Kisi sabab (reason) se agar bolta nahi hu mae

To yu nahi ki tujhe sochta nahi hu mae

IFTIKHAR MUGHAL

Zara se baat sahi teri yaad aa jaana

Zara se baat bahut der tak rulati thi

NASIR KAZMI

Vaise to tumhe ne mujhe barbad kiya hai

Ilzam kisi aur ke sar jae to acha

SAHIR LUDHIANVI

Tumhara shehar ka mausam bada suhana lage

Mae ek shyam chura lu agar bhura na lage      

kesar-ul-zafri

Aarzo hai ki tu yaha aaye

Aur phir umar bhar na jae kahi

Nasir kazmi

Kabhi yun bhi aa meri aankh mea ki meri nazar ko ḳhabar na ho

Mujhe ek raat navaz de magar iss ke baad sehar na ho

BASHIR BADR

Pyar wo nahi jo mujhko tumse mila de , Pyar wo hai jo tumko mere alava kisi ka hone na de

whatsapp

Har ek harf ka andaz badal rakha hae

Aaj se humne tera naam Gazal rakha hae

Maine shaho ( king) ki mohabbat ka bharam ( illusion) thod diya

Maine apne kamre mea bhi ek Tajmahal rakha hae.

munnawar rana

ujale apni yadon ke hamare saath rahne do

na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaaye

bashir badr

Raaz jo kuch ho isharo me bata bhi dena

Hath jab usse milana to daba bhi dena

rahat indori

Na to Karvan (group of people especially pilgrims) ki talash hai

Ab Na to humsafar ki talash hai

Mere sauke khana karab ( evil of interest in you) ko

Teri rehguzar ( address) ki talash hai

Hai ilaj koi to maut hai Jo dawa k naam par sehar de

Usse charagar ( doctor) ki talash hai

Tera ishq hai meri aarzo

Tera ishq hai meri aabroo

Dil jism Ishq jism hai aur jaan Ishq hai

Imman ki jo poocho to imman ishq hai

 Tera ishq hai meri aabroo

Tera ishq mai kaise chod du

Meri umr bhar ki talash hai

barsat ki raat

Wo haske agar mange to hum jaan bhi de de

Ye jaan to kya cheez hai Iman bhi de de

Kyo Ki Ye ishq ishq hai ishq ishq

 

Naz-o-andaz se kehte hai ki jeena hoga

Jaher bhi dete hai to kehte hai ki peena hoga

Jab mae peeta hu to kehte hai ki marta bhi nahi

Jab mae marnta hu to kehta hai ki jeena hoga

 Kyo Ki Ye ishq ishq hai ishq ishq

barsat ki raat

Karuga kya jo mohabbat mea ho gaya nakam

Mujhe to aur koi kaam bhi nahi aata

gulam mohabbat kasir

Teri ishq ki intehah chahta hu

Meri sadgi dhek kya chahta hu   

allama iqbal

Ek lafz-e-mohabbat ka adna ( small) ye fasana hai

Simte to dil-a-aashiq fallee to zamana hai

jigar muradabadi

Matlab-a-ishq ka dastoor nirala dekha

Uss ko chuti ( holiday) na mile jis ko sabak ( lessons) yaad rahe       

meer tahir ali rizvi

Itni milti hai meri ghazlo se surat teri

Log tujh ko meri mohabbat samajhte hoge

bashir badr

Ye mohabbat ki kahani nahi marti lekin

Log kirdar nibate hue mar jate hai  

aabas tabishi

Yaad rakhna hi mobabbat mea nahi hai sab kuch

Bhul jana bhi badi baat hua karti hai   

jmaal Ehsani

Ishq ek “ Meer” bhari pather hai

Kab ye tujh na-tava ( weak) se udta hai      

meer taki meer

Aashiqui mea “Meer” jaise kawab mat dekha karo

Bavle ( mad) ho jaoge mahtab ( moon) mat dekha karo    

ahmed faraz

Aap daulat ke tarazo mea dilo ko taule

Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hai  

sahir ludhianavi

Na pak hoga kabhi husn aur ishq ka jhagda ( fight)

