- shayiri No 1
Kisi sabab (reason) se agar bolta nahi hu mae
To yu nahi ki tujhe sochta nahi hu mae
- shayari no 2
Kabhi yun bhi aa meri aankh mea ki meri nazar ko ḳhabar na ho
Mujhe ek raat navaz de magar iss ke baad sehar na ho
- shayiri No 3
Har ek harf ka andaz badal rakha hae
Aaj se humne tera naam Gazal rakha hae
Maine shaho ( king) ki mohabbat ka bharam ( illusion) thod diya
Maine apne kamre mea bhi ek Tajmahal rakha hae.
- shayari no 4
Tum mere liye ab koi ilzam na doodho
Chaha tha tujhe ek yahi ilzam bahut hai
- shayari no 5
Unhe apne dil ki kabre mere dil se mil rahi hai
Mai jo unn se roodh jao to payam ( message) tak na pahuche
- shayari no 6
Tum se choot kar bhi tumhe bhulna aasan na tha
Tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye
- shayiri No 7
Sau chand bhi chamkege to kya baat banegi
Tum aaye to iss raat ki aukat banegi
- shayiri No 8
ishq ki chot (hit) ka kuch dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya ziyada ho magar ho to sahi
- shayiri No 9
dil pe aaye hue ilzam se pehchante hain
log ab mujh ko tere naam se pehchante hain
- shayiri No 10
kyuun hijr ( separation) ke shikve karta hai kyu dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar , ishq mein to yahi kuchh hota hai
- shayari bonus no 11
tumhara naam aaya aur hum takne lage rasta
tumhari yaad aaye aur khidki khol di hum ne
- SHAYARI BONUS NO 12
log kehte hain mohabbat mea asar hota hai
kaun se sehar mein hota hai kidhar hota hai
- SHAYARI BONUS NO 13
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil ( restless heart)
itna asan tere ishq ka gham tha hi nahin
- shayiri BONUS NO 14
garmi-e-hasrat-e-nakam (heat of grief of defeat) se jal jaate hain
ham chiragon ki tarah shaam se jal jaate hain
- shayiri BONUS NO 15
zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majboor thea hum uss se mohabbat bhi bahut thi
- SHAYARI BONUS NO 16
main ne din raat khuda se ye dua mangi thi
koi aahat ( knock) na ho dar par mere jab tu aaye
- SHAYARI BONUS NO 17
kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigaam (message) to aaya
- shayari bonus no 19
kya jaane kis ada se liya tu ne mera naam
duniya samajh rahi hai ki sach-mucch tera hu main
- shayiri bonus no 20
iss qadar bhi to na jazbat pe qaabu rakkho
thak gaye ho to mere kandhe pe baazu rakkho