- The "MUNEER NIYAZI"
Ye kaisa nashsha hai main kis ajab ḳhumar mea hum
Tu aa ke ja bhi chuka hai main intezar mea hum
…………………………………
Kisi ko apne amal ka hisab kya dete
Sawal saare ghalat the jawab kya dete
…………………………………….
Janta hum ek aise shaḳhs ko main bhi ‘munir’
Ghum se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
……………………………………………….
Awaz de ke dekh lo shayad vo mil hi jaaye
Varna ye umr bhar ka safar rahegan to hai
…………………………………………………
Khwab hote hain dekhne ke liye
Un mea ja kar magar raha na karo
…………………………………
ḳhayal jis ka tha mujhe ḳhayal mea mila mujhe
Sawal ka jawab bhi sawal mea mila mujhe
………………………………………..
Muddat ke baad aaj use dekh kar ‘munir’
Ik baar dil to dhadka magar phir sambhal gaya
………………………………………..
Ghum ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
……………………………………..
Mohabbat ab nahin hogi ye kuchh din baad mea hogi
Guzar jayenge jab ye din ye un ki yaad mea hogi
………………………………………………
Aadat hi bana li hai tum ne to ‘munir’ apni
Jis sehar mea bhi rehna uktaye hue rehna
……………………………………
Ik aur dariya ka samna tha ‘munir’ mujh ko
Main ek dariya ke paar utra to main ne dekha
……………………………….
Apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
Chand ne paani mea dekha aur pagal ho gaya
…………………………………..
Ab kaun muntazir hai humare liye vahan
Shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayen hum to kya
…………………………………..
Khwahishen hain ghar se bahar door jaane ki bahut
Shauq lekin dil mea vapas laut kar aane ka tha
…………………………………..
Thake logon ko majburi mea chalte dekh leta hum
Main bus ki khidkiyon se ye tamashe dekh leta hum
…………………………………..
…………………………………..
Waqt kis tezi se guzra roz-marra mea ‘munir’
Aaj kal hota gaya aur din hava hote gaye
…………………………………..
Vo jis ko main samajhta raha kamyab din
Vo din tha meri umr ka sab se ḳharab din
…………………………………..
Aa gayi yaad shaam dhalte hi
Bujh gaya dil charagh jalte hi
…………………………………..
Kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya
Mujh se bichhad ke vo bhi bahut ghum se chuur tha
…………………………………..
Koi to hai ‘munir’ jise fikr hai meri
Ye jaan kar ajiib si hairat hui mujhe
…………………………………..
Main to ‘munir’ aayena mea ḳhud ko tak kar hairan hua
Ye chehra kuchh aur tarah tha pehle kisi zamane mea
…………………………………..
‘Munir’ achchha nahin lagta ye tera
Kisi ke hijr mea bimar hona
…………………………………..
Kati hai jis ke ḳhayalon mea umr apni ‘munir’
Maza to jab hai ki us shoḳh ko pata hi na
…………………………………..
Kisi akeli shaam ki chup mea
Geet purane ga ke dekho
…………………………………..
Poochte hain ki kya hua dil ko
Husn valon ki sadgi na gayi
…………………………………..
Tum mere liye itne pareshan se kyun ho
Main doob bhi jaata to kahin aur ubharta
…………………………………..
Main us ko dekh ke chup tha usi ki shadi mea
Maza to saara isi rasm ke nibah mea tha
…………………………………..
Kitne yaar hain phir bhi ‘munir’ is abadi mea akela hai
Apne hi ghum ke nashshe se apna ji bahlata hai
…………………………………..
Kuchh waqt chahte the ki sochen tire liye
Tu ne vo waqt hum ko zamane nahin diya
…………………………………..
Zinda rahen to kya hai jo mar jaayen hum to kya
Duniya se ḳhumushi se guzar jaayen hum to kya
…………………………………..
Neend ka halka gulabi sa ḳhumar ankhon mea tha
Yuun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
…………………………………..
Makan hai qabr jise log ḳhud banate hain
Main apne ghar mea hum ya main kisi mazar mea hum
…………………………………..
Kuchh din ke baad us se juda ho gaye ‘munir’
Us bewafa se apni tabi.at nahin mili
…………………………………..
Ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
Baare vo shoḳh pehle se chalak to hua
…………………………………..
‘Munir’ is ḳhubsurat zindagi ko
Hamesha ek sa hona nahin hai
…………………………………..
Jante the donon hum us ko nibha sakte nahin
Us ne vaada kar liya maine bhi vaada kar liya
…………………………………..
Liye phira jo mujhe dar-ba-dar zamane mea
ḳhayal tujh ko dil-e-be-qarar kis ka tha
…………………………………..
Ghatta ( rain) dekh kar ḳhush huie ladkiyan
Chhaton par khile phuul barsat ke
…………………………………..
Milti nahin panah humea jis zamin par
Ik hashr us zamin pe utha dena chahiye
…………………………………..
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
Umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
…………………………………..
Rehna tha us ke saath bahut der tak magar
In roz o shab mea mujh ko ye fursat nahin
…………………………………..
Chahta hum main ‘munir’ is umr ke anjam par
Ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na
…………………………………..
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Katta hum zindagi bhar main ne jo boya nahin
…………………………………..
Kyun ‘munir’ apni tabahi ka ye kaisa shikva
Jitna taqdir mea likkha hai ada hota hai
…………………………………..
Achchhi misal bantin zahir agar vo hotin
In nekiyon ko hum to dariya mea daal aa.e
…………………………………..
Dil ajab mushkil mea hai ab asl raste ki taraf
Yaad pichhe khinchti hai aas aage ki taraf
…………………………………..
Bechain bahut phirna ghabra.e hue rehna
Ik aag si jazbon ki dahka.e hue rehna
…………………………………..
Mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai ‘munir’
Parda sa koi mere tire darmiyan to hai
…………………………………..
Tha ‘munir’ aghaz hi se rasta apna ghalat
Is ka andaza safar ki ra.igani se hua
…………………………………..
Main hum bhi aur nahin bhi ajiib baat hai ye
Ye kaisa jabr hai main jis ke iḳhtiyar mea hum
…………………………………..
Sub.h-e-kazib ki hava mea dard tha kitna ‘munir’
Rail ki siiti baji to dil lahu se bhar gaya
…………………………………..
Us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai
Chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jaata hai
…………………………………..
Ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad
Tanha.iyon ka zahr hai aur hum hain dosto
…………………………………..
Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
Ik khwab hain jahan mea bikhar jaayen hum to kya
…………………………………..
Zamin ke gird bhi paani zamin ki tah mea bhi
Ye sehar jam ke khada hai jo tairta hi na ho
…………………………………..
Tez thi itni ki saara sehar suuna kar gayi
Der tak baitha raha main us hava ke samne
…………………………………..
Us husn ka sheva hai jab ishq nazar aa.e
Parde mea chale jaana sharma.e hue rehna
…………………………………..
Hum bhi ‘munir’ ab duniya-dari kar ke waqt guzarenge
Hote hote jiine ke bhi laakh bahane aa jaate hain
…………………………………..
Sehar mea vo mo’tabar meri gavahi se hua
Phir mujhe is sehar mea na-mo’tabar us ne kiya
…………………………………..
Ye namaz-e-asr ka waqt hai
Ye ghadi hai din ke zaval ki
…………………………………..
Apne gharon se door banon mea phirte hue avara logo
Kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jaate rehna
…………………………………..
Main ḳhush nahin hum bahut door us se hone par
Jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya
…………………………………..
Aisa safar hai jis ki koi intiha nahin
Aisa makan hai jis mea koi hum-nafas nahin
…………………………………..
Dil ki ḳhalish to saath rahegi tamam umr
Dariya-e-ghum ke paar utar jaayen hum to kya
…………………………………..
Roya tha kaun kaun mujhe kuchh ḳhabar nahin
Main us ghadi vatan se ka.i miil door tha
…………………………………..
Vo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
Main ye kahta hum use is ḳhauf mea daḳhil na ho
…………………………………..
‘Munir’ is mulk par aaseb ka saaya hai ya kya hai
Ki harkat tez-tar hai aur safar ahista ahista
…………………………………..
Baith kar main likh gaya hum dard-e-dil ka majra
ḳhum ki ik buund kaghaz ko rangila kar gayi
…………………………………..
Vahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
Jaise sab kuchh ho magar tu diid ke qabil na ho
…………………………………..
Main bahut kamzor tha is mulk mea hijrat ke baad
Par mujhe is mulk mea kamzor-tar us ne kiya
…………………………………..
Chand chadhta dekhna behad samundar par ‘munir’
Dekhna phir bahr ko us ki kashish se jagta
…………………………………..
Ghair se naf.at jo pa li ḳharch ḳhud par ho gayi
Jitne hum the hum ne ḳhud ko us se aadha kar liya
…………………………………..
Utha tu ja bhi chuka tha ajiib mehman tha
Sada.en de ke mujhe neend se jaga bhi gaya
…………………………………..
Badi mushkil se ye jaana ki hijr-e-yar mea rehna
Bahut mushkil hai par aḳhir mea asani bahut hai
…………………………………..
Raat ik ujde makan par ja ke jab awaz di
Guunj utthe bam-o-dar meri sada ke samne
…………………………………..
Jin ke hone se hum bhi hain ai dil
Sehar mea hain vo suraten baaqi
…………………………………..
