- thought
gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
- thought
ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne
kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota
- thought
kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai vasta koi
tune to hum se aaj tak koi gila nahin kiya
- shayiri
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
- shayiri
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva hum nahin karte
- shayiri
kab vo sunta hai kahani meri
aur phir vo bhi zabani meri
- shayiri
kyuun hijr (separation) ke shikve karta hai kyuun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr (patience) bhi kar is mea to yahi kuchh hota hai
- thought
raat aa kar guzar bhi jaati hai
ik humari sahar (morning) nahin hoti
- thought
bada maza ho jo mahshar (last day) mea hum karen shikva
vo minnaton (request) se kahean chup raho ḳhuda ke liye
- thought
mohabbat hi mea milte hain shikayat ke maze paihum ( continuosly)
mohabbat jitni badhti hai shikayat hoti jaati hai
- shayiri
kehne deti nahin kuchh mooh se mohabbat meri
lab pe reh jaati hai aa aa ke shikayat meri
- thought
Aarzu (desire) hasrat (wish) aur ummid (expectation) shikayat (complaint) aansu (tears)
ik tera zikr tha aur beech mea kya kya nikla
- thought
humare ishq mea rusva (badnaam) hue tum
magar hum to tamasha ho gaye hain
- shayiri
unka gham unka tasavvur (imagination) unke shikve ab kahan
ab to ye baten bhi aye dil ho gaye aaye gaye (come and go / bygones)
- shayiri
chup raho to puchhta hai ḳhair (well being) hai
lo ḳhamoshi bhi shikayat ho gaye
- thought
sar agar sar hai to nezon (weapons) se shikayat kaisi
dil agar dil hai to dariya (river) se bada hona hai
- shayiri
shikva koi dariya (river) ki ravani (speed) se nahin hai
rishta hi meri pyaas ka paani se nahin hai
- thought
kis munh se karen unke taghaful (not giving attention) ki shikayat
ḳhud hum ko mohabbat ka sabaq (lesson) yaad nahin hai
- thought
koi charag jalata nahin saliqe (properly) se
magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai
- shayiri
sar-e-mahshar (on last day) yahi poochhunga ḳhuda se pehle
tune roka bhi tha bande ko ḳhata se pehle
- thought
hum ajab hain ki uss ki bahon mea
shikva-e-narasa.i (complaint of hopelessness) karte hain
- thought
kya vo namrud (cruel) ki ḳhudaye thi
bandagi (prayer) mea mera bhala na hua
- thought
sunega kaun meri chak-damani ( semi cut coat / dress) ka afsana
yahan sab apne apne pairahan (dress) ki baat karte hain
- thought
aaj usse mae ne shikva kiya tha shararatan (being naughty)
kis ko ḳhabar thi itna bura maan jayega
- thought
chup raho kyun mizaj (mood) poochhte ho
hum jiyean ya maren tumhen kya hai
- thought
shikva-e-abla (foolishness of complaining) abhi se ‘mir’
hai piyare hanuz (still) delhi duur
- thought
bad-gumaan (disloyal) aap hain kyun aap se shikva hai kise
jo shikayat hai humea gardish-e-ayyam (bad time) se hai
- thought
meri hi jaan ke dushman hain nasihat (advice) vaale
mujh ko samjhate hain unko nahin samjhate hain
- thought
haan unhin logon se duniya mea shikayat hai humea
haan vahi log jo akasr humea yaad aaye hain
- thought
keh ke ye aur kuchh kaha na gaya
ki mujhe aap se shikayat hai
- shayiri
shikva-e-ghum (complaint for sadness) tere huzur (present) kiya
hum ne be-shak bada qusoor kiya
- thought
vo karen bhi to kin alfaz (words) mea tera shikva
jin ko teri nigah-e-lutf (look of love) ne barbad kiya
- shayiri
ik teri be-ruḳhi (indifference) se zamana ḳhafa hua
aye sang-dil (hard hearted) tujhe bhi ḳhabar hai ki kya hua
- shayiri
dekhne vaala koi mile to dil ke daagh dikhaun
ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun
- thought
‘ehsan’ apna koi bure vaqt ka nahin
Ahbab (friend) bewafa hain ḳhuda be-niyaz (carefree) hai
- thought
shikva apnon se kiya jaata hai ghairon se nahin
aap keh dean to kabhi aap se shikva na karen
- thought
shikva-e-hijr (complaint of separation) pe sar kaat ke farmate hain
phir karoge kabhi is munh se shikayat meri
- thought
tum azeez (dear) aur tumhara ghum bhi azeez
kis se kis ka gila kare koi
- thought
zara si baat thi arz-e-tamanna (request for desire) par bigad baithe
vo meri umr bhar ki dastan-e-dard (life story of sadness) kya sunte
- shayiri
raushni mujh se gurezan (avoiding) hai to shikva bhi nahin
mere ghum-ḳhane (sad place) mea kuchh aisa andhera bhi nahin
- thought
ishq mea shikva kufr (covering up / disbelief) hai aur har iltija (request) haram (excluded)
tod de kasa-e-murad (bowl of begging) ishq gadagari (begging) nahin
- shayiri
kitne shikve gile hain pehle hi
raah mea fasle hain pehle hi
- shayiri
Chahi thi dil ne tujh se vafa kam bahut hi kam
shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam
