea ḳhalal padta hai


********************************************



Haath ḳhali hain tere shahar se jaate jaate

Jaan hoti to meri jaan lutate jaate


Ab to har haath ka patthar hamea pahchanta hai

Umr guzri hai tere shahar mea aate jaate


Ab ke mayus hua yaron ko ruḳhsat kar ke

Ja rahe the to koi zaḳhm lagate jaate


Rengne ki bhi ijazat nahin ham ko varna

Ham jidhar jaate naye phuul khilate jaate


Main to jalte hue sahraon (coal) ka ik patthar tha

Tum to dariya thea meri pyaas bujhate jaate


Mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad

Log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate


Hum se pehle bhi musafir kayi guzre honge

Kam se kam raah ke patthar to hatate jaate


***********************************************


Teri har baat mohabbat mea gavara kar ke

Dil ke bazar mea baithe hain khasara kar ke


Aate jaate hain kayi rang mire chehre par

Log lete hain maza zikr tumhara kar ke


Ek chingari nazar aaye thi basti mea use

Vo alag hat gaya andhi ko ishara kar ke


Asmanon ki taraf phenk diya hai main ne

Chand mitti ke charaghon ko sitara kar ke


Main vo dariya huun ki har buund bhanvar hai jis ki

Tum ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke


Muntazir huun ki sitaron ki zara aankh lage

Chand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke


*************************************



Bimar ko maraz ki dava deni chahiye

Main piina chahta huun pila deni chahiye


Allah barkaton se nawazega ishq mea

Hai jitni punji paas laga deni chahiye


Dil bhi kisi faqir ke hujre se kam nahin

Duniya yahin pe la ke chhupa deni chahiye


Main ḳhud bhi karna chahta huun apna samna

Tujh ko bhi ab naqab utha deni chahiye


Main phuul huun to phuul ko gul-dan ho nasib

Main aag huun to aag bujha deni chahiye


Main taaj huun to taaj ko sar par sajayen log

Main ḳhaak huun to ḳhaak uda deni chahiye


Main jabr huun to jabr ki tayid band ho

Main sabr huun to mujh ko dua deni chahiye


Main khwab huun to khwab se chaunkaiye mujhe

Main neend huun to neend uda deni chahiye


Sach baat kaun hai jo sar-e-am kah sake

Main kah raha huun mujh ko saza deni chahiye


************************************************



Kahin akele mea mil kar jhinjhod dunga use

Jahan jahan se vo tuuta hai jod dunga use


Mujhe vo chhod gaya ye kamal hai us ka

Irada main ne kiya tha ki chhod dunga use


Badan chura ke vo chalta hai mujh se shisha-badan

Use ye dar hai ki main tod phod dunga use


Pasine bantta phirta hai har taraf suraj

Kabhi jo haath laga to nichod dunga use


Maza chakha ke hi maana huun main bhi duniya ko

Samajh rahi thi ki aise hi chhod dunga use


******************************************


Sirf ḳhanjar hi nahin ankhon mea paani chahiye

Ai ḳhuda dushman bhi mujh ko ḳhandani chahiye


Shahar ki saari alif-lailayen budhi ho chukin

Shahzade ko koi taaza kahani chahiye


Main ne ai suraj tujhe puuja nahin samjha to hai

Mere hisse mea bhi thodi dhuup aani chahiye


Meri qimat kaun de sakta hai is bazar mea

Tum zuleḳha ho tumhen qimat lagani chahiye


Zindagi hai ik safar aur zindagi ki raah mea

Zindagi bhi aaye to thokar lagani chahiye


Main ne apni ḳhushk ankhon se lahu chhalka diya

Ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye


************************************************



Na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega

Hamare paanv ka kanta hamin se niklega


Main janta tha ki zahrila saanp ban ban kar

Tira ḳhulus meri astin se niklega


Isi gali mea vo bhuka faqir rahta tha

Talash kiije ḳhazana yahin se niklega


Buzurg kehte the ik vaqt aayega jis din

Jahan pe dubega suraj vahin se niklega


Guzishta saal ke zaḳhmo hare-bhare rehna

Julus ab ke baras bhi yahin se niklega


*********************************



Main laakh kah duun ki akash huun zamin huun main

Magar use to ḳhabar hai ki kuch nahin huun main


Ajiib log hain meri talash mea mujh ko

Vahan pe dhund rahe hain jahan nahin huun main


Main ayinon se to mayus laut aaya tha

Magar kisi ne bataya bahut hasin huun main


Vo zarre zarre mea maujud hai magar main bhi

Kahin kahin huun kahan huun kahin nahin huun main


Vo ik kitab jo mansub tere naam se hai

Usi kitab ke andar kahin kahin huun main


Sitaro aao meri raah mea bikhar jaao

Ye mera hukm hai halanki kuch nahin huun main


Yahin husain bhi guzre yahin yazid bhi tha

Hazar rang mea duubi hui zamin huun main


Ye budhi qabren tumhen kuch nahin batayengi

Mujhe talash karo dosto yahin huun main


*************************************************



Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyuun hain

Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyuun hain