Dar ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp ḳhazane mea
Zar ke zor se zinda hain sab ḳhaak ke is virane mea
…………………………………..
Jangalon mea koi pichhe se bula.e to ‘munir’
Mud ke raste mea kabhi us ki taraf mat dekho
…………………………………..
Jab safar se laut kar aa.e to kitna dukh hua
Is purane baam par vo surat-e-zeba na thi
…………………………………..
Ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
Main khwab mea to hum lekin ḳhayal bhi hai mujhe
…………………………………..
Ab kisi mea agle waqton ki vafa baaqi nahin
Sab qabile ek hain ab saari zaten ek si
…………………………………..
Din bhar jo suraj ke dar se galiyon mea chhup rahte hain
Shaam aate hi ankhon mea vo rang purane aa jaate hain
…………………………………..
Gali ke bahar tamam manzar badal gaye the
Jo saya-e-ku-e-yar utra to main ne dekha
…………………………………..
Tu bhi jaise badal sa jaata hai
Aks-e-divar ke badalte hi
…………………………………..
Ankhon mea ud rahi hai luti mahfilon ki dhuul
Ibrat-sara-e-dahr hai aur hum hain dosto
…………………………………..
Vo jo mere paas se ho kar kisi ke ghar gaya
Reshmi malbus ki ḳhushbu se jaadu kar gaya
…………………………………..
Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayiin
Un ummaton ka zikr jo raston mea mar gayiin
…………………………………..
Mahak ajab si ho gayi pade pade sanduq mea
Rangat phiki pad gayi reshum ke rumal ki
…………………………………..
Mire paas aisa tilism hai jo ka.i zamanon ka ism hai
Use jab bhi socha bula liya use jo bhi chaha bana diya
…………………………………..
Hai ‘munir’ hairat-e-mustaqil
Main khada hum aaise maqam par
…………………………………..
Shayad koi dekhne vaala ho jaaye hairan
Kamre ki divaron par koi naqsh bana kar dekh
…………………………………..
Zinda logon ki bud-o-bash mea hain
Murda logon ki adaten baaqi
…………………………………..
Ye safar ma.alum ka ma.alum tak hai ai ‘munir’
Main kahan tak in hadon ke qaid-ḳhanon mea rahum
…………………………………..
Ek dasht-e-la-makan phaila hai mere har taraf
Dasht se niklun to ja kar kin thikanon mea rahum
…………………………………..
Ji ḳhush hua hai girte makanon ko dekh kar
Ye sehar ḳhauf-e-ḳhud se jigar-chak to hua
…………………………………..
Imtihan hum ne diye is dar-e-fani mea bahut
Ranj khinche hum ne apni la-makani mea bahut
…………………………………..
Dekhe hue se lagte hain raste makan makin
Jis sehar mea bhatak ke jidhar jaaye aadmi
…………………………………..
Laa.i hai ab uda ke gaye mausamon ki baas
Barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto
…………………………………..
ḳhushbu ki divar ke pichhe kaise kaise rang jame hain
Jab tak din ka suraj aa.e us ka khoj lagate rehna
…………………………………..
Tanha ujaad burjon mea phirta hai tu ‘munir’
Vo zar-fishaniyan tire ruḳh ki kidhar gayiin
…………………………………..
Khada hum zer-e-falak gumbad-e-sada mea ‘munir’
Ki jaise haath utha ho koi dua ke liye
…………………………………..
Ik tez ra.ad jaisi sada har makan mea
Logon ko un ke ghar mea dara dena chahiye
…………………………………..
Dasht-e-baran ki hava se phir hara sa ho gaya
Main faqat ḳhushbu se us ki taza-dam sa ho gaya
…………………………………..
Chumak zar ki use aḳhir makan-e-ḳhak mea laa.i
Banaya saanp ne jismon mea ghar ahista ahista
…………………………………..
Hum makan mea band jaise imtihan mea aadmi
Saḳhti-e-divar-o-dar hai jhelta jaata hum main
…………………………………..
Bahut hi sust tha manzar lahu ke rang laane ka
Nishan aḳhir hua ye surḳh-tar ahista ahista
…………………………………..
Qaba-e-zard pahan kar vo bazm mea aaya
Gul-e-hina ko hatheli mea thaam kar baitha
…………………………………..
Zaval-e-asr hai kuufe mea aur gadagar hain
Khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siva
…………………………………..
Makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipehr-o-zamin
Dikha.i deta hai sab kuchh yahan ḳhuda ke siva
…………………………………..
Koyalen kukin bahut divar-e-gulshan ki taraf
Chand damka hauz ke shaffaf paani mea bahut
…………………………………..
- poem naZM GHAZALS
ḳhayal jis ka tha mujhe ḳhayal mea mila mujhe
Sawal ka jawab bhi sawal mea mila mujhe
Gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
Mila jo phir to yuun ki vo malal mea mila mujhe
Tamam ilm ziist ka guzishtagan se hi hua
Amal guzishta daur ka misal mea mila mujhe
Nihal sabz rang mea jamal jis ka hai ‘munir’
Kisi qadim khwab ke muhal mea mila mujhe
…………………………………………
Aa gayi yaad shaam dhalte hi
Bujh gaya dil charagh jalte hi
Khul gaye sehar-e-ghum ke darvaze
Ik zara si hava ke chalte hi
Kaun tha tu ki phir na dekha tujhe
Mit gaya khwab aankh malte hi
ḳhauf aata hai apne hi ghar se
Mah-e-shab-tab ke nikalte hi
Tu bhi jaise badal sa jaata hai
Aks-e-divar ke badalte hi
ḳhum sa lag gaya hai hathon mea
Chadh gaya zahr gul masalte hi
………………………………
Ghum ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
Neend ka halka gulabi sa ḳhumar ankhon mea tha
Yuun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
Har taraf divar-o-dar aur un mea ankhon ke hujum
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Katta hum zindagi bhar main ne jo boya nahin
Janta hum ek aise shaḳhs ko main bhi ‘munir’
Ghum se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
………………………………..
Bechain bahut phirna ghabra.e hue rehna
Ik aag si jazbon ki dahka.e hue rehna
Chhalka.e hue chalna ḳhushbu lab-e-lalin ki
Ik baagh sa saath apne mahka.e hue rehna
Us husn ka sheva hai jab ishq nazar aa.e
Parde mea chale jaana sharma.e hue rehna
Ik shaam si kar rakhna kajal ke karishme se
Ik chand sa ankhon mea chumka.e hue rehna
Aadat hi bana li hai tum ne to ‘munir’ apni
Jis sehar mea bhi rehna uktaye hue rehna
……………………………………..
Kisi ko apne amal ka hisab kya dete
Sawal saare ghalat the jawab kya dete
ḳharab sadiyon ki be-khwabiyan thiin ankhon mea
Ab in be-ant ḳhalaon mea khwab kya dete
Hava ki tarah musafir the dilbaron ke dil
Unhen bas ek hi ghar ka azaab kya dete
Sharab dil ki talab thi shara ke pahre mea
Hum itni tangi mea us ko sharab kya dete
‘Munir’ dasht shurua se sarab-asa tha
Is aaayena ko tamanna ki aab kya dete
…………………………………………
Be-ḳhayali mea yunhi bas ik irada kar liya
Apne dil ke shauq ko had se ziyada kar liya
Jante the donon hum us ko nibha sakte nahin
Us ne vaada kar liya main ne bhi vaada kar liya
Ghair se nafrat jo pa li ḳharch ḳhud par ho gayi
Jitne hum the hum ne ḳhud ko us se aadha kar liya
Shaam ke rangon mea rakh kar saaf paani ka gilas
Ab-e-sada ko harif-e-rang-e-bada kar liya
Hijraton ka ḳhauf tha ya pur-kashish kohna maqam
Kya tha jis ko hum ne ḳhud divar-e-jada kar liya
Ek aisa shaḳhs banta ja raha hum main ‘munir’
Jis ne ḳhud par band husn o jaam o baada kar liya
………………………………………
Zinda rahen to kya hai jo mar jaayen hum to kya
Duniya se ḳhumushi se guzar jaayen hum to kya
Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
Ik khwab hain jahan mea bikhar jaayen hum to kya
Ab kaun muntazir hai humare liye vahan
Shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayen hum to kya
Dil ki ḳhalish to saath rahegi tamam umr
Dariya-e-ghum ke paar utar jaayen hum to kya
…………………………………….
Itne ḳhumosh bhi raha na karo
Ghum juda.i mea yuun kiya na karo
Khwab hote hain dekhne ke liye
Un mea ja kar magar raha na karo
Kuchh na hoga gila bhi karne se
Zalimon se gila kiya na karo
Un se niklen hikayaten shayad
Harf likh kar mita diya na karo
Apne rutbe ka kuchh lihaz ‘munir’
Yaar sab ko bana liya na karo
………………………………………………….
