- thought
Vaise to ik aansoo hi baha kar mujhe le jaaye
Aise koi tufan hila bhi nahin sakta
- thought
Rone vaale tujhe rone ka saliqa (ways) hi nahin
Ashk (aansoo) peene ke liye hain ki bahane ke liye
- thought
Ek aansoo ne duboya mujh ko unki bazm (party) mea
Boodh bhar paani se saari aabru (respect) paani hui
- thought
Thamte thamte thameage aansoo
Rona hai kuch hansi nahin hai
- thought
Unn ke ruḳhsar (cheeek) pe dhalke hue aansoo tauba
Mae ne shabnam (dew) ko bhi sholon(fire) pe machalte dekha
- thought
Roz achchhe nahin lagte aansoo
Khas mauqon pe maza dete hain
- shayiri
Shabnam ke aansoo phool par ye to vahi qissa hua
Ankhen meri bhegi hui chehra tera utra hua
- shayiri
Mae rona chahta hun ḳhoob rona chahta hun mae
Phir uss ke baad gehri neend sona chahta hun mae
- thought
Iss qadar roya hun teri yaad mea
Ayene (mirror) ankhon ke dhundle (foggy) ho gaye
- thought
Muddat ke baad uss ne jo ki lutf (pleasure) ki nigah
Jee ḳhush to ho gaya magar aansoo nikal pade
- thought
Hasin teri anhken hasin tere aansoo
Yahin Doob jaane ko ji chahta hai
- shayiri
Dil mea ik dard utha ankhon mea aansoo bhar aaye
Baithe baithe hamea kya janiye kya yaad aaya
- thought
kis se ja kar mangiye dard-e-mohabbat ki dava
charagar (doctor) ab ḳhud hi bechare nazar aane lage
- thought
Yu to har shyam ummedo mea gujar jati hai
Aaj kuch baat hai to shyam pe rona aaya
- shayiri
Vo aks (aansoo) ban ke meri chashm-e-tar (tearfull eyes) mea rehta hai
Ajeeb shaḳhs hai paani ke ghar mea rehta hai
- thought
Palkon ki had ko tod ke daman pe aa gira
Ik Ashk (aansoo) mere sabr (patience) ki tauhin (insult) kar gaya
- SHAYIRI
Udaas ankhon se aansoo nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mea palte hain
- shayiri
Kya kahun kis tarah se jeeta hun
Gham ko khata hun aansoo peeta hun
- SHAYIRI
Mere ashk (aansoo) bhi hain is mea ye sharab ubal na jaaye
mera jaam chhune vaale tera haath jal na jaaye
- THOUGHT
Thame aansoo to phir tum shauq se ghar ko chale jaana
Kahan jaate ho iss tufan mea paani zara thehre (stop)
- shayiri
Ye aansoo be-sabab ( without reason) jaari nahin hai
Mujhe rone ki bimari nahin hai
- SHAYIRI
Bahta aansoo ek jhalak mea kitne roop dikhayega
Aankh se ho kar gaal bhigo kar mitti mea mil jayega
- THOUGHT
Jo aag lagaye thi tum ne uss ko to bujhaya ashkon (aansoo) ne
Jo ashkon (aansoo) ne bhadkayi hai uss aag ko thanda kaun kare
- shayiri
Itne aansoo to na thea dida-e-tar ( weeping eyes) ke aage
Ab to paani hi bhara rehta hai ghar ke aage
- THOUGHT
Mae jis ki aankh ka aansoo tha uss ne qadr na ki
Bikhar gaya hun to abb reat (sand) se uthaye mujhe
- THOUGHT
Ankhon se ansoonou ke marasim (relation) purane hain
Mehman ye ghar mea aayen to chubhta nahin dhuan (smoke)
- shayiri
Ashk (aansoo)-e-gham dida-e-pur-nam se sambhale na gaye
ye vo bachche hain jo maan baap se paale na gaye
- thought
Aasoo nikal aaye to khud pochiyega
Log pochne aaye ge to sauda kare ge
- shayiri
Har jazbaat ko juban nahi milti
Har aarzu ko dua nahi milti
Hanste raho to duniya deti hai saath
Warna aansuon ko to aankho mea bhi panah nahi milti
- shayiri
Bahr-e-gham (ocean of sorrows) se paar hone ke liye
Maut ko sahil (kinara) banaya jayega
- SHAYIRI
Talismie (magical) yaar ye pehlu nikal leta hai
Ki pathoro (stones) se bhi khushboo nikal leta hai
Hae be-lihas (careless) kuch aasa
Ki aank lagte hi wo sar ke neeche se baju nikal leta hai