Mai-kada zarf ke meyaar ka paimana hai

ḳhali shishon ki tarah log uchhalte kyuun hain


Mod hota hai javani ka sambhalne ke liye

Aur sab log yahin aa ke phisalte kyuun hain


Neend se mera tayalluq hi nahin barson se

khwab aa aa ke meri chhat pe tahalte kyuun hain


Main na jugnu huun diya huun na koi taara huun

Raushni vaale mire naam se jalte kyuun hain


*************************************************



Ajnabi ḳhvahishen siine mea daba bhi na sakun

Aise ziddi hain parinde ki uda bhi na sakun


Phunk dalunga kisi roz main dil ki duniya

Ye tira ḳhat to nahin hai ki jila bhi na sakun


Meri ghairat bhi koi shai hai ki mahfil mea mujhe

Us ne is tarah bulaya hai ki ja bhi na sakun


Phal to sab mere daraḳhton ke pake hain lekin

Itni kamzor hain shaḳhen ki hila bhi na sakun


Ik na ik roz kahin dhund hi lunga tujh ko

Thokaren zahr nahin hain ki main kha bhi na sakun


************************************************



Bulati hai magar jaane ka nayin

Vo duniya hai udhar jaane ka nayin


Sitare noch kar le jayunga

Main ḳhali haath ghar jaane ka nayin


Mire bete kisi se ishq kar

Magar had se guzar jaane ka nayin


Vo gardan napta hai naap le

Magar zalim se dar jaane ka nayin


Vaba phaili hui hai har taraf

Abhi mahaul mar jaane ka nayin


**********************************************



Ghar se ye soch ke nikla huun ki mar jaana hai

Ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai


Jism se saath nibhane ki mat ummid rakho

Is musafir ko to raste mea thahar jaana hai


Maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukar

Main yahi soch ke zinda huun ki mar jaana hai


Nashsha aisa tha ki mai-ḳhane ko duniya samjha

Hosh aaya to ḳhayal aaya ki ghar jaana hai


Mire jazbe ki badi qadr hai logon mea magar

Mere jazbe ko mire saath hi mar jaana hai


***************************************



Dilon mea aag labon par gulab rakhte hain

Sab apne chehron pe dohri naqab rakhte hain


Hamea charagh samajh kar bujha na paoge

Ham apne ghar mea kayi aftab rakhte hain


Bahut se log ki jo harf-ashna bhi nahin

Isi mea ḳhush hain ki teri kitab rakhte hain


Ye mai-kada hai vo masjid hai vo hai but-khana

Kahin bhi jaao farishte hisab rakhte hain


Hamare shahar ke manzar na dekh payenge

Yahan ke log to ankhon mea khwab rakhte hain


******************************************



Dosti jab kisi se ki jaaye

Dushmanon ki bhi raaye li jaaye


Maut ka zahr hai fazaon mea

Ab kahan ja ke saans li jaaye


Bas isi soch mea huun duuba hua

Ye nadi kaise paar ki jaaye


Agle vaqton ke zaḳhm bharne lage

Aaj phir koi bhuul ki jaaye


Lafz dharti pe sar patakte hain

Gumbadon mea sada na di jaaye


Kah do is ahd ke buzurgon se

Zindagi ki dua na di jaaye


Botalen khol ke to pi barson

Aaj dil khol kar hi pi jaaye


***********************************************



Andar ka zahr chuum liya dhul ke aa gaye

Kitne sharif log the sab khul ke aa gaye


Suraj se jang jitne nikle the bevaquf

Saare sipahi mom ke the ghul ke aa gaye


Masjid mea duur duur koi dusra na tha

Ham aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye


Nindon se jang hoti rahegi tamam umr

Ankhon mea band khwab agar khul ke aa gaye


Suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli baar

Ayine ko maze bhi taqabul ke aa gaye


Anjane saaye phirne lage hain idhar udhar

Mausam hamare shahar mea kabul ke aa gaye


***********************************************



Charaghon ka gharana chal raha hai

Hava se dostana chal raha hai


Javani ki havayen chal rahi hain

Buzurgon ka ḳhazana chal raha hai


Meri gum-gashtagi par hansne vaalo

Mire pichhe zamana chal raha hai


Abhi ham zindagi se mil na paaye

Tayaruf ghayebana chal raha hai


Naye kirdar aate ja rahe hain

Magar natak purana chal raha hai


Vahi duniya vahi sansen vahi ham

Vahi sab kuch purana chal raha hai


Ziyada kya tavaqqoya ho ghazal se

Miyan bas ab-o-dana chal raha hai


Samundar se kisi din phir milenge

Abhi pina-pilana chal raha hai


Vahi mahshar vahi milne ka vayada

Vahi budha bahana chal raha hai


Yahan ik madrasa hota tha pahle

Magar ab karḳhana chal raha hai


************************************************



Kaam sab ghair-zaroori hain jo sab karte hain

Aur ham kuch nahin karte hain ghazab karte hain


Aap ki nazron mea suraj ki hai jitni azmat

Ham charaghon ka bhi utna hi adab karte hain


Ham pe hakim ka koi hukm nahin chalta hai

Ham qalandar hain shahanshah laqab karte hain


Dekhiye jis ko use dhun hai masihayi ki

Aaj kal shahar ke bimar matab karte hain


ḳhud ko patthar sa bana rakkha hai kuch logon ne

Bol sakte hain magar baat hi kab karte hain


Ek ik pal ko kitabon ki tarah padhne lage