Ye kaisa nashsha hai main kis ajab ḳhumar mea hum
Tu aa ke ja bhi chuka hai main intezar mea hum
Makan hai qabr jise log ḳhud banate hain
Main apne ghar mea hum ya main kisi mazar mea hum
Dar-e-fasil khula ya pahad sar se hata
Main ab giri hui galiyon ke marg-zar mea hum
Bas itna hosh hai mujh ko ki ajnabi hain sab
Ruka hua hum safar mea kisi dayar mea hum
Main hum bhi aur nahin bhi ajiib baat hai ye
Ye kaisa jabr hai main jis ke iḳhtiyar mea hum
‘Munir’ dekh shajar chand aur divaren
Hava ḳhizan ki hai sar par shab-e-bahar mea hum
……………………………………
Hain ravan us raah par jis ki koi manzil na ho
Justuju karte hain us ki jo humea hasil na ho
Dasht-e-najd-e-yas mea divangi ho har taraf
Har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
Vahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
Jaise sab kuchh ho magar tu diid ke qabil na ho
Vo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
Main ye kahta hum use is ḳhauf mea daḳhil na ho
Chahta hum main ‘munir’ is umr ke anjam par
Ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
………………………………..
Koi had nahin hai kamal ki
Koi had nahin hai jamal ki
Vahi qurb o door ki manzilen
Vahi shaam khwab-o-ḳhayal ki
Na mujhe hi us ka pata koi
Na use ḳhabar mire haal ki
Ye jawab meri sada ka hai
Ki sada hai us ke sawal ki
Ye namaz-e-asr ka waqt hai
Ye ghadi hai din ke zaval ki
Vo qayamaten jo guzar gayiin
Thiin amanaten ka.i saal ki
Hai ‘munir’ teri nigah mea
Koi baat gahre malal ki
……………………………………….
Us samt mujh ko yaar ne jaane nahin diya
Ik aur sehar-e-yar mea aane nahin diya
Kuchh waqt chahte the ki sochen tire liye
Tu ne vo waqt hum ko zamane nahin diya
Manzil hai us mahak ki kahan kis chuman mea hai
Us ka pata safar mea hava ne nahin diya
Roka ana ne kavish-e-be-sud se mujhe
Us but ko apna haal sunane nahin diya
Hai jis ke baad ahd-e-zaval-ashna ‘munir’
Itna kamal hum ko ḳhuda ne nahin diya
…………………………….
Ashk-e-ravan ki nahr hai aur hum hain dosto
Us bewafa ka sehar hai aur hum hain dosto
Ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad
Tanha.iyon ka zahr hai aur hum hain dosto
Laa.i hai ab uda ke gaye mausamon ki baas
Barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto
Phirte hain misl-e-mauj-e-hua sehar sehar mea
Avargi ki lahr hai aur hum hain dosto
Shum-e-alam dhali to chali dard ki hava
Raton ki pichhla pahr hai aur hum hain dosto
Ankhon mea ud rahi hai luti mahfilon ki dhuul
Ibrat-sara-e-dahr hai aur hum hain dosto
……………………………………..
Aa.ina ab juda nahin karta
Qaid mea hum riha nahin karta
Mustaqil sabr mea hai koh-e-giran
Naqsh-e-ibrat sada nahin karta
Rang-e-mahfil badalta rahta hai
Rang koi vafa nahin karta
Aish-e-duniya ki justuju mat kar
Ye dafina mila nahin karta
Ji mea aa.e jo kar guzarta hai
Tu kisi ka kaha nahin karta
Ek varis hamesha hota hai
Taḳht ḳhali raha nahin karta
Ahd-e-insaf aa raha hai ‘munir’
Zulm daa.em hua nahin karta
……………………………………..
Pi li to kuchh pata na chala vo surur tha
Vo us ka saaya tha ki vahi rashk-e-hur tha
Kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya
Mujh se bichhad ke vo bhi bahut ghum se chuur tha
Roya tha kaun kaun mujhe kuchh ḳhabar nahin
Main us ghadi vatan se ka.i miil door tha
Shum-e-firaq aa.i to dil dubne laga
Hum ko bhi apne aap pe kitna ghurur tha
Chehra tha ya sada thi kisi bhuli yaad ki
Ankhen thiin us ki yaaro ki dariya-e-nur tha
Nikla jo chand aa.i mahak tez si ‘munir’
Mere siva bhi baagh mea koi zarur tha
…………………………………….
Jo mujhe bhula denge main unhen bhula dunga
Sab ghurur un ka main ḳhaak mea mila dunga
Dekhta hum sab shaklen sun raha hum sab baten
Sab hisab un ka main ek din chuka dunga
Raushni dikha dunga in andher-nagron mea
Ik hava ziyaon ki char-su chala dunga
Be-misal qariyon ke be-kanar baghon ke
Apne khwab logon ke khwab mea dikha dunga
Main ‘munir’ ja.unga ek din use milne
Us ke dar pe ja ke main ek din sada dunga
……………………………….
Un se nayan mila ke dekho
Ye dhoka bhi kha ke dekho
Doori mea kya bhed chhupa hai
Is ka khoj laga ke dekho
Kisi akeli shaam ki chup mea
Geet purane ga ke dekho
Aaj ki raat bahut kaali hai
Soch ke diip jala ke dekho
Dil ka ghar sunsan pada hai
Dukh ki dhuum macha ke dekho
Jaag jaag kar umr kati hai
Neend ke dvare ja ke dekho
…………………………………….
Thi jis ki justuju vo haqiqat nahin mili
In bastiyon mea hum ko rifaqat nahin mili
Ab tak hain is guman mea ki hum bhi hain dahr mea
Is vahm se najat ki surat nahin mili
Rehna tha us ke saath bahut der tak magar
In roz o shab mea mujh ko ye fursat nahin mili
Kahna tha jis ko us se kisi waqt mea mujhe
Is baat ke kalam ki mohlat nahin mili
Kuchh din ke baad us se juda ho gaye ‘munir’
Us bewafa se apni tabi.at nahin mili
…………………………….
Ranj-e-firaq-e-yar mea rusva nahin hua
Itna main chup hua ki tamasha nahin hua
Aisa safar hai jis mea koi hum-safar nahin
Rasta hai is tarah ka jo dekha nahin hua
Mushkil hua hai rehna humea is dayar mea
Barson yahan rahe hain ye apna nahin hua
Vo kaam shah-e-sehar se ya sehar se hua
Jo kaam bhi hua hai vo achchha nahin hua
Milna tha ek baar use phir kahin ‘munir’
Aisa mea chahta tha par aisa nahin hua
……………………………………
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
Umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
Main bahut kamzor tha is mulk mea hijrat ke baad
Par mujhe is mulk mea kamzor-tar us ne kiya
Rahbar mera bana gumrah karne ke liye
Mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
Sehar mea vo mo’atabar meri gavahi se hua
Phir mujhe is sehar mea na-mo’tabar us ne kiya
Sehar ko barbad kar ke rakh diya us ne ‘munir’
Sehar par ye zulm mere naam par us ne kiya
………………………………………………….
Chuman main rang-e-bahar utra to main ne dekha
Nazar se dil ka ghubar utra to main ne dekha
Main nim-shab asman ki vus.at ko dekhta tha
Zamin pe vo husn-zar utra to main ne dekha
Gali ke bahar tamam manzar badal gaye the
Jo saya-e-ku-e-yar utra to main ne dekha
ḳhumar-e-mai mea vo chehra kuchh aur lag raha tha
Dam-e-sahar jab ḳhumar utra to main ne dekha
Ik aur dariya ka samna tha ‘munir’ mujh ko
Main ek dariya ke paar utra to main ne dekha
……………………………………..
Ik tez tiir tha ki laga aur nikal gaya
Maari jo chiḳh rail ne jangal dahal gaya
Soya hua tha sehar kisi saanp ki tarah
Main dekhta hi rah gaya aur chand dhal gaya
ḳhvahish ki garmiyan thiin ajab un ke jism mea
ḳhuban ki sohbaton mea mira ḳhum jal gaya
Thi shaam zahr-e-rang mea doobi hui khadi
Phir ik zara si der mea manzar badal gaya
Muddat ke baad aaj use dekh kar ‘munir’
Ik baar dil to dhadka magar phir sambhal gaya
…………………………………………
Thake logon ko majburi mea chalte dekh leta hum
Main bas ki khidkiyon se ye tamashe dekh leta hum
Kabhi dil mea udasi ho to un mea ja nikalta hum
Purane doston ko chup se baithe dekh leta hum
Chhupate hain bahut vo garmi-e-dil ko magar main bhi
Gul-e-ruḳh par udi rangat ke chhinte dekh leta hum
Khada hum yuun kisi ḳhali qile ke sehn-e-viran mea
Ki jaise main zaminon mea dafine dekh leta hum
‘Munir’ andaza-e-qar-e-fana karna ho jab mujh ko
Kisi unchi jagah se jhuk ke niche dekh leta hum
…………………………………….
Aur hain kitni manzilen baaqi
Jaan kitni hai jism mea baaqi
Zinda logon ki bud-o-bash mea hain
Murda logon ki adaten baaqi
Us se milna vo khwab-e-hasti mea
Khwab madum hasraten baaqi
Bah gaye rang-o-nur ke chashme
Rah gayiin un ki rangaten baaqi
Jin ke hone se hum bhi hain ai dil
Sehar mea hain vo suraten baaqi
Vo to aa ke ‘munir’ ja bhi chuka
Ik mahak si hai baagh mea baaqi
……………………………..
