Aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye

ishq hai to ishq ka izhar hona chahiye

Aap dariya hain to phir is vaqt ham ḳhatre ( danger) mea hain

aap kashti hain to ham ko paar hona chahiye

Aire-ġhaire log bhi padhne lage hain in dinon

aap ko aurat nahin aḳhbar hona chahiye

Zindagi  tu kab talak dar-dar phiraegi hamen

Tuta-phuta hi sahi ghar-baar hona chahiye

Apni yadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe

ishq ke hisse mea bhi itvar ( Sunday) hona chahiye  

MUNNAWAR RANA

raat teri yadon ne dil ko is tarah chheda

jayese koi chutki le narm narm galon mea

BASHIR BADR

Zara se baat sahi teri yaad aa jana

Zara se baat bahut dher tak rulati thi

NASIR KAZMI

Izhar se nahi lagta pata kisi k pyar ka sahib

Intezar batata hae ki talabgar (one who desires) kon hae

anonymous

Kash dil ki awaaz ka itna assar ho jae

Hum yaad kare aur unko khabar ho jae

BASHIR BADR

ujale apni yadon ke humare saath rehne do

na jaane kis gali mea zindagi ki shaam ho jaaye

BASHIR BADR

kar raha tha ghum-e-jahan (pain by world) ka hisab

aaj tum yaad be-hisab aaye

FAIZ AHMAD FAIZ

uski yaad aaye hai sanso zara ahista chalo

dhadkanon se bhi ibadat (prayers) mea ḳhalal (break) padta hai

RAHAT INDORI

achchha ḳhasa baithe baithe gum ho jaata hun

ab main aksar main nahin rehta tum ho jaata hun

ANWAR SHUOOR

ek muddat se teri yaad bhi aaye na humea

aur hum bhuul gaye hon tujhe aisa bhi nahin

FIRAQ GORAKHPURI

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

hum ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai

HASRAT MOHANI

tumhari yaad ke jab zaḳhm bharne lagte hain

kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain

FAIZ AHMAD FAIZ

aap ke baad har ghadi hum ne

aap ke saath hi guzari hai

GULZAR

nahin aati to yaad unki mahinon tak nahin aati

magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

HASRAT MOHANI

dil dhadakne ka sabab yaad aaya

vo teri yaad thi ab yaad aaya

NASIR KAZMI

aaj ik aur baras beet gaya uske baghair

jis ke hote hue hote thea zamane mere

AHMAD FARAZ

tum ne kiya na yaad kabhi bhool kar humea

hum ne tumhari yaad mea sab kuchh bhula diya

BAHADUR SHAH ZAFAR

kya sitam hai ki ab teri surat

ghaur (focus) karne pe yaad aati hai

JAUN ELIYA

wafa karenge nibahenge baat manenge

tumhen bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha

DAGH DEHLVI

tasadduq (sacrifice) is karam ke main kabhi tanha nahin rehta

ki jis din tum nahin aate tumhari yaad aati hai

JALEEL MANIKPURI

hum to samjhe thea ki hum bhul gaye hain unko

kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

SAHIR LUDHIANVI

sochta hun ki us ki yaad aḳhir

ab kise raat bhar jagati hai

JAUN ELIYA

iss zindagi mea itni faraghat (freedom) kise nasib

itna na yaad aa ki tujhe bhuul jaayen hum

AHMAD FARAZ

vahi phir mujhe yaad aane lage hain

jinhen bhulne mea zamane lage hain

KHUMAR BARABANKAVI

Gharaz (desire) ki kaat diye zindagi ke din aye dost

vo teri yaad mea hon ya tujhe bhulane mea

FIRAQ GORAKHPURI

yaad use intihayi (unlimited) karte hain

so hum us ki buraye karte hain

JAUN ELIYA

ye ilm (knowledge) ka sauda ye risale (magazine) ye kitaben

ik shaḳhs ki yadon ko bhulane ke liye hain

JAAN NISAR AKHTAR

”aap ki yaad aati rahi raat bhar”