Khuda bachaye wo kazak ( lutera) sehar ( city) mea aaya
Ho Jeb ( pocket) kali to aasoo nikal leta hai
Agar kabhi usse jungle mea shyam ho jae
To apni muthi (hand) se jungu nikal lete hai
- SHAYIRI
Jab se bichra hai sanam hamara
Dil nahi karta ab jeene ko
Sath lekar chala gaya khushiya
Bas de gaya hamea aasoo pene ko
- thought
Aansuoon ko peena purani aadat hai meri
Mujhe logon ko apna gham dikhana nahi aata
- shayiri
jab jab aapse milne kee umeed nazar aayi
mere paanv mein zanjeer nazar aayi
gir pade aansu aankh se
aur har ek aansu mein aapki tasveer nazar aayi
- SHAYIRI
Betab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar
Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Mein Aksar
Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar
- thought
Wapsi Ka Safar Aab Mumkin Na Hoga;
Hum Toh Nikal Chuke Hain Aankh See Aansu Ki Tarhan
- shayiri
Sirf din na ab raat se dar lagta hai
Ghar hai kacha , barsat se daar lagta hai
Kisine tohfe mea khoon ke ansoo diye
Ab mujhe tohfo ki saugat se dar lagta hai
- SHAYIRI
Dil gumsum, juba khamosh Yeh ankhe aaj nam kyo hai
Jo khabhi apna hua hi nahi Use khone ka gum kyo hai
- thought
Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den
Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa
- thought
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Ankhon Ne Baat Kee
Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Wo Phir Ashkon Se Bayaan Hui
- thought
mushkil tha kuch to ishq ki baazi ko jetna
kuch jetne ke ḳhauf se haare chale gaye
- thought
Ibtida (beginning)vo thi ki jeene ke liye marta tha mae
Intihaa (ending) ye hai ki marne ki bhi hasrat na rahi
- thought
din bhar to mae duniya ke dhando ( business) mea khoya raha
jab divaron se dhoop dhali tum yaad aaye
- thought
Daaman (cloth) ashkon (aansoo) se tar (wet) karen kyun-kar (why?)
Raaz ko mushtahar (advertise) karen kyun-kar
- thought
Jo teri bazm (party) se uttha vo is tarah utta
Kisi ki aankh mea aansoo kisi ke daaman mea
- thought
Nazar bchake jo aansoo kiye thea mae ne paak (pure)
Khabar na thi yahi dhabbe ( spots) banenge daman ke
- thought
Aaj aansoo tum ne ponchhe bhi to kya
Ye to apna umr bhar ka kaam hai
- shayiri
Kitni fariyaden laboon par ruk gaye
Kitne ashk (aansoo) aahon mea dhal kar reh gaye
- thought
Nikalne hi nahin deti hain ashkon (aansoo) ko meri ankhen
Ki ye bachche hamesha maan ki nigarani mea rehte hain
- thought
Dam-e-ruḳhsat (price of going) vo chup rahe ‘abid’
Aankh mea phailta gaya kajal
- thought
Yun hi ankhon mea aa gaye aansoo
Jaeiye aap koi baat nahin
- shayiri
Koi manzil nahin milti to thehar jaate hain
Ashk (aansoo) ankhon mea musafir ki tarah aate hain
- thought
dil ke do hisse jo kar daale thse husn-o-ishq ne
ek sahraa ( desert) ban gaya aur ek gulshan ( flower garden) ho gaya
- thought
kya haseen ḳhwab mohabbat ne dikhaya tha hamea
khul gaye aankh to tabir (interpretation of dreams) pe rona aaya
- shayiri
jaati hai dhoop ujle paro (wings) ko samet ke
zaḳhmon ko ab ginunga mae bistar pe let ke
- thought
yu to har shaam ummeedo mea guzar jaati hai
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
- shayiri
hum tere shauq mein yu ḳhud ko gava baithe hain
jaise bachche kisi tyohar ( festival) mein gum ho jate hain
- thought
tumhara naam likhne ki ijazat chin gaye jab se
koi bhi lafz likhta hu to ankhen bheeg jaati hain
- thought
Ghaas (grass) mea jazb (absorb) hue honge zamin ke aansoo