Wo kissa hai ye ki jis ka koi gawah nahi       

haider ali aatish

Uss ko ruksat to kiya tha mujhe maloom na tha

Sara ghar le gaya ghar chodh ke jane wala       

nida fazli

Bhala hum mile to kya mile vahi dooriya vahi fasle

Na kabhi hamare kadam bade na kabhi tumhari jijhak (hesitation) gaye     

bashir badr

Chalo acha hua kaam aa gayi dewangi apni

Varna hum zamane bhar ko samjane kaha jate        

kateel shifaye

Gar bazi ishq ki bazi hai – jo chahe laga do daar kaisa

Gar jeet gaye to kya kehna – hare bhi to bazi maat nahi     

faiz ahmed faiz

Kabhi yak-ba-yak ( suddenly) tawajauh ( favor) kabhi daffatan ( instantly) tagaful ( negligence)

Mujhe aajma raha hai koi rukh badal badal kar    

sakil bhuiyadi

Chalo acha hua kaam aa gayi dewangi apni

Varna hum zamane bhar ko samjane kaha jate        

kateel shifaye

Dhekne k liye sara aalam bhi kam

Chahne ke liye ek chehra bahut         

asyad badayuni

Wo chehra kitabi raha samne

Badi khoobsurat padaye hui       

bashir badr

Jane wale se mulakat na hone paye

Dil ki dil mea hi rahi baat na ho paye        

kateel shifaye

Tum mere liye ab koi ilzam na doodho

Chaha tha tujhe ek yahi ilzam bahut hai            

sahir ludhianvi

Tumhe zaroor koi chahto se dhekhe ga

Magar wo aankhe hamare kaha se laye ga   

bashir badr

Bahut dino se mohabbat ko ye hua maloom

Jo tere hijr ( separation)mea gujri wo raat raat hui             

firak gorakhpuri

Abhi rah mae kaye mod hai , koi aayega koi jaega

Tujhe jis ne dil se bhula diya usse bhulne ki dua karo      

bashir badr

Unn ka zikr unn ki tamana unn ki yaad

Waqt kitna keemti hai aaj kal            

shakil badayuni

Unhe apne dil ki kabre mere dil se mil rahi hai

Mai jo unn se roodh jao to payam ( message) tak na pahuche               

shakil badayuni

Tum se choot kar bhi tumhe bhulna aasan na tha

Tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye     

nida fazmi

Mere hum-nafas (friend) mere hum-nava ( having same opinion) mujhe dost ban ke daga na de

Mae hu dard-e-ishq se jaan-b-lab ( at the point of death) mujhe zindagi ki dua na de   

shakil badayuni

Kya husn ne samjhaya hai kya ishq ne jana hai

Hum khakh-nasheno ( sitting in dust) ki dhokar mea jamana hai            

jigar muradabadi

Ishq jab tak na kar chuke ruswa

Aadmi kam ka nahi hota       

jigar muradabadi

Abhi na cheed mohabbat ke geet a mutarib ( singer)