chandni dil dukhati rahi raat bhar

FAIZ AHMAD FAIZ

yad-e-mazi (memory of past) azaab (curse) hai ya-rab

cheen le mujh se hafiza (memory) mera

AKHTAR ANSARI

ab to har baat yaad rehti hai

ghaliban (most probably / likely) mae kisi ko bhuul gaya

JAUN ELIYA

ik ajab haal hai ki ab usko

yaad karna bhi bewafaye hai

JAUN ELIYA

yaad rakhna hi mohabbat mea nahin hai sab kuchh

bhuul jaana bhi badi baat hua karti hai

JAMAL EHSANI

vo koi dost tha achchhe dinon ka

jo pichhli raat se yaad aa raha hai

NASIR KAZMI

shaam bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udaas udaas

dil ko kaye kahaniyan yaad si aa ke rah gayein

FIRAQ GORAKHPURI

yaad us ki itni ḳhoob nahin ‘mir’ baaz aa (stop yourself)

nadan phir vo ji se bhoolaya na jayega

MEER TAQI MEER

vo nahin bhulta jahan jaun

haaye main kya karun kahan jaun

IMAM BAKHSH NASIKH

unka zikr unki tamanna unki yaad

waqt kitna qimti hai aaj kal

SHAKEEL BADAYUNI

jis ko tum bhuul gaye yaad kare kaun usko

jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare

JOSH MALSIANI

zindagi kya hue vo apne zamane vaale

yaad aate hain bahut dil ko dukhane vaale

AKHTAR SAEED KHAN

ab to unki yaad bhi aati nahin

kitni tanha ho gayi tanhaiyan

FIRAQ GORAKHPURI

tum bhuul kar bhi yaad nahin karte ho kabhi

hum to tumhari yaad mea sab kuchh bhula chuke

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah

muddaten guzrin par ab tak vo thikana (place) yaad hai

HASRAT MOHANI

tum se chhut kar bhi tumhen bhulna asan na tha

tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye

NIDA FAZLI

jaate jaate aap itna kaam to kejie mera

yaad ka saara sar-o-saman (furniture) jalate jaiye

JAUN ELIYA

tumhari yaad mea jeene ki aarzu hai abhi

kuchh apna haal sambhalun agar ijazat ho

JAUN ELIYA

kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale

raat bhar kaun teri yaad mea bedar (awake) raha

HIJR NAZIM ALI KHAN

un ka ghum un ka tasavvur un ki yaad

kat rahi hai zindagi aram se

MAHSHAR INAYATI

kisi sabab se agar bolta nahin hun mae

to yuun nahin ki tujhe sochta nahin hun mae

IFTIKHAR MUGHAL

zara si baat sahi tera yaad aa jaana

zara si baat bahut der tak rulati thi

NASIR KAZMI

jaate ho ḳhuda-hafiz ( god be with you) haan itni guzarish hai

jab yaad hum aa jaayen milne ki dua karna

JALEEL MANIKPURI

kuchh bikhri hui yadon ke qisse bhi bahut thea

kuchh us ne bhi balon ko khula chhod diya tha

MUNAWWAR RANA

yaad aaye hai to phir tuut ke yaad aaye hai

koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost

AHMAD FARAZ

dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya

jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya

Iska rona nahi kyo tumne kiya dil barbad

Iska gham hai ki bahut dher ke baad mea barbad kiya

JOSH MALIHABADI

suna hai humea vo bhulane lage hain

to kya hum unhen yaad aane lage hain

KHUMAR BARABANKAVI

jis tarah log ḳhasare (loss) mea bahut sochte hain

aaj kal hum tere baare mea bahut sochte hain

IQBAL KAUSAR

hum use yaad bahut ayenge

jab use bhi log thukrayege

QATEEL SHIFAI

tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta

tumhari yaad aaye aur khidki khol di hum ne

MUNAWWAR RANA

jab tujhe yaad kar liya subah (morning) mahak mahak uthi

jab tera ghum jaga liya raat machal machal gaye

FAIZ AHMAD FAIZ

Thehri Thehri (slow) si tabiyat mea ravani (fast) aaye

aaj phir yaad mohabbat ki kahani aaye

IQBAL ASHHAR

khench (pull) lena vo mera parde ka kona dafatan (instantly)