Paanv rakhta hun to halki si nami lagti hai
- shayiri
Jab bhi do aansoo nikal kar reh gaye
Dard ke unvan (tittle) badal kar reh gaye
- thought
Khul ke rone ki tamanna thi hamea
Ek do aansoo nikal kar reh gaye
- thought
Jo baat hijr (separation) ki aati to apne daman se
Vo aansoo ponchhta jaata tha aur mae rota tha
- shayiri
Rok le aye zabt (discipline) jo aansoo ki chashm-e-tar (tearfull eyes) mea hai
Kuch nahin bigda (damage) abhi tak ghar ki daulat ghar mea hai
- thought
Yuun to ashkon (aansoo) se bhi hota hai alam (grief) ka izhar
Hae vo gham jo tabassum (smile) se ayaan hota hai
- thought
Shabnam (dew) ne ro ke jee (dil) zara halka to kar liya
Gham uss ka poochhiye jo na aansoo baha sake
- thought
Do ghadhi dard ne ankhon mea bhi rehne na diya
Hum to samjhe thea banenge ye sahare aansoo
- thought
Vo poochte hain dil-e-mubtala (heart occupied by love) ka haal aur hum
Jawab mea faqat aansoo bahaye jaate hain
- shayiri
Bhula pana bahut muskil hai sab kuch yaad rehta hai
Mohabbat karne wala is liye barbad rehta hai
Agar Sone ( gold) ke pinjre me bhi rehta hai
Parinda to vahi hota hai jo aazad rehta hai
Chaman me goomne phirne k kuch aadab hote hai
Udhar hargis nahi jana waha sayeyad ( dushman)rehta hai
Lipat jati hai sari rasto ki yaad bachpan mea
Jidhar se gujrata hu mae – rashta yaad rehta hai
Hamhe bhi aone ache din ahi tak yaad hai “Rana”
Har ek Insaan ko apna zamana yaad rehta hai
- shayiri
Teri kushiyo ka sabab (reason) yaar koi aur hai na
Dosti mujh se hai aur pyar koi aur hai na
Tu mere ashq (tears) na dhek aur faqat (simply) itna bata
Jo tere husn pe marte hai bahut se hoge
Par tere dil ka talabgaar (claimer) koi aur hai na
- shayiri
Dil na-umeed to nahin naa kaam hi to hai
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
- shayiri
Yun Kisi Kee Yaad Mein Rona Fizool Hai
Itne Anmol Aansu Khona Fizool Hai
Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nisaar Hain
Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazaar Hain
- shayiri
Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai
Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu
Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai
- shayiri
Ab Ke Saawan Mein Paani Barsa Bahut
Pani Ki Har Bund Mein Wo Aaye Yaad Bahut
Iss Suhane Mausam Mein Saath Nahi Koi
Baadalo Ke Sath Inn Aankho Se Pani Baha Bahut
- shayiri
Ba-qadr-e-zauq (extend of happiness) mere ashk-e-gham ( tears of sadness) ki tarjumani (explaination) hai
Koi kehta hai moti hai koi kehta hai paani hai
- thought
Vo jugnu ho sitara ho ki aansoo
Andhere mea sabhi mehtab (moonlight) se hain
- thought
Hal-e-pareshan sun kar mera , aankh mea uss ki aansoo hain
Mae ne us se jhuut kaha ho aisa bhi ho sakta hai
- thought
Lagi rehti hai ashkoon (aansoo) ki jhadi (continuous) garmi ho sardi ho
Nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aaye
- shayiri
Samajhta hun sabab (reason) kafir (beloved) tere aansoo nikalne ka
Dhuan (smoke) lagta hai ankhon mea kisi ke dil ke jalne ka
- thought
Mohabbat mea ik aisa waqt bhi dil par guzarta hai
Ki aansoo ḳhushk (dry) ho jaate hain tughyani (flood / overflow) nahin jaati
- thought
Aarzu hasrat aur ummid shikayat aansoo
Ik tera zikr tha aur beech mea kya kya nikla
- thought
Phir meri aankh ho gaye namnak
Phir kisi ne mizaaj (mood) poocha hai
- thought
Aur kuch tohfa na tha jo laate hum tere niyaz (offering)