Abhi hayaat (life) ka mahaul khush-gavar nahi         

shakil badayuni

Kuch to majboriya rahi hogi   

yu hi koi bewaffa nahi hota  

gufftegu unse roj hoti hai   

Mudeton samna nahi hota 

Jee bahut chahta hai sach bole  

kya kare housla nahi hota   

Raat ka intezar kon kare 

Aaj kal din mea kya nahi hota        

bashir badr

Yu hi besabab phira karo  

koi shyam ghar bhi raha karo   

wo gazal ki sachi kitab hai

usse chupke chupke pada karo  

Koi hath bhi na milaye ga jo gale milo ge tabak se  

 ye naye mizaj ka sehar hai zara fasle se mila karo

Mujhe isstihar se lagti hai mohabbato ki kahaniya   

jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo 

Kabhi husn pardanashi bhi ho zara aashikana libas mea  

 jo mae ban sawar ke kahe chalu mere sath  tum bhi chala karo   

Nahi behijab wo chand sa ki nazar ka koi assar na ho  

 usse itne garmiye-a-shouk se bade dher tak na taka karo

Ye khissan ki zard di shawl mea jo udaas phed k pass hai

ye tumhare ghar ki bahar hai isse aasoou se hara karo  

bashir badr

Raat lehra ke chali hai isse aachal kar do  

tum mujhe raat ka jalta hua jungal kar do

Chand sa musra akela hai mere kagaj par  

chat pe aa jao mera sher mukamal kar do  

bashir badr

Sau chand bhi chamkege to kya baat banegi

Tum aaye to iss raat ki aukat banegi        

jaan nisar akhtar

Ishq ka zauk-e-nazara (pleasure of spectable) muft mea badnaam hai

Husn khud betab hai jalwa dhikhane k liye

asrar ul haq mjaj

Dil mea na ho juurat (courage) to mohabbat nahi milti

Khairat mea itni badi daulat nahi milti

nida fazali

Aashiqi mein bahut zarori hai

bewafi kabhi kabhi karna

  

BASHIR BADR

zindagi yuhi bahut kam hai mohabbat ke liye

ruuth kar waqt gawane ki zaroorat kya hai

WHATSAPP

mohabbat ek ḳhushboo hai hamesha saath chalti hai

koi insaan tanhaye mea bhe tanha nahin rehta

BASHIR BADR

ye kehna tha unse mohabbat hai mujh ko

ye kahne mea mujhko zamane lage hain

KHUMAR BARABANKAVI

ishq bhi ho hijab mea husn bhi ho hijab mea

ya to ḳhud ashkar ( clear) ho ya mujhe ashkar ( clear) kar

ALLAMA IQBAL

phir kho na jae hum kahin duniya ki bheed mea

milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi

SAHIR LUDHIANVI

hum apna ishq chamkae tum apna husn chamkao

ki hairaan dekh kar  aalam (world) hame bhi ho tumhe bhi ho

BAHADUR SHAH ZAFAR

akal ko tanqeed ( criticism) se fursat nahi

ishq par amal ( hope) ki buniyad ( foundation) rakh

ALLAMA IQBAL

chand kaliya nashat ( joy) ki chun kar muddaton mahv-e-yas ( desperate) rehta hu

tera milna ḳhushi ki baat sahi tujh se mil kar udaas rehta hu

SAHIR LUDHIANVI

mahek rahi hai zameen chandni ke phulon se

ḳhuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

BASHIR BADR

ishq ki chot (hit) ka kuch dil pe asar ho to sahi

dard kam ho ya ziyada ho magar ho to sahi

JALAL LAKHNAVI

ek chehra hai jo ankhon mea basa rehta hai

ik tasavvur (imagination) hai jo tanha nahin hone deta

JAVED NASEEMI

wafa tujhse aae bewafa chahta hu

meri sadgi dekh kya chahta hu

HASRAT MOHANI

jab hua zikr zamane mein mohabbat ka ‘shakil’

mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya

SHAKEEL BADAYUNI

zindagi jab azaab hoti hai

aashiqi kamyab hoti hai

DUSHYANT KUMAR

husn ik dilruba hukumat hai

ishq ik qudrati ( natural) ghulami hai

ABDUL HAMID ADAM

ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se

mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyuun nahin karte

FARHAT EHSAS

dil pe aaye hue ilzam se pehchante hain

log ab mujh ko tere naam se pehchante hain

QATEEL SHIFAI

kyuun hijr ( separation) ke shikve karta hai kyu dard ke rone rota hai

ab ishq kiya to sabr bhi kar , ishq mein to yahi kuchh hota hai

HAFEEZ JALANDHARI

Aaziyyat ( difficult) musibat malamat ( blame) balayen ( evil)