aur dupatte se tera vo mooh chhupana yaad hai

HASRAT MOHANI

yaad mea teri jahan ko bhulta jaata hun main

bhulne vaale kabhi tujh ko bhi yaad aata hun main

AGHA HASHR KASHMIRI

yaad ashkon (tears) mea baha di hum ne

aa  (come) ki har baat bhula di hum ne

GHULAM MOHUMMAD QASIR

ye be-sabab nahin aaye hain aankh mea aansoo

ḳhushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga

AKHTAR SAEED KHAN

kabhi rota tha us ko yaad kar ke

ab aksar be-sabab (without reason) rone laga hun

ANWAR SHUOOR

Loban (agarbatti etc) mea chingari jaise koi rakh jaaye

yuun yaad teri shab bhar ( whole night) seene (chest) mea sulagti (jalti) hai

BASHIR BADR

ho gaye din jinhen bhulaye hue

aaj kal hain vo yaad aaye hue

ANWAR SHUOOR

ab tujhe kaise batayean ki teri yadon mea

kuchh izafa (increase) hi kiya hum ne ḳhayanat (decrease) nahin ki

HALEEM QURESHI

afat-e-jan (threat of life) hui us ru-e-kitabi (bookish face) ki yaad

raas aaya na mujhe hafiz-e-qur.an (one who knows holy quran book) hona

HAIDAR ALI AATISH

sab kahan kuchh lala-o-gul (buds and roses) mea numayan (visible) ho gayean

ḳhaak mea kya suraten hongi ki pinhan (hidden) ho gayean

MIRZA GHALIB

yahi do kaam mohabbat ne diye hain hum ko

dil mea hai yaad teri zikr hai lab par tera

JALEEL MANIKPURI

hum apne raftagan (those who passed away) ko yaad rakhna chahte hain

dilon ko dard se abad (forever) rakhna chahte hain

IFTIKHAR ARIF

muddaten ho gayean bichhde hue tum se lekin

aaj tak dil se mere yaad tumhari na gaye

AKHTAR SHIRANI

yun barasti hain tasavvur (imagination) mea purani yaden

jaise barsat ki rim-jhim mea saman hota hai

QATEEL SHIFAI

dekhiye ab na yaad aaiye aap

aaj kal aap se ḳhafa hun main

UMMATURRAUF NASREEN

akela pake mujhko yaad unki aa to jaati hai

magar phir laut kar jaati nahin main kaise soo jaun

ANWAR MIRZAPURI

shaam ho ya ki sahar ( early morning) yaad unhin ki rakhni

din ho ya raat humea zikr unhin ka karna

HASRAT MOHANI

vahi din hai humari iid ka din

jo teri yaad mea guzarta hai

MOHUMMAD ALI JAUHAR

bhuul bhi kya bhuul hai ye yaad bhi kya yaad

tu yaad hai aur koi nahin tere siva yaad

JALALUDDIN AKBAR

raat ik shaḳhs bahut yaad aaya

jis ghadi chand numudar (visible) hua

AZIZ AHMAD KHAN SHAFAQ

yun ji behal gaya hai teri yaad se magar

tera ḳhayal tere barabar na ho saka

KHALILUR RAHMAN AZMI

Goya (as if) tumhari yaad hi mera ilaaj hai

hota hai pahron ( for long times) zikr tumhara tabib ( doctor) se

AGHA HASHR KASHMIRI

lijiye suniye ab afsana-e-furqat (story of separation) mujh se

aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya

DAGH DEHLVI

zindagi ho to kaye kaam nikal aate hain

yaad aunga kabhi main bhi zaroorat mea usea

FAZIL JAMILI

yadon ki mehfil mea kho kar

dil apna tanha tanha hai

AZAD GULATI

ghar se bahar nahin nikla jaata

raushni yaad dilati hai teri

FUZAIL JAFRI

tujhe kuchh ishq o ulfat (love and affection) ke siva bhi yaad hai aye dil

sunae ja raha hai ek hi afsana (story) barson se

ABDUL MAJEED SALIK

mere dushman na mujh ko bhuul sake

varna rakhta hai kaun kis ko yaad

KHALILUR RAHMAN AZMI

sab ko hum bhuul gaye josh-e-junun (diwane pan) mea lekin

ik teri yaad thea aisi jo bhulaye na gaye

JIGAR MORADABADI

hasin yadon ke chand ko alvida keh kar

mae apne ghar ke andhere kamron mea laut aaya

HASAN ABBASI

yaad mea ḳhwab mea tasavvur (imagination) mea

aa ki aane ke hain hazar tariq ( manners)