Umr bhar jo na kiya ham ne vo ab karte hain


********************************************



Kabhi dimagh kabhi dil kabhi nazar mea raho

Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mea raho


Jala na lo kahin hamdardiyon mea apna vajud

Gali mea aag lagi ho to apne ghar mea raho


Tumhen pata ye chale ghar ki rahaten kya hain

Hamari tarah agar chaar din safar mea raho


Hai ab ye haal ki dar dar bhatakte phirte hain

Ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mea raho


Kisi ko zaḳhm diye hain kisi ko phuul diye

Buri ho chahe bhali ho magar ḳhabar mea raho


*************************************************



Vo ik ik baat pe rone laga tha

Samundar aabru khone laga tha


Lage rahte the sab darvaze phir bhi

Main ankhen khol kar sone laga tha


Churata huun ab ankhen ayinon se

ḳhuda ka samna hone laga tha


Vo ab ayine dhota phir raha hai

Use chehre pe shak hone laga tha


Mujhe ab dekh kar hansti hai duniya

Main sab ke samne rone laga tha


***********************************************



Raat ki dhadkan jab tak jaari rahti hai

Sote nahin ham zimmedari rahti hai


Jab se tu ne halki halki baten kien

Yaar tabiyat bhari bhari rahti hai


Paanv kamar tak dhans jaate hain dharti mea

Haath pasare jab ḳhuddari rahti hai


Vo manzil par aksar der se pahunche hain

Jin logon ke paas savari rahti hai


Chhat se us ki dhuup ke neze aate hain

Jab angan mea chhanv hamari rahti hai


Ghar ke bahar dhundhta rahta huun duniya

Ghar ke andar duniya-dari rahti hai


**********************************************



Ab apni ruuh ke chhalon ka kuch hisab karun

Main chahta tha charaghon ko aftab karun


Mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jaaye

To shahar-bhar ke ḳhudaon ko be-naqab karun


Us aadmi ko bas ik dhun savar rahti hai

Bahut hasin hai duniya ise ḳharab karun


Hai mere charon taraf bhiid gunge bahron ki

Kise ḳhatib banayun kise ḳhitab karun


Main karvaton ke naye zayiqe likhun shab-bhar

Ye ‘ishq hai to kahan zindagi ‘azab karun


Ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi

Kahin akele mea mil jaaye to hisab karun


*********************************************



Hausle zindagi ke dekhte hain

Chaliye kuch roz ji ke dekhte hain


Neend pichhli sadi ki zaḳhmi hai

khwab agli sadi ke dekhte hain


Roz ham ik andheri dhund ke paar

Qafile raushni ke dekhte hain


Dhuup itni karahti kyuun hai

Chhanv ke zaḳhm si ke dekhte hain


Tiktiki bandh li hai ankhon ne

Raste vapsi ke dekhte hain


Paniyon se to pyaas bujhti nahin

Aayeye zahr pi ke dekhte hain


**********************************************



Sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga

Main is bahar mea sab ka hisab kar dunga


Main intizar mea huun tu koi saval to kar

Yaqin rakh main tujhe la-javab kar dunga


Hazar pardon mea ḳhud ko chhupa ke baith magar

Tujhe kabhi na kabhi be-naqab kar dunga


Mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par

Main neze neze ko shaḳh-e-gulab kar dunga


Mujhe yaqin ki mahfil ki raushni huun main

Use ye ḳhauf ki mahfil ḳharab kar dunga


Mujhe gilas ke andar hi qaid rakh varna

Main saare shahar ka paani sharab kar dunga


Mahajanon se kaho thoda intizar karen

Sharab-ḳhane se aa kar hisab kar dunga


*************************************************



Charaghon ko uchhala ja raha hai

Hava par royab daala ja raha hai


Na haar apni na apni jiit hogi

Magar sikka uchhala ja raha hai


Vo dekho mai-kade ke raste mea

Koi allah-vala ja raha hai


The pahle hi kayi saanp astin mea

Ab ik bichchhu bhi paala ja raha hai


Mire jhute gilason ki chhaka kar

Bahakton ko sambhala ja raha hai


Hami buniyad ka patthar hain lekin

Hamea ghar se nikala ja raha hai


Janaze par mire likh dena yaaro

Mohabbat karne vaala ja raha hai


*************************************************


Baithe baithe koi ḳhayal aaya

Zinda rahne ka phir saval aaya


Kaun dariyaon ka hisab rakhe

Nekiyan nekiyon mea daal aaya


Zindagi kis tarah guzarte hain

Zindagi bhar na ye kamal aaya


Jhuut bola hai koi ayina

Varna patthar mea kaise baal aaya


Vo jo do-gaz zamin thi mere naam

Asman ki taraf uchhal aaya


Kyuun ye sailab sa hai ankhon mea

Muskuraye the ham-ḳhayal aaya


*******************************************************



Ye sard raten bhi ban kar abhi dhuan ud jaayen

Vo ik lihaf main odhun to sardiyan ud jaayen


ḳhuda ka shukr ki mera makan salamat hai

Hain utni tez havayen ki bastiyan ud jaayen


Zamin se ek tayalluq ne bandh rakkha hai

Badan mea ḳhuun nahin ho to haddiyan ud jaayen


Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki

Ye kaghzat ḳhuda jaane kab kahan ud jaayen


Rahe ḳhayal ki majzub-e-ishq hain ham log