tere ishq men ham ne kya kya na dekha

KHWAJA MEER DARD

sirf uss ke hont kaghaz par bana deta hu main

ḳhud bana leti hai honton par hansi apni jagah

QATEEL SHIFAI

kya kahun tum se main ki kya hai ishq

jaan ka rog hai bala hai ishq

MEER TAQI MEER

ye kin nazron se tu ne aaj dekha

ki tera dekhna dekha na jae

AHMAD FARAZ

dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya

jab chali sard hava maine tujhe yaad kiya

JOSH MALIHABADI

kyu meri tarah raton ko rehta hai pareshan

aye chand bata kis se teri aankh ladi hai

SAHIR LAKHNAVI

mujhe to qaid-e-mohabbat azeez thi lekin

kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhod diya

SHAKEEL BADAYUNI

maang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae

sau savalon se yahi ek saval achchha hai

AMEER MINAI

ye mere ishq ki majburiyan maa-z-allah ( great)

tumhara raaz tumhin se chhupa raha huun main

ASRARUL HAQ MAJAZ

atish-e-ishq vo jahannam (hell) hai

jis mein firdaus (paradise) ke nazare hain

JIGAR MORADABADI

ishq ke shole ( flame) ko bhadkao ki kuchh raat kate

dil ke angare ko dhakao ki kuchh raat kate

MAKHDOOM MOHIUDDIN

wafa tum se karenge dukh sahenge naaz uthaenge

jisse aata hai dil dena usse har kaam aata hai

ARZOO LAKHNAVI

vo ek hi chehra to nahin saare jahan mein

jo dor hai vo dil se utar kyu nahin jaata

NIDA FAZLI

ishq mujh ko nahin vehshat ( wildness) hi sahi

meri vahshat teri shohrat ( fame) hi sahi

MIRZA GHALIB

maraz-e-ishq (ailment of love)  jise ho usse kya yaad rahe

na dava yaad rahe aur na dua yaad rahe

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

is taalluq ( relation) mein nahin mumkin talaq

ye mohabbat hai koi shadi nahin

ANWAR SHUOOR

ishq mein bu ( smell) hai kibriyaa ( greatness of god) ki

aashiqi jis ne ki khudaye ki

BAQAULLAH 'BAQA'

ik roz khel khel mein hum us ke ho gae

aur phir tamam umr kisi ke nahin hue

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

unhee raston ne jin par kabhi tum thea saath mere

mujhe rok rok pochhe tera hum-safar kahan hai ?

BASHIR BADR

mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham ( continously)

mohabbat jitni badhti hai shikayat hoti jaati hai

SHAKEEL BADAYUNI

tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta

tumhari yaad aaye aur khidki khol di hum ne

MUNAWWAR RANA

Ahl-e-havas ( those with lust) to ḳhair havas mein hue zalil

vo bhi hue ḳharab, mohabbat jinhon ne ki

AHMAD MUSHTAQ

jab tum se mohabbat ki hum ne ,tab ja ke kahin ye raaz khula

marne ka saliqa aate hi jeene ka shuur ( tareka) aa jaata hai

SAHIR LUDHIANVI

utar bhi aao kabhi asman ke jiine ( life) se

tumhen ḳhuda ne hamare liye banaya hai

BASHIR BADR

ye theek hai nahin marta koi judae mea

ḳhuda kisi ko kisi se magar juda na kare

QATEEL SHIFAI

log kehte hain mohabbat mea asar hota hai

kaun se sehar mein hota hai kidhar hota hai

MUSHAFI GHULAM HAMDANI

husn ko sharmsar karna hi

ishq ka inteqam hota hai

ASRARUL HAQ MAJAZ

kuch khel nahin hai ishq karna

ye zindagi bhar ka rat-jaga ( awake at night) hai

AHMAD NADEEM QASMI

aadmi jaan ke khata hai mohabbat mein fareb

ḳhud-farebi ( self deception , apne aap ko dhokha dena) hi mohabbat ka sila ho jaise