Ek do aansoo thea ankhon mea so bhar laayean hain hum
- thought
Aag duniya ki lagaye hui bujh jayegi
Koi aansoo mere daman pe bikhar jaane de
- shayiri
Dil ki har baat keh gaye aansoo
Gir ke ankhon se reh gaye aansoo
- thought
Nahin bujhti hai pyaas aansoo se lekin
Kare kya ab to yaan paani (dana pani) yahi hai
- thought
Aansoo meri ankhon mea hain naale (complaints) mere lab par
Sauda mere sar mea hai tamanna mere dil mea
- thought
Daaman se vo ponchhta hai aansoo
Rone ka kuch aaj hi maza hai
- thought
Mere aansoo ke pochhne ko miyan
Teri ho astin (sleeve) ḳhuda na kare
- thought
Soz-e-gham (passion of grief) hi se meri aankh mea aansoo aaye
Sochta hun ki ise aag kahoon ya paani
- shayiri
Ashk (aansoo) jab dida-e-tar (tearfull eyes) se nikla
Ek kanta sa jigar se nikla
- thought
Aaya hai mere dil ka ghubar ( hiddeen gham) ansoon ke saath
Lo ab to hui malik-e-ḳhushki-o-tari (god of dryness and wetness) aankh
- thought
Yun chashm-e-tar (tearfull eyes) se chehre par aansoo hue ravan
Dariya se jaise laaye koi nehar kaat kar
- thought
Kabhu tu ro to usko ḳhaak upar jake aye laila
Ki bin paani jangal mea rooh majnu ki bhatakti hai
- shayiri
Ye vo aansoo hain jin se zohra (venus) atishnak (fire) ho jaave
Agar piye koi unko to jal kar ḳhaak ho jaave
- thought
Sitaron se shab-e-gham (night of sorrow as loved one left) ka to daman jagmaga uththa
Magar aansoo baha kar hijr (separation) ke maron ne kya paaya
- shayiri
Hum mar kar bhi dikha dege unke liye
Kya wo phir bhi na humko chahege
Jab jalaya jayega diwane ko unke samne
Kya hamare liye do aansoo bhi na bahayege
- shayiri
Teri dosti ne dard sehna sikha diya
Marti hui rooh ko jeena sikha diya
Kya kahu kya hai tera sath mere liye
Tere sath ne mere aasooun ko muskurana sikha diya
- SHAYIRI
Jab se bicha hai sanam hamara
Dil nahi karta ab jeene ko
Sath lekar chala gaya khushiya
Bas de gaya hamea aasoo pene ko
- shayiri
Hum mar kar bhi dikha dege unke liye
Kya wo phir bhi na humko chahege
Jab jalaya jayega diwane ko unke samne
Kya hamare liye do aansoo bhi na bahayege
- shayiri
Teri dosti ne dard sehna sikha diya
Marti hui rooh ko jeena sikha diya
Kya kahu kya hai tera sath mere liye
Tere sath ne mere aasooun ko muskurana sikha diya
- shayiri
Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
Aaj tum yaad be-hisab aaye
- shayiri
Apne chehre se jo zahir hai chhupaye kaise
Teri marzi ke mutabiq nazar aayen kaise
- shayiri
Saari duniya ke gham hamare hain
Aur sitam ye ki hum tumhare hain
- shayiri
Boodea gire to aakh mea aasoo bhi aa gaye
Barisho ka uski yaad se rishta zaroor hai
- thought
Ye zameen ki fitrat hai ki har cheez jasb (absorb) kar leti hai
Varna teri yaad mea girne wale aansooun ka ek ek samundar hota
- thought
Aasooun ki zamanat bhi jaha kam na aayi
Wo saks lafzos (words) ka yakeen kakh kare ga
- shayiri
Ab to ḳhushi ka gham hai na gham ki ḳhushi mujhe
Be-his (insensitive) bana chuki hai bahut zindagi mujhe
- shayiri
Patthar ke jigar vaalo gham mein vo ravani hai
Khud raah bana lega behta hua paani hai
- thought
Gham aur ḳhushi mea farq na mehsoos ho jahan
Main dil ko us maqam (destination) pe laata chala gaya
- shayiri
Pehle nahaye oss ( dew drops) mea phir ansoon mea raat
Yun boodh boodh utri hamare gharon (houses) mea raat
- thought
Aansoo hamare gir gaye unki nigah se
Inn motiyon ki ab koi qimat nahin rahi
- thought
Aasra de ke mere ashk (aansoo) na chheen
Yahi le-de-ke bacha hai mujh mea