BAYAN MEERUTHI

ḳhwab mea naam tera le ke pukar uthta hun

be-ḳhudi (not in control ) mea bhi mujhe yaad teri yaad ki hai

LALA MADHAV RAM JAUHAR

bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hun

gaye dinon ki kamar se kamar lagaye hue

AHMAD MUSHTAQ

yaad bhi teri mit gaye dil se

aur kya reh gaya hai hone ko

ABRAR AHMAD

saari duniya ke ḳhayalat (thoughts) thea dil mea lekin

jab se hai yaad teri kuch bhi nahin yaad mujhe

JALEEL MANIKPURI

bijli chamki to abr (cloud) roya

yaad aa gaye kya hansi kisi ki

GOYA FAQIR MOHUMMAD

koi yadon se jod le hum ko

hum bhi ik tutta sa rishta hain

BASHAR NAWAZ

phir kisi ki yaad ne tadpa diya

phir kaleja thaam kar hum reh gaye

FANI BADAYUNI

kisi janib (side) se koi mah-jabin (one who has forehead as bright as moon) aane hi vaala hai

mujhe yaad aa rahi hai aaj mathura aur kashi ki

ABDUL HUMID ADAM

mere qaabu (control) mea na pahron ( for a long time) dil-e-nashad (sad heart) aaya

vo mera bhulne vaala jo mujhe yaad aaya

DAGH DEHLVI

dam-ba-dam (continuosly) uthti hain kis yaad ki lehren dil mea

dard rah rah (every path) ke ye karvat si badalta kya hai

JAMAL PANIPATI

tumhari yaad nikalti nahin mere dil se

nasha chhalakta (spill) nahin hai sharab se bahar

FAHEEM SHANAS KAZMI

shum-e-hijran (your separation) bhi ik qayamat thi

aap aaye to mujh ko yaad aaya

MAHESH CHANDRA NAQSH

Unke aane se hawae (air) bhi aati  rahi

Unke jane se saas (breath) bhi jati rahi

WHATSAPP

Ab wo laut ke ‘khalvaat’ na aae ge

Ab hum mud ke unko pukare ge bhi nahi

Anssoo jab kabhi hamari yaad mea wo bahaye ge

ab hum dil-e-barbad hatho se unhe poche (wipe) ge bhi nahi

Dil kisne toda hai kiska , ye kahani sunne

hamare faristea bhi aaye to sunae ge bhi nahi

Bas ho chukka hai sannata iss jahan mea iskadar

ab tumhe zor se pukare ge,  tumhe sune (listen) ga bhi nahi

Khalvaat-e-Ludhianavi

Matlap hamara bas itna sa tha

Judai ke baad , sahara itna sa tha

Ki tum nahi , na tumare yaad aati

Aati to khalvaat , ab maut hi aati

Khalvaat-e-Ludhianavi

Ki tum pea marne ki saja mili hai mujhe

Sab ne ye keh kar chood diya , kit u janti hai mujhe

 

Toofan ka sahara le hi  liya maine us din

Jis din toofan mea chood gaya that u mujhe

 

Janta that u mai tar nahi pao ga

Janti nahi thi tu ki koi bacha le ga mujhe

Khalvaat-e-Ludhianavi

‘sajid’ tu phir se ḳhana-e-dil (inside heart) mea talash kar

mumkin hai koi yaad purani nikal pade

IQBAL SAJID

humea yaad rakhna humea yaad karna

agar koi taaza sitam yaad aaye

HAFEEZ JAUNPURI

vo ik din jaane kis ko yaad kar ke

mere seene se lag ke ro pada tha

ANJUM SALEEMI

jis taraf jaayen jahan jaayen bhari duniya mea

rasta roke teri yaad khadi hoti hai

AHMAD RAHI

yak-ba-yak (suddenly) naam le utha mera

jee (heart) mea kya uske aa gaya hoga

KHWAJA MEER DARD

main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata

ki iḳhtitam (beginning) kahan ḳhwab ke safar ka hua

SHAHRYAR

koi purana ḳhat kuchh bhuli-bisri yaad

zaḳhmon par vo lamhe marhum (medicine) hote hain

ANJUM IRFANI

neend se uth kar vo kehna yaad hai

tum ko kya sujhi ye aadhi raat ko

AHMAD HUSAIN MAIL

kis taraf aaye kidhar bhuul pade ḳhair to hai

aaj kya tha jo tumhen yaad humari aaye

LALA MADHAV RAM JAUHAR

yaad ka zaḳhm bhi hum tujh ko nahin de sakte

dekh kis alam-e-ghurbat (stage of poverty) mea mile hain tujh se

SALEEM KAUSAR

vahi ankhon mea aur ankhon se poshida (hidden) bhi rehta hai

meri yadon mea ik bhula hua chehra bhi rehta hai

SAQI FARUQI

ab bhi aati hai teri yaad par is karb ke saath

tutti neend mea jaise koi sapna dekha

AKHTAR IMAM RIZVI

mera akela ḳhuda yaad aa raha hai mujhe

ye sochta hua girja (church) bula raha hai mujhe

SAQI FARUQI

Jee (heart) na sakoon mea jis ke baghair

aksar yaad na aaya vo

ATHAR NAFEES

kahani apni apni ahl-e-mahfil (family members) jab sunate hain

mujhe bhi yaad ik bhula hua afsana aata hai

AMN LAKHNAVI

yaad aayean usko dekh ke apni musibaten

roye hum aaj ḳhoob lipat kar raqib (care taker) se

HAFEEZ JAUNPURI

yaad aur unki yaad ki allah-re (oh-God) mahviyat (absorption)