IQBAL AZEEM

tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil ( restless heart)

itna asan tere ishq ka gham tha hi nahin

FIRAQ GORAKHPURI

abhi zinda hu lekin sochta rehta hu ḳhalvat ( privacy) mein

ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya maine

SAHIR LUDHIANVI

main har haal mea muskurata rahunga

tumhari mohabbat agar saath hogi

BASHIR BADR

jazba-e-ishq salamat hai to insha-allah

kachche dhage se chale ayenge sarkar bandhe

INSHA ALLAH KHAN 'INSHA'

oos ( dew drops) se pyaas kahan bujhti hai

musladhar ( heavy) baras meri jaan

RAJINDER MANCHANDA BANI

mere saliqe se meri nibhi mohabbat mea

tamam umr mane nakamiyon se kaam liya

MEER TAQI MEER

vo kahin bhi gaya lauta to mere paas aaya

bas yahi baat hai achi mere harjaye ( disloyal) ki

PARVEEN SHAKIR

ishq ko ek umr chahiye aur

umr ka koi iytebar nahin

JIGAR BARELVI

main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do

tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe

BASHIR BADR

jo dil rakhte hain sene mea vo kafir ho nahin sakte

mohabbat deen hoti hai vafa iman hoti hai

ARZOO LAKHNAVI

ishq men kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

AHMAD MUSHTAQ

ajeeb raat thi kal tum bhi aa ke laut gaye

jab aa gaye thi to pal bhar thahar gaye hote

BASHIR BADR

mohabbat ka tum se asar kya kahun

nazar mil gaye dil dhadakne laga

AKBAR ALLAHABADI

hum ishq mea hain fard ( single) to tum husn mea yakta ( matchless)

hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi

LALA MADHAV RAM JAUHAR

jise ishq ka teer kaari ( hatefull) lage

use zindagi kyuun na bhari lage

WALI MOHAMMAD WALI

Hijr ( separation) ko hausla aur vasl ( intercourse) ko fursat darkar ( necessary)