- thought
Zindagi jin ki rafaqat ( friendship) pe bahut nazan (proud) thi
Unn se bichhdi to koi aankh mea aansoo bhi nahin
- thought
Ye aansoo dhoodta hai tera daman
Musafir apni manzil janta hai
- thought
Aap ko ḳhoon ke aansoo hi rulana hoga
Hal-e-dil kehne ko hum apna agar baith gaye
- thought
Ek vo hain ki jinhen apni ḳhushi le doobi
Ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya
- thought
Aye gham-e-zindagi na ho naraz
Mujh ko aadat hai muskurane ki
- thought
Meri qismat mea gham gar itna tha
Dil bhi ya-rab kaye (many) diye hote
- thought
Aa dekh ki mere ansoo mea
Ye kis ka jamal (beauty) aa gaya hai
- thought
Meri ankhon mea hain aansoo tere daaman mea bahar
Gul bana sakta hai tu , shabnam (dew) bana sakta hun mae
- thought
Ankhon tak aa saki na kabhi ansoo ki lehar
Ye qafila ( group of people going together) bhi naql-e-makani (change of place from one place to another) mea kho gaya
- thought
Vo maazi (past) jo hai ik majmua (group) ashkon (aansoo) aur aahon ka
Na jaane mujh ko iss maazi se kyun itni mohabbat hai
- thought
Doob jaate hain umedon ke safine (ship) iss mea
Mae na manunga ki aansoo hai zara sa paani
- thought
Ab apne chehre par do patthar se sajaye phirta hun
Aansoo le kar bech diya hai ankhon ki binayi (eye-sight) ko
- thought
Unka gham unka tasavvur (imagination) unki yaad
Kat rahi hai zindagi aaram se
- shayiri
Gham se bikhra na paa.emaal ( ruined/ destroyed) hua
Mae to gham se hi be-misal ( unique / incomparable) hua
- thought
Qaid-e-hayat ( life) o band-e-gham (bondage of grief) asl mea donon ek hain
Maut se pehle aadmi gham se najat ( freedom) pae kyu
- thought
Aankho mea liye aasoo wo mujhe goorta raha
Aaene (mirror) mea khada saks wo preshan bahut tha
- shayiri
Mere aasooun se shayid uski pyas bhujti hai
Iss liye to wo mujhe har pal rulata hai
- thought
Humne aasoo ko samjhaya ki tanhaye mea aaya karo
Yu mehfil mea aakar hamara mazak mat banvaya karo
Aasoo tadap kar bole
mehfil mea aap ko tanha pate hai , Iss liye chale aate hai
- shayiri
Mae rona chahta hu ḳhoob rona chahta hu mae
Phir us ke baad gehri neend sona chahta hu mae
- thought
Jab tujhe yaad kar liya subhe mahek mahek uthi
Jab tera gham jaga liya raat machal machal gaye
- thought
Musebat (muskil) aur lambi zindagani
Buzurgon ki dua ne maar Daala
- thought
Gham hai na ab ḳhushi hai , na ummed hai na aaas
Sab se nijat (freedom) paaye zamane guzar gaye
( it has been long I got freedom from all these)
- thought
Tujh ko padkar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil (anxiety of heart)
Itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
- shayiri
Mujhe ḳhabar nahin gham kya hai aur ḳhushi kya hai
Ye zindagi ki hai soorat to zindagi kya hai
- thought
Jo zuban se bayaan nahi hote
Unhe lafzos (words) se asq bante hai
- SHAYIRI
Wo jo kehta tha ki kuch nahi hota
Ab wo rota hai chup nahi hota
- shayiri
Ye jo chehre se tumhe lagte hai bimar se hum
Khob roye hai lipat ke dar-o-diwar se hum
- shayiri
Gham mea kuchh gham ka mashghala (hobby) ke jiye
Dard ki dard se dava ke jiye
- thought
Ye gham nahin hai ki hum donon ek ho na sake
Ye ranj hai ki koi darmiyan mea bhi na tha
- songs
Dil ki chooto (wonds) ne kabhi chein se kabhi jeene na diya
Jab chali sard hawa , maine tujhe yaad kiya
Iss ka rona nahi kyo tumne kiya dil barbaad
Iska gham hai ki bahut deer mea barbaad kiya
- thought