jaise tamam umr ki fursat ḳharid li

MAEL LAKHNAVI

gin raha hun harf (blame) unke ahd (promise) ke

mujh ko dhoka de rahi hai yaad kya

AZIZ HYDERABADI

kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun

bhool jaane ka taqaza (demand) hi sahi

JAWAD SHEIKH

tujhe kuchh uski ḳhabar bhi hai bhulne vaale

kisi ko yaad teri baar baar aaye hai

KAUSAR NIYAZI

aaj kuch rang digar (other) hai mere ghar ka ‘ḳhalid’

sochta hun ye teri yaad hai ya ḳhud tu hai

KHALID SHARIF

manzar tha raakh (ash) aur tabiyat udaas thi

har-chand (although) teri yaad mere aas paas thi

WAZIR AGHA

chamak rahe thea andhere mea soch ke jugnu

mae apni yaad ke ḳheme (tent) mea so nahin paaya

KHALID MALIK SAHIL

ḳhud mujh ko bhi ta-der (for a long time) ḳhabar ho nahin paaye

aaj aaye teri yaad is ahista-ravi (slow movement) se

FIRAQ GORAKHPURI

yaad teri jaise ki sar-e-shum ( evident / clearly)

dhund utar jaaye paani mea

RAJINDER MANCHANDA BANI

tumhari yaad mea duniya ko hun bhulaye hue

tumhare dard ko seene se hun lagaye hue

ASAR SAHBAI

vo mil na sake , yaad to hai unki salamat

iss yaad se bhi hum ne bahut kaam liya hai

KAUSAR NIYAZI

naye charagh jala yaad ke ḳharabe (bad turn) mea

vatan mea raat sahi raushni manaya kar

SAQI FARUQI

khila rahega kisi yaad ke jazire (land) par

ye baagh (garden) mae jise viran (deserted) karne vaala hun

AFTAB HUSSAIN

tum jo kehte ho bigad kar hum na ayenge kabhi

ye bhi keh do ab na aayegi humari yaad bhi

JALEEL MANIKPURI

mae kinare pe khada hun to koi baat nahin

behta rehta hai teri yaad ka dariya mujh mea

BAQA BALUCH

zindagi yun bhi guzar hi jaati

kyun tera rahguzar (way) yaad aaya

MIRZA GHALIB

yad-e-mazi (memory of past) ki pur-asrar (mysterious) hasin galiyon mea

mere humrah (co-traveller) abhi ghuum (wander) raha hai koi

KHURSHID AHMAD JAMI

ḳhabar deti hai yaad karta hai koi

jo bandha hai hichki ne taar (thread) aate aate

AFSAR ALLAHABADI

tamam yaden mehak rahi hain har ek ghuncha ( flower bud) khila hua hai

zamana beeta magar guman (thought) hai ki aaj hi vo juda hua hai

MIRZA GHALIB

reh reh  ke kaundti (lightning) hae andhere mea bijliyan

tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum

HAIRAT GONDVI

Phir gaye ik aur hi duniya nazar ke samne

baithe baithe kya bataun kya mujhe yaad aa gaya

HUMEED JALANDHARI

hum faramosh (forgetfull) ki faramoshi (forgetfulness)

