- THOUGHT
mard wo nahi jo kabhi nahi rota
mard wo hae jo aurat ko rone nahi deta
- thought
log kehte hain badalta hai zamana sab ko
mard vo hain jo zamane ko badal dete hain
- THOUGHT
yahan libas ki keemat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas bade de sharab kam kar de
- THOUGHT
har aadmi mea hote hain dus bees (10-20) aadmi
jis ko bhi dekhna ho kaye baar dekhna
- SHAYIRI
isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
tamam log farishte hain aadmi hun main
- SHAYIRI
ittefaq apni jagah ḳhush-qismati apni jagah
ḳhud banata hai jahan mea aadmi apni jagah
- SHAYIRI
aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai
- SHAYIRI
girja mea mandiron mea azanon mea bat (divide) gaya
hote hi subhe aadmi ḳhanon (blocks) mea bat gaya
- THOUGHT
samjhega aadmi ko vahan (there) kaun aadmi
banda jahan ḳhuda ko ḳhuda manta nahin
- thought
‘zafar’ aadmi us ko na janiyega vo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka (intellegent)
jise aish (good life) mea yad-e-ḳhuda (remembering GOD) na rahi jise taish ( gusse) mea ḳhauf-e-ḳhuda ( fear of GOD) na raha
- thought
janvar aadmi farishta ḳhuda
aadmi ki hain saikadon ( hundreds) qismea
- THOUGHT
sab se pur-amn (peacefull) vaqi.a (incidence) ye hai
aadmi aadmi ko bhuul gaya
- thought
raah mea baitha hun main tum sang-e-rah (humsafar) samjho mujhe
aadmi ban jaunga kuchh thokaren khane ke baad
- shayiri
bheed tanhaeyon ka mela hai
aadmi aadmi akela hai
- shayiri
meri rusvaye ke asbab (belongings) hain mere andar
aadmi hu so bahut ḳhwab hain mere andar
- thought
main tere dar ka bhikari tu mere dar ka faqir (beggar)
aadmi is daur mea ḳhuddar ho sakta nahin
- thought
hazar chehre hain maujud aadmi ghayeb
ye kis ḳharabe ( bad turn) mea duniya ne la ke chhod diya
- thought
main aadmi hun koi farishta nahin huzoor
main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya
- thought
farishta hai to taqaddus (purity) tujhe mubarak ho
hum aadmi hain to aib-o-hunar ( fault and artfullness) bhi rakhte hain
- thought
ḳhush-hal ghar sharif tabiyat sabhi ka dost
vo shaḳhs tha ziyada magar aadmi tha kam
- thought
aadmi ka aadmi har haal mea humdard ho
ik tavajjoh (attention) chahiye insan ko insan ki taraf
- thought
ḳhuda badal na saka aadmi ko aaj bhi ‘hosh’
aur ab tak aadmi ne saikdon ḳhuda badle
- thought
zindagi se zindagi ruthi rahi
aadmi se aadmi barhum (angry) raha
- shayiri
itna be-asra nahin hun main
aadmi hun ḳhuda nahin hun main
- thought
Tatolo (search) parakh lo chalo aazma lo
ḳhuda ki qasam ba-ḳhuda (by-God) aadmi hun
- thought
main aḳhir aadmi hun koi laghzish (mistake) ho hi jaati hai
magar ik vasf (attitude) hai mujh mea dil-azari (breaking heart) nahin karta
- shayiri
abhi farq hai aadmi aadmi mea
abhi duur hai aadmi aadmi se
- shayiri
Aadmi ghar pe rahe to use kehte hai nakara
Bahar jada ghome to kehte hai usse aawara
Aadmi zimedariyo ke bhooj mea aade daba hai
Ki veh khud ki nazaro mea hai bahut hi be-sehara
- thought
Gham mea aankhe nam (wet) nahi
To meri kya khata hai
Mae mard hu
Mere aankho ke aansou ko pata hai
- shayiri
Mard har dard seh kar bhi apna dharye (patience) khota nahi hai
Musibat kitne badi ho har baat-baat par rota nahi hai
- shayiri
Ek kandhe (shoulder) pea bhojh bahut dikhta hai
Feka feka sa chehra , par aankho mea tej bahut dikhta hai
Kandha majboot aur dil nazuk sa liye phirta hai
Sab ki ummedo pe ye khara utarta hai
Kabhi Maa ka ladla , kabhi zoru ka gulam kehlata hai
Ye mard be-wajah chaki mea peesa jata hai
Subhe shyam ka koi hosh nahi rehta
Dil chahea jitna hi bechain ho
Inki aankho mea koi dhek nahi sakta hai
Hua kya hai inhe ye kisi se kehte hi nahi
Zuba pe karvahat jitne zada hoti hai
Dil ka dard utna hi gehra hota hai
Inhe bhi pasand hai dhalti shyam ke sath dhal jana
Kisi ke godh (lap) mea sar rakh ke so jana
Koi pyar se gale inhe bhi laga le
“aaj tum office mat jao” , ye keh kar apne pass bhitha le
Bade simte se lagte hai , bade suljhe se lagte hai
Ye ladke kitne ajeeb hai na, hazaar khwashiyo ko maar ke bhi zinda se lagte hai
Roothe to ye khud hote hai aur ulta hamea hi manane lagte hai
Dil inka bhi moom (wax) ka hai, bas ye zara pathar dil bankar rehte hai
Aur dhikhave ki to khoob daag dene pade gi inki
Kabhi haal pooch lo , to haa mae thek hu , maje mea hu , keh kar baat tal dete hai
Kabhi kabhi sochte hu , jism kya lohe ka hai inka
Badan chahea bhukhar se tap raha ho
Firk inhe phir bhi apni hoti nahi hai
Nikal padte hai kamane apne hisse ka aaram
Jo inhe kabhi vapis milta hi nahi
Aur ek aakhri baat
Ek jism mea kaye kirdaar nibate hai
Kabhi bhai , kabhi pita to kabhi humsafar kehlate hai
Kitne ajjeb baat hai na , jimedariyo ki bediyo mea
Gaar zimedar insaan ka chola pehne nazar aate hai
- thought
Ro hi le ab tu
Samaey aa hi gaya hai
Salaib aansoun ka
Poora sehar duba de ga
- shayiri
Sapno ne ek dil haqeeqat mea dum tod diya
Phir kya apne saye se bhi dar gaya ek ladka
Aur tujhe kab akal aaye gi kehte thea ghar wale jisse
Zimedariyo ke boojh tale sudhar gaya ek ladka