Agar zamin se phunken to asman ud jaayen


Havayen baaz kahan aati hain shararat se

Saron pe haath na rakkhen to pagdiyan ud jaayen


Bahut ghurur hai dariya ko apne hone par

Jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyan ud jaayen


**********************************************



Andhere charon taraf saayen saayen karne lage

Charagh haath utha kar duayen karne lage


Taraqqi kar gaye bimariyon ke saudagar

Ye sab mariz hain jo ab davayen karne lage


Lahu-luhan pada tha zamin par ik suraj

Parinde apne paron se havayen karne lage


Zamin par aa gaye ankhon se tuut kar aansu

Buri ḳhabar hai farishte ḳhatayen karne lage


Jhulas rahe hain yahan chhanv bantne vaale

Vo dhuup hai ki shajar iltijayen karne lage


Ajiib rang tha majlis ka ḳhuub mahfil thi

Safed posh uthe kaayen kaayen karne lage


***************************************************



Hon laakh zulm magar bad-dua nahin denge

Zamin maan hai zamin ko dagha nahin denge


Hamea to sirf jagana hai sone valon ko

Jo dar khula hai vahan ham sada nahin denge


Rivayaton ki safen tod kar badho varna

Jo tum se aage hain vo rasta nahin denge


Yahan kahan tira sajjada aa ke ḳhaak pe baith

Ki ham faqir tujhe boriya nahin denge


Sharab pi ke bade tajarbe hue hain hamea

Sharif logon ko ham mashvara nahin denge


**************************************************



Zindagi ki har kahani be-asar ho jayegi

Ham na honge to ye duniya dar-ba-dar ho jayegi


Paaon patthar kar ke chhodegi agar ruk jayiye

Chalte rahiye to zamin bhi ham-safar ho jayegi


Jugnuon ko saath le kar raat raushan kijiye

Rasta suraj ka dekha to sahar ho jayegi


Zindagi bhi kaash mere saath rahti ‘umr-bhar

ḳhair ab jaise bhi honi hai basar ho jayegi


Tum ne ḳhud hi sar chadhayi thi so ab chakkho maza

Main na kahta tha ki duniya dard-e-sar ho jayegi


Talḳhiyan bhi lazmi hain zindagi ke vaste

Itna mitha ban ke mat rahiye shakar ho jayegi


************************************************



Use ab ke vafaon se guzar jaane ki jaldi thi

Magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi


Irada tha ki main kuch der tufan ka maza leta

Magar bechare dariya ko utar jaane ki jaldi thi


Main apni mutthiyon mea qaid kar leta zaminon ko

Magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi


Main aḳhir kaun sa mausam tumhare naam kar deta

Yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi


Vo shaḳhon se juda hote hue patton pe hanste the

Bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi


Main sabit kis tarah karta ki har ayina jhuta hai

Kayi kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi


*******************************************************



Tumhare naam par main ne har aafat sar pe rakkhi thi

Nazar shoyalon pe rakkhi thi zaban patthar pe rakkhi thi


Hamare khwab to shaharon ki sadkon par bhatakte the

Tumhari yaad thi jo raat bhar bistar pe rakkhi thi


Main apna azm le kar manzilon ki samt nikla tha

Mashaqqat haath pe rakkhi thi qismat ghar pe rakkhi thi


Inhin sanson ke chakkar ne hamea vo din dikhaye the

Hamare paanv ki mitti hamare sar pe rakkhi thi


Sahar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the

Diye palkon pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi


*************************************************************



Nadi ne dhuup se kya kah diya ravani mea

Ujale paanv patakne lage hain paani mea


Ye koi aur hi kirdar hai tumhari tarah

Tumhara zikr nahin hai meri kahani mea


Ab itni saari shabon ka hisab kaun rakhe

Bade savab kamaye gaye javani mea


Chamakta rahta hai suraj-mukhi mea koi aur

Mahak raha hai koi aur rat-rani mea


Ye mauj mauj nayi halchalen si kaisi hain

Ye kis ne paanv utare udaas paani mea


Main sochta huun koi aur karobar karun

Kitab kaun ḳharidega is girani mea


******************************************************



Mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga

Ye pul-sirat agar hai to chal ke dekhunga


Saval ye hai ki raftar kis ki kitni hai

Main aftab se aage nikal ke dekhunga


Mazaq achchha rahega ye chand-taron se

Main aaj shaam se pahle hi dhal ke dekhunga


Vo mere hukm ko fariyad jaan leta hai

Agar ye sach hai to lahja badal ke dekhunga


Ujale bantne valon pe kya guzarti hai

Kisi charagh ki manind jal ke dekhunga


Ajab nahin ki vahi raushni mujh mil jaaye

Main apne ghar se kisi din nikal ke dekhunga


****************************************************



Kaali raton ko bhi rangin kaha hai main ne

Teri har baat pe amin kaha hai main ne


Teri dastar pe tanqid ki himmat to nahin

Apni pa-posh ko qalin kaha hai main ne


Maslahat kahiye use ya ki siyasat kahiye