Mae ne chaha tha ki ashkon (aansoo) ka tamasha dekhun
Aur ankhon ka ḳhazana tha ki ḳhali nikla
- thought
Mae jo roya unki ankhon mea bhi aansoo aa gaye
Husn ki fitrat (nature) mea shamil hai mohabbat ka mizaj
- thought
Ye be-sabab (without reason) nahin aaye hain aankh mea aansoo
Khushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga
- shayiri
Hum ko kiske gham ne maara ye kahani phir sahi
Kis ne toda dil hamara , ye kahani phir sahi
Dil le lutnay ka sabab poocho na sab ke samne
Naam aaye ga tumhara , ye kahani phir sahi
Nafrato ke teer kha kar dosto ke sehar mea
Hum ne kis kis ko pukara , ye kahani phir sahi
Kya bataye pyar ki baazi wafa ki rah mea
Kon jeeta kon haara , ye kahani phir sahi
- thought
Gham hai avara akele mein bhatak jaata hai
jis jagah rahiye vahan milte-milate rahiye
- thought
jama hum ne kiya hai gham dil mea
iska abb suut (interest) khaaye jayenge
- thought
Kya kahoo kis tarah se jeeta hu
Gham ko khata hu aansoo peeta hu
- thought
Arre o aasmaan vaale bata iss mea bura kya hai
ḳhushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen
- shayiri
Meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam (grief) nahin
Jise tere gham se ho vasta vo ḳhizan (autumn) baahar se kam nahin
- thought
Rulane mea asksar unhi ka hath hota hai
Jo kehte hai , tum haste bahut ho
- thought
Mat aasoo bahaoo inn bekardro k liye
Jo kadar karte hai wo rone nahi dete
- shayiri
Chale aao hamare sehar (city) sada barsat barasti hai
Kabhi badal baraste hai , kabhi aankhe barasti hai
- thought
Dard o gham dil ki tabiyat ban gaye
Ab yahan aaram hi aaram hai
- thought
Ik ishq ka gham aafat aur uspe ye dil aafat
Ya gham na diya hota ya dil na diya hota
- thought
Agar maujen (waves) dubo dete to kuch taskin (satisfaction) ho jaati
Kinaron ne duboya hai mujhe is baat ka gham hai
- shayiri
Ashk-e-gham (tears of sadness) dida-e-pur-nam ( tearfull eys) se sambhale na gaye
Ye vo bachche hain jo maa-baap se paale na gaye
- thought
Zindagi di hisab se usne
Aur gham be-hisab likkha hai
- shayiri
Dil gaya raunaq-e-hayat ( life’s brightness) gaye
Gham gaya saari kayenat gaye
- shayiri
Yaad ashkon (aansoo) mea baha di hum ne
Aaa ki har baat bhula di hum ne
- thought
Koi badal ho to tham jaaye magar ashk (aansoo) mere
Ek raftar se din raat barabar barse
- thought
Hote hi shaam jalne laga yaad ka alaao (wounds)
Aansoo sunane dukh ki kahani nikal pade
- thought
Ik ik qadam pe rakkhi hai yu zindagi ki laaj
Gham ka bhi ehtiram ( respect) kiya hai ḳhushi ke saath
- thought
Sukooon de na sakee rahaten zamane ki
Jo neend aaye tere gham ki chhanv (shadow) mea aaye
- thought
Gham ki duniya rahe aabad ‘shakil’
Muflisi (poorness) mea koi jageer to hai
- shayiri
Bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kyo
Aaina dekhen to chehre nazar aate hain kyo
- thought
Dil dabbaa jaata hai kitna aaj gham ke bhaar se
Kaisi tanhaye tapakti hai daro divar se
- thought
Gham-e-hasti (worries of life) ka ‘ashad’ (excessive) kis se ho juz ( folded , in binding ) marg ( remedy) ilaaj ( treatment)
shamma har rang mea jalti hai sehar hone tak
- THOUGHT
Itni shidat (faith) aansoou mea pehle kabhi na thi
Dekha apne nasseb ko to shareaam ( in front of everyone ) roye
- thought
Ratao ki sihaye ko yu ashkoun (aansoo) se doya humne
Chehre ne gavahi thi subhe ke ujale mea
- thought
Ab kya kahen ye sangdili hai ya bebasi
Dil hai gham-o-zid ( ready to take gham) pe magar aakh nam (wet) nahi