Apne ghar ko vapas jaao ro ro kar samjhata hai
Jahan bhi ja.un mera saaya pichhe pichhe aata hai
Us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai
Chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jaata hai
Mujh se mohabbat bhi hai us ko lekin ye dastur hai us ka
Ghair se milta hai hans hans kar mujh se hi sharmata hai
Kitne yaar hain phir bhi ‘munir’ is abadi mea akela hai
Apne hi ghum ke nashshe se apna ji bahlata hai
………………………………………………
Deti nahin amaan jo zamin asman to hai
Kahne ko apne dil se koi dastan to hai
Yuun to hai rang zard magar hont laal hain
Sahra ki vus.aton mea kahin gulsitan to hai
Ik chiil ek mumti pe baithi hai dhuup mea
Galiyan ujad gayi hain magar pasban to hai
Awaz de ke dekh lo shayad vo mil hi jaaye
Varna ye umr bhar ka safar rahegan to hai
Mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai ‘munir’
Parda sa koi mere tire darmiyan to hai
…………………………………
Baith jaata hai vo jab mahfil mea aa ke samne
Main hi bas hota hum us ki is ada ke samne
Tez thi itni ki saara sehar suuna kar gayi
Der tak baitha raha main us hava ke samne
Raat ik ujde makan par ja ke jab awaz di
Guunj utthe bam-o-dar meri sada ke samne
Vo rangila haath mere dil pe aur us ki mahak
Shum-e-dil bujh si gayi rang-e-hina ke samne
Main to us ko dekhte hi jaise patthar ho gaya
Baat tak munh se na nikli bewafa ke samne
Yaad bhi hain ai ‘munir’ us shaam ki tanha.iyan
Ek maidan ik daraḳht aur tu ḳhuda ke samne
……………………………………..
Hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya
Utha to ja bhi chuka tha ajiib mehman tha
Sada.en de ke mujhe neend se jaga bhi gaya
Ghazab hua jo andhere mea jal uthi bijli
Badan kisi ka tilismat kuchh dikha bhi gaya
Na aaya koi lab-e-bam shaam dhalne lagi
Vufur-e-shauq se ankhon mea ḳhum aa bhi gaya
Hava thi gahri ghata thi hina ki ḳhushbu thi
Ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya
Chalo ‘munir’ chalen ab yahan rahen bhi to kya
Vo sang-dil to yahan se kahin chala bhi gaya
……………………………….
Vo jo mere paas se ho kar kisi ke ghar gaya
Reshmi malbus ki ḳhushbu se jaadu kar gaya
Ik jhalak dekhi thi us ru-e-dil-ara ki kabhi
Phir na ankhon se vo aisa dilruba manzar gaya
Sehar ki galiyon mea gahri tirgi giryan rahi
Raat badal is tarah aa.e ki main to dar gaya
Thi vatan mea muntazir jis ki koi chashm-e-hasin
Vo musafir jaane kis sahra mea jal kar mar gaya
Sub.h-e-kazib ki hava mea dard tha kitna ‘munir’
Rail ki siiti baji to dil lahu se bhar gaya
…………………………………………
Tujh se bichhad kar kya hum main ab bahar aa kar dekh
Himmat hai to meri halat aankh mila kar dekh
Shaam hai gahri tez hava hai sar pe khadi hai raat
Rasta gaye musafir ka ab diya jala kar dekh
Darvaze ke paas aa aa kar vapas mudti chaap
Kaun hai is sunsan gali mea paas bula kar dekh
Shayad koi dekhne vaala ho jaaye hairan
Kamre ki divaron par koi naqsh bana kar dekh
Tu bhi ‘munir’ ab bhare jahan mea mil kar rehna siikh
Bahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh
……………………………………..
Apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
Chand ne paani mea dekha aur pagal ho gaya
Vo hava thi shaam hi se raste ḳhali ho gaye
Vo ghata barsi ki saara sehar jal-thal ho gaya
Main akela aur safar ki shaam rangon mea dhali
Phir ye manzar meri nazron se bhi ojhal ho gaya
Ab kahan hoga vo aur hoga bhi to vaisa kahan
Soch kar ye baat ji kuchh aur bojhal ho gaya
Husn ki dahshat ajab thi vasl ki shab mea ‘munir’
Haath jaise intiha-e-shauq se shal ho gaya
…………………………………….
Aa.i hai ab yaad kya raat ik biite saal ki
Yahi hava thi baagh mea yahi sada ghadiyal ki
Mahak ajab si ho gayi pade pade sanduq mea
Rangat phiki pad gayi reshum ke rumal ki
Sehar mea dar tha maut ka chand ki chauthi raat ko
Inton ki is khoh mea dahshat thi bhaunchal ki
Shaam jhuki thi bahr par pagal ho kar rang se
Ya tasvir thi khwab mea mere kisi ḳhayal ki
Umr ke saath ajiib sa ban jaata hai aadmi
Halat dekh ke dukh hua aaj us pari-jamal ki
Dekh ke mujh ko ghaur se phir vo chup se ho gaye
Dil mea ḳhalish hai aaj tak is an-kahe sawal ki
……………………………………
Apna to ye kaam hai bhaa.i dil ka ḳhum bahate rehna
Jaag jaag kar in raton mea sher ki aag jalate rehna
Apne gharon se door banon mea phirte hue avara logo
Kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jaate rehna
Raat ke dasht mea phuul khile hain bhuli-bisri yadon ke
Ghum ki tez sharab se un ke tikhe naqsh mitate rehna
ḳhushbu ki divar ke pichhe kaise kaise rang jame hain
Jab tak din ka suraj aa.e us ka khoj lagate rehna
Tum bhi ‘munir’ ab un galiyon se apne aap ko door hi rakhna
Achchha hai jhute logon se apna-ap bachate rehna
……………………………………..
Raat itni ja chuki hai aur sona hai abhi
Is nagar mea ik ḳhushi ka khwab bona hai abhi
Kyun diya dil us but-e-kamsin ko aise waqt mea
Dil si shai jis ke liye bas ik khilauna hai abhi
Aisi yadon mea ghire hain jin se kuchh hasil nahin
Aur kitna waqt un yadon mea khona hai abhi
Jo hua hona hi tha so ho gaya hai dosto
Daagh is ahd-e-sitam ka dil se dhona hai abhi
Hum ne khilte dekhna hai phir ḳhayaban-e-bahar
Sehar ke atraf ki mitti mea sona hai abhi
Baith jaayen saya-e-daman-e-ahmad mea ‘munir’
Aur phir sochen vo baten jin ko hona hai abhi
………………………………………….
Hai shakl teri gulab jaisi
Nazar hai teri sharab jaisi
Hava sahar ki hai in dinon mea
Badalte mausam ke khwab jaisi
Sada hai ik duriyon mea ojhal
Meri sada ke jawab jaisi
Vo din tha dozaḳh ki aag jaisa
Vo raat gahre azaab jaisi
Ye sehar lagta hai dasht jaisa
Chumak hai us ki sarab jaisi
‘Munir’ teri ghazal ajab hai
Kisi safar ki kitab jaisi
……………………………………………
Koi daagh hai mire naam par
Koi saaya mere kalam par
Ye pahad hai mire samne
Ki kitab manzar-e-am par
Kisi intezar-e-nazar mea hai
Koi raushni kisi baam par
Ye nagar parindon ka ghol hai
Jo gira hai dana-o-dam par
Ghum-e-ḳhas par kabhi chup rahe
Kabhi ro diye ghum-e-am par
Hai ‘munir’ hairat-e-mustaqil
Main khada hum aise maqam par
………………………………….
Uga sabza dar-o-divar par ahista ahista
Hua ḳhali sadaon se nagar ahista ahista
Ghira badal ḳhumoshi se ḳhizan-asar baghon par
Hile thandi havaon mea shajar ahista ahista
Bahut hi sust tha manzar lahu ke rang laane ka
Nishan aḳhir hua ye surḳh-tar ahista ahista
Chumak zar ki use aḳhir makan-e-ḳhak mea laa.i
Banaya saanp ne jismon mea ghar ahista ahista
Mire bahar fasilen thiin ghubar-e-ḳhak-o-baran ki
Mili mujh ko tire ghum ki ḳhabar ahista ahista
‘Munir’ is mulk par aaseb ka saaya hai ya kya hai
Ki harkat tez-tar hai aur safar ahista ahista
………………………………………..
Is sehar-e-sang-dil ko jala dena chahiye
Phir us ki ḳhaak ko bhi uda dena chahiye
Milti nahin panah humea jis zamin par
Ik hashr us zamin pe utha dena chahiye
Had se guzar gayi hai yahan rasm-e-qaheri
Is dahr ko ab is ki saza dena chahiye
Ik tez ra.ad jaisi sada har makan mea
Logon ko un ke ghar mea dara dena chahiye
Gum ho chale ho tum to bahut ḳhud mea ai ‘munir’
Duniya ko kuchh to apna pata dena chahiye
……………………………………
Safar mea hai jo azal se ye vo bala hi na ho
Kivad khol ke dekho kahin hava hi na ho
Nigah-e-a.ina ma.alum aks na-malum
Dikha.i deta hai jo asl mea chhupa hi na ho
Zamin ke gird bhi paani zamin ki tah mea bhi
Ye sehar jam ke khada hai jo tairta hi na ho
Na ja ki is se pare dasht-e-marg ho shayad
Palatna chahen vahan se to rasta hi na ho
Main is ḳhayal se jaata nahin vatan ki taraf
Ki mujh ko dekh ke us but ka ji bura hi na ho
Kati hai jis ke ḳhayalon mea umr apni ‘munir’
Maza to jab hai ki us shoḳh ko pata hi na ho
……………………………………
Jo dekhe the jaadu tire haat ke
Hain charche abhi tak isi baat ke
Ghata dekh kar ḳhush huie ladkiyan
Chhaton par khile phuul barsat ke
Mujhe dard dil ka vahan le gaya
Jahan dar khule the tilismat ke
Hava jab chali phadphada kar ude
Parinde purane mahallat ke
Na tu hai kahin aur na main hum kahin
Ye sab silsile hain ḳhayalat ke
‘Munir’ aa rahi hai ghadi vasl ki
Zamane gaye hijr ki raat ke
………………………………………
Mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gaye
Dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gaye
Na-shanasi dahr ki tanha humea karti gayi
Hote hote hum zamane se juda hote gaye
Muntazir jaise the dar shahar-e-firaq-asar ke
Ik zara dastak hui dar dam mea va hote gaye
Harf parda-posh the izhar-e-dil ke baab mea
Harf jitne sehar mea the harf-e-la hote gaye
Waqt kis tezi se guzra roz-marra mea ‘munir’
Aaj kal hota gaya aur din hava hote gaye
…………………………………..