ik mohabbat ke liye ek javani kam hai

ABBAS TABISH

duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad

ab mujhko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad

JIGAR MORADABADI

garmi-e-hasrat-e-nakam (heat of grief of defeat) se jal jaate hain

ham chiragon ki tarah shaam se jal jaate hain

QATEEL SHIFAI

vahi karvan vahi raste vahi zindagi vahi marhale

magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin

SHAKEEL BADAYUNI

mere ḳhvabon mea bhi tu mere ḳhayalon men bhi tu

kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun

SAHIR LUDHIANVI

talaq de to rahe ho itab-o-qahr (full anger) ke saath

mera shabab bhi lauta do meri mahr ( love) ke saath

SAJID SAJNI

Khabron mea nahin hum ko kitabon mea utaro

hum log mohabbat ki kahani mea mare ( dead) hain

EJAAZ TAWAKKAL

hamare ishq mea rusva hue tum

magar hum to tamasha ho gaye hain

ATHAR NAFEES

ikrar hai ki dil se tumhen chahte hain hum

kuch is gunah ki bhi saza hai tumhare paas

HASRAT MOHANI

zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi

majboor thea hum uss se mohabbat bhi bahut thi

KALEEM AAJIZ

haan kabhi ḳhwab-e-ishq dekha tha

ab tak ankhon se ḳhoon tapakta hai

AKHTAR ANSARI

unka gham unka tasavvur ( imagination) unke shikve ab kahan

ab to ye baten bhi aye dil ho gaye aaye gaye

SAHIR LUDHIANVI

pyaar ka pehla ḳhat likhne mein waqt to lagta hai

naye parindon ko udne mein waqt to lagta hai

HASTIMAL HASTI

kis darja (level) dil-shikan ( heart breaking) thea mohabbat ke hadse

hum zindagi mein phir koi arman na kar sake

SAHIR LUDHIANVI

koi aye ‘shakeel’ pooche ye junoon nahin to kya hai

ki usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara

SHAKEEL BADAYUNI

ishq mashook ishq aashiq hai

yaani apna hi mubtala (effect) hai ishq

MEER TAQI MEER

tujh ko ḳhabar nahin magar ik sada-lauh ( simple) ko

barbad kar diya tere do din ke pyaar ne

SAHIR LUDHIANVI

hum jante to ishq na karte kise ke saath

le jaate dil ko ḳhaak mein is aarzu ke saath

MEER TAQI MEER

hum ko kiske gham ne maara ye kahani phir sahi

kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi

MASROOR ANWAR

silsile tod gaya vo sabhi jaate jaate

varna itne to marasim ( rules) thea ki aate jaate

AHMAD FARAZ

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

tu meri pehli mohabbat thi meri aḳhiri dost

AHMAD FARAZ

kya mila tum ko mere ishq ka charcha kar ke

tum bhi rusva hue aḳhir mujhe rusva kar ke

MASROOR ANWAR

ek kami thi taj-mahal mein

maine teri tasvir laga di

KAIF BHOPALI

ik safar mein koi do baar nahin lut sakta

ab dobara teri chahat nahin ki ja sakti

JAMAL EHSANI

main ne din raat ḳhuda se ye dua mangi thi

koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye

BASHIR BADR

kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat

aap aa na sake aap ka paigaam to aaya

SHAKEEL BADAYUNI

zindagi bhar ke liye ruuth ke jaane vaale

main abhi tak teri tasvir liye baitha hu

 

QAISARUL JAFRI

rone lagta hu mohabbat mein to kehta hai koi

kya tere ashkon se ye jangal hara ho jayega

AHMAD MUSHTAQ

ishq mein kya nuksaan nafa hai hum ko kya samjhate ho

hum ne saari umr hi yaaro dil ka karobar kiya

JAAN NISAR AKHTAR

main us ki dastaras ( ability) mein hu

magar vo mujhe meri raza ( consent) se mangta hai

PARVEEN SHAKIR

hum to samjhe thea ki barsat mein barsegi sharab

aaye barsat to barsat ne dil tod diya

AHMAD MUSHTAQ

kya jaane kis ada se liya tu ne mera naam

duniya samajh rahi hai ki sach-mucch tera hu main

QATEEL SHIFAI

‘faraz’ ishq ki duniya to ḳhub-surat thi

ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal ( evil of meeting and separation) rakkha hai

AHMAD FARAZ

hum jurm-e-mohabbat ki saza payenge tanha

jo tujh se hui ho vo ḳhata saath liye ja

SAHIR LUDHIANVI

tum nahin paas koi paas nahin

ab mujhe zindagi ki aas nahin

JIGAR BARELVI

jab unhean dekho pyaar aata hai

aur be-iḳhtiyar ( uncontrolable) aata hai

JALEEL MANIKPURI

mujh se tu puchhne aaya hai vafa ke mayene ( matlap)

ye teri saadgi maar na daale mujh ko

QATEEL SHIFAI

idhar aa raqib ( dushman) mere , main tujhe gale laga lu

mera ishq bemaza tha teri dushmani se pehle

KAIF BHOPALI

naam hooton pe tera aaye to rahat si mile

tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai

NAQSH LAYALPURI

iss qadar bhi to na jazbat pe qaabu rakkho

thak gaye ho to mere kandhe pe baazu rakkho

IFTIKHAR NASEEM

rahega saath tera pyaar zindagi ban kar

ye aur baat meri zindagi vafa na kare

QATEEL SHIFAI

tum se mil kar imli meethi lagti hai

tum se bichhad kar shahad ( honey) bhi khara lagta hai

KAIF BHOPALI

zameen ke log to kya , do dilon ki chahat mein

ḳhuda bhi ho to usse darmiyan laao mat

OBAIDULLAH ALEEM

ku-ba-ku ( everywhere) phael ( spread) gaye baat shanasaye (jaan pehchan) ki

us ne ḳhushbu ki tarah meri paziraye ( acceptance) ki

PARVEEN SHAKIR

mushkil tha kuchh to ishq ki baazi ko jetna

kuchh jetne ke ḳhauf se haare chale gaye

SHAKEEL BADAYUNI

ishq ki har dastan mein ek hi nukta mila

ishq ka maazi ( past) hua karta hai mustaqbil ( future) nahin

OBAIDULLAH ALEEM

Pehle usne Mus ( Axe) kaha phir Tak ( look) kaha phir Bill ( place of living) kaha