aur tum yaad umr bhar bhule

MIRZA AZFARI

tamam raat vo pehlu ko garm (having sex with someone) karta raha

kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha

ABRAR AZMI

Go (although) faramoshi (forgefullness) ki takmil (completion) hua chahti hai

phir bhi keh do ki humea yaad vo aaya na kare

ABRAR AHMAD

kisi ki yaad se dil ka andhera aur badhta hai

ye ghar mere sulagne (flame) se munavvar (bright) ho nahin sakta

GHULAM HUSAIN SAJID

taaqub (chase) mea hai mere yaad kis ki

mae kis ko bhuul jaana chahta hun

KAUSAR MAZHARI

tumhari yaad ,mera dil , ye donon chalte purze (pieces) hain

jo in mea se koi mitta mujhe pehle mita jaata

BEKHUD DEHLVI

kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko

ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya

FAISAL AJMI

rang-e-dil ,rang-e-nazar yaad aaya

tere jalvon  ka asar yaad aaya

BAQI SIDDIQUI

yaad na aane ka vaada kar ke

vo to pehle se siva (extra) yaad aaya

KARAMAT BUKHARI

yun guzarta hai teri yaad ki vaadi (place) mea ḳhayal

ḳharzaron (thorn field) mea koi barhana-pa (barefoot / without shoes) ho jaise

SYED EHTISHUM HUSAIN

yaad rakhne ki ye batean hain baja ( respectfull) hai sach hai

aap bhule na humea aap ko hum bhuul gaye

HATIM ALI MEHR

basi hai sookhe gulabon ki baat sanson mea

koi ḳhayal kisi yaad ke hisar (enclosure) mea hai

KHALIDA UZMA

ye sach hai ki auron hi ko tum yaad karoge

mere dil-e-nashad (unhappy heart) ko kab shad (glad) karoge

JOSHISH AZIMABADI

mera ḳhayal nahin hai to aur kya hoga

guzar gaya tere mathe (forehead) se jo shikan ( frown/ lines) ki tarah

KAMAL AHMAD SIDDIQI

markaz-e-jan (center of life) to vahi tu hai magar tere siva

log hain aur bhi is yaad purani mea kahin

ABRAR AHMAD

ek tumhari yaad ne laakh diye jalaye hain

amad-e-shab (arrival of night) ke qabl (before) bhi ḳhatm-e-sahar (end of morning) ke baad bhi

ALI JAWWAD ZAIDI

ek hansti hui badli dekhi

ek jalta hua ghar yaad aaya

BAQI SIDDIQUI

Vo jo hum mea tum mea qarar (aggrement) tha tumhen yaad ho ki na yaad ho

Vahi yaani vaada nibah (fullfill promise) ka tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Vo jo lutf (favour) mujh pe thea beshtar (mostly) vo karam ki thea mere haal par

Mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Vo naye gile vo shikayaten vo maze maze ki hikayaten (arguments)

Vo har ek baat pe ruthna tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Kabhi baithe sab mea jo ru-ba-ru (face to face) to isharaton  (sign languags) hi se guftugu ( talking)

Vo bayan (statement) shauq (love) ka barmala (publicaly) tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Koi baat aisi agar hui ki tumhare jee ( heart) ko buri lagi

to bayan se pehle hi bhulna tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Kabhi hum mea tum mea bhi chaah thi kabhi hum se tum se bhi raah thi

kabhi hum bhi tum bhi thea ashna (friendly) tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Suno zikr hai kaye saal ka ki kiya ik aap ne vaada tha

so nibahane ka to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

Vo bigadna vasl (meeting) ki raat ka vo na manna kisi baat ka

vo nahin nahin ki har aan (dignity) ada tumhen yaad ho ki na yaad ho

 

jise aap ginte the ashna (friend)  jise aap kehte thea ba-wafa (faithfull)

mae vahi hun ‘momin’-e-mubtala (suffering / unhappy) tumhen yaad ho ki na yaad ho