Dil jal raha tha ghum se magar naghma-gar raha
Jab tak raha main saath mire ye humar raha
Sub.h-e-safar ki raat thi taare the aur hava
Saaya sa ek der talak baam par raha
Meri sada hava mea bahut door tak gayi
Par main bula raha tha jise be-ḳhabar raha
Guzri hai kya maze se ḳhayalon mea zindagi
Doori ka ye tilism bada kargar raha
ḳhauf asman ke saath tha sar par jhuka hua
Koi hai bhi ya nahin hai yahi dil mea dar raha
Us aḳhiri nazar mea ajab dard tha ‘munir’
Jaane ka us ke ranj mujhe umr bhar raha
…………………………………
Phuul the badal bhi tha aur vo hasin surat bhi thi
Dil mea lekin aur hi ik shakl ki hasrat bhi thi
Jo hava mea ghar bana.e kaash koi dekhta
Dasht mea rahte the par ta.amir ki aadat bhi thi
Kah gaya main samne us ke jo dil ka mudda.a
Kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi
Ajnabi seharon mea rahte umr saari kat gayi
Go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi
Kya qayamat hai ‘munir’ ab yaad bhi aate nahin
Vo purane ashna jin se humea ulfat bhi thi
…………………………………………..
Us ka naqsha ek be-tartib afsane ka tha
Ye tamasha tha ya koi khwab divane ka tha
Saare kirdaron mea be-rishta ta.alluq tha koi
Un ki be-hoshi mea ghum sa hosh aa jaane ka tha
Ishq kya hum ne kiya avargi ke ahd mea
Ik jatan bechainiyon se dil ko bahlane ka tha
Khwahishen hain ghar se bahar door jaane ki bahut
Shauq lekin dil mea vapas laut kar aane ka tha
Le gaya dil ko jo us mahfil ki shab main ai ‘munir’
Us hasin ka bazm mea andaz sharmane ka tha
……………………………………..
ḳhayal-e-yakta mea khwab itne
Sawal tanha jawab itne
Kabhi na ḳhubi ka dhyan aaya
Hue jahan mea ḳharab itne
Hisab dena pada humea bhi
Ki hum jo the be-hisab itne
Bas ik nazar mea hazar baten
Phir us se aage hijab itne
Mahak uthe rang-e-surḳh jaise
Khile chuman mea gulab itne
‘Munir’ aa.e kahan se dil mea
Na.e na.e iztirab itne
……………………………………………..
Dar ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp ḳhazane mea
Zar ke zor se zinda hain sab ḳhaak ke is virane mea
Jaise rasm ada karte hon seharon ki abadi mea
Sub.h ko ghar se door nikal kar shaam ko vapas aane mea
Niile rang mea doobi ankhen khuli padi thiin sabze par
Aks pada tha asman ka shayad is paimane mea
Dabi hui hai zer-e-zamin ik dahshat gung sadaon ki
Bijli si kahin laraz rahi hai kisi chhupe tah-ḳhane mea
Dil kuchh aur bhi sard hua hai shum-e-sehar ki raunaq se
Kitni ziya be-sud gayi shishe ke lafz jalane mea
Main to ‘munir’ aayena mea ḳhud ko tak kar hairan hua
Ye chehra kuchh aur tarah tha pehle kisi zamane mea
…………………………………….
Saare manzar ek jaise saari baten ek si
Saare din hain ek se aur saari raten ek si
Be-natija be-samar jang-o-jadal suud o ziyan
Saari jiten ek jaisi saari maten ek si
Sab mulaqaton ka maqsad karobar-e-zar-gari
Sab ki dahshat ek jaisi sab ki ghaten ek si
Ab kisi mea agle waqton ki vafa baaqi nahin
Sab qabile ek hain ab saari zaten ek si
Ek hi ruḳh ki asiri khwab hai seharon ka ab
Un ke matam ek se un ki baraten ek si
Hon agar zer-e-zamin to fa.eda hone ka kya
Sang o gauhar ek hain phir saari dhaten ek si
Ai ‘munir’ azad ho is sehr-e-yak-rangi se tu
Ho gaye sab zahr yaksan sab nabaten ek si
………………………………….
Ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
Baare vo shoḳh pehle se chalak to hua
Ji ḳhush hua hai girte makanon ko dekh kar
Ye sehar ḳhauf-e-ḳhud se jigar-chak to hua
Ye to hua ki aadmi pahumcha hai maah tak
Kuchh bhi hua vo vaqif-e-aflak to hua
Kuchh aur vo hua na hua mujh ko dekh kar
Yad-e-bahar-e-husn se ghumnak to hua
Is kashmakash mea hum bhi thake to hain ai ‘munir’
Sehar-e-ḳhuda sitam se magar paak to hua
…………………………………….
Abhi mujhe ik dasht-e-sada ki virani se guzarna hai
Ek masafat ḳhatm hui hai ek safar abhi karna hai
Giri hui divaron mea jakde se hue darvazon ki
ḳhakistar si dahlizon par sard hava ne darna hai
Dar jaana hai dasht-o-jabal ne tanha.i ki haibat se
Aadhi raat ko jab mahtab ne tariki se ubharna hai
Ye to abhi aghaz hai jaise is pinha-e-hairat ka
Aankh ne aur sanvar jaana hai rang ne aur nikharna hai
Jaise zar ki pilahat mea mauj-e-ḳhum utarti hai
Zahr-e-zar ke tund nashe ne dida-o-dil mea utarna hai
………………………………….
Zor paida jism o jaan ki na-tavani se hua
Shor seharon mea musalsal be-zabani se hua
Der tak ki zindagi ki khwahishen us but ko hain
Shauq us ko intiha ka umr-e-fani se hua
Main hua nakam apni be-yaqini ke sabab
Jo hua sab mere dil ki bad-gumani se hua
Hai nishan mera bhi shayad shash-jihat-e-dahr mea
Ye guman mujh ko ḳhud apni be-nishani se hua
Tha ‘munir’ aghaz hi se rasta apna ghalat
Is ka andaza safar ki ra.igani se hua
………………………………..
Jab bhi ghar ki chhat par jaayen naaz dikhane aa jaate hain
Kaise kaise log humare ji ko jalane aa jaate hain
Din bhar jo suraj ke dar se galiyon mea chhup rahte hain
Shaam aate hi ankhon mea vo rang purane aa jaate hain
Jin logon ne un ki talab mea sahraon ki dhuul udaa.i
Ab ye hasin un ki qabron par phuul chadhane aa jaate hain
Kaun sa vo jaadu hai jis se ghum ki andheri sard gupha mea
Laakh nisa.i saans dilon ke rog mitane aa jaate hain
Ze ke reshmi rumalon ko kis kis ki nazron se chhupa.en
Kaise hain vo log jinhen ye raaz chhupane aa jaate hain
Hum bhi ‘munir’ ab duniya-dari kar ke waqt guzarenge
Hote hote jiine ke bhi laakh bahane aa jaate hain
…………………………………………
Jafa.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
Vafa.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
Baharen der tak rahti hain kam abad qariyon mea
ḳhiza.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
Sada hansne ki ho afsos ki ya aah bharne ki
Sada.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
Andhera jab ghana ho to charagh-e-rah-e-viran ki
Shua.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
‘Munir’ abad seharon ke makinon ki hava le kar
Hava.en door tak jaati hain kam abad seharon mea
…………………………………..
Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayiin
Un ummaton ka zikr jo raston mea mar gayiin
Kar yaad un dinon ko ki abad thiin yahan
Galiyan jo ḳhaak o ḳhum ki dahshat se bhar gayiin
Sarsar ki zad mea aa.e hue bam-o-dar ko dekh
Kaisi hava.en kaisa nagar sard kar gayiin
Kya baab the yahan jo sada se nahin khule
Kaisi dua.en thiin jo yahan be-asar gayiin
Tanha ujaad burjon mea phirta hai tu ‘munir’
Vo zar-fishaniyan tire ruḳh ki kidhar gayiin
…………………………………….