Is tareh zalim ne mere Mustakbil ke tukre kar diye

JETINDER

haaye re majburiyan ( helpless) mahrumiyan ( lack) nakamiyan ( unsuccessfull)

ishq aḳhir ishq hai tum kya karo hum kya karen

JIGAR MORADABADI

ye wafa ki saḳht (hard) rahen , ye tumhare pao nazuk

na lo inteqam mujh se mere saath saath chal ke

OBAIDULLAH ALEEM

Irada kar to liya hota usko chodne ka maine

Bas Irade pe duniya nahi chalte meri

Wafa ke khel mea mai sabse upar tha

Aur koi khel mea par kalakari nahi chati meri

Khalvaat-e-Ludhianavi

mujhe ishtihar (advertisement) si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan

jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo

BASHIR BADR

kahin ye apni mohabbat ki inteha (end) to nahin

bahut dino se teri yaad bhi nahin aayi

AHMAD RAHI

apno ka shikva kya thokaron ka gham kaisa

aadmi mohabbat mein sab ko bhul jaata hai

AMIR USMANI

mohabbat soz (burn) bhi hai saaz ( music)bhi hai

ḳhamoshi bhi hai ye awaz bhi hai

ARSH MALSIYANI

ishq sunte thea jise hum vo yahi hai shayad

ḳhud-baḳhud ( automatic) dil mea hai ik shaḳss samaya jaata

ALTAF HUSSAIN HALI

kabhi yun bhi aa meri aankh mea ki meri nazar ko ḳhabar na ho

mujhe ek raat navaz de magar iss ke baad sehar na ho

BASHIR BADR

ishq to har shaḳhs karta hai shuur ( brave man / fighter)

tum ne apna haal ye kya kar liya

ANWAR SHUOOR

ishq paband-e-wafa ( control bywafa) hai na ki paband-e-rusum (control by tradition)

sar jhukane ko nahin kehte hain sajda karna

AASI ULDANI

kucha-e-ishq (house of love) mein nikal aaya

jis ko ḳhana-ḳharab ( to go to hell) hona tha

JIGAR MORADABADI

log kehte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe

tum jo kehte ho ki vehshat hai to vehshat hogi

ABDUL HAMID ADAM

mohabbat mea ye kya maqam aa rahe hain

ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain

JIGAR MORADABADI

bhari duniya mea faqat mujh se nigahen na chura

ishq par bas na chalega teri danaai ( intellegence) ka

AHMAD NADEEM QASMI

ishq hi ishq hai jahan dekho

saare aalam mein bhar raha hai ishq

MEER TAQI MEER

bahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat ( follow love)