- shayiri
Gham mujhe dete ho auroon ki ḳhushi ke vaste
Kyu bure bante ho tum nahaq (be-insaaf) kisi ke vaste
- thought
Ilahi ek gham-e-rozgar (worries of lofe) kya kam tha
Ki ishq bhej diya jan-e-mubtala (sad life) ke liye
- shayiri
Masarrat ( pleasure) zindagi ka dusra naam
Masarrat ki tamanna mustaqil ( forever) gham
- shayiri
Aish hi aish hai na sab gham hai
Zindagi ik hasin sangam hai
- thought
Lazzat-e-gham (taste of sorrow) to baḳhsh (dena) di us ne
Hausle (strength) bhi ‘adam’ diye hote
- shayiri
Zindagi kitni masarrat ( happiness) se guzarti ya rab
Aish ki tarah agar gham bhi gavara ( acceptable) hota
- thought
Hazzar tarah ke thea ranj (sorrow) pichhle mausam mea
Par itna tha ki koi saath rone vaala tha
- thought
Koi ik zayeqa (taste) nahin milta
Gham mea shamil ḳhushi si rehti hai
- shayiri
Shikva-e-gham (complaint of sorrow) tere huzoor (service) kiya
Hum ne be-shak (without doubt) bada qusoor (mistake) kiya
- thought
Vo baat zara si jise kehte hain gham-e-dil
Samjhane mea ik umr guzar jaaye hai pyare
- thought
Hum aaj rah-e-tamanna (way of desire) mea jee (heart) ko haar aaye
Na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
- thought
Gham se nazuk zabt-e-gham (hiding gham) ki baat hai
ye bhi dariya hai magar thehra (ruka) hua
- shayiri
Dukh de ya rusvaye (disgrace) de
gham ko mere gehraye (depth) de
- thought
Kis tarah apni mohabbat ki mae takmil (finishing) karu
Gham-e-hasti (worries of life) bhi to shamil hai gham-e-yaar ( worries of love) ke saath
- thought
Zamane bhar ke gham ya ik tera gham
Ye gham hoga to kitne gham na honge
- thought
Kaun kisi ka gham khata hai
Kahne ko gham-ḳhvar ( who console you for gham )hai duniya
- shayiri
Dil ko gham raas hai yu gul (flower) ko sabaa ( eastern wind) ho jaise
Ab to ye dard ki soorat hi dava ho jaise
- shayiri
Gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin
Kya dava kya dua kare koi
- thought
Ye kis maqam pe laayi hai zindagi hum ko
Hansi labon pe hai seene mea gham ka daftar ( large book) hai
- thought
Gham agarche (although) jaan-gusil (heartbreaking) hai par kahan bachen (break in pain) ki dil hai
Gham-e-ishq ( love for worries) gar na hota gham-e-rozgar ( business of worries) hota
- shayiri
Ranj-o-gham (full of sorrow) dard-o-alam (pain and tragedy) zillat-o-rusvaye (dishonour disgrace) hai
Hum ne ye dil ke lagane ki saza paaye hai
- thought
Takmil-e-arzoo (completion of desire) se bhi hota hai gham kabhi
Aise dua na maang jise baddua kahen
- thought
Tum azeez (favourite) aur tumhara gham bhi azeez
kis se kis ka gila kare koi
- shayiri
Bahr-e-gham (ocean of sorrows) se paar hone ke liye
Maut ko sahil (kinara) banaya jayega
- thought
Gham ki tauhin (insult) na kar gham ki shikayat kar ke
Dil rahe ya na rahe azmat-e-gham (greatness of sorrow) rehne de
- thought
Yu na kisi tarah kati jab meri zindagi ki raat
Chhed ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya
- shayiri
Bahr-e-gham (ocean of sorrows) se paar hone ke liye
Maut ko sahil (kinara) banaya jayega
- THOUGHT
Aansoo aata rok diya maine
Socha kon dekh kar samjhe ga isse
Karan hi phir ban jae ga ek aur aansoo ka
Kitne aansoo rok pao ga mae akela
- thought
Yu na kisi tarah kati jab meri zindagi ki raat
Chhed ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya
- shayiri
Bahr-e-gham (ocean of sorrows) se paar hone ke liye
Maut ko sahil (kinara) banaya jayega