Dil ajab mushkil mea hai ab asl raste ki taraf
Yaad pichhe khinchti hai aas aage ki taraf
Chhod kar nikle the jis ko dasht-e-ghurbat ki taraf
Dekhna shum-o-sahar ab ghar ke saa.e ki taraf
Hai abhi aghaz din ka is dayar-e-qaid mea
Hai abhi se dhyan saara shab ke pahre ki taraf
Sub.h ki raushan kiran ghar ke dariche par padi
Ek ruḳh chumka hava mea us ke shishe ki taraf
Duriyon se pur-kashish hain manzilen donon ‘munir’
Main ravan hum khwab mea napaid qarye ki taraf
……………………………………..
ḳhumar-e-shab mea use main salam kar baitha
Jo kaam karna tha mujh ko vo kaam kar baitha
Qaba-e-zard pahan kar vo bazm mea aaya
Gul-e-hina ko hatheli mea thaam kar baitha
Chhupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar
Vo bhol-pan mea suḳhan dil ka aam kar baitha
Jo so ke uttha to rasta ujaad lagta tha
Pahumchna tha mujhe manzil pe shaam kar baitha
Thakan safar ki badan shal sa kar gayi hai ‘munir’
Bura kiya jo safar mea qayam kar baitha
………………………………………….
Raushni dar raushni hai us taraf
Zindagi dar zindagi hai us taraf
Jin azabon se guzarte hain yahan
Un azabon ki nafi hai us taraf
Ik riha.ish ḳhvahish-e-dil ki tarah
Ik numa.ish khwab ki hai us taraf
Jo bikhar kar rah gaya hai is jagah
Husn ki ik shakl bhi hai us taraf
Justuju jis ki yahan par ki ‘munir’
Us se milne ki ḳhushi hai us taraf
………………………………………..
Imtihan hum ne diye is dar-e-fani mea bahut
Ranj khinche hum ne apni la-makani mea bahut
Vo nahin us sa to hai khwab-e-bahar-e-javedan
Asl ki ḳhushbu udi hai us ke saani mea bahut
Raat din ke aane jaane mea ye sona jagna
Fikr valon ko pate hain is nishani mea bahut
Koyalen kukin bahut divar-e-gulshan ki taraf
Chand damka hauz ke shaffaf paani mea bahut
Us ko kya yaden thiin kya aur kis jagah par rah gayiin
Tez hai dariya-e-dil apni ravani mea bahut
Aaj us mahfil mea tujh ko bolte dekha ‘munir’
To ki jo mash.hur tha yuun be-zabani mea bahut
…………………………………….
Rida us chuman ki uda le gayi
Daraḳhton ke patte hava le gayi
Jo harf apne dil ke thikanon mea the
Bahut door un ko sada le gayi
Chala main sa.ubat se pur raah par
Jahan tak mujhe intiha le gayi
Gayi jis ghadi shum-e-sehr-e-vafa
Manazir se ik rang sa le gayi
Nishan ik purana kinare pe tha
Use mauj-e-dariya baha le gayi
‘Munir’ itna husn us zamane mea tha
Kahan us ko koi bala le gayi
…………………………………………
Hai us gul-rang ka divar hona
Ki jaise khwab se bedar hona
Batati hai mahak dast-e-hina ki
Kisi dar ka pas-e-divar hona
Use rakhta hai sahraon mea hairan
Dil-e-sha.ir ka pur-asrar hona
Kamal-e-shauq ka hasil yahi hai
Humara sehar se be-zar hona
Firaq aghaz hai un sa.aton ka
Hai aḳhir jin ka vasl-e-yar hona
Yahi hona tha aḳhir dasht-e-ghum ko
Humare haath se gulzar hona
Mohabbat ka sabab hai be-niyazi
Kashish us ki hai bas dushvar hona
‘Munir’ achchha nahin lagta ye tera
Kisi ke hijr mea bimar hona
…………………………………..
Dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin
Itna ḳhayal us ka humea is baras nahin
Dekho gul-e-ahar-e-asar dasht-e-shum mea
Divar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pas nahin
Aaya nahin yaqin bahut der tak humea
Apne hi ghar ka dar hai ye bab-e-qafas nahin
Aisa safar hai jis ki koi intiha nahin
Aisa makan hai jis mea koi hum-nafas nahin
Aa.egi phir bahar isi sehar mea ‘munir’
Taqdir is nagar ki faqat ḳhar-o-ḳhas nahin
……………………………………….
Ye aankh kyun hai ye haath kya hai
Ye din hai kya chiiz raat kya hai
Firaq-e-ḳhurshid-o-mah kyun hai
Ye un ka aur mera saath kya hai
Guman hai kya is sanam-kade par
ḳhayal-e-marg-o-hayat kya hai
Fughan hai kis ke liye dilon mea
ḳharosh-e-dariya-e-zat kya hai
Falak hai kyun qaid-e-mustaqil mea
Zamin pe harf-e-najat kya hai
Hai kaun kis ke liye pareshan
Pata to de asal baat kya hai
Hai lams kyun rahegan hamesha
Fana mea ḳhauf-e-sabat kya hai
‘Munir’ is sehar-e-ghum-zada par
Tira ye sehar-e-nashat kya hai
……………………………………………..
Bas ek mah-e-junun-ḳhez ki ziya ke siva
Nagar mea kuchh nahin baaqi raha hava ke siva
Hai ek aur bhi surat kahin meri hi tarah
Ik aur sehar bhi hai qarya-e-sada ke siva
Ik aur samt bhi hai us se ja ke milne ki
Nishan aur bhi hai ek nishan-e-pa ke siva
Zaval-e-asr hai kuufe mea aur gadagar hain
Khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siva
Makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipahr-o-zamin
Dikha.i deta hai sab kuchh yahan ḳhuda ke siva
Meri hi khwahishen baa.is hain mere ghum ki ‘munir’
Azaab mujh pe nahin harf-e-mudda.a ke siva
………………………………………..
Saa.e ghatte jaate hain
Jangal katte jaate hain
Koi saḳht vazifa hai
Jo hum ratte jaate hain
Suraj ke asar hain dekho
Badal chhatte jaate hain
Aas paas ke saare manzar
Pichhe hatte jaate hain
Dekho ‘munir’ bahar mea gulshan
Rang se atte jaate hain
…………………………………….
Sahn ko chumka gayi belon ko giila kar gayi
Raat barish ki falak ko aur niila kar gayi
Dhuup hai aur zard phulon ke shajar har raah par
Ik ziya-e-zahr sab sadkon ko piila kar gayi
Kuchh to us ke apne dil ka dard bhi shumil hi tha
Kuchh nashe ki lahr bhi us ko surila kar gayi
Baith kar main likh gaya hum dard-e-dil ka majra
ḳhum ki ik buund kaghaz ko rangila kar gayi
…………………………………………
Dil ko hal-e-qarar mea dekha
Ye karishma bahar mea dekha
Jis ko chaha ḳhumar mea chaha
Jis ko dekha ghubar mea dekha
ḳhvahishon ko bahut hava dena
Vasf ye hum ne yaar mea dekha
Ik bashar mea ka.i bashar dekhe
Juz-o-kul ke hisar mea dekha
Jab se dekha hai is zamin ko ‘munir’
Qaid-e-lail-o-nahar mea dekha
………………………………
ḳhalish-e-hijr-e-da.imi na gayi
Tere ruḳh se ye be-ruḳhi na gayi
Poochte hain ki kya hua dil ko
Husn valon ki sadgi na gayi
Sar se sauda gaya mohabbat ka
Dil se par us ki be-kali na gayi
Aur sab ki hikayaten kah diin
Baat apni kabhi kahi na gayi
Hum bhi ghar se ‘munir’ tab nikle
Baat apnon ki jab sahi na gayi
…………………………………………
Thakan se raah mea chalna muhal bhi hai mujhe
Kamal par bhi tha main hi zaval bhi hai mujhe
Sadak pe chalte hue ruk ke dekhta hum main
Yahin kahin hai tu ye ehtimal bhi hai mujhe
Ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak
Main khwab mea to hum lekin ḳhayal bhi hai mujhe
Usi ke lutf se marne se ḳhauf aata hai
Usi ke dar se ye jiina muhal bhi hai mujhe
Savad-e-shum-e-safar hai jala jala sa ‘munir’
ḳhushi ke saath ajab sa malal bhi hai mujhe
……………………………………
Shab-e-visal mea doori ka khwab kyun aaya
Kamal-e-fat.h mea ye dar ka baab kyun aaya
Dilon mea ab ke baras itne vahm kyun jaage
Bilad-e-sabr mea ab iztirab kyun aaya
Hai aag gul pe ajab is bahar-e-guzran mea
Chuman mea ab ke gul-e-be-hisab kyun aaya
Agar vahi tha to ruḳh pe vo be-ruḳhi kya thi
Zara se hijr mea ye inqalab kyun aaya
Bas ek hoga tamasha tamam samton par
Meri sada ke safar mea sarab kyun aaya
Main ḳhush nahin hum bahut door us se hone par
Jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya
Uda hai shola-e-barq abr ki fasilon par
Ye is bala ke muqabil sahab kyun aaya
Yaqin kis liye us par se uth gaya hai ‘munir’
Tumhare sar pe ye shak ka azaab kyun aaya
……………………………………….