Chiil kavvon ko bhi shahin kaha hai main ne


Zayiqe barha ankhon mea maza dete hain

Bayaz chehron ko bhi namkin kaha hai main ne


Tu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki hai

Tere eyazaz ko tauhin kaha hai main ne


******************************************************



Sab ko rusva baari baari kiya karo

Har mausam mea fatve jaari kiya karo


Raton ka nindon se rishta tuut chuka

Apne ghar ki pahre-dari kiya karo


Qatra qatra shabnam gin kar kya hoga

Dariyaon ki dayave-dari kiya karo


Roz qaside likkho gunge bahron ke

Fursat ho to ye begari kiya karo


Shab bhar aane vaale din ke khwab buno

Din bhar fikr-e-shab-bedari kiya karo


Chand ziyada raushan hai to rahne do

Jugnu-bhayya ji mat bhari kiya karo


Jab ji chahe maut bichha do basti mea

Lekin baten pyari pyari kiya karo


Raat badan-dariya mea roz utarti hai

Is kashti mea ḳhuub savari kiya karo


Roz vahi ik koshish zinda rahne ki

Marne ki bhi kuch tayyari kiya karo


khwab lapete sote rehna thiik nahin

Fursat ho to shab-bedari kiya karo


Kaghaz ko sab saunp diya ye thiik nahin

Sher kabhi ḳhud par bhi taari kiya karo


**************************************************



Ise saman-e-safar jaan ye jugnu rakh le

Raah mea tirgi hogi mire aansu rakh le


Tu jo chahe to tira jhuut bhi bik sakta hai

Shart itni hai ki sone ki tarazu rakh le


Vo koi jism nahin hai ki use chhu bhi saken

Haan agar naam hi rakhna hai to ḳhushbu rakh le


Tujh ko an-dekhi bulandi mea safar karna hai

Ehtiyatan meri himmat mire baazu rakh le


Meri ḳhvahish hai ki angan mea na divar uthe

Mire bhaaye mire hisse ki zamin tu rakh le


********************************************************



Mere hujre mea nahin aur kahin par rakh do

Asman laaye ho le aao zamin par rakh do


Ab kahan dhundhne jaoge hamare qatil

Aap to qatl ka ilzam hamin par rakh do


Main ne jis taak pe kuch tuute diye rakkhe hain

Chand taron ko bhi le ja ke vahin par rakh do


**********************************************



Sabab vo puchh rahe hain udaas hone ka

Mera mizaj nahin be-libas hone ka


Naya bahana hai har pal udaas hone ka

Ye fayeda hai tere ghar ke paas hone ka


Mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par

Bahana dhund raha huun udaas hone ka


Main tere paas bata kis gharaz se aaya huun

Subut de mujhe chehra-shanas hone ka


Meri ghazal se bana zehn mea koi tasvir

Sabab na puchh mire devdas hone ka


Kahan ho aao meri bhuli-bisri yaado aao

ḳhush-amdid hai mausam udaas hone ka


Kayi dinon se tabiyat meri udaas na thi

Yahi jawaz bahut hai udaas hone ka


Main ahmiyat bhi samajhta huun qahqahon ki magar

Maza kuch apna alag hai udaas hone ka


Mire labon se tabassum mazaq karne laga

Main likh raha tha qasida udaas hone ka


Pata nahin ye parinde kahan se aa pahunche

Abhi zamana kahan tha udaas hone ka


Main kah raha huun ki ai dil idhar-udhar na bhatak

Guzar na jaaye zamana udaas hone ka


********************************************



Ja ke ye kah de koi shoyalon se chingari se

Phuul is baar khile hain badi tayyari se


Apni har saans ko nilam kiya hai main ne

Log asan hue hain badi dushvari se


Zehn mea jab bhi tere ḳhat ki ibarat chamki

Ek ḳhushbu si nikalne lagi almari se


Shahazade se mulaqat to na-mumkin hai

Chaliye mil aate hain chal kar kisi darbari se


Badshahon se bhi phenke hue sikke na liye

Ham ne ḳhairat bhi mangi hai to ḳhuddari se


***********************************************



Faisle lamhat ke naslon pe bhari ho gaye

Baap hakim tha magar bete bhikari ho gaye


Deviyan pahunchin thiin apne baal bikhraye hue

Devta mandir se nikle aur pujari ho gaye


Raushni ki jang mea tarikiyan paida huiin

Chand pagal ho gaya taare bhikari ho gaye


Rakh diye jayenge neze lafz aur honton ke biich

Zill-e-subyhani ke ahkamat jaari ho gaye


Narm-o-nazuk halke-phulke ruui jaise khwab the

Ansuon mea bhigne ke bayad bhari ho gaye


*********************************************



Chamakte lafz sitaron se chhin laaye hain

Ham asman se ghazal ki zamin laaye hain


Vo aur honge jo ḳhanjar chhupa ke laate hain

Ham apne saath phati astin laaye hain


Hamari baat ki gahrayi ḳhaak samjhenge

Jo parbaton ke liye ḳhurdbin laaye hain


Hanso na ham pe ki har bad-nasib banjare

Saron pe rakh ke vatan ki zamin laaye hain


Mire qabile ke bachchon ke khel bhi hain ajiib

Kisi sipahi ki talvar chhin laaye hain


************************************************



Mujhe dubo ke bahut sharmsar rahti hai

Vo ek mauj jo dariya ke paar rahti hai


Hamare taaq bhi be-zar hain ujalon se

Diye ki lau bhi hava par savar rahti hai


Phir us ke bayad vahi baasi manzaron ke julus

Bahar chand hi lamhe bahar rahti hai


