- SHAYIRI nO 1
Ab ke saawan mein paani barsa bahut
Pani ki har boond mein wo aaye yaad bahut
Iss suhane mausam mein saath nahi koi
Baadalo ke sath inn aankho se pani baha bahut
- SHAYIRI nO 2
Main vo sehra (kinara) jise paani ki havas le doobi
tu vo badal jo kabhi toot ke barsa hi nahin
- SHAYIRI nO 3
kyun maang rahe ho kisi barish ki duayean
tum apne shikasta (broken) dar-o-divar (doors and wall) to dekho
- SHAYIRI nO 1
baras rahi thi barish bahar
aur vo bheeg raha tha mujh mea
- SHAYIRI nO 5
ab ke barish mea to ye kar-e-ziyan (loss) hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
- SHAYIRI nO 6
dar-o-divar ( doors and wall) pe shaklen ( faces) si banane aaye
phir ye barish meri tanhaye churane aaye
- SHAYIRI nO 7
ajab pur-lutf ( pleasant) manzar dekhta rehta hun barish mea
badan jalta hai aur main bhigta rehta hun barish mea
- SHAYIRI nO 8
vo ab kya ḳhaak aaye haaye qismat mea tarasna tha
tujhe aye abr-e-rehmat ( much needed clouds) aaj hi itna barasna tha
- SHAYIRI nO 9
furqat-e-yar ( separation of lovers) mea insan hun main ya ki sahab (cloud)
har baras aa ke rula jaati hai barsat mujhe
- SHAYIRI nO 10
Doosre sab mausamon mea hain ravayye sard-o-garm (joy and sorrow)
us ke lab par haan magar iqrar hai barsat mea
- bOnus SHAYIRI nO 11
Gham Baahar Aa Hi Gaya
Aaj Badal Cha Hi Gaya
Yu to yaad Har Roj Karta Hu Tujhe Mae
Aaj Sailaab ( tufaan) par Aa Hi Gaya
Tujhe Aaj yaad Maine Itni Zor se kiya
Tu ab aaye ya na aaye , tujhe Mae Pa hi Gaya
- bOnus SHAYIRI nO 12
Akele Hai , Mat Aana Tum
Barish Ka Le ke Bahana Tum
Aaj Bas Mere Pas Mat Aana Tum
Dhekho Gi Mera Ye Haal Tum
Bhul Jao gi Muskurana Tum
Aaj Bas Mere Pas Na Aana Tum
Jo Aanso bahaye hai Aaamano se tumne
Unko Samet lo Na , Na Aakar Tum
Doob Jao ga inn Aansuo Mea Aaj
Phir Mat Kenha Mae tera hu aur ho meri Tum
- bOnus SHAYIRI nO 13
Baarish Mea Le Jao Mujhe
Wo khusboo jo tumhari hai , Sughwao Mujhe
Kitne Gham Zindagi Mea Maine Khaye Hai
Do Sab ka Aaj Hisab Mujhe
Barish Mea Aag Lag Jae Gi
Gar na Jalaya Aaj Tumne Mujhe
Jala Kar Dhekho Kya Hota hai
Shayid Mera Hissa Mil Jae Mujhe
- bOnus SHAYIRI nO 14
Akela Aksar mae Ye Sochta Hu
Gar Meri Dil Ki Awaz Hoti
Aur Awaz Na Tumne Suni Hoti
Dhadhkan Bada ke Bas Mae Itna Kehta
Tum agar Chup Hoti To Gham-e-Raat Muktasar Hoti
Baarish Ka to Bahana Ban Gaya
Rota Mae to Tum Kya Kam Roti
Ladte Rahe hum tammam umr, Khaye bas humne do Roti.
- bonus SONG
Yeh suraj se bhi keh do ke apni aag bujha ke kare
Agar usse baatein karni hai toh phir nazar jhuka ke kare
Taare uske hath mea hone hi chahiye
Jugnu uske sath mea sone hi chahiye
Ooo khushboou se uski sifarish ki jae
Aye khuda tu bol de tere baadalon ko
Mera yaar hass raha hai baarish ki jae
Yeh suraj se bhi keh do ke apni aag bujha ke kare
Agar usse baatein hai karni toh phir nazar jhuka ke kare
Mohabbat-e-jaani ki poori khwahish ki jae
Aye Khuda …
Haaye aashiq ho jaane mea kitna waqt lagta hai
Rab ke ghar mea aane mea kitna waqt lagta hai
Dekha usey toh yeh maloom hua ke
jannat ko paane mea kitna waqt lagta hai
Yeh zamana jaane na kya kara sakti hai
Ooo yaar mere ki nazrein hai dariya dooba sakti hai
Uska bas chale toh saara dariya pee jaaye
Aye Khuda …..
Na duniya ke liye likhte na mere liye likhte
Ghalib zinda hote toh tere liye likhte ..