Naam behad the magar un ka nishan koi na tha
Bastiyan hi bastiyan thiin pasban koi na tha
ḳhurram-o-shadab chehre sabit-o-sayyar dil
Ik zamin aisi thi jis ka asman koi na tha
Kya bala ki shaam thi sub.hon shabon ke darmiyan
Aur main un manzilon par tha jahan koi na tha
Kukti thi bansuri charon dishaon mea ‘munir’
Par nagar mea us sada ka raz-dan koi na tha
……………………………………..
Waqt se kahiyo zara kam kam chale
Kaun yaad aaya hai aansu thum chale
Dam-ba-ḳhud kyun hai ḳhizan ki saltanat
Koi jhonka koi mauj-e-ghum chale
Chaar su bajen palon ki pa.elen
Is tarah raqqasa-e-alam chale
Der kya hai aane vaale mausamo
Din guzarte ja rahe hain hum chale
Kis ko fikr-e-gumbad-e-qasr-e-habab
Aabju paihum chale paihum chale
…………………………………….
Shab-e-mahtab ne shah-nashin pe ajiib gul sa khila diya
Mujhe yuun laga kisi haath ne mire dil pe tiir chala diya
Koi aisi baat zarur thi shab-e-vaada vo jo na aa saka
Koi apna vahm tha darmiyan ya ghata ne us ko dara diya
Yahi aan thi meri zindagi lagi aag dil mea to uf na ki
Jo jahan mea koi na kar saka vo kamal kar ke dekha diya
Ye jo laal rang patang ka sar-e-asman hai uda hua
Ye charagh dast-e-hina ka hai jo hava mea us ne jala diya
Mire paas aisa tilism hai jo ka.i zamanon ka ism hai
Use jab bhi socha bula liya use jo bhi chaha bana diya
………………………………………..
Ik alam-e-hijran hi ab hum ko pasand aaya
Ye ḳhana-e-viran hi ab hum ko pasand aaya
Benam-o-nishan rehna ghurbat ke ilaqe mea
Ye sehar bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya
Tha laal hua manzar suraj ke nikalne se
Vo waqt tha vo chehra jab hum ko pasand aaya
Hai qat-e-ta.alluq se dil ḳhush bhi bahut apna
Ik had hi bana lena kab hum ko pasand aaya
Aana vo ‘munir’ us ka be-ḳhauf-o-ḳhatar hum tak
Ye turfa tamasha bhi shab hum ko pasand aaya
…………………………………..
Din agar chadhta udhar se main idhar se jagta
Husn saara mashriqon ka saath mere jagta
Main agar milta na us se is azal ki shaam mea
Khwab in divar-o-dar ka dil mea kaise jagta
Hai misal-e-bad-e-gulshan jagna us shoḳh ka
Rang jaise door ka rangon ke pichhe jagta
Ab vo ghar baaqi nahin par kaash us ta.amir se
Ek sehar-e-arzu ankhon ke aage jagta
Chand chadhta dekhna behad samundar par ‘munir’
Dekhna phir bahr ko us ki kashish se jagta
………………………………………………
Is sehar ke yahin kahin hone ka rang hai
Is ḳhaak mea kahin kahin sone ka rang hai
Pa.in chuman hai ḳhud-rav daraḳhton ka jhumd sa
Mehrab-e-dar pe us ke na hone ka rang hai
Tufan-e-abr-o-bad nihan sahilon pe hai
Dariya ki ḳhumushi mea dubone ka rang hai
Is ahd se vafa ka sila marg-e-rahegan
Us ki faza mea har ghadi khone ka rang hai
Hai sar-zamin-e-shor ki ik chadar-e-safa
Kaisa ajiib murda bichhaune ka rang hai
Surḳhi hai jo gulab si ankhon mea ai ‘munir’
ḳhar-e-bahar dil mea chubhone ka rang hai
………………………………….
Chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho
Ho gayi kaisi siyah-ḳhanon ki rangat dekho
Samne jo hai use aankh ka dhoka samjho
In dayaron ko sada khwab ki surat dekho
Sair hai jaise koii, aise jahan se guzro
Door tak phaila hai ik arsa-e-furqat dekho
Zar ki parchha.in jo padti hai chumak uthta hai
Adam-e-ḳhak ki be-hoshi mea halat dekho
ḳhauf deta hai yahan abr mea tanha hona
Sehar-e-dar-band mea divaron ki kasrat dekho
Saaya hai un pe bahut bhuli hui yadon ka
Shaam aa.i hai pari-zadon mea vahshat dekho
Daagh hai is ke na hone se dilon mea ab tak
Ud gaya misl-e-saba gul ki haqiqat dekho
Jangalon mea koi pichhe se bula.e to ‘munir’
Mud ke raste mea kabhi us ki taraf mat dekho
…………………………………
Be-haqiqat duriyon ki dastan hoti gayi
Ye zamin misl-e-sarab-e-asman hoti gayi
Kis ḳharabi mea hua paida jamal-e-zindagi
Asl kis naql-e-makan mea rahegan hoti gayi
Tangi-e-imroz mea a.inda ke asar hain
Ek zid badh kar kisi sukh ka nishan hoti gayi
Dusre ruḳh ka pata jis ko tha vo ḳhumosh tha
Vo kahani bas isi ruḳh se bayan hoti gayi
Ik sada utthi to ik aalam hua paida ‘munir’
Ik kali mahki to puura gulsitan hoti gayi
………………………………………….
Ek main aur itne lakhon silsilon ke samne
Ek saut-e-gung jaise gumbadon ke samne
Mitte jaate naqsh dud-e-dam ki aamad raft se
Khulte jaate be-sada lab a.inon ke samne
Hai hava-e-sair-e-ab aur ajnabi si sar-zamin
Ud rahi hai ḳhak-e-kohna sahilon ke samne
Aag jalti hai gharon mea ya koi tasvir hai
Yadgar-e-jurm-e-adam ḳhakiyon ke samne
Dushmani rasm-e-jahan hai dosti harf-e-ghalat
Aadmi tanha khada hai zalimon ke samne
Chaar chup chizen hain bahr-o-bar falak aur kohsar
Dil dahal jaata hai in ḳhali jag.hon ke samne
Batin-e-zardar pur-asrar hai jaise ‘munir’
Kan-e-zar ki band haibat mash.alon ke samne
……………………………….
Ek nagar ke naqsh bhula duun ek nagar ijad karun
Ek taraf ḳhumoshi kar duun ek taraf abad karun
Manzil-e-shab jab tai karni hai apne akele dam se hi
Kis ke liye is jagah pe ruk kar din apna barbad karun
Bahut qadim ka naam hai koi abr-o-hava ke tufan mea
Naam jo main ab bhuul chuka hum kaise us ko yaad karun
Ja ke sunun asar-e-chuman mea saa.en saa.en shaḳhon ki
ḳhali mahl ke burjon se didar-e-barq-o-bad karun
Sher ‘munir’ likhum main uth kar sehn-e-sahar ke rangon mea
Ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka shaam dhale ke baad karun
……………………………….
Khwab-o-ḳhayal-e-gul se kidhar jaaye aadmi
Ik gulshan-e-hava hai jidhar jaaye aadmi
Dekhe hue se lagte hain raste makan makin
Jis sehar mea bhatak ke jidhar jaaye aadmi
Dekhe hain vo nagar ki abhi tak hum ḳhauf mea
Vo suraten mili hain ki dar jaaye aadmi
Ye bahr-e-hast-o-bud hai be-gauhar-e-murad
Gahra.iyon mea is ki agar jaaye aadmi
Parde mea rang-o-bu ke safar-dar-safar ‘munir’
In manzilon se kaise guzar jaaye aadmi
……………………………………
Sa.at-e-hijran hai ab kaise jahanon mea rahum
Kin ilaqon mea basun main kin makanon mea rahum
Ek dasht-e-la-makan phaila hai mere har taraf
Dasht se niklun to ja kar kin thikanon mea rahum
Ilm hai jo paas mere kis jagah ifsha karun
Ya abad tak is ḳhabar ke raz-danon mea rahum
Vasl ki shum-e-siyah us se pare abadiyan
Khwab daa.im hai yahi main jin zamanon mea rahum
Ye safar ma.alum ka ma.alum tak hai ai ‘munir’
Main kahan tak in hadon ke qaid-ḳhanon mea rahum
…………………………………..
Dasht-e-baran ki hava se phir hara sa ho gaya
Main faqat ḳhushbu se us ki taza-dam sa ho gaya
Us ke hone se hua paida ḳhayal-e-jan-faza
Jaise ik murda zamin mea baagh paida ho gaya
Phir hava-e-ishq se ashuftagi ḳhuban mea hai
In dinon mea husn bhi azar jaisa ho gaya
Hai kahin mahsur shayad vo haqiqat ahd ki
Jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya
Ghum raha hai haal kahna dil ka us but se ‘munir’
Jis ke ghum mea apne dil ka haal aisa ho gaya
………………………………..