MOMIM KHAN

thak gaya main karte karte yaad tujh ko

ab tujhe main yaad aana chahta hun

QATEEL SHIFAI

aap ki yaad aati rahi raat bhar

chashm-e-nam (tearfull eyes) muskurati rahi raat bhar

MAKHDOOM MOHIUDDIN

aaj phir neend ko ankhon se bichhadte dekha

aaj phir yaad koi chot purani aaye

IQBAL ASHHAR

is qadar roya hun teri yaad mea

ayine ankhon ke dhundle ho gaye

NASIR KAZMI

hum hi mea thi na koi baat yaad na tum ko aa sake

tum ne humea bhula diya hum na tumhen bhula sake

HAFEEZ JALANDHARI

‘amir’ ab hichkiyan aane lagi hain

kahin main yaad farmaya gaya hun

AMEER MINAI

koi virani si virani (emptyness) hai

dasht (desert) ko dekh ke ghar yaad aaya

MIRZA GHALIB

duniya ke sitam yaad , na apni hi vafa yaad

ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad

JIGAR MORADABADI

Yu nhi dil ne chaha tha rona-rulana

teri yaad to ban gaye ik bahana

SAHIR LUDHIANVI

yaad karne pe bhi dost aaye na yaad

doston ke karam yaad aate rahe

KHUMAR BARABANKAVI

tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan raton mea

hum aise mea teri yadon ki chadar taan lete hain

FIRAQ GORAKHPURI

tanhaiyan tumhara pata poochhti rahin

shab-bhar (whole night) tumhari yaad ne sone nahin diya

WHATSAPP

aa gaye yaad shaam dhalte hi

bujh gaya dil charagh jalte hi

MUNEER NIYAZI

dil mea ik dard utha ankhon mea aansu bhar aaye

baithe baithe humea kya janiye kya yaad aaya

WAZIR ALI SABA LAKHNAVI

yadon ki bauchharon ( rain) se jab palken bhigne lagti hain

sondhi sondhi (makes heart happy) lagti hai tab maazi (past) ki rusvaye (dishonour) bhi

GULZAR

ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai

vo jis ke naam se hote na the juda mere lab (lips)

AHMAD MUSHTAQ

ik safina (ship) hai teri yaad agar

ik samundar hai meri tanhayi

AHMAD NADEEM QASMI

jis mea ho yaad bhi teri shaamil

haaye us be-ḳhudi ( not in one self) ko kya kahiye

FIRAQ GORAKHPURI

yaad aaye vo pehli barish

jab tujhe ek nazar dekha tha

NASIR KAZMI

bhulaye nahin ja sakengi ye baten

tumhen yaad ayenge hum yaad rakhna

HAFEEZ JALANDHARI

mujhe yaad karne se ye muddaa (issue / problem) tha

nikal jaaye dum hichkiyan aate aate

DAGH DEHLVI

kaun uthayega tumhari ye jafa (injustice) mere baad

yaad aayegi bahut meri vafa mere baad

AMEER MINAI

zara der baithe tha tanhayi mea

teri yaad ankhen dukhane lagi

ADIL MANSURI

us ne goya (as if) mujhi ko yaad rakha

main bhi goya usi ko bhuul gaya

JAUN ELIYA

din guzara tha badi mushkil se

phir tera va.ada-e-shab (promise of night) yaad aaya

NASIR KAZMI

kitne nadan hain tere bhulne vaale

ki tujhe yaad karne ke liye umr padi ho jaise

AHMAD FARAZ

ye haqiqat hai ki ahbab (lover) ko hum

yaad hi kab thea jo ab yaad nahin

NASIR KAZMI

bhuul gaye vo shakl bhi aḳhir

kab tak yaad koi rehta hai

AHMAD MUSHTAQ

guzar jayenge jab din guzre aalam (time) yaad ayenge

humea tum yaad aaoge tumhen hum yaad ayenge

KALEEM AAJIZ

kahan aa ke rukne thea raste kahan mod tha usea bhuul ja

vo jo mil gaya usea yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja

AMJAD ISLAM AMJAD

kuchh log ḳhayalon se chale jaayen to soyen (sleep)

beete hue din raat na yaad aayen to soyen

HABIB JALIB

Dhalegi (going down) shaam jahan , nazar kahi nahi jayegi

phir is ke baad bahut yaad ghar ki aayegi

RAJINDER MANCHANDA BANI

hum bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge

tu yaad rahega humea haan yaad rahega

IBN E INSHA

tumhen yaad hi na aaun ye hai aur baat varna

main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche

KALEEM AAJIZ

main jaata hun dil ko tere paas chhode

meri yaad tujh ko dilata rahega

KHWAJA MEER DARD

mai-ḳhane (bar) mea kyun yad-e-ḳhuda (remembering God) hoti hai aksar

masjid mea to zikr-e-mai-o-mina (talk about wine and glass) nahin hota

RIYAZ KHAIRABADI

aati hai baat baat mujhe baar baar yaad

kehta hun daud daud ke qasid (messenger) se raah mea

DAGH DEHLVI

vo raten chand ke saath gayein vo baten chand ke saath gayein

ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

IBN E INSHA

Ahatean (voices) sun raha hun yadon ki

aaj bhi apne intizar mea gum

RASA CHUGHTAI

kuchh khatakta (disturbing/ making noices) to hai pehlu mea mere reh reh kar

ab ḳhuda jaane teri yaad hai ya dil mera

JIGAR MORADABADI

kuchh is tarah se yaad aate rahe ho

ki ab bhuul jaane ko ji chahta hai

AKHTAR SHIRANI

bachpan mea hum hi thea ya tha aur koi

vhashat (wildness) si hone lagti hai yadon se

ABDUL AHAD SAAZ

kis munh se karen unke taghaful (neglect) ki shikayat

ḳhud hum ko mohabbat ka sabaq (lesson) yaad nahin hai

HAFEEZ BANARASI

kahin ye apni mohabbat ki intiha (extreme) to nahin

bahut dinon se teri yaad bhi nahin aaye

AHMAD RAHI

rafta rafta (slowly) sab tasviren dhundli hone lagti hain

kitne chehre ek purane album mea mar jaate hain

KHUSHBIR SINGH SHAAD

phir aur taghaful (neglect) ka sabab (reason) kya hai ḳhudaya (o-God)

