- thought
Dum tod deti hai maa-baap ki mamta uss waqt
Jab bache kehte hai , tumne humare liye kiya hi kya hai
- shayiri
Betiyan baap ki ankhon mea chhupe khwab ko pehchanti hain
aur koi dusra is khwab ko padh le to bura manti hain
- thought
Humea padhao na rishton ki koi aur kitab
padhi hai baap ke chehre ki jhurriyan hum ne
- thought
Ye soch ke maa baap ki khidmat mea laga hun
is ped ka saaya mere bachchon ko milega
- thought
mujh ko chhanv mea rakha aur khud bhi vo jalta raha
main ne dekha ik farishta baap ki parchhayen mea
- shayiri
Un ke hone se bakht (luck) hote hain
baap ghar ke darakht hote hain
- poem
Jiske sath waqt gujar hi jata hai
Jo mere sukh mea muskurata hai
Jaise mai bolu wo karta jata hai
Kuch galat ho jae to bhi wo na sunata hai
Jeb mea paise na ho, kharcha sara wo udata hai
Kaam pe khushi se jata hai aur thak kar aata hai
Rote kabhi dekha nahi usko, na wo kisi ko rulata hai
Bas kuch pal uske sath bitao mae , yahi wo chahta hai
Gussa ho bhi agar wo , par kabhi nahi dikhata hai
Bhukhar khud ho to bhi bacho ki ek awaz pe dauda chala aata hai
Ghar pe sab rehte hai , par loan ki kist wo chukata hai
Khel , khood , hasne , bolne , sab ka time jaine kaise nikal pata hai
Wo zamane mea pita ke naam se janna jata hai
- thought
Aasmano mea ek naam likha hai
Na-na wo bhagwan nahi tha
Likha tha bheja hai usko
Jo na maange ga , na roye ga
Na naaraz ho ga , na naaraz hone dega
Khuda ne uska naam pita rakha hai
- shayiri
Khud ko marna padta hai
Kisi ko zindagi dene ke baad
Badal bhi barasta karta hai
Khud ko marne ke baad
- shayiri
Umr beet gayi pita kehlate kehlate
Aur umr beet gaye khud ko patte patte
- shayiri
Atmsamman mara nahi
Mai abhi poora pita bana nahi
- shayiri
Bacho ke liye jaan deta hai pita
Phir unhe bachon se tane khata hai pita
- thought
mujh ko chhanv mea rakha aur khud bhi vo jalta raha
main ne dekha ik farishta baap ki parchhayen mea
- shayiri
un ke hone se barkat (luck) hote hain
baap ghar ke darakht hote hain
- thought
ghar ki is baar mukammal main talashi lunga
ghum chhupa kar mere maa baap kahan rakhte thea
- thought
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahad
mere bachche mujhe budha nahin hone dete
- thought
muddat ke baad khwab mea aaya tha mera baap
aur us ne mujh se itna kaha khush raha karo
- shayiri
aziz-tar (full of love) mujhe rakhta hai vo rag-e-jan (blood vein of life) se
ye baat sach hai mera baap kam nahin maa se
- thought
baap ziina (ladder) hai jo le jaata hai unchaye tak
maa dua hai jo sada saya-fagan (protector) rehti hai
- thought
bachche meri ungli thame dhere dhere chalte thea
phir vo aage daud gaye main tanha pechhe chhut gaya
- thought
in ka uthna nahin hai hashr (final day of death) se kam
ghar ki divar baap ka saaya
- thought
vo ped jis ki chhanv mea kati thi umr gaanv mea
main chuum chuum thak gaya magar ye dil bhara nahin
- thought
haddiyan baap ki guude (marrow) se hui hain khali
kam se kam ab to ye bete bhi kamane lag jaayen
- thought
main ne hathon se bujhaye hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye
- thought
subhe savere nange paanv ghaas pe chalna aisa hai
jaise baap ka pehla bosa (kiss) qurbat (nearness) jaise maaon (mothers) ki
- thought
main apne baap ke seene se phool chunta hun
so jab bhi saans thami (ruki) baagh mea tehal (walk) aaya
- thought
der se aane par vo khafa tha akhir maan gaya
aaj main apne baap se milne qabristan gaya