- thought
saaf inkar agar ho to tasalli ho jaaye
jhute vaadon se tere ranj (complaint) siva (save) hota hai
- thought
Pur (full) huun mae shikve se yuun raag (music) se jaise baaja (music instrument)
ik zara chhediye phir dekhiye kya hota hai
- GHAZAL
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai
Jo usko mil nahi sakta, kyo uski chaahat hai
Tukdo tukdo mea mujhse roz milne wale sun
Jab mukammal (complete) nahin milna , to koi khwaab na bun (weave)
Tanha tanha hoon mea , mujhe teri zaroorat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai
Yeh teri zulfein teri aankhen , uff yeh tera pairahan (dress)
Aur khushboo se mehekta hua yeh gora sa badan
Jaanta hoon mein lekin kisi gair ki amanat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai
Bin tere mujhko zindagi se khauff lagta hai
Kishto kishto (small amounts) mea mar raha hoon , roz lagta hai
Is liye mujhko apni zindagi se nafrat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai
- GHAZAL
Bas khuda se itni shikayat , Kyun tu mera hua hi nahi
Kuchh lamhon ki Maangi thi mohlat (time) , Kyun tu mera hua hi nahi
Haan mae mangun Izazat (permission) , Haan karke bagawat (revolt)
Tu mera hua hi nahi
Maene maangi thi tujshe wo saansea , Jinme basti hai saansea meri
Bas khuda se itni shikayat , Kyun tu mera hua hi nahi
Mujhe agar teri yaad aaye , Kaise kise hum bataye haan
Jee kar bhi kaise jiyun mae , Haq mea nahi hai yeh hawayein
Faasle faislon ki wajah thea , Ishq kaamil (complete) hua hi nahi
Bas khuda se itni shikayat , Kyun tu mera hua hi nahi
Mera marz tu hai dawa bhi , Mae hoon yeh raatein gawah bhi haan
Jinn raaston pe khuda na , Mujhko mila tu wahan bhi
Naam tere safar yeh kiya par ,Hum safar tu hua hi nahi
Bas khuda se itni shikayat , Kyun tu mera hua hi nahi
- GHAZAL
tere duniya mea jeene se to behtar hai ki mar jaayen
vahi aansu vahi aahean (breath of sadness) vahi ghum hai jidhar jaayen
koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata
vahi begane chehre hain jahan jaayen jidhar jaayen
are o asman vaale bata is mea bura kya hai
ḳhushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen
- GHAZAL
ab to shahron (city) se ḳhabar aati hai divanon ki
koi pehchan hi baaqi nahin viranon (forest) ki
apni poshak (dress) se hushyar (intellegent) ki ḳhuddam-e-qadim (upcoming attendant)
dhajjiyan (destroy) mangte hain apne garebanon (self) ki
sanaten (loneliness) phailti jaati hain magar is ke saath
sarhaden tutti jaati hain gulistanon ki
dil mea vo zaḳhm khile hain ki chuman (garden) kya shai (matter) hai
ghar mea barat si utri hui gul-danon (flower pots) ki
un ko kya fikr ki mae paar laga ya Dooba
bahs (arguments) karte rahe sahil (beach) pe jo tufanon ki
teri rehmat (mercy) to musallam (completly accepted) hai magar ye to bata
kaun bijli ko ḳhabar deta hai kashanon (small house) ki
maqbare (grave) bante hain zindon ke makanon se buland
kis qadar auj (higher peak) pe takrim (honour) hai insanon ki
ek ik yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht (bowl)
ka.aba-e-dil (pure heart) ki faza (atmosphere) hai ki sanam-ḳhanon (place of worship) ki
- THOUGHT
Aage (infront) mere na ghair (stranger) se go (although) tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta huun mae
- thought
vahi hikayat-e-dil (story of heart) thi vahi shikayat-e-dil (complaint of heart)
thi ek baat , jahan se bhi ibtida (beginning) karte
- thought
aap ki qasmon ka aur mujh ko yaqin ?
ek bhi vaada kabhi puura kiya nahi
- SHAYIRI
falak (sky) se mujh ko shikva hai zamin se mujh ko shikva hai
yaqeen (believe) maano to ḳhud apne yaqeen se mujh ko shikva hai
- thought
mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai
tujhe aye zindagi mae valihana (do madly love) chahta huun
- thought
mujhe rehne ko vo mila hai ghar ki jo afaton (problems) ki hai rahguzar (way)
tumhen ḳhaksaron (poverty/ low ) ki kya ḳhabar kabhi niche utre ho baam (terrace) se
- THOUGHT
hal-e-dil (condition of heart) sun ke vo azurda (depression) hain shayad unko
iss hikayat (story) pea shikayat ka guman (doubt) guzra hai
- thought
humea to apni tabahi ki daad (appreciation) bhi na mili
teri navazish-e-beja (improper kindness) ka kya gila karte
- thought
pa raha hai dil musibat ke maze
aaye lab par shikva-e-bedad (violent of complaint ) kya
- THOUGHT
chala jaata tha ‘hatim’ aaj kuchh vahi-tabahi (ruined and destructed) sa
jo dekha haath mea uske tere shikve ka daftar (register) tha
- thought
humea to apni tabahi ki daad (appreciation) bhi na mili
teri navazish-e-beja (improper kindness) ka kya gila karte
- thought
pa raha hai dil musibat ke maze
aaye lab par shikva-e-bedad (violent of complaint ) kya