wafa par ishq ki buniyad rakhna chahte hain

IFTIKHAR ARIF

roz milne pe bhi lagta tha ki yug ( zamane) beet gaye

ishq mein waqt ka ehsas nahin rehta hai

AHMAD MUSHTAQ

dekhe hain bahut hum ne hangame mohabbat ke

aaghaz ( beginning) bhi rusvaye anjam ( result) bhi rusvaye

SUFI TABASSUM

hum ne avval ( first) se padhi hai ye kitab aḳhir tak

hum se puchhe koi hoti hai mohabbat kaisi

ALTAF HUSSAIN HALI

bhala aadmi tha par nadaan nikla

suna hai kisi se mohabbat kari hai

KALEEM AAJIZ

ye mohabbat bhi ek neki hai

is ko dariya mein Daal aate hain

INAM NADEEM

mohabbat ko chhupaye laakh koi chhup nahin sakti

ye vo afsana hai jo be-kahe ( bina bole) mashoor hota hai

LALA MADHAV RAM JAUHAR

jab se tune mujhe dewana bana rakkha hai

sang har shaḳhs ne hathon mein utha rakkha hai

HAKEEM NASIR

Kisi ka yu to hua kon umr bhar phir bhi

Ye husn o ishq to dhokha hai sab magar phir bhi

Firaq Gaurakhpuri

Ye kehna tha unse mobahhat hai mujh ko

Ye kehne mea mujh ko zamane lage hai

Khumar barabekvi

Ishq bhi ho hijab mea husn bhi ho hijab mea

Ya to khud aashkar (clear) ho ya mujhe aashkar (clear) kar

Allama iqbal

sukoon-e-dil ke liye ishq to bahana tha

vagarna (otherwise) thak ke kahin to thher (stop) hi jaana tha

FATIMA HASAN

Zindagi yu hi bahut kam hai mohabbat k liye

Rooth kar waqt gawane ki zaroorat kya hai

LALA MADHAV RAM JAUHAR

Mohabbat ek khusboo hai hamesha sath chalti hai

Koi insaan tanhaiye mea bhi tanha nahi rehta

BASHIR BADR

Ye kehna tha unse mobahhat hai mujh ko

Ye kehne mea mujh ko zamane lage hai

Khumar barabekvi

Ishq bhi ho hijab mea husn bhi ho hijab mea

Ya to khud aashkar (clear) ho ya mujhe aashkar (clear) kar

Allama iqbal

Kisi ka yu to hua kon umr bhar phir bhi

Ye husn o ishq to dhokha hai sab magar phir bhi

Firaq Gaurakhpuri

Hum apna ishq chamkaye tum apna husn chamkao

Ki harren (amused) dhek kar aalam ( world) , hamea bhi ho tumhe bhi ho

Bahadur shah zafar

Akl (mind) ko tanqiid ( criticism) se fursat nahi

Ishq par aamal (actions) ki buniyad rakh

Allah iqbal

Kisi sabab se agar bolta nahi hu mae

To yu nahi ki tujhe sochta nahi hu mae

Iftkhar mugal

Vaise to tujhe ne mujhe barbad kiya hai

Ilzam kisi aur ke sar jae to acha

Sahir ludhianvi

Abhi aaye abhi jate jo jaldi kya hai dum le lo

Na cheduga mae jaise chahea tum mujhse kasam le lo

Ammer minaye

Mahek rahi hai zammen chandni ke phoolon se

Khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

BASHIR BADR

Ishq ki choot ka kuch dil pe assar ho to sahi

Dard kam ho ya jiyada ho magar ho to sahi

Jalal lakhnavi

Zindagi jab ajaab ( grave)/ curse) hoti hai

Aashiqui kamyab hoti hai

Dushyant kumar

Ek chehra hai jo aankho mea basa rehta hai

Ek tassvur (imagination) hai jo tanha nahi hone deta

Javed nasimi

Jab hua zikr zamane mea mohabbat ka ‘sakeel’

Mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya

Sakeel badayuni

Husn ek dilruba hukumat hai

Ishq ek kudrati gulami hai

Abdul hamid adam

Ilaj apna karate phir rahe ho jane kis kis se

Mohabbat kar ke dhekho na , mohabbat kyu nahi karte

Fehrat ehsas

Dil pe aaye hue ilzam se pehchante hai

Log ab mujh ko tere nam se pehchante hai

Katil shifaye

Unko hoton se mere haq me dua nikli hai

Jab maraz ( illness) fal ( increase) chuka hai to dawa ( medicie) nikli hai 

munnawar rana

Anjaam-e-wafa ye hai jis ne nhi mohabaat ki

Marne ki dua maangi jeene ki saza paye

Nushur Wahidi