Isi se qarz chukaye hain main ne sadiyon ke

Ye zindagi jo hamesha udhar rahti hai


Hamari shahar ke danishvaron se yaari hai

Isi liye to qaba taar taar rahti hai


Mujhe ḳharidne vaalo qatar mea aao

Vo chiiz huun jo pas-e-ishtihar rahti hai


******************************************************



Ham ne khud apni rahnumayi ki

Aur shohrat hui khudayi ki


Main ne duniya se mujh se duniya ne

Saikdon baar bevafayi ki


Khule rahte hain saare darvaze

Koi surat nahin rihayi ki


Tuut kar ham mile hain pahli baar

Ye shuruat hai judayi ki


Soye rahte hain odh kar ḳhud ko

Ab zarurat nahin razayi ki


Manzilen chumti hain mere qadam

Daad diije shikasta-payi ki


Zindagi jaise-taise katni hai

Kya bhalayi ki kya burayi ki


Ishq ke karobar mea ham ne

Jaan de kar badi kamayi ki


Ab kisi ki zaban nahin khulti

Rasm jaari hai munh-bharayi ki


******************************************************



Shahar kya dekhen ki har manzar mea jaale pad gaye

Aisi garmi hai ki piile phuul kaale pad gaye


Main andheron se bacha laaya tha apne-ap ko

Mera dukh ye hai mire pichhe ujale pad gaye


Jin zaminon ke qabale hain mire purkhon ke naam

Un zaminon par mire jiine ke laale pad gaye


Taaq mea baitha hua budha kabutar ro diya

Jis mea dera tha usi masjid mea taale pad gaye


Koi varis ho to aaye aur aa kar dekh le

Zill-e-subyhani ki unchi chhat mea jaale pad gaye


**********************************************************



Mere ashkon ne kayi ankhon mea jal-thal kar diya

Ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya


Apni palkon par saja kar mere aansu aap ne

Raste ki dhuul ko ankhon ka kajal kar diya


Main ne dil de kar use ki thi vafa ki ibtida

Us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya


Ye havayen kab nigahen pher len kis ko khabar

Shohraton ka taḳht jab tuuta to paidal kar diya


Devtaon aur ḳhudaon ki lagayi aag ne

Dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya


Zaḳhm ki surat nazar aate hain chehron ke nuqush

Ham ne ayinon ko tahzibon ka maqtal kar diya


Shahar mea charcha hai aḳhir aisi ladki kaun hai

Jis ne achchhe-ḳhase ik shayir ko pagal kar diya


*****************************************************



Apne divar-o-dar se puchhte hain

Ghar ke halat ghar se puchhte hain


Kyuun akele hain qafile vaale

Ek ik ham-safar se puchhte hain


Kya kabhi zindagi bhi dekhenge

Bas yahi umr-bhar se puchhte hain


Jurm hai khwab dekhna bhi kya

Rat-bhar chashm-e-tar se puchhte hain


Ye mulaqat aḳhiri to nahin

Ham judayi ke dar se puchhte hain


Zaḳhm ka naam phuul kaise pada

Tere dast-e-hunar se puchhte hain


Kitne jangal hain in makanon mea

Bas yahi shahar bhar se puchhte hain


Ye jo divar hai ye kis ki hai

Ham idhar vo udhar se puchhte hain


Hain kanizen bhi is mahal mea kya

Shah-zadon ke dar se puchhte hain


Kya kahin qatl ho gaya suraj

Raat se rat-bhar se puchhte hain


Kaun varis hai chhanv ka akhir

Dhuup mea ham-safar se puchhte hain


Ye kinare bhi kitne saada hain

Kashtiyon ko bhanvar se puchhte hain


Vo guzarta to hoga ab tanha

Ek ik rahguzar se puchhte hain


************************************************



Uthi nigah to apne hi ru-ba-ru ham the

Zamin ayina-ḳhana thi char-su ham the


Dinon ke baa’d achanak tumhara dhyan aaya

ḳhuda ka shukr ki us vaqt ba-vazu ham the


Vo ayina to nahin tha par ayine sa tha

Vo ham nahin the magar yaar hu-ba-hu ham the


Zamin pe ladte hue asman ke narghe mea

Kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu ham the


Hamara zikr bhi ab jurm ho gaya hai vahan

Dinon ki baat hai mahfil ki aabru ham the


ḳhayal tha ki ye pathrav rok den chal kar

Jo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the


*******************************************************



Zindagi ko zaḳhm ki lazzat se mat mahrum kar

Raste ke pattharon se ḳhairiyat mayalum kar


Tuut kar bikhri hui talvar ke tukde samet

Aur apne haar jaane ka sabab mayalum kar


Jagti ankhon ke khwabon ko ghazal ka naam de

Raat bhar ki karvaton ka zayiqa manzum kar


Shaam tak laut ayunga hathon ka khali-pan liye

Aaj phir nikla huun main ghar se hatheli chuum kar


Mat sikha lehje ko apni barchhiyon ke paintare

Zinda rehna hai to lehje ko zara mayasum kar


********************************************



Bair duniya se qabile se ladayi lete

Ek sach ke liye kis kis se burayi lete


Aable apne hi angaron ke taaza hain abhi

Log kyuun aag hatheli pe parayi lete


Barf ki tarah december ka safar hota hai

Ham use saath na lete to razayi lete


Kitna manus sa ham-dardon ka ye dard raha

Ishq kuch rog nahin tha jo davayi lete


Chand raton mea hamea dasta hai din mea suraj

Sharm aati hai andheron se kamayi lete