Sehar parbat bahr-o-bar ko chhodta jaata hum main
Ik tamasha ho raha hai dekhta jaata hum main
Hosh udta ja raha hai garmi-e-raftar mea
Dekhta jaata hum main aur bhulta jaata hum main
Abr hai aflak par aur ik sarasima qamar
Ek dasht-e-rahegan mea daudta jaata hum main
Hum makan mea band jaise imtihan mea aadmi
Saḳhti-e-divar-o-dar hai jhelta jaata hum main
Nam hai mere she’r se us chashm-e-sang-alud mea
Khwab hum us chashm-e-tar mea phailta jaata hum main
Shauq hain kuchh jin ke pichhe chal raha hum main ‘munir’
Ranj hain kuchh dil mea mere khinchta jaata hum main
……………………………………
Dil ḳhauf mea hai alam-e-fani ko dekh kar
Aati hai yaad maut ki paani ko dekh kar
Hai bab-e-sehar-e-murda guzar-gah-e-bad-e-shum
Main chup hum is jagah ki girani ko dekh kar
Hil si rahi hai hadd-e-safar fart-e-shauq se
Dhumdla rahe hain harf ma.ani ko dekh kar
Azurda hai makan mea ḳhak-e-zamin bhi
Chizon mea shauq-e-naql-e-makani ko dekh kar
……………………………………..
Makan mea qaid-e-sada ki dahshat
Makan se bahar ḳhala ki dahshat
Hava hai ḳhauf-e-ḳhuda se ḳhali
Hai is nagar mea bala ki dahshat
Ghira hua hum main har taraf se
Hai aaayena mea hava ki dahshat
Zamin pe har samt hadd-e-aḳhir
Falak pe la-intiha ki dahshat
Shajar ke saa.e mea maut dekho
Samar mea us ke fana ki dahshat
…………………………………..
Begangi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya
Shab main ne us ko chheda to vo yaar khul gaya
Galiyon mea shaam hote hi nikle hasin log
Har rahguzar pe tabla-e-attar khul gaya
Hum ne chhupaya laakh magar chhup nahin saka
Anjam-e-kar raz-e-dil-e-zar khul gaya
Tha ishrat-e-shabana ki sarmastiyon mea band
Bad-e-sahar se dida-e-gulbar khul gaya
Aaya vo baam par to kuchh aisa laga ‘munir’
Jaise falak pe rang ka bazar khul gaya
………………………………………..
Ik masafat paanv shal karti hui si khwab mea
Ik safar gahra musalsal zardi-e-mahtab mea
Tez hai bu-e-shagufa haa.e marg-e-na-gahan
Ghir gayi ḳhak-e-zamin jaise hisar-e-ab mea
Hasil-e-johd-e-musalsal mustaqil azurdagi
Kaam karta hum hava mea justuju nayab mea
Tang karti hai makan mea ḳhvahish-e-sair-e-basit
Hai asar daa.im falak ka sahn ki mehrab mea
Ai ‘munir’ ab is qadar ḳhumoshiyan ye kya hua
Ye sifat aa.i kahan se para-e-simab mea
………………………………..
Shaam ke maskan mea viran mai-kade ka dar khula
Baab guzri sohbaton ka khwab ke andar khula
Kuchh na tha juz khwab-e-vahshat vo vafa is ahd ki
Raaz itni der ka is umr mea aa kar khula
Ban mea sargoshi hui asar-e-abr-o-bad se
Band-e-ghum se jaise ik ashjar ka lashkar khula
Jagmaga uttha andhere mea meri aahat se vo
Ye ajab us but ka meri aankh par jauhar khula
Sabza-e-nau-rasta ki ḳhushbu thi sahil par ‘munir’
Badalon ka rang chhatri ki tarah sar par khula
………………………………
Nasheb-e-vahm faraz-e-gurez-pa ke liye
Hisar-e-ḳhak hai had par har intiha ke liye
Vufur-e-nashsha se rangat siyah si hai meri
Jala hum main bhi ajab chashm-e-surma-sa ke liye
Hai ird-gird ghana ban hare daraḳhton ka
Khula hai dar kisi divar mea hava ke liye
Zamin hai maskan-e-shar asman sarab-alud
Hai saara ahd saza mea kisi ḳhata ke liye
Asiri-e-pas-e-a.ina-e-baqa aur tu
Nikal ke aa bhi vahan se kabhi ḳhuda ke liye
Khada hum zer-e-falak gumbad-e-sada mea ‘munir’
Ki jaise haath utha ho koi dua ke liye
………………………………….
Rahta hai ik har us sa qadmon ke saath saath
Chalta hai dasht dasht-navardon ke saath saath
Hathon ka rabt harf-e-ḳhafi se ‘ajib hai
Hilte hain haath raaz ki baton ke saath saath
Uthti hui fasil-e-fughan hadd-e-sehar par
Galiyon ki chup qadim makanon ke saath saath
Suraj ki aab zahr hai rangon ki aab ko
Hai door tak buḳhar sa baghon ke saath saath
‘Uryan hua hai maah shab-e-abr-o-bad mea
Jaise safed raushni gharon ke saath saath
Aaya hum main ‘munir’ kisi kaam ke liye
Rahta hai ik ḳhayal sa khwabon ke saath saath
…………………………………
Rangon ki vahshaton ka tamasha thi bam-e-shum
Taari tha har makan pe jalal-e-davam-e-shum
Guldasta-e-jihat tha nairang-e-rah-e-ishq
Tha ik tilism-e-husn-e-ḳhayaban-e-dam-e-shum
Aage ki manzilon ki taraf shaam ka safar
Jaise shabon ke dil mea tha sehar-e-qayam-e-shum
Bandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mea
Hai jis ḳhuda ke haath mea kar-e-nizam-e-shum
Dhumdla gayi hai shaam shab-e-ḳhum se ‘munir’
ḳhali hua kashish ki sharabon se jam-e-shum
…………………………….
Rangon ki vahshaton ka tamasha thi bam-e-shum
Taari tha har makan pe jalal-e-davam-e-shum
Guldasta-e-jihat tha nairang-e-rah-e-ishq
Tha ik tilism-e-husn-e-ḳhayaban-e-dam-e-shum
Aage ki manzilon ki taraf shaam ka safar
Jaise shabon ke dil mea tha sehar-e-qayam-e-shum
Bandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mea
Hai jis ḳhuda ke haath mea kar-e-nizam-e-shum
Dhumdla gayi hai shaam shab-e-ḳhum se ‘munir’
ḳhali hua kashish ki sharabon se jam-e-shum
……………………………………..
Nil-e-falak ke ism mea naqsh-e-asir ke sabab
Hairat hai ab-o-ḳhak mea mah-e-munir ke sabab
Ban mea alahidgi si hai us ke jamal-e-sabz se
Daa.im faza firaq ki shajar-e-pir ke sabab
Vus.at-e-sehar-e-tang-dil sarma ki sub.h-e-sard mea
Jaagi hai dar ke khwab se surat-e-faqir ke sabab
Sahn-e-makan mea shal hai dast-e-dua-e-agahi
Dil mea hai shauq-e-be-hisab had ki lakir ke sabab
Zaḳhm-e-vajud ki dava bas vahi aḳhiri sada
Zinda hum jis ke shauq mea sabr-e-kabir ke sabab
Sehr hai maut mea ‘munir’ jaise hai sehr-e-a.ina
Saari kashish hai chiiz mea apni nazir ke sabab
………………………………………..
Sahar ke khwab ka mujh par asar kuchh der rahne do
Kisi ke haal ki mujh ko ḳhabar kuchh der rahne do
Jude hain in se nadida purane bam-o-darvaze
Na.e seharon mea ye viran ghar kuchh der rahne do
Kahin guzre hue ayyam phir vapas na aa jaayen
Dil-e-be-ḳhauf mea is ka ḳhatar kuchh der rahne do
‘Munir’ is alam-e-raushan mea rehna aur ḳhush rehna
Abhi us din se aage ka safar kuchh der rahne do
……………………………………
Nagar mea shaam ho gayi hai kahish-e-ma.ash mea
Zamin pe phir rahe hain log rizq ki talash mea
Guzar gayi tamam umr is hisar-e-tang mea
Kashish hai ik mariz si makan ki bud-o-bash mea
Hilal harf-e-ḳhauf sa fasil-e-sang-e-nil par
Ya hai adam ka zard rang ḳhvahish-e-ḳharash mea
Chumak rahe hain ta.aziye bala ki tez dhuup mea
Mahak hai ab-e-marg ki fishar-e-arq-pash mea
‘Munir’ husn-e-batini ko koi dekhta nahin
Mata-e-chashm kho gayi libas ki tarash mea
……………………………………..
Hijr-shab mea ik qarar-e-gha.ebana chahiye
Ghaib mea ik surat-e-mah-e-shabana chahiye
Sun rahe hain jis ke charche sehar ki ḳhilqat se hum
Ja ke ik din us hasin ko dekh aana chahiye
Is tarah aghaz shayad ik hayat-e-nau ka ho
Pichhli saari zindagi ko bhuul jaana chahiye
Vo jahan hi dusra hai vo bahut der-ashna
Is jahan mea us se milne ko zamana chahiye
……………………………………..
Misal-e-sang khada hai usi hasin ki tarah
Makan ki shakl bhi dekho dil-e-makin ki tarah
Mula.emat hai andhere mea us ki sanson se
Damak rahi hain vo ankhen hare nagin ki tarah
Navah-e-qarya hai sunsan shum-e-sarma mea
Kisi qadim zamane ki sar-zamin ki tarah
Zamin door se taara dikha.i deti hai
Ruka hai us pe qamar chashm-e-sair-bin ki tarah
Fareb deti hai vus.at nazar ki ufuqon par
Hai koi chiiz vahan sehr-e-nilmin ki tarah
‘Munir’ ahd hai ab aḳhir-e-masafat ka
Ki chal rahi hai hava bad-e-vapsin ki tarah