main yaad na aauun unhen mumkin hi nahin hai

HASRAT MOHANI

ḳhwabon par iḳhtiyar (control) na yadon pe zor hai

kab zindagi guzari hai apne hisab mea

FATIMA HASAN

mausam-e-gul (season of spring) humea jab yaad aaya

jitna ghum ( dard) bhule thea sab yaad aaya

KALEEM AAJIZ

din bhar to main duniya ke dhandon (business) mea khoya raha

jab divaron se dhuup dhali tum yaad aaye

NASIR KAZMI

tu yaad aaya tere jaur-o-sitam (depression and wrong doing) lekin na yaad aaye

mohabbat mea ye maasumi badi mushkil se aati hai

FIRAQ GORAKHPURI

ik yaad ki maujudgi (presence) seh bhi nahin sakte

ye baat kisi aur se keh bhi nahin sakte

SAQI FARUQI

haaye vo log jo dekhe bhi nahin

yaad aayen to rula dete hain

MOHUMMAD ALVI

aate aate aayega unko ḳhayal

jaate jaate be-ḳhayali (ignorance) jayegi

JALEEL MANIKPURI

is judaye mea tum andar se bikhar jaoge

kisi maazur (helpless) ko dekhoge to yaad aunga

WASI SHAH

us ko bhule to hue ho ‘fani’

kya karoge vo agar yaad aaya

FANI BADAYUNI

bhula baithe ho hum ko aaj lekin ye samajh lena

bahut pachhtaoge jis waqt hum kal yaad ayenge

AKHTAR SHIRANI

gum raha hun tere ḳhayalon mea

tujh ko awaz umr bhar di hai

AHMAD MUSHTAQ

raat teri yadon ne dil ko is tarah chheda

jaise koi chutki le narm narm galon mea

BASHIR BADR

itni saari yadon ke hote bhi jab dil mea

virani hoti hai to hairani hoti hai

AFZAL KHAN

jin ki yadon se raushan hain meri ankhen

dil kehta hai unko bhi main yaad aata hun

HABIB JALIB

bhule-bisre (forgotten) hue ghum phir ubhar aate hain kaye

ayina dekhen to chehre nazar aate hain kaye

FUZAIL JAFRI

ye kis azaab (big trouble) mea chhoda hai tune is dil ko

sukun (peace) yaad mea teri na bhulne mea qarar (aggrement)

SHOHRAT BUKHARI

meri nazar mea vahi mohni si murat hai

ye raat hijr (separation) ki hai phir bhi ḳhoobsurat hai

KHALILUR RAHMAN AZMI

rulaegi meri yaad unko muddaton ( for years) sahab

karenge bazm (party) mea mehsos jab kami meri

SHEIKH IBRAHIM ZAUQ

yun teri yaad mea din raat magan (happy) rehta hun

dil dharkna tere qadmon ki sada (pukar) lagta hai

SHAHZAD AHMAD

aaj kya lautte lamhat (moments) mayassar (available) aaye

yaad tum apni inayat (favour) se badh (increase) kar aaye

RAJINDER MANCHANDA BANI

main apne dil se nikalun ḳhayal kis kis ka

jo tu nahin to koi aur yaad aaye mujhe

QATEEL SHIFAI

duniya mea hain kaam bahut

mujh ko itna yaad na aa

HAFEEZ HOSHIARPURI

jaane vaale kabhi nahin aate

jaane valon ki yaad aati hai

SIKANDAR ALI WAJD

vo sardiyon ki dhuup ki tarah ghurub (set) ho gaya

lipat rahi hai yaad jism se lihaf (quilt) ki tarah

MUSAVVIR SABZWARI

tujh ko bhi kyun yaad rakha

soch ke ab pachhtate (repent) hain

AASHUFTA CHANGEZI

vo din gaye ki ‘dagh’ thi har dam buton (murti) ki yaad

padhte hain panch waqt ki ab to namaz hum

DAGH DEHLVI