Tum ne jo tod diye khwab ham un ke badle

Koi qimat kabhi lete to khudayi lete


************************************************



Sirf sach aur jhuut ki mizan mea rakkhe rahe

Ham bahadur the magar maidan mea rakkhe rahe


Jugnuon ne phir andheron se ladayi jiit li

Chand suraj ghar ke raushan-dan mea rakkhe rahe


Dhire dhire saari kirnen ḳhud-kushi karne lagin

Ham sahifa the magar juzdan mea rakkhe rahe


Band kamre khol kar sachchayiyan rahne lagin

khwab kachchi dhuup the dalan mea rakkhe rahe


Sirf itna fasla hai zindagi se maut ka

Shaḳh se tode gaye gul-dan mea rakkhe rahe


Zindagi bhar apni gungi dhadkanon ke saath saath

Ham bhi ghar ke qimti saman mea rakkhe rahe


***************************************************



Jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain

Kulah tauq se bhari pahan ke aate hain


Amir-e-shahar tiri tarah qimti poshak

Meri gali mea bhikari pahan ke aate hain


Yahi aqiiq the shahon ke taaj ki zinat

Jo ungliyon mea madari pahan ke aate hain


Hamare jism ke daghon pe tabsira karne

Qamisen log hamari pahan ke aate hain


Ibadaton ka tahaffuz bhi un ke zimme hai

Jo masjidon mea safari pahan ke aate hain


*****************************************************



Naye safar ka jo elaan bhi nahin hota

To zinda rahne ka arman bhi nahin hota


Tamam phuul vahi log tod lete hain

Vo jin ke kamron mea gul-dan bhi nahin hota


ḳhamoshi odh ke soi hain masjiden saari

Kisi ki maut ka elaan bhi nahin hota


Vaba ne kaash hamea bhi bula liya hota

To ham pe maut ka ehsan bhi nahin hota


*************************************************



Jab kabhi phulon ne ḳhushbu ki tijarat ki hai

Patti patti ne havaon se shikayat ki hai


Yuun laga jaise koi itr faza mea ghul jaaye

Jab kisi bachche ne quryan ki tilavat ki hai


Ja-namazon ki tarah nuur mea ujlayi sahar

Raat bhar jaise farishton ne ibadat ki hai


Sar uthaye thiin bahut surḳh hava mea phir bhi

Ham ne palkon ke charaghon ki hifazat ki hai


Mujhe tufan-e-havadis se darane vaalo

Hadson ne to mire haath pe baiyat ki hai


Aaj ik dana-e-gandum ke bhi haqdar nahin

Ham ne sadiyon inhin kheton pe hukumat ki hai


Ye zaroori tha ki ham dekhte qilon ke jalal

Umr bhar ham ne mazaron ki ziyarat ki hai


******************************************************



Shajar hain ab samar-asar mere

Chale aate hain dayavedar mere


Muhajir hain na ab ansar mere

Muḳhalif hain bahut is baar mere


Yahan ik buund ka muhtaj huun main

Samundar hain samundar paar mere


Abhi murdon mea ruhen phunk dalen

Agar chahen to ye bimar mere


Havayen odh kar soya tha dushman

Gaye bekar saare vaar mere


Main aa kar dushmanon mea bas gaya huun

Yahan hamdard hain do-char mere


Hansi mea taal dena tha mujhe bhi

ḳhafa kyuun ho gaye sarkar mere


Tasavvur mea na jaane kaun aaya

Mahak utthe dar-o-divar mere


Tumhara naam duniya janti hai

Bahut rusva hain ab ashyar mere


Bhanvar mea ruk gayi hai naav meri

Kinare rah gaye is paar mere


Main ḳhud apni hifazat kar raha huun

Abhi soye hain pahre-dar mere


*************************************************



Saval ghar nahin buniyad par uthaya hai

Hamare paanv ki mitti ne sar uthaya hai


Hamesha sar pe rahi ik chatan rishton ki

Ye bojh vo hai jise umr-bhar uthaya hai


Meri ghulail ke patthar ka kar-nama tha

Magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai


Yahi zamin mea dabayega ek din ham ko

Ye asman jise dosh par uthaya hai


Bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne

Hava ka tuuta hua ek par uthaya hai


Maha-bali se baghavat bahut zaroori hai

Qadam ye ham ne samajh soch kar uthaya hai


***************************************************



Masjidon ke sahn tak jaana bahut dushvar tha

Dair se nikla to mere raste mea daar tha


Dekhte hi dekhte shaharon ki raunaq ban gaya

Kal yahi chehra hamare ayinon par baar tha


Apni qismat mea likhi thi dhuup ki narazgi

Saya-e-divar tha lekin pas-e-divar tha


Sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe paaye gaye

Aadmi kya tha hamare shahar ka aḳhbar tha


Ab mohalle bhar ke darvazon pe dastak hai nasib

Ik zamana tha ki jab main bhi bahut ḳhuddar tha


**********************************************



Purane daanv par har din naye aansu lagata hai

Vo ab bhi ik phate rumal par ḳhushbu lagata hai


Use kah do ki ye unchayiyan mushkil se milti hain

Vo suraj ke safar mea mom ke baazu lagata hai


Main kaali raat ke tezab se suraj banata huun

Meri chadar mea ye paivand ik jugnu lagata hai


Yahan lachhman ki rekha hai na siita hai magar phir bhi

Bahut phere hamare ghar ke ik sadhu lagata hai


Namazen mustaqil pahchan ban jaati hai chehron ki

Tilak jis tarah mathe par koi hindu lagata hai


Na jaane ye anokha farq is mea kis tarah aaya

Vo ab collar mea phulon ki jagah bichchhu lagata hai


Andhere aur ujale mea ye samjhauta zaroori hai

Nishane ham lagate hain thikane tu lagata hai


*************************************************



Sar par saat akash zamin par saat samundar bikhre hain

Ankhen chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain


Zinda rehna khel nahin hai is abad ḳharabe mea

Vo bhi aksar tuut gaya hai ham bhi aksar bikhre hain


Us basti ke logon se jab baten kiin to ye jaana

Duniya bhar ko jodne vaale andar andar bikhre hain


In raton se apna rishta jaane kaisa rishta hai

Ninden kamron mea jaagi hain khwab chhaton par bikhre hain


Angan ke mayasum shajar ne ek kahani likkhi hai

Itne phal shaḳhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain


Saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain

Ankhon ankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain


*************************************************



Chehron ki dhuup ankhon ki gahrayi le gaya

Ayina saare shahar ki binayi le gaya


Duube hue jahaz pe kya tabsira karen

Ye hadisa to soch ki gahrayi le gaya


Halanki be-zaban tha lekin ajiib tha

Jo shaḳhs mujh se chhin ke goyayi le gaya


Main aaj apne ghar se nikalne na payunga

Bas ik qamis thi jo mera bhaaye le gaya


‘Ghalib’ tumhare vaste ab kuch nahin raha

Galiyon ke saare sang to saudayi le gaya


******************************************************



Yuun sada dete hue tere ḳhayal aate hain

Jaise kayabe ki khuli chhat pe bilal aate hain


Roz ham ashkon se dho aate hain divar-e-haram

Pagdiyan roz farishton ki uchhal aate hain


Haath abhi pichhe bandhe rahte hain chup rahte hain

Dekhna ye hai tujhe kitne kamal aate hain


Chand suraj meri chaukhat pe kayi sadiyon se

Roz likkhe hue chehre pe saval aate hain


Be-hisi muda-dili raqs sharaben naghme

Bas isi raah se qaumon pe zaval aate hain


**********************************************************



Mere karobar mea sab ne badi imdad ki

Daad logon ki gala apna ghazal ustad ki


Apni sansen bech kar main ne jise abad ki

Vo gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki


Umr bhar chalte rahe ankhon pe patti bandh kar

Zindagi ko dhundne mea zindagi barbad ki


Dastanon ke sabhi kirdar kam hone lage

Aaj kaghaz chunti phirti hai pari baghdad ki


Ik sulagta chiḳhta mahaul hai aur kuch nahin

Baat karte ho ‘yagana’ kis aminabad ki


******************************************************



Saath manzil thi magar ḳhauf-o-ḳhatar aisa tha

Umr-bhar chalte rahe log safar aisa tha


Jab vo aaye to main ḳhush bhi hua sharminda bhi

Meri taqdir thi aisi mera ghar aisa tha


Hifz thiin mujh ko bhi chehron ki kitaben kya kya

Dil shikasta tha magar tez nazar aisa tha


Aag odhe tha magar baant raha tha saaya

Dhuup ke shahar mea ik tanha shajar aisa tha


Log ḳhud apne charaghon ko bujha kar soye

Shahar mea tez havaon ka asar aisa tha


********************************************



Shaam ne jab palkon pe atish-dan liya

Kuch yadon ne chutki mea loban liya


Darvazon ne apni ankhen nam kar liin

Divaron ne apna siina taan liya


Pyaas to apni saat samundar jaisi thi

Nahaq ham ne barish ka ehsan liya


Main ne talvon se bandhi thi chhanv magar

Shayad mujh ko suraj ne pahchan liya


Kitne sukh se dharti odh ke soye hain

Ham ne apni maan ka kahna maan liya


*************************************************



Ye ḳhak-zade jo rahte hain be-zaban pade

Ishara kar den to suraj zamin pe aan pade


Sukut-e-zist ko amada-e-baghavat kar

Lahu uchhal ki kuch zindagi mea jaan pade


Hamare shahar ki binayiyon pe rote hain

Tamam shahar ke manzar lahu-luhan pade


Uthe hain haath mire hurmat-e-zamin ke liye

Maza jab aaye ki ab paanv asman pade


Kisi makin ki aamad ke intizar mea hain

Mire mohalle mea khali kayi makan pade


*****************************************************



Jo ye har-su falak manzar khade hain

Na jaane kis ke pairon par khade hain


Tula hai dhuup barsane pe suraj

Shajar bhi chhatriyan le kar khade hain


Unhen namon se main pahchanta huun

Mire dushman mire andar khade hain


Kisi din chand nikla tha yahan se

Ujale aaj tak chhat par khade hain


Ujala sa hai kuch kamre ke andar

Zamin-o-asman bahar khade hain


***************************************



Sab ki pagdi ko havaon mea uchhala jaaye

Sochta huun koi aḳhbar nikala jaaye


Pi ke jo mast hain un se to koi ḳhauf nahin

Pi ke jo hosh mea hain un ko sambhala jaaye


Asman hi nahin ik chand bhi rahta hai yahan

Bhuul kar bhi kabhi patthar na uchhala jaaye


*****************************

RAHAT INDORI